ammmi ne mujhe samjhai nahi
main kaise meethi baat karun?
jab meethi chajji khai nahi
aaapi bhi pakaati hain halwa
woh aakhir kyu halwai nahi?
bhaiyya ki jo mangni ho gai kal
kyu kal hi dulhan mangwai nahi?
ye baat samajh main aai nahi
naani k miyan jab naana hain
daadi k miyan jab daada hain
tab aapa se maine pucha
baji k miyaan kia "baja" hain
woh hans hans kar yun kehne lageen
aey bhai nahi aey bhai nahi
ye baat samjh main aai nahi
jab naya maheena aata hai
bijli ka bil aa jata hai
haalank baadal bechaara
ye bijli muft lutaata hai
phir humne apne ghar bijli
kyu baadal se lagwai nahi?
ye baat samajh main aai nahi