aik shakhs ke paas tota tha to usko window pe rakha hota tha
aik aadmi wahan se roz guzarta to tota usko dekh ke kehta
BEGHAIRAT
woh aadmi roz roz yeh sun ke ghussay se aik din totay ke malik ke paas gaya
aur shikayat ki aur totay ke malik ne totay ko khoob danta
aik din woh aadmi phir wahin se guzra aur tota kuch na bola
aur woh aadmi zara sa door gaya aur murh ke totay ko dekha
totay ne kaha "Samajh to tum gaye hogay, ke main kia kehna chahta hon"