QUOTE(asim10 @ Sep 16 2008, 06:52 PM) [snapback]3053416[/snapback]
asa
moavia bahi main agar kowee alim hota too main kowee dawa bhee karta.\
magar mairee kisi bhee post say yeh baat dekh dain kay main nay kabhi alim honay ka dawa kiya hoo.
app kay diyai howa usooloon say main bilkuil na waqif hoon .
per bahi mujhay afsoos yeh howa kay app nay is hadith kay mutaliq ulema say pochnay ya is per tehqeeq karnay ke bajayai ,mujhay jhutlanay kay leyai yeh swal paish kar diyai
main in sawaloon main say aik ka jawab nahin janta.
magar is ka kiya matalb hay agar main her her usool hadith nahin janta too kiya is ka mujhay ekhtiyar bhee nahin.
app say yeh guzarish hay kay yeh bata dain
yeh usool kis kitab say leyai gayai hain.
takay main bhee kuch jaan sakoon kay yeh nakara aour marifa kiya hota hay.
bahi agar app jab usoolay hadith hee nahin janatay too phir ahdith paish hee kiuon kartay hain.
jab app ko pata hee nahin kay yeh hadith sahih hay ya ghalt to phir app kiuon usay paish kar kay apnay app ko ghunaha gaar kartay hain
bahi jab app ko hadith paish karnay ka haq hay to mujhay us per behs ka haq bhee hasil hay.
aour usolay hadith to her daour main izafa ya tardeed kay saath badlatay rahay hain.is leyai jo mutafiq aliah usool hain hum unhee per behs karain ghay.
kisi khas maktaba fikar kay banayai howay usool hadith nahin manay ja saktay .
W/S
Asim bhai mayra is post say hargiz ya maqsad nahi tha k main kisi ki dil aazari karoon (mujhay app ki post parh kar ya andaza howa hay jo galat bhi hoo sakta hay) Hazrat agar app ki Dil aazari howai hay to main hazar bar app say manfi chata hon is k liya. Bhai mayray baat ya hay k Har har ravee par app ko jirah aaur tadeel dono mil jain gi to aasay to koai Hadith sahi nahi hoo sakti. App jis kisi bhi Hadith ko sahi ya zaeef khaoo gaay to woo yaqeenan kisi na kisi ki Taqleed main kahoo gaay kam az kam app ko is baat pat Tauleed ko to manna chahiya
Bhai mayray bhot saray ravee aasay hain k kisi ki Fazail par Ahadits mani jati hain aur dousi cheezoon main us ravee ko Zaeef ki mouhar laga di jati hay isi tarahn kuch raveeoon ka mamla is say ulat hota hay. bhai humaray haa mayar kuch aasa hay k agar aik Hadith kisi maslay par mili aur Ummat ka amli tawatur us par nahi hay to hum us par amal nahi kartay asal cheez hay tawatur, Puri ummat k behtreen log agar kisi aik maslay par Mutafiq hoo jain to us ka darja Masoom ka hoo jata hay ya baat to app k Ulama bhi mantay hain phir chun chun kar Ummat k amli Tawatur say alag raay qaim karnay ka kia meanings?
Hazrat aik dafa phir agar app ki dil aazari howai hay to mafee chata hon. wasay agar thora sa zehaan lagain to Marfa aur Nakra ko samajhna itna mushkil nahi hay school main ism-e-mafra aur ism-e-nakra ki tareef to parhi hoo gi sab nay hi
Abb shayad Eid k bad hi koai post kar sakoon ajj 17 roozay ki shab hay aur kam bhot hain sirf 2 din hain mayray pas kapray wagara banwanay k liya phir Inshallah Eteekaf main bethna hay Tamam sathi Duwa farma dain ALLAH pak mayra Eteekaf main bethna kabool farma lain aur akhrat ki holnakioon say bachnay ka zarya banay.
Jazak Allah