Aik Martaba AIk shagird Nay Hazrat Junaid BaghDadi say sawal Keya K tark-e-Duneya Keya Hay ? Hazrat Junaid Nnay Jawab Deya
"Duneya Maen Rehaty Hoye Admi Ko Duneya Nazar Na Ana"
Shagird Nay Poocha "Yeh Kis Terhan Mumkin Hay"
Hazrat Junaid Nay Muskara kar Jawab Deya "Mane Jab Tumhari Umar ka tha , Mane nay Apnay Peer-O-Murshad say yehi sawal Keya tha Tu unhoun Nay Jawab deya
Ao BaGdagh K sab say Mash-hor Bazar ki Sair Kare. Chunacha maen aur Shaikh BaghDad k Masroof tareen Bazar ki taraf Nikal Gyae.Jaisay he Hum Bazar K sadar Darwazay Mmaen Dakhil hoyee, Maen Nay daikha K maen aur Meray Shaikh aik weeranay maen kharay haen
Had-e-Nazar tak Rait K teeloun aur Bagoloun K siwa Kuch nahi Tha.Maen nay Hairat say Kaha "Shaikh yahan Tu Bazar Nazar Nhai A raha"
Shaikh Nay Shafqat say Meray Sir Par Rakh deya
'Junaid yehi Tark-e-Duneya Hay K Admi ko Duneya Nazar na Aye. OOn K libaday oorh lean, Joo ki Rooti kha Lena Aur Alishan Makanoun say Moun Morh Kar Jungaloun mane Nikal jana Trak-e-Duneya Nahi hay. Tark-e-Duneya yeh hay K lazeez tereen Asheya Bhi Khaou tu Joo ki Roti ka zaiqa milay
Atlas-o-Deeba -O-Hareer bhi Pehno Tu Taat ka libas mehsoos ho. Gunjan BazarOun Aur Khobsorat Mehlat K darmeyan say bhi Guzroo Tu beya Baan Nazar aye. Lekin Junaid! yeh sab Baten Parhnay say aur Dosroun ko samjhanay say iss waqt tak samajh nahi ayen gi jab Tak tum Tark-e-Duneya K Tajarbay say na Guzroo. Ao Abb ghar Chaltay haen."
Phir hum isi Holnak weeranay say ghar k leye rawana hoye ... Hum Baghdad k uss BaroNaq Bazar K sadar Darwazay Par Kharay thay.
