QUOTE(tenha_saima @ Jul 17 2008, 12:42 AM) [snapback]2978848[/snapback]
SALAAMZ all .. hope everyones doin great ..
two things i dun understand
[*] larkiaan fazoool baato'on pe rooti kyun hain ..
[*] aur larkey kyun kahtey hain k woo rootey hove nahien daikh saktey larki ko
dialogues hain kya ?? ya koi reality bhi hai is main?
w/salam
yaar waisay being a girl ..yeh to tumhain pata hona chahiay tha kay larkiyaan fazool baton par roti hain ya nahin

anyway
jahan tak mera khyal hay kay aksar larkiyaan ya females ko jald rona aa jata hay ......gham ho ya ghussa ya bey-basi ....yeh situations insan ko rula to deti hain leikin as compared to males, females ko jald rona aa jata hay aur ba'z waqt yeh rona fazool baton par bhi hota hay jahan ronay say ziada aqal say kaam lainay aur khud ko qaboo mein rakhnay ki zarorat hoti hay
dosri baat jo hay kay males , females ka rona nahin dekh saktay ........yeh bhi kaafi had tak sahi hay kiyun aurat kay aansoo qudrati taur par mard ka dil naram kar detay hain aur woh us ko dilasa denay par majboor ho jata hay .......aur bohat si chalaak aurtein iss tarah mardon ko ulo bana kar apna kaam bhi nikaal laiti hain