Eid ki amad amad hey....
per un becharon ki halat pochiyeh jinkey ghar ka koi fard Bomb Blast main ya kisi Dehsat gardi k ba'is mara gaya..... Ghar ka aik kamaney wala shakhs ab na raha .... un k bachoon ki EID kya hugi... jinke sar se unkey barey ka mehrban haath uth gaya ..... unkey ghar ki halat kya hu gi jahan Iftar aur sehri k liye hi kaal para hu......wo ghareeb jo rooz kama kar khaney wala hu...wo is mehngayi main apney bachon ko kahan se aik sasta nannah sa hi sahi... koi khilona dey sakey... jahan bhook aur iflaas ney deerey pheelayey hoon ... usi mohalley k saath khushyaan manayi ja sakti hain..... ???
Khoshiyaan mananey ka haq sab ko hey... kisi ki khatir apni khushi apney jazbaat ko dabayeh mat... per kam az kam apni khushyoon main thora sa hissa unka bhi rakhyeh.... kya khayal he???
Apney Sadqey Fitrey zakaat ko sirf aik farz samjh kar na utareyh.......Balkey hu sakey tu apney waqt main se kuch hissa nikal kar waqayi MUSTAHIQ ko pohcana Afzal hey....
Aik jora kapra... Aik khilona..... Aik chadar....... kisi ka jisim...kisi k cehrey per tabassum.... kisi ki izzat dhak sakey tu ismain kya burayi hey.... ?????
Ghar se masjid hey buhat door chalo yoon karlein
kisi rootey huey bachey ko hansaya jaye
kisi rootey huey bachey ko hansaya jaye