Lahore say April-2008 maiN Ghazalah Arshad ka aik khoob.soorat Novel ... bay dar o deewar.... shaya howa hai . aik tajarbah kaar khatoon ostaad ka novel jo larkiyouN aur khawateen k samaji o nafseyati uljhanouN ko omdah tareeqay say deal karta hai. on mardoun ko zaroor paRhna chahiyeh jo aurtouN ko samajhna chaahtay haiN.... aur on khawaateen ko bhi yeh novel paRhna chahiyeh jo apnay zehnouN maiN oThnay walay sawaalaat /uljhanouN ka jawaab chaahti haiN.
novel ka pahla warq ... harfay chand .... molaahiza kijyeh.
iss novel k publisher BATOOL k chand deger aham aur dilchasp kutub yeh haiN