Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Pervez Mushraf
HulChul.NET > Halla Gulla > Polling Booth
Pages: 1, 2
~Saraj~
Dear Friends

Pervez Mushraf has been forced to resign.Aap kia samjhtey heyn ke Mushraf ka chala Jana Pakistan ke liey faideh mand/zarori tha ya nahin ?

Pls first mention your vote and then comments.

Thanks
**Gohar
Meri nazar main Musharraf ka iss mulk ki sarparasti kartey rehna zroori thaa....
lekin jiss tarah aaj tamam leaderz " Naam nehaad jamhooriyat " k zo'm main poori qoum ki hesiyat ko majrooh kar k..aur un sey zindgi k buniyadi huqooq chheen kar ....
Tamam kharabiyon ka zimm e daar musharraf ko gardantey hain ...

aisi soorat main Musharraf ka manzar sey " pas e manzar " chala jana behter thaa..

k jub tak kisi Chhatt k tamam pilerz mojood hotey hain .. hum andaza nahinkar saktey k chhatt kis piler sey tiki hui hay....

Buss Dua yehi hay k allah iss chhatt ko qayem o Dayem rakhey .... !!!
Perplexed Soul
QUOTE(**Gohar @ Aug 20 2008, 06:37 PM) [snapback]3025890[/snapback]
Meri nazar main Musharraf ka iss mulk ki sarparasti kartey rehna zroori thaa....
lekin jiss tarah aaj tamam leaderz " Naam nehaad jamhooriyat " k zo'm main poori qoum ki hesiyat ko majrooh kar k..aur un sey zindgi k buniyadi huqooq chheen kar ....
Tamam kharabiyon ka zimm e daar musharraf ko gardantey hain ...

aisi soorat main Musharraf ka manzar sey " pas e manzar " chala jana behter thaa..

k jub tak kisi Chhatt k tamam pilerz mojood hotey hain .. hum andaza nahinkar saktey k chhatt kis piler sey tiki hui hay....

Buss Dua yehi hay k allah iss chhatt ko qayem o Dayem rakhey .... !!!

200% agree karta hon Goher bhai se
bilkul sahi kaha aapne.
Forever Green
Mein to ye dekh kar heran ho ke Mush ke jaane per aaj bhi loog dukhi hain ....

Kya kahon alfaaz nai hain mere pass... Ek shakhs jis ne koi kami nahi chori gharebon ko aur islam ko Pakistan mein khatam karne mein uske liye loog roo rahe hain ????

Being a muslim country kya kabhi pehle pakistani media itna aazad tha jitna Mush ke doar mein huwa??? ....jab mein is baar pak mein thi to heran reh gai Paki channels dekh ke....aap khud soocho ke agar koi non Muslim paki chanels per click karre aaj to kya woh ye jaab sake ga ke ye ek muslim country ka media hay ??

Baat sirf media ki nahi aur bhi bahot se reasons hain .... Us ke jaane ki khushi un maa baap se poochen jinko aaj bhi pata nahi ke unke lakhte jigar kahan hain ...zinda bhi hain ya kissi ijtemai Qabar mein dafan kar diye gey hain ....???? koi jawab nai kissi ke pass...

Theek hay bahot se loog ye kehte hain ke Mush nai to kon....Mera unse ye sawal hay ke agar koi sincere na ho mulk se to kya kissi zalim shakhs ko hukumraan rehne diya jay ??

Jo haalaat Pakistan ke uske doar mein the na kabhi dekhe na sune... Koi jaan mehfooz nai thi ...kahin aate jaate dar lagta ...ghar se koi nikal jaata to pata na hota ke woh zinda salamat ghar wapis aaye ga bhi ke nahi .... agar Sadar hi responsible nai in sab ke liye to kon hay ??

Aaj sab usko bare-o-zima qarar de rahe hain to jab uske apne bayanaat mein itni fironiyat hoti thi ke mein chahon to ye karon mein chahon to woh karon to kyon halaat ko nahi sambhala...kyon masoom janon ko dushmanon ke hawale sirf kuch paison ke awez karta raha...

i think bahot hay itnaa...

Ne ways he shud'nt even b a president .. i voted for NO
VICKY DAR
muje itna pata tu nahi politics ka or na hi shooq hy...
per aik cheez jo saaf nazar ati thi k musharaf ny hamare country ka satyanas ker diya th...
pahle wale bhi kuch kam nahi th per un se busines tu chalta th logoon ka..roozgar th zayada nahi tu kam hi sahi.per th..
musharaf ny bohaat kaam kiye pakistan mai...per sirf un k liye jo us k apne adami th...
bas shuker ALLAH ka k woo chala gaya...or dua hy k ALLAH PAKISTAN k halat durust farmaye...AMEEN!

classic
i voted 4 third option gig.gif
hmm woh is liye yeh power yeh kursi iske mamlat nai samjh sakte aj woh hai tu kal hum kisi aur ko galian de rahe honge han itna hai k PAKISTAN ki tarekh k sab se bad tareen mamlat iski hukumat k dorran hue
Perplexed Soul
har cheez ka zimedaar musharaf

main yahan kisi se behas karna nahin chahonga
jo mera aik kheal hai woh yahan likhonga.

log keh to rahe hain ke kia kia kia usne

per yeh bhool jatay hain ke kion kia aur kia wajoohaat thin
kisi ne yeh dekha ke iske daur-e-hukoomat main 2 bari jangain
huin? kia koi aur siasatdaan sambhaal pata us waqt mukl ko
jab america yahan apni fauj ko pakistan main rakh deta
yeh lotay siasatdaan to kuch bhi kar jatay.
aajata hai Lal masjid ka masla, woh waqai main bura tha bohat per kion paish aaya?
uska haal waqai main bohat bura hua jo ke nahin hona chaiye tha,
aik mulk main rehte huye us hi mulk ko challenge, madarse hotay hain
Qurani aur Duniyavi taleem ke liye na ke aslaha jama karne aur
unka istemaal sikhane ke liye, un logon se aik bar nahin
100 bar kaha gaya ke woh hathiyaar daal dain, yeh cheez sab
hi dekh rahe thay TV pe ke Govt ne kitni koshish ki ke aesa kuch
na ho per. aakhri waqt tak unko kheal na aya ke bachon ka aur khwateen ka
jinke dimaagh main najane kia rakh dia jata hai,
aur phir hum bolte hain ke yeh Khudkush hamlay kion karte hain?

yeh jitne siasatdaan is mulk main mojood hain un se kahin darje
acha tha musharaf, jisne koshishain bohat kin mulk ko bachane ki
per ghaltiaan bhi bohat kin usne yeh baat bhi maannay wali hai
per phir bhi woh in logon se kahin behtar tha.

siasat aur aesay siasatdaan, hum jese logon ke liye nahin.

mujhe Zia-ul-Haq jese general ki zaroorat hai is mulk ke liye.

Allah jab bachayega is Mulk ko jab
hum khud ko badalna chahain.

ager maine kuch ghalat kaha ho to maaf kardain sab mujhe

Forever Green
QUOTE(Perplexed Soul @ Aug 20 2008, 12:30 PM) [snapback]3026006[/snapback]

Zyada achaa na hota ke poori Qoam mil ke Non Muslims ke khilaaf larti ?????????? America to aaj bhi pakistan per qabiz hay woh aaj bhi jo chahe kar raha hay koi hay Usko rokne wala??????? koi Nahi... Mush sahib itna jhuke itna jhuke ke poori qoam ko Baghair kissi Jang ke Ghulaam bana diya...

Aaj jo Androni khana jangi ho rahi hay uska kon responsible hay ???? ...Muslim Bhai Muslim Bhai ko jaan se maar raha hay hamari hi Foaj hamare hi loogon ko aur Hamari hi Qoam hamare hi Foaj ko Maar rahi hay ....Is se to achaa hota ke sab mil ke ek Kalme ke saye tale Non Muslims ke khilaaf larte...

Ne ways ... highlighted words ke bare mein mein bilkul baat nai karna chahti thi lekin sirf itna kahon gi ke ....Kis ne dekha ye sab ????? Media ko to ijazat hi na di gai ander jaane ki aur raton raat masjid ko dho dha ke Masoomon li lashon ko Ijtemai Qabron mein daal kar baat khatam kar di ...ab marne walon per aap koi bhi ilzaam lagaon woh kese deny karen ????

overall .... Allah jee se dua hay ke kabhi kissi zalim ko itni taqat na dein ke woh khud ko Firon samajhne lagee...
Forever Green
QUOTE(classic @ Aug 20 2008, 11:39 AM) [snapback]3025980[/snapback]
i voted 4 third option gig.gif
hmm woh is liye yeh power yeh kursi iske mamlat nai samjh sakte aj woh hai tu kal hum kisi aur ko galian de rahe honge han itna hai k PAKISTAN ki tarekh k sab se bad tareen mamlat iski hukumat k dorran hue

Lolzzzz ....u ka reply parh ke mujhe GEO ka woh song yaad aagaya jo woh Mush sahib ke jane per aaj kal zoor-o-shor se dekha rahe hain gig.gif
tension_4u
aik banda kabhi b perfect nhi hota musharaf ny bohat kuch bra kiya ho ga laikn us ny acha b kiya ----------- pta nhi usy rehna chahiye tha ya nhi? lakin ALLAH kry ab koi acha hukmraan hi aye ameen
Perplexed Soul
QUOTE(Forever Green @ Aug 21 2008, 02:40 AM) [snapback]3026067[/snapback]

Zyada achaa na hota ke poori Qoam mil ke Non Muslims ke khilaaf larti ?????????? America to aaj bhi pakistan per qabiz hay woh aaj bhi jo chahe kar raha hay koi hay Usko rokne wala??????? koi Nahi... Mush sahib itna jhuke itna jhuke ke poori qoam ko Baghair kissi Jang ke Ghulaam bana diya...
Aaj jo Androni khana jangi ho rahi hay uska kon responsible hay ???? ...Muslim Bhai Muslim Bhai ko jaan se maar raha hay hamari hi Foaj hamare hi loogon ko aur Hamari hi Qoam hamare hi Foaj ko Maar rahi hay ....Is se to achaa hota ke sab mil ke ek Kalme ke saye tale Non Muslims ke khilaaf larte...

Ne ways ... highlighted words ke bare mein mein bilkul baat nai karna chahti thi lekin sirf itna kahon gi ke ....Kis ne dekha ye sab ????? Media ko to ijazat hi na di gai ander jaane ki aur raton raat masjid ko dho dha ke Masoomon li lashon ko Ijtemai Qabron mein daal kar baat khatam kar di ...ab marne walon per aap koi bhi ilzaam lagaon woh kese deny karen ????

overall .... Allah jee se dua hay ke kabhi kissi zalim ko itni taqat na dein ke woh khud ko Firon samajhne lagee...

main mazeed in sab ka jawab nahin dena chahonga, behas barhti chali jayegi
aur hasil kuch bhi nahin hona.

sis masla yahi hai sab se bara ke humne Allah ki rassi ko chor dia hai haath se
ager usay na bholain hum to woh hum per aesa kuch na honay day.

qamarkhan984
ho gaya dafa door

or main na vote bhi da dia

majority is authority

jana tu us na mar ker hi tha sadarat sa

pata nahi kaisa saharam a gai basharam insan ko

kam hi daikha hain aisa basharam
qamarkhan984
QUOTE(Perplexed Soul @ Aug 21 2008, 12:30 AM) [snapback]3026006[/snapback]
har cheez ka zimedaar musharaf

main yahan kisi se behas karna nahin chahonga
jo mera aik kheal hai woh yahan likhonga.

log keh to rahe hain ke kia kia kia usne

per yeh bhool jatay hain ke kion kia aur kia wajoohaat thin
kisi ne yeh dekha ke iske daur-e-hukoomat main 2 bari jangain
huin? kia koi aur siasatdaan sambhaal pata us waqt mukl ko
jab america yahan apni fauj ko pakistan main rakh deta
yeh lotay siasatdaan to kuch bhi kar jatay.
aajata hai Lal masjid ka masla, woh waqai main bura tha bohat per kion paish aaya?
uska haal waqai main bohat bura hua jo ke nahin hona chaiye tha,
aik mulk main rehte huye us hi mulk ko challenge, madarse hotay hain
Qurani aur Duniyavi taleem ke liye na ke aslaha jama karne aur
unka istemaal sikhane ke liye, un logon se aik bar nahin
100 bar kaha gaya ke woh hathiyaar daal dain, yeh cheez sab
hi dekh rahe thay TV pe ke Govt ne kitni koshish ki ke aesa kuch
na ho per. aakhri waqt tak unko kheal na aya ke bachon ka aur khwateen ka
jinke dimaagh main najane kia rakh dia jata hai,
aur phir hum bolte hain ke yeh Khudkush hamlay kion karte hain?

yeh jitne siasatdaan is mulk main mojood hain un se kahin darje
acha tha musharaf, jisne koshishain bohat kin mulk ko bachane ki
per ghaltiaan bhi bohat kin usne yeh baat bhi maannay wali hai
per phir bhi woh in logon se kahin behtar tha.

siasat aur aesay siasatdaan, hum jese logon ke liye nahin.

mujhe Zia-ul-Haq jese general ki zaroorat hai is mulk ke liye.
Allah jab bachayega is Mulk ko jab
hum khud ko badalna chahain.

ager maine kuch ghalat kaha ho to maaf kardain sab mujhe

tum na khud hi kaha keh us na ju LALL MASJID mani ju us na kia woh ghalat kia

tu suno ja ker dekho us operation main kitna laug mara gaye

woh sab qatal kia hain musharaf na

aik qatil ki side la raha ho tum

sharam kero

president neutral hota hai or us na apni hi aik party banai or us ki compaign bhi chalai
jab us ki party haar gai tu usa chor daina chahia tha ju us na nahi kia

us na 2004 main wada kia tha sari qaum keh samna keh woh wardi utar da ga

us na wada khilafi bhi ki sari qaum sa

us ka deen eman nahi hai koi

baqi bhi bara points hain us keh baray main

jin main sa aik yeh bhi hai keh us na hero of the nation DR Qadeer ko zaleel kia

shabash guitar wala tu sahi ja raha hai

classic
QUOTE(Forever Green @ Aug 21 2008, 02:43 AM) [snapback]3026069[/snapback]
Lolzzzz ....u ka reply parh ke mujhe GEO ka woh song yaad aagaya jo woh Mush sahib ke jane per aaj kal zoor-o-shor se dekha rahe hain gig.gif

konsa wala gig.gif
classic
QUOTE(tension_4u @ Aug 21 2008, 02:49 AM) [snapback]3026072[/snapback]
aik banda kabhi b perfect nhi hota musharaf ny bohat kuch bra kiya ho ga laikn us ny acha b kiya ----------- pta nhi usy rehna chahiye tha ya nhi? lakin ALLAH kry ab koi acha hukmraan hi aye ameen

copy cat thumbsdown_anim.gif
VrSoLdIeRs
QUOTE(Perplexed Soul @ Aug 21 2008, 12:30 AM) [snapback]3026006[/snapback]
har cheez ka zimedaar musharaf

main yahan kisi se behas karna nahin chahonga
jo mera aik kheal hai woh yahan likhonga.

log keh to rahe hain ke kia kia kia usne

per yeh bhool jatay hain ke kion kia aur kia wajoohaat thin
kisi ne yeh dekha ke iske daur-e-hukoomat main 2 bari jangain
huin? kia koi aur siasatdaan sambhaal pata us waqt mukl ko
jab america yahan apni fauj ko pakistan main rakh deta
yeh lotay siasatdaan to kuch bhi kar jatay.
aajata hai Lal masjid ka masla, woh waqai main bura tha bohat per kion paish aaya?
uska haal waqai main bohat bura hua jo ke nahin hona chaiye tha,
aik mulk main rehte huye us hi mulk ko challenge, madarse hotay hain
Qurani aur Duniyavi taleem ke liye na ke aslaha jama karne aur
unka istemaal sikhane ke liye, un logon se aik bar nahin
100 bar kaha gaya ke woh hathiyaar daal dain, yeh cheez sab
hi dekh rahe thay TV pe ke Govt ne kitni koshish ki ke aesa kuch
na ho per. aakhri waqt tak unko kheal na aya ke bachon ka aur khwateen ka
jinke dimaagh main najane kia rakh dia jata hai,
aur phir hum bolte hain ke yeh Khudkush hamlay kion karte hain?

yeh jitne siasatdaan is mulk main mojood hain un se kahin darje
acha tha musharaf, jisne koshishain bohat kin mulk ko bachane ki
per ghaltiaan bhi bohat kin usne yeh baat bhi maannay wali hai
per phir bhi woh in logon se kahin behtar tha.

siasat aur aesay siasatdaan, hum jese logon ke liye nahin.

mujhe Zia-ul-Haq jese general ki zaroorat hai is mulk ke liye.
Allah jab bachayega is Mulk ko jab
hum khud ko badalna chahain.

ager maine kuch ghalat kaha ho to maaf kardain sab mujhe

maaf to nahi karoon ga teray ko gig.gif

ok ji ab bhugtoo... as for 2 bari jangain... kaun si jangain bhai??? america-afghan war main pakistan involve hi nahi tha... haan apnay mulk main hum nay jangain lari hain apny hi bandon say thats another story... kehtay ho to us par bhi roshni daal doon ga :p

bilkul u nay sehi kaha keh yahan sub hi ghalat hai... magar meray bhai democracy ki yehi baat achi hoti hai jo banda pasand nahi hota usay hata diya jata hai...magar mush bhai to hatnay ka naam hi nahi lay rehay thay!!!

as for lal masjid... yaar tumhain nahi pata keh karachi kay her sector main kitni AK 47 aur TT hoti hain... kisi par operation howa?? lal masjid waloon nay kisi par firing ki thi??? unhon na fire usi waqt kiya tha jub un par kiya gaya magar karachi main rooz kitnay banday martay hain... kabhi aik lafz bhi kaha??? plus maximum kitni guns theen... 10-12??? 20 hoon gi 30 hoon gi....itni to yar kisi chotay motay chaudry kay pass bhi hoti hain... aur jahan civillians hoon wahan gunship helicopters use kiye jatay hain??? kabhi suna hai keh kisi bhi country nay apnay kisi city main use kiya ho??? yaar tum log khana peena band kar daitay to bhook ki wajah say bahar aa hi jatay na... aik bhi insaani jana bach jati to buhat nahi tha??? upar say chaudry shujaat nay khud kaha hai keh kuch terms and conditions par woh log maan gaye hain... magar phir janay kiya howa keh operation start!!!

yaar khud batao Allah na karay agar tumhari sis ka phone ata keh yahan operation shuru ho gaya hai magar mujhay yaqeen hai keh yeh log bachon aur aurtoon ko nahi marain gey... waisay bhi hum haq ki raah par hain... main apnay teachers ko chor kar bahar nahi aaon gi... ya tumharay bhai ka phone ata keh main MQM aur PPP kay crossfire main phans gaya hoon aur nikalna possible nazar nahi aa raha

phir bhi tumhara yehi kehna hota???

as for america uar 9/11 meray bhai jis qaum kay log "selected" hoon na woh takar lay saktay hain... like iran and other... magar mush jaisay sirf govt. bacahay kay liye jhuktay hi chalay jatay hain... atomic tests thay na??? kitni offers ayeen keh na karo??? kitni dhamkiyaan ayeen??? magar kyun keh woh log elected thay is liye stand lay saktay thay... yeh nahi keh america kay aik secretary kay samnay humara commando zameen par para ho!!!

VrSoLdIeRs

Perplexed Soul
QUOTE(qamarkhan984 @ Aug 22 2008, 03:19 AM) [snapback]3026844[/snapback]

tum na khud hi kaha keh us na ju LALL MASJID mani ju us na kia woh ghalat kia

tu suno ja ker dekho us operation main kitna laug mara gaye

woh sab qatal kia hain musharaf na

aik qatil ki side la raha ho tum

sharam kero
president neutral hota hai or us na apni hi aik party banai or us ki compaign bhi chalai
jab us ki party haar gai tu usa chor daina chahia tha ju us na nahi kia
us na 2004 main wada kia tha sari qaum keh samna keh woh wardi utar da ga

us na wada khilafi bhi ki sari qaum sa

us ka deen eman nahi hai koi

baqi bhi bara points hain us keh baray main

jin main sa aik yeh bhi hai keh us na hero of the nation DR Qadeer ko zaleel kia

shabash guitar wala tu sahi ja raha hai

oo bhai maaf karde mujhe
Perplexed Soul
[quote name='VrSoLdIeRs' date='Aug 22 2008, 02:45 PM' post='3027168']
maaf to nahi karoon ga teray ko gig.gif

ok ji ab bhugtoo... as for 2 bari jangain... kaun si jangain bhai??? america-afghan war main pakistan involve hi nahi tha... haan apnay mulk main hum nay jangain lari hain apny hi bandon say thats another story... kehtay ho to us par bhi roshni daal doon ga :p

bilkul u nay sehi kaha keh yahan sub hi ghalat hai... magar meray bhai democracy ki yehi baat achi hoti hai jo banda pasand nahi hota usay hata diya jata hai...magar mush bhai to hatnay ka naam hi nahi lay rehay thay!!!

involve kese nahin tha pakistan? woh log yahan aa kar training camps
qaim karain, aur america chahe ke pakistan se woh apni fauj bheje
afghanion ko marne ke liye to pakistan kahan se bacha?
dono sides se phansa na? ke nahin phansa?
yar yahan sab se bara masla pata hai kia hai
ke hum khud ko sudhaarte nahin hain aur sab kuch kisi aik insaan
pe daal dete hain.

as for lal masjid... yaar tumhain nahi pata keh karachi kay her sector main kitni AK 47 aur TT hoti hain... kisi par operation howa?? lal masjid waloon nay kisi par firing ki thi??? unhon na fire usi waqt kiya tha jub un par kiya gaya magar karachi main rooz kitnay banday martay hain... kabhi aik lafz bhi kaha??? plus maximum kitni guns theen... 10-12??? 20 hoon gi 30 hoon gi....itni to yar kisi chotay motay chaudry kay pass bhi hoti hain... aur jahan civillians hoon wahan gunship helicopters use kiye jatay hain??? kabhi suna hai keh kisi bhi country nay apnay kisi city main use kiya ho??? yaar tum log khana peena band kar daitay to bhook ki wajah say bahar aa hi jatay na... aik bhi insaani jana bach jati to buhat nahi tha??? upar say chaudry shujaat nay khud kaha hai keh kuch terms and conditions par woh log maan gaye hain... magar phir janay kiya howa keh operation start!!!

yaar tum yeh batao kisi ko bhi ghar se aghwa karlia jaye aur masjid main
leja ke us pe tashaddud ho aur kaha jaye ke yeh log fahashi phela rahe thay
yeh sahi hai?
kuch bhi ho Islam main zabardasti nahin hai, woh log zabardasti chah rahe thay.
aur rahi baat un aurton bachon ki to woh ghalti dono taraf se thi govt ki aur un logon ki
jinhon ne aurton bachon ko istemaal kia khud ko bachane ke liye.

kitni baar kaha gaya ke hathiyaar daal do. nahin dalay unhon ne.
10- 12 gun? ander se aik rocket fire hua tha pehle aur us main Army
ka aik bara officer shaheed hua. phir jawabi karwai ki gai.

yaar khud batao Allah na karay agar tumhari sis ka phone ata keh yahan operation shuru ho gaya hai magar mujhay yaqeen hai keh yeh log bachon aur aurtoon ko nahi marain gey... waisay bhi hum haq ki raah par hain... main apnay teachers ko chor kar bahar nahi aaon gi... ya tumharay bhai ka phone ata keh main MQM aur PPP kay crossfire main phans gaya hoon aur nikalna possible nazar nahi aa raha

haq per hain iska matlab yeh nahin ke main abhi kisi ke sar pe gun taan
ke khara ho jaon, aur amal karne ko kehne lagon.

phir bhi tumhara yehi kehna hota???
as for america uar 9/11 meray bhai jis qaum kay log "selected" hoon na woh takar lay saktay hain... like iran and other... magar mush jaisay sirf govt. bacahay kay liye jhuktay hi chalay jatay hain... atomic tests thay na??? kitni offers ayeen keh na karo??? kitni dhamkiyaan ayeen??? magar kyun keh woh log elected thay is liye stand lay saktay thay... yeh nahi keh america kay aik secretary kay samnay humara commando zameen par para ho!!!

yaar dekho mujhe jo masla nazar aata haina is sab mamlay main
woh sirf yahi hai ke humne Allah ki bataon per amal karna chordia hai
Quran main kia woh kabhi hum dekhte nahin, parh ke rakh dena sawab mil gaya
bohat hogaya.

qamarkhan984
QUOTE(Perplexed Soul @ Aug 22 2008, 03:00 PM) [snapback]3027175[/snapback]
oo bhai maaf karde mujhe

JA MUAFF KIA TU BHI KYA YAAD KERA GA

AINDA KOI GHALATI NA KERNA

0-17_wink.gif
Perplexed Soul
QUOTE(qamarkhan984 @ Aug 22 2008, 03:30 PM) [snapback]3027184[/snapback]
JA MUAFF KIA TU BHI KYA YAAD KERA GA

AINDA KOI GHALATI NA KERNA

0-17_wink.gif

ghalti? meri taubah

bas band baja deta hon kabhi kabhi:0-17_wink:
qamarkhan984
QUOTE(Perplexed Soul @ Aug 22 2008, 03:34 PM) [snapback]3027185[/snapback]
ghalti? meri taubah

bas band baja deta hon kabhi kabhi:0-17_wink:

guitar baja sakta hai tu band bhi baja hi sakta ho ga

dholki bhi achi baja laita ho ga

bansuri or pata nahi kya kya baja laita ho ga

but yar woh ju mai na oper likha na woh meri thinking thi

and u can see keh polloing main bhi siwai tumhara kisi na musharaf ko vote nahi kia

usa koi pasand nahi kerta

samjha ker na yaar
Perplexed Soul
QUOTE(qamarkhan984 @ Aug 22 2008, 03:43 PM) [snapback]3027188[/snapback]
guitar baja sakta hai tu band bhi baja hi sakta ho ga

dholki bhi achi baja laita ho ga

bansuri or pata nahi kya kya baja laita ho ga

but yar woh ju mai na oper likha na woh meri thinking thi

and u can see keh polloing main bhi siwai tumhara kisi na musharaf ko vote nahi kia

usa koi pasand nahi kerta

samjha ker na yaar

yar dekho
main bhi usay pasand nahin karta,
per main kisi aur tarha se sochta hon aur mere kheaalaat bhi kuch alag nahin.
bas yahi wajah hai. mera yahan maqsad kisi se behas karna nahin tha
jo mera point of view tha woh yahan rakha, aur is hi liye maine oper likh bhi dia tha.

VrSoLdIeRs

involve kese nahin tha pakistan? woh log yahan aa kar training camps
qaim karain, aur america chahe ke pakistan se woh apni fauj bheje
afghanion ko marne ke liye to pakistan kahan se bacha?
dono sides se phansa na? ke nahin phansa?
yar yahan sab se bara masla pata hai kia hai
ke hum khud ko sudhaarte nahin hain aur sab kuch kisi aik insaan
pe daal dete hain.

taining camps kiya azad kashmir main nahi kashmiri freedom fighters kay??? meray bhai yehi training camps thay to aap ki west side secure thi... ab dekha nahi karzai jaisa insaan bhi aap ko dhamkiyaan deta hai... taliban kay era main koi panga howa???

waisay bhi america ko wahan qaim kis nay honay diya??? musharraf nay hi na??? america sirf usi ki izzat karta hai jo stand laita hai... jo jhuk jata hai uska haal iraq jaisa hi hota hai... yaar venezulla (dun remember the exact spellings) aur cuba, korea jaisay chotay countries bhi nahi suntay america nay kiya kar liya unka???

yaar tum yeh batao kisi ko bhi ghar se aghwa karlia jaye aur masjid main
leja ke us pe tashaddud ho aur kaha jaye ke yeh log fahashi phela rahe thay
yeh sahi hai?
kuch bhi ho Islam main zabardasti nahin hai, woh log zabardasti chah rahe thay.
aur rahi baat un aurton bachon ki to woh ghalti dono taraf se thi govt ki aur un logon ki
jinhon ne aurton bachon ko istemaal kia khud ko bachane ke liye.

kitni baar kaha gaya ke hathiyaar daal do. nahin dalay unhon ne.
10- 12 gun? ander se aik rocket fire hua tha pehle aur us main Army
ka aik bara officer shaheed hua. phir jawabi karwai ki gai.

meray bhai us "aunty shamim" par koi torture nhi howa tha... yeh to baat us nay khud maani hai.. aur as for that chinese "massage parlour" woh bhi shsyad aap mujh say behtar jantay hoon gey... aap kindly yeh dono baatain prove kar do keh aik torture kiya gaya tha aur doosra us jagah aisa kuch nahi hota tha.... kindly kisi neutral website say batana.. ya kisi bhi newspaper ki!! m waiting

haan islam main zabardasti nahi magar rules aur law bhi kisi cheez ka naam hota hai... jo jurm karta hai usay saza milni chahiyay... hadees to aap nay bhi sun rakhi hogi keh burai ko haath say roko.. nahi rok saktay to zuban say.. phir bhi nahi rok saktay to dil main bura jaan lo aur yeh emaan ki akhri stage hai!!!

wasaiy rocket wala confirm nahi keh sakta cuz abhi tak main nay jo search mari hai kaheen nahi keh rocket kay fire say officer mara.. aik mara tha SSG ka magar woh final opertion kay beech tha... aur aap ko bata doon keh wahan sirf light weapons thay.. operation ko kisi cheez nay "provoke" nahi kiya tha yeh negotiations kay baad hi howa operation... jahan tak mujhay yaad parta hai agar koi rocket fire bhi howa ho to yeh operation uski wajah say start nahi howa...

aap nay meri baat ka jawab nahi diya keh karachi main ammunition rakhnay waloon kay against operation kyun nahi howa???

yaar khud batao Allah na karay agar tumhari sis ka phone ata keh yahan operation shuru ho gaya hai magar mujhay yaqeen hai keh yeh log bachon aur aurtoon ko nahi marain gey... waisay bhi hum haq ki raah par hain... main apnay teachers ko chor kar bahar nahi aaon gi... ya tumharay bhai ka phone ata keh main MQM aur PPP kay crossfire main phans gaya hoon aur nikalna possible nazar nahi aa raha phir bhi tumhara yehi kehna hota?????[/color][/size][/font][/b]

haq per hain iska matlab yeh nahin ke main abhi kisi ke sar pe gun taan
ke khara ho jaon, aur amal karne ko kehne lagon.

tum nay meri baat ka jawab nahi diya... agar God forbid tumhari family main say koi apni jaan kho baithta tub bhi yehi kehtay??

yaar dekho mujhe jo masla nazar aata haina is sab mamlay main
woh sirf yahi hai ke humne Allah ki bataon per amal karna chordia hai
Quran main kia woh kabhi hum dekhte nahin, parh ke rakh dena sawab mil gaya
bohat hogaya.

yeh to koi baat na howi... smile.gif agar hum quran par amal nahi kartay to musharraf jasiay logon ko support karna shuru kar dain??? meray last paragraph ko sehi say parha nahi tum nay smile.gif
Perplexed Soul

taining camps kiya azad kashmir main nahi kashmiri freedom fighters kay??? meray bhai yehi training camps thay to aap ki west side secure thi... ab dekha nahi karzai jaisa insaan bhi aap ko dhamkiyaan deta hai... taliban kay era main koi panga howa???

kashmir pakistan ka hissa tha Afghanistan bhi ager pakistan ka hissa hota to maan lia jata.

waisay bhi america ko wahan qaim kis nay honay diya??? musharraf nay hi na??? america sirf usi ki izzat karta hai jo stand laita hai... jo jhuk jata hai uska haal iraq jaisa hi hota hai... yaar venezulla (dun remember the exact spellings) aur cuba, korea jaisay chotay countries bhi nahi suntay america nay kiya kar liya unka???

yeh baat sahi hai bilkul tumhari ke koi samna karne wala nahin, jhukne pe aaye to jhukte chalay gaye.

meray bhai us "aunty shamim" par koi torture nhi howa tha... yeh to baat us nay khud maani hai.. aur as for that chinese "massage parlour" woh bhi shsyad aap mujh say behtar jantay hoon gey... aap kindly yeh dono baatain prove kar do keh aik torture kiya gaya tha aur doosra us jagah aisa kuch nahi hota tha.... kindly kisi neutral website say batana.. ya kisi bhi newspaper ki!! m waiting

nahin suboot to mere paas bhi nahin. yeh jo news pe araha tha wahi bataya.
ager tashadud bhi nahin kia to bhi aghwa karlena sahi hai?

haan islam main zabardasti nahi magar rules aur law bhi kisi cheez ka naam hota hai... jo jurm karta hai usay saza milni chahiyay... hadees to aap nay bhi sun rakhi hogi keh burai ko haath say roko.. nahi rok saktay to zuban say.. phir bhi nahi rok saktay to dil main bura jaan lo aur yeh emaan ki akhri stage hai!!!

han per yeh kahan pe hai ke kisi mulk main rehte huye uske rules ko torte huye
aesa kuch kia jaye?

wasaiy rocket wala confirm nahi keh sakta cuz abhi tak main nay jo search mari hai kaheen nahi keh rocket kay fire say officer mara.. aik mara tha SSG ka magar woh final opertion kay beech tha... aur aap ko bata doon keh wahan sirf light weapons thay.. operation ko kisi cheez nay "provoke" nahi kiya tha yeh negotiations kay baad hi howa operation... jahan tak mujhay yaad parta hai agar koi rocket fire bhi howa ho to yeh operation uski wajah say start nahi howa...

aap nay meri baat ka jawab nahi diya keh karachi main ammunition rakhnay waloon kay against operation kyun nahi howa???

nahin woh rocket operation ke beech main hi fire huya tha, aur itna pata hai ke koi officer hi shaheed hua tha
operation start honay se pehle kitni baar koshish ki gai ke unse aslaha dalwa dia jaye.
nahin dalay.
karachi aur yahan jo karachi ki baat ki tumne, to yeh aslaha yahan ki pichle siasat-danon ke
daur main aaya. operation hua tha yaar yahan bhi aur kai log maray gaye. yeh baat main achi
tarha janta hon kionke jis area main main rehta tha wahan bhi hua tha operation
helicopter tak use huye thay us main.

yaar khud batao Allah na karay agar tumhari sis ka phone ata keh yahan operation shuru ho gaya hai magar mujhay yaqeen hai keh yeh log bachon aur aurtoon ko nahi marain gey... waisay bhi hum haq ki raah par hain... main apnay teachers ko chor kar bahar nahi aaon gi... ya tumharay bhai ka phone ata keh main MQM aur PPP kay crossfire main phans gaya hoon aur nikalna possible nazar nahi aa raha phir bhi tumhara yehi kehna hota?????[/color][/size][/font][/b]

tum nay meri baat ka jawab nahi diya... agar God forbid tumhari family main say koi apni jaan kho baithta tub bhi yehi kehtay??

mere ghar ka koi fard aesi jagah pe bheja hi nahin jayega jahan taleem dene ke saath
saath yeh sab bhi hota ho. iska yahi jawab hai

yeh to koi baat na howi... smile.gif agar hum quran par amal nahi kartay to musharraf jasiay logon ko support karna shuru kar dain??? meray last paragraph ko sehi say parha nahi tum nay smile.gif

support hi na karain ager aesa karain to.
kionke jesi qaum hoti haina us pe wese hi hukmaran mussallat kardiye jatay hain, yeh bat is liye ki thi maine.smile.gif

IrrAtionaL MethanE
jio nomi ... icon_peace.gif ..

me on your side .. and will soon (hopefully .. breakface1.gif) write something here .. smile.gif
MJB
jo meri soch hey,,, uskey mutabiq koi option nahin hey,,,, sawal yeah hey ke

Will his resignation really affect on Pakistan ?? and my answer is NO

Musharraf ka rahna ya na rahney se koi faraq nahin par raha tha,,,, uskey pass koi powers nahin thin,,, Parliment main sarey aham faisley ho rahey they,,,, Musharraf was left just a dummy,,, aisey halat main uska khud chaley jana hi bahter tha

Musharraf dictator tha, lekin baqi log kya hain,,,,, Nawaz sharif apni marzi se sab kaam kerta hey,, aur uski baat PML-N main harf-e-akhir hoti hey,,,, pahley BB aur ab Zardari ka jo faisla hota hey,,,, ussi per amaldaramad hota hey,,, aur baqi sarey syasatdaan apni gharz ke liye unki haan main haan milatey hain,,,, jab govt main atey hain,,, tu tab bhi fard-e-wahid hi faisla kerta hey,,, jaisey aaj kal zardari ker raha hey,,,, kya yeah dictatorship nahin.

Pakistan ki pahli jamhoori hakoomat ZA Bhuto ne emabssy ke through aney waley sarey foriegn scholarships directly dainey ki bajaye education ministry ke through ker diye,,, jis ke misuse ki wajah se unhoon ne scholarship dainey band ker diye,,,,, jis ka nateeja yeah nikla ke Pakistan main jitni reseach hoti thi,,, aur jo PhD ker ke atey they,,,, wo ahista ahista kam hotey gye,,, aur PhDs ki shortage ho gai,,,,, phir jo kuch govt ke scholarship they S&T scholarship,,, wo BB ne khatam ker diye (ke log wapis nahin atey,,, bajaye iskey ke system ko theek kertey,,, inhoon ne jar hi kaat di)

Musharraf ne kam az kam Pakistan ki bahteri ke liye tu kaam kiya hey,,,, yeah batain C&A main already discuss ho chuki hain

jahan tak Laal Masjid ke hawaley se baat chal rahi hey,,,, tu uss waqt ke political leaders samait mazhabi rahnumaoon ne Ghazi abdulraheed ki hathdarmi se le ke Hakoomat tak pe tanqeed ki thi,,, ke Govt ne itna late action kion liya,,,

aur jahan tak 9/11 pe US ka sath dainey ki baat hey,,,, tu BB ne bhi iski ta'eed ki thi,,, jabke NS ne bhi London se Akhbar-e-jehan ke liye 1 khasoosi interview main yahi kaha tha ke Pakistan ke pass iskey siwa koi chara na tha,,, lekin agar ham hotey tu assembly ki manzoori se jamhoori andaz main yeah kaam kertey,,,, aur yeah ham sab jantey hain ke assembly main kis ki baat manzoor ki jati hey

pichley 6-7 months se musharraf ki nahin zardari/nawaz sharif ki policies chal rahi hain,,,, musharraf ke janey baad bhi 2 jagah khud-khush dahamkey ho chukey hain (DI Khan and Wah) kya iss hakoomat ne koi policy change ki???? kya inhoon ne judges ko bahal kya ???? kya kissi ne mulk ki bahteri ke koi bhi qadam uthaya ??? nahin,,,,, sab apney mufadaat ke mutabiq kaam ker rahey hain,,,, issi liye kah raha hoon ke musharraf ke rahney ya janey se koi faraq nahin para,,,, kion ke abb uski nahin Zardari/Nawaz ki policies chal rahi hain,,,,
MJB
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Aug 22 2008, 01:38 PM) [snapback]3027209[/snapback]
meray bhai us "aunty shamim" par koi torture nhi howa tha... yeh to baat us nay khud maani hai.. aur as for that chinese "massage parlour" woh bhi shsyad aap mujh say behtar jantay hoon gey... aap kindly yeh dono baatain prove kar do keh aik torture kiya gaya tha aur doosra us jagah aisa kuch nahi hota tha.... kindly kisi neutral website say batana.. ya kisi bhi newspaper ki!! m waiting

haan islam main zabardasti nahi magar rules aur law bhi kisi cheez ka naam hota hai... jo jurm karta hai usay saza milni chahiyay... hadees to aap nay bhi sun rakhi hogi keh burai ko haath say roko.. nahi rok saktay to zuban say.. phir bhi nahi rok saktay to dil main bura jaan lo aur yeh emaan ki akhri stage hai!!!

Dear Soldier

mujhey sirif 1 baat ka jawab de do

Laal Masjid ke samney Abbpara chowk se le ke Melody tak,,,, darjanoon ke hisab se paishawar khawateen foothpath aur taxioon main pichley kai salooon se aur abb melody food park main pai jati hain,,, unkey barey main inhoon ne kabhi kuch kion nahin kiya,,,,,,,,, Pindi/Islamabd ki 70% taxi waley iss dhandey main mulawais hain,,, aur aksar unhoon ne ander hi bithai hoti hey,,, otherwise app demand ker saktey ho,,,,,,, unkey khilaf inhon ne kya kiya,,,,,,,,,, Islamabd ke guest houses hain hi badnam,,,, kissi bhi guest house ke barey main nahin kaha ja sakta,,,,, ke wo saaf suthra kaam kerta ho ga,,,,,,,,, unkey barey main aaj tak Laal Masjid se awaz kion buland nahin hui,,,,,, unn main kitnoon ko aghwa kya,,, aur kitnoon ko sudhara
Forever Green
Mujheee us waqt Bahot Ghussa aata hay Jab Topic Starter ek Sensitive topic Start kar ke Ghayab Ho Jate Hain ngry.gif
ManPaki
QUOTE(MJB @ Aug 22 2008, 06:54 PM) [snapback]3027268[/snapback]
Dear Soldier

mujhey sirif 1 baat ka jawab de do

Laal Masjid ke samney Abbpara chowk se le ke Melody tak,,,, darjanoon ke hisab se paishawar khawateen foothpath aur taxioon main pichley kai salooon se aur abb melody food park main pai jati hain,,, unkey barey main inhoon ne kabhi kuch kion nahin kiya,,,,,,,,, Pindi/Islamabd ki 70% taxi waley iss dhandey main mulawais hain,,, aur aksar unhoon ne ander hi bithai hoti hey,,, otherwise app demand ker saktey ho,,,,,,, unkey khilaf inhon ne kya kiya,,,,,,,,,, Islamabd ke guest houses hain hi badnam,,,, kissi bhi guest house ke barey main nahin kaha ja sakta,,,,, ke wo saaf suthra kaam kerta ho ga,,,,,,,,, unkey barey main aaj tak Laal Masjid se awaz kion buland nahin hui,,,,,, unn main kitnoon ko aghwa kya,,, aur kitnoon ko sudhara

sorry MJB bhai ap ki conversation main bila-ijazat daakhil horaha hun... magar sirf aik baat batayey k LAL MASJID walay jo bhi karrhay thay ghalt ya sahi yey tu aik alag masla hai... magar kya un k is rawayey k jawab main aisa Operation karna jayez tha kiya k jis sy sirf aur sirf western media aur westernised log hi khush hun... kya Hamari about 80% Pakistani community ka koi haq nahi un ki koi rayey nahi k is maslay sy kaisay nimtaa jayey... is qadar afsoos naak vaqayeh (LAL MASJID Operation) k humain anay wali nasal ko bhi bataty hoyey sharm mehsuus hogee k hum bhi in sab hadsaat k chashm'deed gawah thay aur hum kuch na karsakay aur hamari kisi nay na sunnii... afsoos sad afsoos...

Khuda k liyey agar logoon ko Pervez Musharraf sy koi hamdardi hai tu yaqeenan us k dur main kuch achay kaam bhi hoyey hain tu un ki tareef main qaseeday bayaan karain na k log sirf LAL MASJID jaisay issues ko hi SAHI saabit karnay lag jayain... Bhai ap ki observation Pindi/Islamabad k baray main bilkul thek hai specially about those taxi drivers... laikin agar hum in sab afsoosnaak halaat sy nimatna chahtay hain tu yaqeenan hamain shiddat pasandi sy hi kaam lena paray ga... kyunki agar Musharraf ka action LAL MASJID k baray main justify kiya ja sakta hai tu being muslim shiddat passand operation bhi yaqeenan justify kiya jasakta hai...

@TOPIC
sab dostuun k comments parhay acha laga sab k views parh kar... kisi bhi dost k comments buray nahi lagay kyunki yey sab Pakistanyuun ki awaaz hai jahan aik ko pasand kiya jata hai wahin dosri jaanib usay na'pasand bhi kiya jata hai... so good views by all friends...
VOTE manay is liyey koi nahi kiya kyunki sawal yey nahi hona chayey k Musharraf ko Pakistan ka president rehna chayey tha ya nahi... infact sawaal yey hona chayey k Musharraf ko itny lambay arsay k liyey President rehna chayey tha ya nahi...

MJB
QUOTE(ManPaki @ Aug 22 2008, 05:43 PM) [snapback]3027301[/snapback]
sorry MJB bhai ap ki conversation main bila-ijazat daakhil horaha hun... magar sirf aik baat batayey k LAL MASJID walay jo bhi karrhay thay ghalt ya sahi yey tu aik alag masla hai... magar kya un k is rawayey k jawab main aisa Operation karna jayez tha kiya k jis sy sirf aur sirf western media aur westernised log hi khush hun... kya Hamari about 80% Pakistani community ka koi haq nahi un ki koi rayey nahi k is maslay sy kaisay nimtaa jayey... is qadar afsoos naak vaqayeh (LAL MASJID Operation) k humain anay wali nasal ko bhi bataty hoyey sharm mehsuus hogee k hum bhi in sab hadsaat k chashm'deed gawah thay aur hum kuch na karsakay aur hamari kisi nay na sunnii... afsoos sad afsoos...

Khuda k liyey agar logoon ko Pervez Musharraf sy koi hamdardi hai tu yaqeenan us k dur main kuch achay kaam bhi hoyey hain tu un ki tareef main qaseeday bayaan karain na k log sirf LAL MASJID jaisay issues ko hi SAHI saabit karnay lag jayain... Bhai ap ki observation Pindi/Islamabad k baray main bilkul thek hai specially about those taxi drivers... laikin agar hum in sab afsoosnaak halaat sy nimatna chahtay hain tu yaqeenan hamain shiddat pasandi sy hi kaam lena paray ga... kyunki agar Musharraf ka action LAL MASJID k baray main justify kiya ja sakta hai tu being muslim shiddat passand operation bhi yaqeenan justify kiya jasakta hai...

Dear,,, yeah open forum ki open discussion hey,,, jahan har koi apney views de sakta hey

doosri baat main ne iss operation ki himayat kahan ki hey ???

teesri baat main ne soldier bhai ki 1 baat pe jawab manga hey,,,, jis main wo Laal Masjid waloon ko defend ker rahey hain,,, unkey qanoon apney hath main lainey ka,,, aur aghwa ko jaiz qarar dainey ka,,,,,,, ghalat kaam tu ghalat hi hota hey,,, chahey jis bhi nyat se koi bhi karey,,,,, aur main unki sirif unki niyat ki taraf tawajh dilani chahi thi,,,,,, ke jis ko issue bana ke unhoon ne aghwa kiya,,,,, wo kaam tu Laal Masjid ke atraaf main arsa-e-daraz se hota aa raha hey,,,,, tab unhoon ne kuch kion nahin kya,,,, aur unn se start kion nahin kiya
ghalat kaam ko ghalat tareeqey se khatam kerney ki koi himayat nahin kerta,,, agar aisa hey tu sab se corrupt tareen police ko farigh ker ke aman-o-amaan awam ko khud qaim kerney dain,,,, phir jis tarah karachi main dakoo jalaye gye they,,, tu har 20 main se koi 1-2 mujrim tu apney injaam tak pohanch jain gey
ManPaki
QUOTE(MJB @ Aug 22 2008, 08:59 PM) [snapback]3027308[/snapback]
Dear,,, yeah open forum ki open discussion hey,,, jahan har koi apney views de sakta hey

doosri baat main ne iss operation ki himayat kahan ki hey ???

teesri baat main ne soldier bhai ki 1 baat pe jawab manga hey,,,, jis main wo Laal Masjid waloon ko defend ker rahey hain,,, unkey qanoon apney hath main lainey ka,,, aur aghwa ko jaiz qarar dainey ka,,,,,,, ghalat kaam tu ghalat hi hota hey,,, chahey jis bhi nyat se koi bhi karey,,,,, aur main unki sirif unki niyat ki taraf tawajh dilani chahi thi,,,,,, ke jis ko issue bana ke unhoon ne aghwa kiya,,,,, wo kaam tu Laal Masjid ke atraaf main arsa-e-daraz se hota aa raha hey,,,,, tab unhoon ne kuch kion nahin kya,,,, aur unn se start kion nahin kiya
ghalat kaam ko ghalat tareeqey se khatam kerney ki koi himayat nahin kerta,,, agar aisa hey tu sab se corrupt tareen police ko farigh ker ke aman-o-amaan awam ko khud qaim kerney dain,,,, phir jis tarah
karachi main dakoo jalaye gye they,,, tu har 20 main se koi 1-2 mujrim tu apney injaam tak pohanch jain gey

bhai ap ny is operation ki hamayet nahi ki hogi yaqeenan... magar ma jis shiddat pasandi ki baat karraha hun woh yaqeean woh jalayey gayey daako wali shiddat pasandi nahi hai... manay bhi un awaamil k baray main sakht andaaz apananay ki baat karna chahii hai jin ka apny zikr kiya tha PINDI/Islamabad k hawalay sy... yaqeenan aisi tamam harkatuun per sab ka dil dukhtaa hai k kya hum aik islami society ka hissa hain yaa k western society k... Khuda ka khauf tu khatam hogaya hai tu phir aisay logoon ko Khuda k banduun ka hi khauf dilaya jayey taa'ky society ko jis tarah bhi ho sudharaa jayey... woh sakhtii ghalt tareeqay sy bilkul nahi honi chayey balkay Ryaasat ki taraf sy aisay iqdaam honay chayey so that awaam is baat sy bhi mutmayen rahay k chalo Rayaasat k Qawaaneen main kahin tu ghalt kaam ko roknay k baray main kuch amal horaha hai...

CODE
aur main unki sirif unki niyat ki taraf tawajh dilani chahi thi,,,,,, ke jis ko issue bana ke unhoon ne aghwa kiya,,,,, wo kaam tu Laal Masjid ke atraaf main arsa-e-daraz se hota aa raha hey,,,,,

mujay aik sawaal karna hai... yaqeenan apky jawab sy kuch seekhnay ko milay ga mujay... sawal yey hai k Koi shakhs HAJJ/UMRAH karnay chala jayey ya ZAKAAT adaa karna chahay tu kiya usay rouk dena chayey k bhai jao pehlay namaazain parhnii shuru karoo phir tum HAJJ/UMRA ya ZAKAAT k liyey eligible hogay...???

jahan main aik barii burayee ko rokna chahuun tu kiya mujay rok diya jana chayey k bhai pehlay koi aur acha kaam kar k dikhaoo phir is is buraayee ko roknay anaa???
MJB
QUOTE(ManPaki @ Aug 22 2008, 06:48 PM) [snapback]3027324[/snapback]
mujay aik sawaal karna hai... yaqeenan apky jawab sy kuch seekhnay ko milay ga mujay... sawal yey hai k Koi shakhs HAJJ/UMRAH karnay chala jayey ya ZAKAAT adaa karna chahay tu kiya usay rouk dena chayey k bhai jao pehlay namaazain parhnii shuru karoo phir tum HAJJ/UMRA ya ZAKAAT k liyey eligible hogay...???

jahan main aik barii burayee ko rokna chahuun tu kiya mujay rok diya jana chayey k bhai pehlay koi aur acha kaam kar k dikhaoo phir is is buraayee ko roknay anaa???

ji bhai,,, shaid main ne bohat direct tareeqey se byan ker diya tha,,,,, jin buriooon ka main ne zikar kya tha,,, jo Laal masjid ke atraaf main thin,,,,, wo ziada tar individual basis pe hain,,,, aur unkey liye danda nahin islah ki zaroorat thi,,,, jamia hafsa main hazaroon bachiaan zair-e-taleem thin,,,,, kia inhoon ne kabhi inn logon ki islah kerney ki koshish ki,,,, apney jamia main inko dakhla diya,,,,, islah hamaisha ghar se,,, aur qareeb se start ki jati hey,,, aur jitney chotey level se start ki jaye,,, utni hi effective hoti hey,,,, lekin agar app pahley din hi danda le ke nikal parain,,,,, tu koi apki baat nahin suney,,,
aur baat wahan pe hi hey,,, ghalat kam ko aap theek tarah se roktey hain,,,, ya ghalat tareeqey se,,,, ghalat kaam ko ghalat tareeqey se rokna yaqeenan ghalat kaam hey,,,, chahye wo aghwa ker ke ho,,, tor phor ker ke ho,,, police ki mawaraye adalat kiling ho,,, ya khi ke dakoon ka masla ho

in short baat tareeqa-e-kaar ki hey,,,agar apka ghalat tareeqey se koi bhi kaam ker rahey hoon,,, tu uski ijaat nahin honi chahiye
ManPaki
QUOTE(MJB @ Aug 22 2008, 10:10 PM) [snapback]3027335[/snapback]
islah hamaisha ghar se,,, aur qareeb se start ki jati hey,,, aur jitney chotey level se start ki jaye,,, utni hi effective hoti hey,,,, lekin agar app pahley din hi danda le ke nikal parain,,,,, tu koi apki baat nahin suney,,,

in short baat tareeqa-e-kaar ki hey,,,agar apka ghalat tareeqey se koi bhi kaam ker rahey hoon,,, tu uski ijaat nahin honi chahiye

Exactly bhai ap ny bilkul thek kaha hai k Islah hamesha ghar se aur qareeb sy hi shuru hoti hai...
farq sirf tareeqa-e-kaar ka hi hota hai... yahiin per tu Rayasaat ka Qanoon amal main ana chayey k kahin chotii buraii ko roktay roktay Barii burayiyaan mua'shray ka Na'soor tu nahi ban rahiin... aur jab bhi aisi situation atii hai tu koi bhi institute ya individual kuch nahi karsakta other than RYAASAT aur usky waz'ah karda Qawaneen... individuals ko guide karna bhi bhi tu Ryasat ki hi zimmadaari hoti hai na...

aik baar topic ki taraf atay hoyey sirf yahi kahna chahuun ga k... LAL MASJID waluun ny Jo tareeqaa ikhtyaar kya woh bilkul na'munasib tha magar Musharraf ny jo kye us ki tu justification shayed kisi k paas na ho...

MJB bhai ap k tamam replies parh kar bht khushi hoi...

haan aik baat zaruur hai k after 9/11 Pakistan ko jin halaat sy guzarna para us waqt bad'qismati sy aik ARMY Administartor k haath main mulk ki bhaag door thee... aur usii ko sahi ya ghalt faislay karna paray... who knows k ARMY ki bajayey CIVIL administrator hota tu shayed woh bhi US pressure main isii kissam k faisalay kartaa... so acha hai ya buraa ab in sab ki zimmaa'daari ultimately Musharraf per hi dalii jaati rahay gee...

Andaaz-e-bayaan go k mera shokh nahi hai
Shayed k teray dil main utar jayey meri baat

Khush Rahayey...
tension_4u
QUOTE(classic @ Aug 22 2008, 03:34 AM) [snapback]3026849[/snapback]
copy cat thumbsdown_anim.gif

main ny kis ki copy ki han bolain angry.gif
VrSoLdIeRs
[quote name='Perplexed Soul' date='Aug 22 2008, 04:57 PM' post='3027215']

kashmir pakistan ka hissa tha Afghanistan bhi ager pakistan ka hissa hota to maan lia jata.

kaun sa kashmir pakistan ka hissa hai bhai??? aap kay uncle mush U turn lay chukay hain is issue par!!!

yeh baat sahi hai bilkul tumhari ke koi samna karne wala nahin, jhukne pe aaye to jhukte chalay gaye.

chalo aik baat to maani na frndz.gif

nahin suboot to mere paas bhi nahin. yeh jo news pe araha tha wahi bataya.
ager tashadud bhi nahin kia to bhi aghwa karlena sahi hai? han per yeh kahan pe hai ke kisi mulk main rehte huye uske rules ko torte huye
aesa kuch kia jaye?

yaar MJB ko reply diya hai us main tumhara answer bhi hai kindly wohi parh lena smile.gif

nahin woh rocket operation ke beech main hi fire huya tha, aur itna pata hai ke koi officer hi shaheed hua tha
operation start honay se pehle kitni baar koshish ki gai ke unse aslaha dalwa dia jaye.
nahin dalay.
karachi aur yahan jo karachi ki baat ki tumne, to yeh aslaha yahan ki pichle siasat-danon ke
daur main aaya. operation hua tha yaar yahan bhi aur kai log maray gaye. yeh baat main achi
tarha janta hon kionke jis area main main rehta tha wahan bhi hua tha operation
helicopter tak use huye thay us main.

yar kidnly link day do mujhay to sirf aik lt col ka link hi mil raha hai jo main operation kay beech mara tha...

to meray bhai karachi main lal masjid say 10000 time zayda aslah hai.. yahan operation kyun nahi hota???

mere ghar ka koi fard aesi jagah pe bheja hi nahin jayega jahan taleem dene ke saath
saath yeh sab bhi hota ho. iska yahi jawab hai

lal masjid operation shuru honay say pehlay kisi ko pata tha wahan "aisa" kuch hota hai??? infact us say pehlay to aik bhi gun ka pata nahi tha... to just in case keh tumhara koi sibiling kisi aisay madrassay main jata hai ya 12 may ko kaheen phans jata phir bhi yehi khayalat hotay??? plus talibaat ka wohi kehna hai keh unki apni marzi say ruki theen woh... shahid masood ka column diya hai first page par parh lena...

waisay bhi aik baat batao.. agar rashid ghazi ko chor daitay keh apa ja saktay ho... uskay saathiyon ko bhi to kitni sari masoom bachiyoon ki jaan bach jati... kiya un sub bachiyoon ki jaanain "govt ki rit" say zayda important theen???

support hi na karain ager aesa karain to.
kionke jesi qaum hoti haina us pe wese hi hukmaran mussallat kardiye jatay hain, yeh bat is liye ki thi maine.smile.gif

bilkul to jub "hosh" aye to aisay hukmaraano ko aur support karna chahiyay ya nikal bahar karna chahiyay???
VrSoLdIeRs
QUOTE(MJB @ Aug 22 2008, 06:54 PM) [snapback]3027268[/snapback]
Dear Soldier

mujhey sirif 1 baat ka jawab de do

Laal Masjid ke samney Abbpara chowk se le ke Melody tak,,,, darjanoon ke hisab se paishawar khawateen foothpath aur taxioon main pichley kai salooon se aur abb melody food park main pai jati hain,,, unkey barey main inhoon ne kabhi kuch kion nahin kiya,,,,,,,,, Pindi/Islamabd ki 70% taxi waley iss dhandey main mulawais hain,,, aur aksar unhoon ne ander hi bithai hoti hey,,, otherwise app demand ker saktey ho,,,,,,, unkey khilaf inhon ne kya kiya,,,,,,,,,, Islamabd ke guest houses hain hi badnam,,,, kissi bhi guest house ke barey main nahin kaha ja sakta,,,,, ke wo saaf suthra kaam kerta ho ga,,,,,,,,, unkey barey main aaj tak Laal Masjid se awaz kion buland nahin hui,,,,,, unn main kitnoon ko aghwa kya,,, aur kitnoon ko sudhara

yeh kaam kis ka rokna farz hai.. govt. ka na??? jub woh hi nahi rokay gi to isi tarah kay reactions hoon gey!!!

abhi to unhoon nay 2 qadam hi uthaye thay keh meray bhai aap nay unko mitti talay dafan kar diya... koi aik step to liya tha na... moqa daitay to shayad woh log jo areas aap bata rehay hain wahan bhi kuch kartay... magar aap ki govt. nay ab tak kiya kya???

as for yeh "state" ka rule hai haath main nahi lena chahiyay... to zara broader view main dekhain... kisi bhi country main us say azaadi maangna ya alag honay ki khuwaish karna "mutiny" samjhi jati hai... and if i am not wrong to uski saza maut hai... phir to iskay dekhtay howay pakistan ki creation hi ghalat hai.. britain ka law to aap ko authority hi nahi deta keh aap azadi maango... humain baith kar within the law aisa karna chahiyay tha keh humain rights milain alag country mangnay ka haq hi nahi tha humaray pass... phir to kashmiri bhi ghalat hi hain... india ka law bhi azadi mangnay ki ijazat nahi deta... hum kyun ghalat logon ko support kar rehay hain??

Perplexed Soul
[quote name='VrSoLdIeRs' date='Aug 23 2008, 10:20 PM' post='3028205']
[quote name='Perplexed Soul' date='Aug 22 2008, 04:57 PM' post='3027215']

kaun sa kashmir pakistan ka hissa hai bhai??? aap kay uncle mush U turn lay chukay hain is issue par!!!

musharaf abhi aaya tha 8 saal se. main us maghbooza kashmir ki baat kar raha hon
bhai.

yeh baat sahi hai bilkul tumhari ke koi samna karne wala nahin, jhukne pe aaye to jhukte chalay gaye.

chalo aik baat to maani na frndz.gif

yaar dekho main kisi bhi maslay ko ana ka masla nahin samajhta
jo baat mannay wali hoti hai woh samajh ke maan bhi leta hon.

yaar MJB ko reply diya hai us main tumhara answer bhi hai kindly wohi parh lena smile.gif

ok.

yar kidnly link day do mujhay to sirf aik lt col ka link hi mil raha hai jo main operation kay beech mara tha...

to meray bhai karachi main lal masjid say 10000 time zayda aslah hai.. yahan operation kyun nahi hota???

han to wahi hoga,

yaar aik baat to yeh bhi dehaan main rakho na ke karachi aik sheher hai
Masjid nahin hai.

lal masjid operation shuru honay say pehlay kisi ko pata tha wahan "aisa" kuch hota hai??? infact us say pehlay to aik bhi gun ka pata nahi tha... to just in case keh tumhara koi sibiling kisi aisay madrassay main jata hai ya 12 may ko kaheen phans jata phir bhi yehi khayalat hotay??? plus talibaat ka wohi kehna hai keh unki apni marzi say ruki theen woh... shahid masood ka column diya hai first page par parh lena...

waisay bhi aik baat batao.. agar rashid ghazi ko chor daitay keh apa ja saktay ho... uskay saathiyon ko bhi to kitni sari masoom bachiyoon ki jaan bach jati... kiya un sub bachiyoon ki jaanain "govt ki rit" say zayda important theen???

han to tum mante hona ke wahan jo hota tha sahi nahin hota tha?

sab pata hota hai yaar, brain wash kardia jata hai, khud kush hamle koi
kis tarha karne ko tayar hojata hai?
mere ghar ke kisi fard ka wahan hona is liye mumkin hi na tha.
kia un sab ki janon ka unko kheal nahin tha jo yeh kaam kar rahe thay
wahan? jo aurton bachon ka sahara le rahe thay?

bilkul to jub "hosh" aye to aisay hukmaraano ko aur support karna chahiyay ya nikal bahar karna chahiyay???

nahin aesay hukmaranon ko support karna chahiye jo ziada buron
ko na aaanay dete hon.

VrSoLdIeRs
musharaf abhi aaya tha 8 saal se. main us maghbooza kashmir ki baat kar raha hon
bhai.

main bhi usi ki baat kar raha hoon keh mush chacha us par u-turn lay chukay hain... bhol gaye keh sub jihadi tanzeemon par ban laga howa hai??

yaar dekho main kisi bhi maslay ko ana ka masla nahin samajhta
jo baat mannay wali hoti hai woh samajh ke maan bhi leta hon.

frndz.gif

han to wahi hoga,

yaar aik baat to yeh bhi dehaan main rakho na ke karachi aik sheher hai
Masjid nahin hai.

iska matlab hai keh masjid main agar weapons hoon to operation allowed hai.. eent say eent baja do... mortars kay shells fire karo... quran ki behurmati karo.... magar agar kisi city main ho woh bhi aisa city jo aap ki govt. ko support kar raha hai to unhain kuch na kaho... chahay woh jo bhi kartay rehain smile.gif

han to tum mante hona ke wahan jo hota tha sahi nahin hota tha?

sab pata hota hai yaar, brain wash kardia jata hai, khud kush hamle koi
kis tarha karne ko tayar hojata hai?
mere ghar ke kisi fard ka wahan hona is liye mumkin hi na tha.
kia un sab ki janon ka unko kheal nahin tha jo yeh kaam kar rahe thay
wahan? jo aurton bachon ka sahara le rahe thay?

aik choti ghalati ko sudharnay kay liye aik bari ghalati karna kahan ki akalmandi thi bhai??? plus agar army ki shelling say aap kay kisi sibiling ko ALlah na karay nuksaan howa hota tub bhi yehi kehtay aap??? yaar meray question ka answer to do... baat na ghumao nomi :D hone na hona... kitnay hi parents thay jinki bachiyaan theen wahan aur un larkiyoon nay khud wapis anay say inkaar kar diya... khud ko us situation par rakh kar dekho keh operation theek tha ya nahi... Allah na karay meray bhai ko koi brain wash kar day... usi tarah to main yeh kahoon ga keh govt. ko haq hai keh usay mar day??? insaani jaan ki koi qeemat hi nahi??

nahin aesay hukmaranon ko support karna chahiye jo ziada buron
ko na aaanay dete hon.

woh zayda buray thay... maan liya... zayda corrupt thay... maan liya!!! magar apnay bhaiyoon ko dollars kay badlay baicha to nahi na?? koi self respect to thi na?? thori si haya... thori si sharam to thi na??

meray bhai puranay zamanay say rule hai keh ambassador kisi bhi mulk ka ho chahy woh mulk lakh dushman hi kyun na ho us ambassador ko aap kuch nahi keh saktay.... maximum yeh hota hai keh "napasandeeda" keh kar uskay country wapis bhaij dain... magar taliban ka jo abassador tha mullah zaif uskay saath kya kiya pata hai??? pehlay to usko kidnap kar kay americans kay hawalay kar diya.. woh khud kehta hai keh humain container main daal kar lay jaya jata... kehta hai keh hawa kay anay ka raasta nahi tha is liye bahar say firing kar kay hole kiye gaye aur kitnay hi log container main hi mar gaye firing ki wajah say... kehta hai keh paani nahi tha hum apna paseena chaat chaat kar pyaas bujhatay rehay... phir gautnamo bay main jo hota hai woh to aap bhi jaantay ho...

waisay apnay yeh mush uncle say kehna keh kindly mujhay "gairaat" ka english word batain... dekh lena... nahi ata hoga cuz english main gairaat jaisa koi word hi nahi smile.gif

zealot
pta nhi theak howa ya glat
Neelam pari
Agreed wid Nomi and MJB jee
yahan pe sabkey comments dekh kar apnay country pe afsos key siwaa
kuch nahi hota kyunke aaj eska jo haal hay wo ham sabki wajaah se hi hay,
qaum ka matlab bhi yaha kisi ko pata hai kya? qaum wo hoti hay jo unite hoti hai
aur jinki soncheein chahe jesi bhi hon par wo hamesha achai ko support karti hay
par yahan to Hulchul.net key members hi unite nazar nahy aatey to
pakistan ke logoon ka unite hona to duuur ki si baat hay.

aati hay baat musharaf ki to usmei kitny buraiyan thi ye sab ko dikhai degayaa
par osney kitne achey kaam kiye ye kisi ne nahy dekha .. hamari qaum key log
sirf musharaf se hi nahi is se pehley bhi kai logo se nah khush reh chukey hein
kyunke ham logo ki aadat hy hai ke har ek ko be-izzat karkey nikaal detey hein
is sey pehle General Ayub? Zulfiqar Ali Bhuttoo key saath b yehi hochuka hay
Bhuttoo woh insaan hay jisne Pakistan key liye apni jaan tak nichawar kardali
par us shakhs ki kisi ne qadar nah jaani to Musharaf to phir b itna azeem nahy

rahi Laal Masjid key issue pe baat to mujhey samaj nahy lagta ke
kya ham mein itni education ki kami hai? ya hamne apney mazham Islam
ko itnaaa detail mein nahy parha jo is tarha ki intehaa pasandi ki mukhalfat
key bajaye jo hua uspe afsos kiya jaraha hay. musharaf ne jo kya usko
is sab pe majboor karney waley bhi islamabad key citizens hi they

woh kehtey hein naa jispey guzrey wohi jaanta hay
wahan unki dhandli roz ba roz barhti jarahi thi, pakistan ko
destroy karney ki ye ek sab se bari saazish thi America, India
& Other Mushrik Countries ki janibb sey jinho ne aise doghley maulviyon
ko khareeda huwa tha jo masoom aurton aur bachon ka sahara leke
pakistan ko blackmail karna chahtey they,
Pakistan mein Ilmi Madaris ki izzat ko hi barbaad kar dala inho ney

haatho meiy dandey leke march karna, aurton key huqooq ko pamaaal karna
abaayaa orhney wali aurton ko badnaam karna yehi kaaam tha kya unka?
Islam hargiz sakhti aur hatdharmi ka hukuum nahy detaaa hay to phhir kaise
koi bhi banda khara hoke kisi doosrey shakhs pe ilzaam lagaasakta hay ke
tum to musalmaan nahy ho wesaa karo jesa main kehtaa hoon warna
ham tumko sazaa deingey, Pakistan mein hotey huwe bhi apni hi ek
adalat laganey ka kehrahey theh Laal masjid waaley, kehtey they

ke aurtein agar drive karti hui pai gai ya kahi job karti huwi
to unko sazaa di jayegi ,CDZ & Videos ki bohath si shops destroy ki gai
sirf Chinese nahy kai aurton ko zabardast pakara gaya aur kaha gaya
key tum log ghalat kaam karahey ho. to kya ye kahi se bhi sahi tha??

jisney education haasil ki hui hai aur jo jahil nahy hai aur pakistan ka
ba-shaooor citizen hay wo is baat pe qateyii agree nahy karegaa

jin logo ka is sab key dauraan nukhsan huwa ye wohi jantey hein
rahi baat hamla karneki to jesa key Nomi jee ney kahaa key
woh log bhi kuch kam naa they bhala ek masjid mei itne
jadeed hathyaaron ka hona possible hay? rocket louncher,
bombs, guns ye sab kaha sey aai? ofcourse america ney
pakistan mein bad amni ko farogh deney ke liye ye un shiddat pasand
laal masjid walon key hawale kareen . acha rahi baat masoomo ki jaan lene ki

to kisne kaha tha key aurton aur bachon ko use kya jaaye is sabkey liye?
tab un mardon ko zara sharam na aai , unko bachane ki khatir hi Govt se agree karletey
lekin nahy unka makhsad hi blackmailing thaaa jo unhoon ney kya aurton aur bachon
ke aisey brain wash kiye key unho ne ankhein band kar kar key unki baaton pe
bharosa kya aur socha ke chalo ye SHAHADAT hogai hamari ...UFFF MERE ALLAAH
afsos hotaa hay aise mulk k logoon par jisko zara sharam nahy aati
Islam ka duniya bhar mein naam kharaab kartey huwey..

phir kaha gayaa wo shahadat ka jazba jab ye sab shuru karney
waley Molvi ABDUL AZEEZ ? Rasheed key bhai aurat ka burqaaa pehen
kar bhaag nikalna chahtey they key pakre gaye ..
dosro ko bhaar mein daal masoomon ko chor kar
apni jaan bachake bhaag rahe they darpok insan'

kher jisne jo kya uska insaf Allah pe chorti hoon
aur bas apni so called country pakistan k liye
sirf ek duaaa hay ALLAH HAMAREY MULK KEY
LOGO KO AQAL ATAA FARMAYE AMEEN SUM AAMEEN duas.gif

rahi baat musharaf ki to usko to hataa hi dya gaya hay
aur ab 12 10 case wala daaku hamara president banne jarahaa hay
jisne bichari Benazir Shaheed apni biwi ko america se mil kar
qatal kya ZARDARI , hamari qaum ko aisaa hi president chahye tha
jisne achey educated logoon ki qadar nah ki aaah!
VrSoLdIeRs
QUOTE(Neelam pari @ Aug 24 2008, 06:12 AM) [snapback]3028427[/snapback]

aur mujhay yeh samjh nahi ata keh... agar aap un logon ki jagah hoteen jinkay family members main say koi american bombing/lal masjid operation/12th may/ya "missing persons" main involve hota... tub bhi aap log isi tarah agay barh kar kehtay keh us nay jo kiya sehi kiya??

musharraf nay kafi achay kaam kiye hain... no doubt... magar uskay achay kaam sirf thoray say time tak results dain gey aur jo "karnamay" kar kay gaye hain woh humain saalon tak bhugatnay parain gey!!!

pakistan ki currency/ food supplies ka haal to aap kay samnay hi hai... agay agay dekhiyay hota hai kiya

aur jahan tak ZA bhutto ki kahani hai... to behtar hai kabhi PPP kay typical propoganda kay siwa aur bhi kuch parh liya karain... no doubt unhoon nay kafi baray kaam kiye thay magar isis tarah kay kaam to zia nay bhi kiye ayub nay bhi kiye woh azeem kyun na howay??? air marshall (retd) asghar khan ki book hai "tareekh say kuch nahi seekha: siyasat aur afwaj-e-Pakistan" iak dafa prah lijiye ga!!!

inteha pasandi??? hadees quote ki thi main nay dobara kar deta hoon... burai ko dekho to haath say roko... haath say nahi rok saktay to zuban say roko... azuban say nahi rok saktay to dil main bura maan lo aur yeh emaan ka aakhri darja hai... agar aap ka law hi aisay logon ko nahi rok raha to in the end log isi tarah react karna shuru karain gey!!!

as for islamabad kay citizens ka pressure.. to bibi zara itna bataiyay ga keh pura pakistan pressure day raha tha keh uniform utarain us waqt to zara himmat nahi howi... sirf masoom bachon aur bachiyon kay liye hi aap kay commando sahib hain???

zara abhi aap dekhain america aur india kay plans kamyab nahi ho gaye??? balouchistan main aag lagi howi hai... fata jal raha hai... punjab main suicide attacks ho rehay hain... sindh alag hona chahta hai... karachi main jiska dil ata hai gun nikal kar aglay ko mar deta hai koi law n order nahi... mushrraf nay jo bhi steps liye unhi ka badla nahi hai yeh sub??? 9/11 say pehlay aisa kuch tha???

2ndly main yeh nahi keh raha keh lal masjid walay 100% right thay magar kiya aik choti ghaalti ko khatam karnay kay liye aik bari ghalati karni chahiyay??? to aap ka yeh kehna hai... aur zara bataiyay ga keh 12th may ko jo howa... phir lawyers ko jo jalaya gaya... us par koi step kyun nahi liya gaya???

as for bombs n guns to yeh abhi tak prove hi nahi ho saka.. shayad aik rocket fire howa ho... woh bhi abhi tak na mujhay koi link mila hai kisi newspaper ka na aap main say koi la kar day saka hai regarding that... as for bombs.. to yeh bhi sari duniya jaanti hai bibi keh aisa kuch nahi tha... aap kay police walay to chaltay banday ki jaib main say drugs nikal laitay hain... yeh to phir bhi operation kay baad ka tha... and as far as guns are conerened shayad aap nay meri post nahi parhi... wahan maximum 30 ak47 hoon gi... aur kuch 303 hoon gi... thats it... itna to aap karachi ki kisi political party kay "sector" main chali jain mil jata hai... yahan operation karnay ki himmat kyun nahi hai??

as for aurton aur bachon ko use karna... to chalain aap ki baat maan li keh lal masjid waloon nay zabardasti roka howa tha... magar aaj tak kisi hostage situation main aisa howa hai keh forces nay hostages ko hi mar dala ho???

as for abdul aziz ka bhaagna... no comments... aap nay darpook keh liya na... main agar unka supporter hota to yeh keh sakta hoon keh it wud hav been better cuz woh bach jatay to shayad jo achaye (unkay nazdeek) hai usay barha saktay... khair aap ki pakistan ki history main pehlay bhi atleast 3 log aisay burqa pehen kar gaye hain smile.gif aur meray nazdeek to darpook woh log hain jo aik taraf to popularity kay daway kartay hain magar unkay anay say 2 hours pehlay roads block... aur service roads bhi khaali kar di jati hain...

mujhay is baat par ghussa nahi keh ghazi ko mara gaya ya bugti ko... magar sirf aik banday aur apni zid kay badlay main jo hazaron.. laakhon logon ka khoon bahaya gaya.... uska hisab kaun day ga??

aur yeh jo aap baar baar educated log educated log keh rahi hain... aap say kis nay keh diya keh aik banda jis nay graduation kar rakhi ho woh akal main aik aisay banday say behtar hai jis nay kabhi school ka munh na dekha ho???
VrSoLdIeRs
jis tarah zardari ban raha hai na isi tarah nomi ko pakar kar usay bana daitay hain gig.gif
Perplexed Soul
[quote name='VrSoLdIeRs' date='Aug 24 2008, 12:09 AM' post='3028259']

main bhi usi ki baat kar raha hoon keh mush chacha us par u-turn lay chukay hain... bhol gaye keh sub jihadi tanzeemon par ban laga howa hai??

yeh cheez pata chal chuki hai ke yeh is pemanay pe jehaad karne se
kuch nahin hona.
faisla ho sakta hai to baat cheet se, jo ke bhartion ko aazma ke dekh lia gaya
ab azad karana jehadi tanzeemon ke haath main nahin.
yeh jang ke zariye hi ho sakta hai ager hua to.

frndz.gif

smile.gif

han to wahi hoga,

yaar aik baat to yeh bhi dehaan main rakho na ke karachi aik sheher hai
Masjid nahin hai.

iska matlab hai keh masjid main agar weapons hoon to operation allowed hai.. eent say eent baja do... mortars kay shells fire karo... quran ki behurmati karo.... magar agar kisi city main ho woh bhi aisa city jo aap ki govt. ko support kar raha hai to unhain kuch na kaho... chahay woh jo bhi kartay rehain smile.gif

yahan baat sirf weapons rakhne ki nahin hai bhai,
tum ghoom phir ke us hi baat pe ajate ho
in sab cheezon pe behas ho chuki.

sab pata hota hai yaar, brain wash kardia jata hai, khud kush hamle koi
kis tarha karne ko tayar hojata hai?
mere ghar ke kisi fard ka wahan hona is liye mumkin hi na tha.

kia un sab ki janon ka unko kheal nahin tha jo yeh kaam kar rahe thay
wahan? jo aurton bachon ka sahara le rahe thay?

aik choti ghalati ko sudharnay kay liye aik bari ghalati karna kahan ki akalmandi thi bhai??? plus agar army ki shelling say aap kay kisi sibiling ko ALlah na karay nuksaan howa hota tub bhi yehi kehtay aap??? yaar meray question ka answer to do... baat na ghumao nomi :D hone na hona... kitnay hi parents thay jinki bachiyaan theen wahan aur un larkiyoon nay khud wapis anay say inkaar kar diya... khud ko us situation par rakh kar dekho keh operation theek tha ya nahi... Allah na karay meray bhai ko koi brain wash kar day... usi tarah to main yeh kahoon ga keh govt. ko haq hai keh usay mar day??? insaani jaan ki koi qeemat hi nahi??

konsi choti ghalti yar?
bhai maine us baat ka jawab dedia hai red color se hilight karke
is baat ka jawab bhi main de chuka hon, ke mere ghar ke kisi fard ke
wahan honay ka sawal hi peda nahin hota. .

woh zayda buray thay... maan liya... zayda corrupt thay... maan liya!!! magar apnay bhaiyoon ko dollars kay badlay baicha to nahi na?? koi self respect to thi na?? thori si haya... thori si sharam to thi na??

meray bhai puranay zamanay say rule hai keh ambassador kisi bhi mulk ka ho chahy woh mulk lakh dushman hi kyun na ho us ambassador ko aap kuch nahi keh saktay.... maximum yeh hota hai keh "napasandeeda" keh kar uskay country wapis bhaij dain... magar taliban ka jo abassador tha mullah zaif uskay saath kya kiya pata hai??? pehlay to usko kidnap kar kay americans kay hawalay kar diya.. woh khud kehta hai keh humain container main daal kar lay jaya jata... kehta hai keh hawa kay anay ka raasta nahi tha is liye bahar say firing kar kay hole kiye gaye aur kitnay hi log container main hi mar gaye firing ki wajah say... kehta hai keh paani nahi tha hum apna paseena chaat chaat kar pyaas bujhatay rehay... phir gautnamo bay main jo hota hai woh to aap bhi jaantay ho...

waisay apnay yeh mush uncle say kehna keh kindly mujhay "gairaat" ka english word batain... dekh lena... nahi ata hoga cuz english main gairaat jaisa koi word hi nahi smile.gif

yaar yeh sab bekaar ki batain hain ke logon ko becha jata hai,
woh respect thi? doob ke mar jana chahiye un logon ko chullu bhar pani main.
2 2 bar loot chukay hain mulk ko kahin ka nahin chora tum kehte ho sharam thi.

kahan tha ambassador?
maine to aaj tak nahin suna kisi news main.

chalo yeh tumhare kheaalaat hain.
jesa samajh lo smile.gif .

VrSoLdIeRs
yeh cheez pata chal chuki hai ke yeh is pemanay pe jehaad karne se
kuch nahin hona.
faisla ho sakta hai to baat cheet se, jo ke bhartion ko aazma ke dekh lia gaya
ab azad karana jehadi tanzeemon ke haath main nahin.
yeh jang ke zariye hi ho sakta hai ager hua to.

alrite.. meray bhai 1980s say pehlay koi freedom fighters nahi thay... tub kiya kar liya aap nay?? chalain abhi bhi kub ki pabandi lag chuki hai... kuch kar sakay aap kay mush??? infact india nay border par fence laga diya hai... fence sirf usi border par lagaya jata hai jo international border ho... aap logon nay woh bhi karnay diya kuch faida howa???

meray bhai ab koi jang nahi honay wali.... magar aap nay tamaam jihadi tanzeemo ka gala bhi ghoont diya... magar humain kiya mila in return... bomb blasts??? karachi main 7 hotay hain... phir india main shayad ahmedabad main 6 hotay hain... kabul main pakistan embassy kay agay blast hota hai... kuch dino baad kabul main indian embassy kay agay blast ho jata hai... kuch faida howa india kay agay sir jhukanay ka???

aap kehtay hain na keh jang say solve hoga to meray bhai mujhay jihadi tanzeemo par pabandi ka logic samjha do!!! aik jang jis main aik army jo aap say size main bari ho us say jeetna easy hota hai.. ya aik army jis par guerrilla attacks ho rehay hoon us say???

yahan baat sirf weapons rakhne ki nahin hai bhai,
tum ghoom phir ke us hi baat pe ajate ho
in sab cheezon pe behas ho chuki.

meray bhai in sub baaton ka jawab nahi mila tabhi isi par ghoom phir raha hoon... buhat hi basic si baat poochi hai main nay... agar lal masjid par attack isi liye howa tha keh wahan weapons thay... to karachi main operation kyun nahi karwaya mush nay???

konsi choti ghalti yar?

yehi na keh aik br*thel chalany wali ko kidnap kar liya... kuch weapons rakh liye... iskay jurm main aap nay masoom bachiyoon ko bhoon dala??

bhai maine us baat ka jawab dedia hai red color se hilight karke
is baat ka jawab bhi main de chuka hon, ke mere ghar ke kisi fard ke
wahan honay ka sawal hi peda nahin hota. .

isi wajah say main nay "agar" ka word use kiya hai... aap to sawal say bach rehay ho... chalo thora sa modify kar deta hoon... tumhari sis jis school main jati hai... pata lagta hai keh jis us school main illegal weapons rakhay thay... tum apni sis ko call kartay ho woh apnay teachers ki mohabbat main anay sya inkaar kar daiti hai... phir tum kehtay keh wahan operation ho???

tumharay bhai ko aik raat aa kar agencies walay pakar kar lay jatay hain... tumhain nahi pata tumharay bhai ka koi kasoor hai ya nahi... kiya tum chaho gey keh usay gautnamo bay bhaij diya jaye??? ya yeh chaho gey keh aik pakistani court main case chalaya jaye????

yaar yeh sab bekaar ki batain hain ke logon ko becha jata hai,
woh respect thi? doob ke mar jana chahiye un logon ko chullu bhar pani main.
2 2 bar loot chukay hain mulk ko kahin ka nahin chora tum kehte ho sharam thi.

kahan tha ambassador?
maine to aaj tak nahin suna kisi news main.

chalo yeh tumhare kheaalaat hain.
jesa samajh lo smile.gif .

main kin ki baat kar raha hoon keh baichay gaye??? politicians ki nahi main aam pakistanio ki baat kar raha hoon jinko dollars kay badlay america ko diya gaya... koi aur yaad nahi to dr. aafia siddiqui to aaj kal news main bhi "in" hai... main us tarah kay cases ki baat kar raha hoon.... koi thori si bhi self respect thi mush main???

aik american mar jata hai to puri investigation hoti hai... rooz wana main bombing kar kay jatay hain american.... dum hilanay kay siwa kuch kiya mush nay???

mullah zaeef ki main nay to puri book parhi hai bhai yeh lo link

http://en.wikipedia.org/wiki/Abdul_Salam_Zaeef

"capture and detention" main dekh lena keh pakar kar denay walay pakistani hi thay!!!!
Perplexed Soul
[quote name='VrSoLdIeRs' date='Aug 24 2008, 06:07 PM' post='3028607']

alrite.. meray bhai 1980s say pehlay koi freedom fighters nahi thay... tub kiya kar liya aap nay?? chalain abhi bhi kub ki pabandi lag chuki hai... kuch kar sakay aap kay mush??? infact india nay border par fence laga diya hai... fence sirf usi border par lagaya jata hai jo international border ho... aap logon nay woh bhi karnay diya kuch faida howa???

wahi bat maine bhi ki. ke kuch faida hua jihadi tanzeemon ka?

meray bhai ab koi jang nahi honay wali.... magar aap nay tamaam jihadi tanzeemo ka gala bhi ghoont diya... magar humain kiya mila in return... bomb blasts??? karachi main 7 hotay hain... phir india main shayad ahmedabad main 6 hotay hain... kabul main pakistan embassy kay agay blast hota hai... kuch dino baad kabul main indian embassy kay agay blast ho jata hai... kuch faida howa india kay agay sir jhukanay ka???

to un bomb blasts ke peechay kon log hain? yani khulay aam ijazat
dedi jati ke jihaad karo aur yahan pe camps qaim karo aur ooper se jo
dunia ke haalaat chal rahe thay woh?

aap kehtay hain na keh jang say solve hoga to meray bhai mujhay jihadi tanzeemo par pabandi ka logic samjha do!!! aik jang jis main aik army jo aap say size main bari ho us say jeetna easy hota hai.. ya aik army jis par guerrilla attacks ho rehay hoon us say???

yahan baat sirf weapons rakhne ki nahin hai bhai,
tum ghoom phir ke us hi baat pe ajate ho
in sab cheezon pe behas ho chuki.

pressure tha pakistan pe charon taraf se kia tumhain nahin pata?
ab tum chahte ho ke pakistan dunia bhar se akar ke keh deta ke
aao aur jo chahe karlo, hum nahin peechay hongay?

yar rehne do. guerrilla jang hi larh rahe thay kab se kia mil gaya kashmir?

meray bhai in sub baaton ka jawab nahi mila tabhi isi par ghoom phir raha hoon... buhat hi basic si baat poochi hai main nay... agar lal masjid par attack isi liye howa tha keh wahan weapons thay... to karachi main operation kyun nahi karwaya mush nay???

jawab mil chuka hai, yeh kehdo ke AGREE nahin karte, bas baat wahan per khatam.

yehi na keh aik br*thel chalany wali ko kidnap kar liya... kuch weapons rakh liye... iskay jurm main aap nay masoom bachiyoon ko bhoon dala??

yahi baat pehle bhi ho chuki hai bohat, aur bhi bohat se cases hain jinka MJB ne
zikar kia, aur weapons pe bhi baat ho chuki hai.
Agree kia ya nahin? kehdi nahin kia bas khatam baat

isi wajah say main nay "agar" ka word use kiya hai... aap to sawal say bach rehay ho... chalo thora sa modify kar deta hoon... tumhari sis jis school main jati hai... pata lagta hai keh jis us school main illegal weapons rakhay thay... tum apni sis ko call kartay ho woh apnay teachers ki mohabbat main anay sya inkaar kar daiti hai... phir tum kehtay keh wahan operation ho???

tumharay bhai ko aik raat aa kar agencies walay pakar kar lay jatay hain... tumhain nahi pata tumharay bhai ka koi kasoor hai ya nahi... kiya tum chaho gey keh usay gautnamo bay bhaij diya jaye??? ya yeh chaho gey keh aik pakistani court main case chalaya jaye????

jo maine jawab dedia uske baad
ager magar ki baat hi nahin.

koi nahin lejata bila waja main kisi ko ghar