Ager Preshani Ka Taluk DimaG Se Hai To (Heart Attack) Kue Hota Hai
OR
Ager Ishq Ka Taluk (DIL) Se Hota Hai To Ishq Main Log Pagal Kue Hoty Hain
* SOZ *
Sep 14 2008, 11:49 PM
welcome ji welcome Kami bhai, kithay reh gaye si tusi?
interesting sawal hai... mujhay zara soch leinay dein phir bataoon gi...
pareishani ka talluq dimagh say hai...insaan jab soch soch k pareishan ho ga to demagh par pressure paray ga..right? phir demagh ka link choon-keh poori body say hai to yeh pareishani kahein na kahein asar zaroor karay gi...chahay woh hear attack ho ya brain tumor...
rahi baat ishq ki to uss ka talluq bhi demagh say hee hai...dil say talluq tashbeeh hai aur kuch nahi... abb insaan nay sochna to demagh say hai na k ussay ishq hua hai k nahi...phir he woh dil ko manaye ga na... abb dil raha jism ka hassaas tareen hissa..iss par chot lagti hai to insaan zehni pareishani mein mubtila reh reh kar khud ko pagal bana leita hai...
aur koi aisa logic mujhay samajh nahi aaya...
koi doctor milay ga to uss say rujoo karein...
~Kit Kat~
Sep 15 2008, 01:25 AM
jaisa kai SOZ nai kaha keh kun kai dimagh ka link poori body sai hota hai is liay zehni paraishani kisi bhee shakal main saamnay aa saktee hai...be it heart attack ya kuch aur
ishq main kon pagal hota hai...ishq karnay wala tou pehlay sai hi pagal shuda hota hai
classic
Sep 15 2008, 04:56 AM
wasalam
nice sawal kiu k dil ju hai na woh pagal hai aur ju dimag hai na.....woh bhi pagal hai!
Ager Preshani Ka Taluk DimaG Se Hai To (Heart Attack) Kue Hota Hai
OR
Ager Ishq Ka Taluk (DIL) Se Hota Hai To Ishq Main Log Pagal Kue Hoty Hain
- dil choonkay bohat hamdard hota hai or is main doosro'n k liye bohat dard paaya jata hai,, is liye jab yai apnay bhai DimaG ko pareshan dekhta hai to khud par bhi pareshani ka attack karwa leta hai
- DimaG choonk'ay bohat samajhdar hota hai is liye jab wo dil ko aik nadaani (ishq) karte hue dekhta hai to ahtjaaj k taur par kaam karna chor deta hai.

hmmmm barra ghambhiiir masla hai aapka sahabzaade. koi baat nahi. Allah pe bharosa rakho. jab ye dono bemariyaan lagti hain na, to sab kuch ulta hi lagta hai mai zara google ker k aapko answers dungi filwaqt milte hain ek break k baad
welcome ji welcome Kami bhai, kithay reh gaye si tusi?
interesting sawal hai... mujhay zara soch leinay dein phir bataoon gi...
pareishani ka talluq dimagh say hai...insaan jab soch soch k pareishan ho ga to demagh par pressure paray ga..right? phir demagh ka link choon-keh poori body say hai to yeh pareishani kahein na kahein asar zaroor karay gi...chahay woh hear attack ho ya brain tumor...
rahi baat ishq ki to uss ka talluq bhi demagh say hee hai...dil say talluq tashbeeh hai aur kuch nahi... abb insaan nay sochna to demagh say hai na k ussay ishq hua hai k nahi...phir he woh dil ko manaye ga na... abb dil raha jism ka hassaas tareen hissa..iss par chot lagti hai to insaan zehni pareishani mein mubtila reh reh kar khud ko pagal bana leita hai...
aur koi aisa logic mujhay samajh nahi aaya...
koi doctor milay ga to uss say rujoo karein...
Thanks for welcome Soz Jee
Wesse App ki bataon main Dum hai .......................Lekin last line mian Bilkul Dum nahee hai lolzzz
jaisa kai SOZ nai kaha keh kun kai dimagh ka link poori body sai hota hai is liay zehni paraishani kisi bhee shakal main saamnay aa saktee hai...be it heart attack ya kuch aur
ishq main kon pagal hota hai...ishq karnay wala tou pehlay sai hi pagal shuda hota hai
Well..............APP Ne to Soz jee batoon ko agy kar daya app ki personal Opinion kia hai yeh Bataiye na ........................
Ishq karnay wale Pagal hotay hain APP ke khayaal se ???
- dil choonkay bohat hamdard hota hai or is main doosro'n k liye bohat dard paaya jata hai,, is liye jab yai apnay bhai DimaG ko pareshan dekhta hai to khud par bhi pareshani ka attack karwa leta hai
- DimaG choonk'ay bohat samajhdar hota hai is liye jab wo dil ko aik nadaani (ishq) karte hue dekhta hai to ahtjaaj k taur par kaam karna chor deta hai.
Lo jee karlo Gal yeh to puri Kahani likhnay lagain.......................... App Serial Darama KUE Nahee likhti EKTA KAPOOR ki tarha.....................
hmmmm barra ghambhiiir masla hai aapka sahabzaade. koi baat nahi. Allah pe bharosa rakho. jab ye dono bemariyaan lagti hain na, to sab kuch ulta hi lagta hai mai zara google ker k aapko answers dungi filwaqt milte hain ek break k baad
Jee baja farmaya Mohterma ........................ Wesse app ko yeh bemariyaan lagi hain kia ??? General knowledge ka Question hai
Ager Preshani Ka Taluk DimaG Se Hai To (Heart Attack) Kue Hota Hai
OR
Ager Ishq Ka Taluk (DIL) Se Hota Hai To Ishq Main Log Pagal Kue Hoty Hain
bhai baat dar asal ye hay k khoon hamaray jism mein electricity ki tarah kaam karta hay jissay dil aur dimagh dono hi work kartay hien........jab pareshani mien banda sochna zyada shuru karta hay tou khoon sara dimagh mien jama hojata hay dats why.............Heart Fail hojata hay
rite?
aur Ishq ka talluq chun k dil say hay..........dats y sara khoon dil mien simat jata hay aur dimagh fail hojata hay.............