Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Aapki Udaasi Ka Sabab
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
Pages: 1, 2
*DhanaK*
salaam alaikum friends

ek sawal hai
what makes you sad.


mujhhay logon ka shaatir dimagh sad kar jata hai
Encrypted
mujhy kisi apnay ka ignore kerna
~!Fadi!~
QUOTE(*DhanaK* @ Jul 25 2008, 07:16 PM) [snapback]2993348[/snapback]
salaam alaikum friends

ek sawal hai
what makes you sad.
mujhhay logon ka shaatir dimagh sad kar jata hai

AOA
bari khatoon hum tu bass aik sheer ko apni zindagi ka USOOL banaya hua hai

KHUDA naseeb karee un ko dai'mi khushiyaaN
adaam wo loog ju hum ko udass rakhte hain
Encrypted
KHUDA naseeb karee un ko dai'mi khushiyaaN
adaam wo loog ju hum ko udass rakhte hain


wah....
Mrs.KnOwN_StRaNgEr
Agar koyi cheez udaas karti hai to dosroon ka munafikana rawaiyya...

warna to hum Kamlay log har haal mein khush rose.gif
hamzaad
QUOTE(*DhanaK* @ Jul 25 2008, 07:16 PM) [snapback]2993348[/snapback]
salaam alaikum friends

ek sawal hai
what makes you sad.
mujhhay logon ka shaatir dimagh sad kar jata hai

Sooraj k saath doob gaya mera dil bhi aaj
Itna udaas shaam ka manzar kabhi na tha







Udaas honay ka koi sabab ho tou batlaein
Hum kabhi yunhi bewaja bhi udaas rehta hien
Airy_Princess
So many things can make me sad ... par main kuch apne hi style main udaas hoti hon ... means koi cheez meko udaas kar jayegi par main ne kehna nahi ... I always lyk k koi iss baat ko jan paye k main kab udaas ho chuki hon ... I dont show emotions specially infront of my family

- main koi baat aaisi kar lon ju mera dil keh raha ho k mujhe nai karni chaheye aur main kar lon
- sumtymz main sahi hon aur koi bhi keh day k main ghalt hon
- main udaas hon aur log expect karein k main hanso
- main koi cheez pana chahon par paa na sakon
- sumtymz bina kisi reason kay
- kisi ghair ka dukh ho aur mo main bina kisi rishte k apna feel karne lagon
- logon ki jhaliyat dekh kar sachi yeh tou specially
- logon k double standards se woh kahein kuch aur karein kuch
- when I feel that I didnt get a true friend in my life
- kuch log aaise milte hain ju jab unko dukh hota hai tou dhool peteinge aur jab khushiyan milein gi tou bhool jaeinge aaise dost jab bholein tou buhat dukh hota hai aur me udaas ho jati hon
~Kit Kat~
mujhay stimulus income nai sad kar dia...mili jo nahi 0-sosad.gif ...aap ko mili?

aaminah
QUOTE(Airy_Princess @ Jul 26 2008, 02:56 AM) [snapback]2994026[/snapback]
So many things can make me sad ... par main kuch apne hi style main udaas hoti hon ... means koi cheez meko udaas kar jayegi par main ne kehna nahi ... I always lyk k koi iss baat ko jan paye k main kab udaas ho chuki hon ... I dont show emotions specially infront of my family

same here!

wasalam.gif Dhanak G
A lot of things..can say infinite E9.gif
*DhanaK*
QUOTE(Encrypted @ Jul 25 2008, 02:50 PM) [snapback]2993459[/snapback]
mujhy kisi apnay ka ignore kerna


oh yeah i hate it too
*DhanaK*
QUOTE(~!Fadi!~ @ Jul 25 2008, 02:59 PM) [snapback]2993498[/snapback]
AOA
bari khatoon hum tu bass aik sheer ko apni zindagi ka USOOL banaya hua hai

KHUDA naseeb karee un ko dai'mi khushiyaaN
adaam wo loog ju hum ko udass rakhte hain


fadi bhaYYA
aap jaisa sakhee dil kahan say laaun
shabash hai aap par smile.gif
maybe ONE FINE DAY main bhi wahan tak pahonch jaaungi
*DhanaK*
QUOTE(Kamli @ Jul 25 2008, 04:42 PM) [snapback]2993561[/snapback]
Agar koyi cheez udaas karti hai to dosroon ka munafikana rawaiyya...

warna to hum Kamlay log har haal mein khush rose.gif


ya kHuda waqai munafiq logon ko to main dekhtee reh jaati hoon kitnay sukoon say without any guilt munafiqat ka bazaar saja ke baitthay rehtay hain
"sharm inko magar naheen aati"
*DhanaK*
QUOTE(hamzaad @ Jul 25 2008, 07:02 PM) [snapback]2993691[/snapback]
Sooraj k saath doob gaya mera dil bhi aaj
Itna udaas shaam ka manzar kabhi na tha
Udaas honay ka koi sabab ho tou batlaein
Hum kabhi yunhi bewaja bhi udaas rehta hien


bahot khubsurat ashaar
shukriya
Kashif
jab koi qareebi shakhs meri baat ko samajhnay ki koshish na karay aur zid par aa jayay
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Jul 25 2008, 09:56 PM) [snapback]2994026[/snapback]
So many things can make me sad ... par main kuch apne hi style main udaas hoti hon ... means koi cheez meko udaas kar jayegi par main ne kehna nahi ... I always lyk k koi iss baat ko jan paye k main kab udaas ho chuki hon ... I dont show emotions specially infront of my family

- main koi baat aaisi kar lon ju mera dil keh raha ho k mujhe nai karni chaheye aur main kar lon
- sumtymz main sahi hon aur koi bhi keh day k main ghalt hon
- main udaas hon aur log expect karein k main hanso
- main koi cheez pana chahon par paa na sakon
- sumtymz bina kisi reason kay
- kisi ghair ka dukh ho aur mo main bina kisi rishte k apna feel karne lagon
- logon ki jhaliyat dekh kar sachi yeh tou specially
- logon k double standards se woh kahein kuch aur karein kuch
- when I feel that I didnt get a true friend in my life
- kuch log aaise milte hain ju jab unko dukh hota hai tou dhool peteinge aur jab khushiyan milein gi tou bhool jaeinge aaise dost jab bholein tou buhat dukh hota hai aur me udaas ho jati hon


yeh to udaasi series ho gayi smile.gif
logon ki jihaalat dekhkar,oh my God i hate i hate jaahil ppl,Allah apni panah mein rakhay ham sab ko aur shar pasand fitna [pasand jaahil logon say door rakhay Ameen
*DhanaK*
QUOTE(~Bint-e-Zainab~ @ Jul 26 2008, 03:57 AM) [snapback]2994313[/snapback]
mujhay stimulus income nai sad kar dia...mili jo nahi 0-sosad.gif ...aap ko mili?

kahan milee 0-sosad.gif
kya strike kar dein?
*DhanaK*
QUOTE(aaminah @ Jul 26 2008, 05:19 AM) [snapback]2994410[/snapback]
[/color]same here!

wasalam.gif Dhanak G
A lot of things..can say infinite E9.gif
[/i]


yeah a LOT of things,a lot of events a lot of ppl,a lot of haalaat
*DhanaK*
QUOTE(Kashif @ Jul 31 2008, 03:55 AM) [snapback]3002059[/snapback]
jab koi qareebi shakhs meri baat ko samajhnay ki koshish na karay aur zid par aa jayay


qareebi ho to jhhunjlaahat to hoti hai bahot shadeed ghussa bhi ata hai aur aisay mein zid sonay pe suhaga
to aisi situation ko aap personally kaisay deal kartay hain
Kashif
QUOTE(*DhanaK* @ Jul 31 2008, 10:46 AM) [snapback]3002185[/snapback]
qareebi ho to jhhunjlaahat to hoti hai bahot shadeed ghussa bhi ata hai aur aisay mein zid sonay pe suhaga
to aisi situation ko aap personally kaisay deal kartay hain

haan ghussa to aata hay aur dukh bhi hota hay sath mein

agar koi barra aisa karay to koshish hoti hay kay un ki baat maan loon majbooran ...kiyunke woh to agree kar hi nahin rahay hotay

agar koi chota aisa karay to badtameezi say bachnay kay liyay koshish hoti hay kay us ko thora pyar say thora ghussay say samjhaon .....leikin jahan asooli baat ho wahan kuch sakhti bhi karni parrti hay kai baar....beherhaal choton ki zid bhi poori karni parrti hay kiyunke barron ka dil un ko udas nahin dekh sakta ...albata dil ko afsos zaroor hota hay un ki zid ki waja say
*Life*
hmmif i tell tu aik novel ban jay 1-embaressed_smile.gif bez bhout si hai which make me sad par in short when ppl ignore me and don't try to understand me
seemaf
Jab karney ko kuch na ho to udasi se kaam chalaleti hoon smile.gif

Warna main buhaaaat kam Udas hoti hoon smile.gif

Aur main bhi Fadi ki tarah aik shair pe believe karti hoon

"Jo mera naseeb tha mil gaya, jo chinna hai mujh se mera na tha
Tera dil yeh ramz samajh gaya, to koi kami na rulaye gi" rose.gif



*DhanaK*
QUOTE(Kashif @ Jul 31 2008, 06:50 AM) [snapback]3002304[/snapback]
haan ghussa to aata hay aur dukh bhi hota hay sath mein

agar koi barra aisa karay to koshish hoti hay kay un ki baat maan loon majbooran ...kiyunke woh to agree kar hi nahin rahay hotay

agar koi chota aisa karay to badtameezi say bachnay kay liyay koshish hoti hay kay us ko thora pyar say thora ghussay say samjhaon .....leikin jahan asooli baat ho wahan kuch sakhti bhi karni parrti hay kai baar....beherhaal choton ki zid bhi poori karni parrti hay kiyunke barron ka dil un ko udas nahin dekh sakta ...albata dil ko afsos zaroor hota hay un ki zid ki waja say


badon ko samjhhana mushkil kaam hai,kucch unki buzurgi ko bhi malhooz e khaatir rakhna padta hai
haan chhoton ko unki beja zidon par samjhana zururi hai chaay sakhti say hi kyun na samjhhana paday
*DhanaK*
QUOTE(*Life* @ Jul 31 2008, 07:33 AM) [snapback]3002346[/snapback]
hmmif i tell tu aik novel ban jay 1-embaressed_smile.gif bez bhout si hai which make me sad par in short when ppl ignore me and don't try to understand me


Allah na karay aap itni sad hon ke novel bhar ka zakheerah ikattha ho jaaye

ignore karnay walay logon ko ignore kar dena chahiye,dukh to bahot hota hai lekin uska yahee hal hai.
and when ppl don't understand us that is also a sad event,especially when we are speaking sense
smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(seemaf @ Jul 31 2008, 10:11 AM) [snapback]3002498[/snapback]
Jab karney ko kuch na ho to udasi se kaam chalaleti hoon smile.gif

Warna main buhaaaat kam Udas hoti hoon smile.gif

Aur main bhi Fadi ki tarah aik shair pe believe karti hoon

"Jo mera naseeb tha mil gaya, jo chinna hai mujh se mera na tha
Tera dil yeh ramz samajh gaya, to koi kami na rulaye gi" rose.gif




yeh ishq haaye baithhay bitthaye
janant dikhaaye haan guitar.gif

oops sorry pata naheen aapkay sher say gana kyun yaad aya

kidding smile.gif


anyway Allah ka shukr hai ke aap kam udas hoti hainmujhhay bhi kucch raaz sikha dein,main to har baat pe disturb aur sad hoti hoon


doosray shaer bahotttttTTT khubsurat hai,naak naqsha bhi accha hai,rung bhi accha hai
saanwli saloni teri meethi meetthi baatein guitar.gif


ooops phir main patri say utri kuuaaburr.gif





eusa_dance.gif

miss.roshni

Jab bhi dekha hai jhaank ker dil mein
Ho gaya sab jahaan udaas udaas

Zindagi khail hai udaasi ka
Ham yahan tum wahan udaas udaas

Ik taraf gham hein, ik taraf khushiyaan
Aur main darmiyaan udaas udaas........!
classic
QUOTE(Encrypted @ Jul 25 2008, 07:50 PM) [snapback]2993459[/snapback]
mujhy kisi apnay ka ignore kerna

aik tu yeh hai number1.gif
Kashif
QUOTE(*DhanaK* @ Aug 1 2008, 10:43 AM) [snapback]3003895[/snapback]
badon ko samjhhana mushkil kaam hai,kucch unki buzurgi ko bhi malhooz e khaatir rakhna padta hai
haan chhoton ko unki beja zidon par samjhana zururi hai chaay sakhti say hi kyun na samjhhana paday

ji sahi kaha aap nay
barron kay aagay aksar khud hi chup hona parrta hay

aur choton ki zid agar ziada ghalat hay to un par sakhti bhi ki ja sakti hay leikin choti moti zid ko poora kar kay un ki khushi dekh kar hum bhi khush ho jatay hain ......kiyunke un ki udas shakal bhi to dekhi nahin jaati ....mujh par barray bhai honay ki waja say baap wali zima-daryaan aayee hain to ab pata chala hay kay choton ki muhabbat kis tarah majboor kar deti hay aur un kay baat na maan-nay say dukh bhi hota hay
mann
Aksar Tanha Sham main udas ho jata hoon.
Aawaz
QUOTE(*DhanaK* @ Jul 25 2008, 02:16 PM) [snapback]2993348[/snapback]
salaam alaikum friends

ek sawal hai
what makes you sad.
mujhhay logon ka shaatir dimagh sad kar jata hai

wasalam.gif
bay-ruKhiiii
NaJ
appa.. it varies na... but most of the time the attitude of pple make me so upset....
*DhanaK*
QUOTE(Kashif @ Aug 2 2008, 06:08 AM) [snapback]3005059[/snapback]
ji sahi kaha aap nay
barron kay aagay aksar khud hi chup hona parrta hay

aur choton ki zid agar ziada ghalat hay to un par sakhti bhi ki ja sakti hay leikin choti moti zid ko poora kar kay un ki khushi dekh kar hum bhi khush ho jatay hain ......kiyunke un ki udas shakal bhi to dekhi nahin jaati ....mujh par barray bhai honay ki waja say baap wali zima-daryaan aayee hain to ab pata chala hay kay choton ki muhabbat kis tarah majboor kar deti hay aur un kay baat na maan-nay say dukh bhi hota hay


pyaar to waqai chhoton par ata hai,agar daant bhi dein to afsos hota hai ke daanta kyun hai
*DhanaK*
QUOTE(NaJ @ Aug 3 2008, 06:12 PM) [snapback]3006740[/snapback]
appa.. it varies na... but most of the time the attitude of pple make me so upset....



attitudes ka kya kareingya naj madam,khud hi badal jaayein



smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(Aawaz @ Aug 3 2008, 05:55 PM) [snapback]3006733[/snapback]
wasalam.gif
bay-ruKhiiii



jee siso jjee
woh bhi

kya haal hai?
*DhanaK*
QUOTE(mann @ Aug 2 2008, 07:15 AM) [snapback]3005125[/snapback]
Aksar Tanha Sham main udas ho jata hoon.


shamaein kabhi kabhi waqai udas hoti hain
*DhanaK*
QUOTE(miss.roshni @ Aug 1 2008, 06:07 PM) [snapback]3004738[/snapback]
Jab bhi dekha hai jhaank ker dil mein
Ho gaya sab jahaan udaas udaas

Zindagi khail hai udaasi ka
Ham yahan tum wahan udaas udaas

Ik taraf gham hein, ik taraf khushiyaan
Aur main darmiyaan udaas udaas........!



awww
innay udaas paalay paalay sher
khaas kar last wala

thankyou smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(classic @ Aug 1 2008, 07:42 PM) [snapback]3004829[/snapback]
aik tu yeh hai number1.gif



wahee to number1.gif
aaminah
QUOTE(*DhanaK* @ Jul 31 2008, 10:44 AM) [snapback]3002180[/snapback]
yeah a LOT of things,a lot of events a lot of ppl,a lot of haalaat


bilkul correct smile.gif
Kashif
QUOTE(*DhanaK* @ Aug 4 2008, 11:45 PM) [snapback]3008426[/snapback]
pyaar to waqai chhoton par ata hai,agar daant bhi dein to afsos hota hai ke daanta kyun hai

ji yehi to muhabbat hoti hay na smile.gif
asim10
bahi sahib allah kay rastay main lag jaa oo
saray gham khatam ho jaa ain ghay
Saadi
meri khudsakhta sochain
tabs
Salaam,

Very nice thread it is...n like reading sabke replies...since i too was feeling d same so thought to share that.

Conspiring minds bring me down ..somehw

tc

Ah

Tabassum':-)
*DhanaK*
QUOTE(asim10 @ Aug 7 2008, 08:34 AM) [snapback]3011534[/snapback]
bahi sahib allah kay rastay main lag jaa oo
saray gham khatam ho jaa ain ghay


bilkul theek
*DhanaK*
QUOTE(Dezire @ Aug 15 2008, 07:32 AM) [snapback]3019914[/snapback]
meri khudsakhta sochain



smile.gif
khud saakhtah sochon ke peecchay bhi koi base to hota hai
*DhanaK*
QUOTE(tabs @ Aug 15 2008, 12:05 PM) [snapback]3020057[/snapback]
Salaam,

Very nice thread it is...n like reading sabke replies...since i too was feeling d same so thought to share that.

Conspiring minds bring me down ..somehw

tc

Ah

Tabassum':-)



happy,,, sad,,, sad,,, happy,,,,ek ordinary nayya ,,,,aur ek baday say samandar ka utaar charhaao,that's life,i went through the same recently
but i guess Allah paak hamesha sambhal lete hain
hope all is well
long time
Mohsina
AAJ KAL LOGON MEIN WAFA NAHI RAHI. MATLAB KI HAI DUNIYA YAHAN KOUN KISI KA HOTA HAI......................................,DHOKA BHI WAHI DETA HAI JIS PE BHAROSA HOTA HAI!
R@hI
wah kya bat hai mohsinaa
sach he kaha
Mohsina
QUOTE(R@hI @ Sep 9 2008, 11:13 PM) [snapback]3045119[/snapback]
wah kya bat hai mohsinaa
sach he kaha

THANK U SO MUCH DEAR BROTHER.YE EK BERAHM HAQIQAT HAI.
R@hI
QUOTE(Mohsina @ Sep 10 2008, 07:36 AM) [snapback]3045451[/snapback]
THANK U SO MUCH DEAR BROTHER.YE EK BERAHM HAQIQAT HAI.


manta ho janab k ajj kal matlab k leye dost or ristay bantay hain
lakin ab b esay log hai jo purkhuloos or wafadar hain q k
hath ki panj (5) ungliyan baraber nahi hoti
shirly
a191.gif

jab mery eriends mery paas nahin hoty tab

aur logon ke behissi daikh kr
Mohsina
QUOTE(R@hI @ Sep 13 2008, 12:12 PM) [snapback]3049812[/snapback]
manta ho janab k ajj kal matlab k leye dost or ristay bantay hain
lakin ab b esay log hai jo purkhuloos or wafadar hain q k
hath ki panj (5) ungliyan baraber nahi hoti
I completely agree with u bro.lakin mohtaat rahna achi baat hai.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.