QUOTE(Abu Adnan @ Jul 27 2008, 04:01 PM) [snapback]2996577[/snapback]
baRi simple see baat hai kamli g.... kissi ajnabi /new person, place or thing ko opt karnay pahlay onhaiN achi tarah chaan phaTak kar pahchaan lena chahiyeh takay baad main yeh nuqsaan dah nah saabit houN ... jaisay hum apnay jootay to bila dhaRak pahan letay haiN ... magar agar kabhi kissi k jootay pahannay paR jayaiN to achi tarah check karna paRta hai k kaheeN jootay k ander keel waghitrah to nahi, joota hamaray paouNk k liyeh fit aur comfortable to hai naa etc etc ... jabkay apna jootaa to jana pahchanaa hotaa hai... iski khoobi /khami dounouN say hum bakhoobi agaah hotay haiN......
ab pataa nahi hadeea g meri explaination say mutafiq haiN yaa naheeN, yeh to wohi aan kar bataayengi.
Thnx Janab Adnan Sahib
AP ka reply buht acha tha.kafi close tha meri soch ke.
baat yeh thi kah kisi ko follow kerty waqt. kisi ko apnaty waqt pahly achi tarah research ker lia kareen kah baad main ap hurt nahi hoon.
regards