QUOTE(~*Barsaat*~ @ Sep 10 2008, 08:22 PM) [snapback]3046384[/snapback]
semolina wala idea fit lagta hai, me kal add kar kay daikhti houn, pakoray kurkaray banaingay I guess
oil,..hmm yeh bhi theek ,.. me baking soda dalti hn bilkul thoura saa us say bhi soft bantay hain
haan naa iss tarah kii fried baisan lagi chilli's hamaray haan bohot pasand kii jati hain roz hii bana laiti hn
aur abb me roz aik anda bhi add karti hn bater main, yeh bhi good addition hai.
haan naa pakora adventure's
anday ke baaray mein to bhool hi gayi thee,thanks for reminding

kucch log pisi hui pyaaz bhi daaltay hain ,soft karnay ke liye
anyway bhuttay kay pakoray khaaye hain aapnay
chaar paanch bhuttay grate karein
usmein thora sa besan daalein nama daalein,chili powder daalein bareek hara dhaniya daalein.phir green chillies ko mota mota liquidiser mein pees lein ( not too mota)

ab usay besan mein add kar dein,pisa garlic thora sa add karein aur halka sa paani daal kar mix kar lein.yeh besan ke pakoraon say kam paani leta hai,bas itna paani daalein ke aap mixture ke gol gol pakoray shape de sakein,bas ab fry kar lein,tail bahot garm na hon aur na thaanda ho ke tail pakoray mein bhar jaaye.
try kijiye ga they are yummy
next time bhuttay (corn) ki ek aur dish