QUOTE(~Saraj~ @ Jul 17 2008, 12:10 PM) [snapback]2979569[/snapback]
Kashif esa nain hey Haj kerna deen.e.islam ka bunyadi aqeedah hey aur iss e ro gerdani hameyn da'ira islam se kharij kerdeti hey.
Allah Myan ne in tamam bunyadi aqa'id ki tameel aur takmeel ke kuch pemaney aur qawaid.o.zawabit bataye heyn aur unki perwi kerney ke baad hi Haj ada kerney ka hukum dya gya hey.
Islam wahid deen.e.fitrat hey jo pehley ma.ye.shiyet aur mo.a.shrey ki falah.o.behbod ki behtri ki baat kerta hey aur uskey baad dosri chezon ki takmeel ka hukum deta hey.
Ager aap samjhtey heyn ke aap sahib.e.istata.at heyn aur aap ke aur aap sachi neyet ke saath Haj ki adayegi kerna chahtey heyn to pehley apney tamam gharelo aur family zimeydaryun se farigh hoker ya unka bando bast ker key apne maan baap ki merzi ke baad aj ke liey jayen to Allah ta'ala zaror aap ka Haj qabol karey ga
Baat meri lambi hogai hey lakin mughey ilm hey ke aap meri baat ka mafhom sajh gaey hongey..
Wa.Allah.Alam.Bis.Sawab
aap bilkul thik keh rahay hain bhai......magar shayd aap meri baat ka maqsad nahin samjhay
jaisa kay iss article mein kaha gya hay kay dosray insanon ka khyal karna bohat zaroori aur muqadam hay ....ussi pas-e-manzar mein main nay yeh kaha tha kay haj karnay walon ko apnay aas paas bhi dekh laina chahiyay kay kisi ki zarorat poori karnay say shayd ALLAH un kay Haj say bhi ziada khush ho jayay (jaisa kay Ali Mochi walay waqia mein huwa)
baqi maqsad Khudanakhwasta Hajj jaisay fareezay ki nafi karna ya kisi Hajji ki niyyet par shak karna nahin tha ...ALLAH sab ko Hajj ki istata'at aur taufeeq ata farmayay......