Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Kasauti > 41 < Shaksiat > Alexander the Great =Sikandar-e-Aza
HulChul.NET > Masti - Masti > Male Gossip > Kasouti
Pages: 1, 2
hawwa ki beti
Aslam o alaikum ~~~~!
.............................
Shakhsiat

Male - died - Non muslim- Non show-biz-Non player ,
......................................................
Apni zahanat aazmaye go.gif
Aslam o alaikum ~~~! adb.gif
Kashif
1- Ta'luq Asia say ?
hawwa ki beti
QUOTE(Kashif @ Oct 11 2008, 08:26 AM) [snapback]3078095[/snapback]
1- Ta'luq Asia say ?

NO
Kashif
2- European ?
~Zuni~
QUOTE(Kashif @ Oct 11 2008, 01:32 PM) [snapback]3078156[/snapback]
2- European ?

Siyasat Daan ?
hawwa ki beti
Male - died - Non muslim- Non show-biz-Non player ,
.......................................................................
1- Ta'luq Asia say ? -no
2- European ? -yes
3-Siyasat Daan ? -yes [ related with politics ]
~Zuni~
Europe se talluq ... siyasat daan ... hmmm .... inteqal ko 10 saal se zayed arsa ho gaya ?
hawwa ki beti
4-Europe se talluq ... siyasat daan ... hmmm ....
inteqal ko 10 saal se zayed arsa ho gaya ? .....................yes

~Zuni~
20 saal se zayed ?
hawwa ki beti
20 saal se zayed ? .....yes
~Zuni~
World war II k daur ki koi shakhsiat ?
hawwa ki beti
World war II k daur ki koi shakhsiat ? .....no

[1857 main hui thi i think]
~Zuni~
QUOTE(hawwa ki beti @ Oct 12 2008, 03:55 AM) [snapback]3078711[/snapback]
World war II k daur ki koi shakhsiat ? .....no

[1857 main hui thi i think]

Nahin na ... woh tou Jang e Aazadi thi jo angraizon k khilaf larhi gaii thi Indo Pak sub continent mein ... smile.gif

WW II 1939 se 1945 tak huii thi.
hawwa ki beti
QUOTE(~Zuni~ @ Oct 12 2008, 12:01 AM) [snapback]3078714[/snapback]
Nahin na ... woh tou Jang e Aazadi thi jo angraizon k khilaf larhi gaii thi Indo Pak sub continent mein ... smile.gif

WW II 1939 se 1945 tak huii thi.

haan yaad aaya

jis raastey sey army india main enter hui thi
wahan india ney aik gate bana diya tha
jo keh GATE OF INDIA kay naam sey jana jaata hai

darustgee ka shukria laikin
jawab phir bhi ......................No

~Zuni~
ok .... 30 saal se zayed arsa ho gaya inteqal ko ?
hawwa ki beti
5-20 saal se zayed ? .....yes
6-World war II k daur ki koi shakhsiat ? .....no
7-30 saal se zayed arsa ho gaya inteqal ko ? ...no
~Zuni~
yanay 20 se zayed or 30 se kam ?
hawwa ki beti
QUOTE(~Zuni~ @ Oct 12 2008, 12:11 AM) [snapback]3078716[/snapback]
ok .... 30 saal se zayed arsa ho gaya inteqal ko ?

Ghalti ho gaee ,sorry
inteQaal ko 30 saal sey ziada ho gaya hai....yes
~Zuni~
40 saal se bhi zayed ka arsa ho gaya ?
hawwa ki beti
40 saal se bhi zayed ka arsa ho gaya ? ...yes
~Zuni~
Allah khair karay is martaba aap koi typical shakhsiat soch k aaii hain HKB smile.gif

70 saal se zayed ka arsa ho gaya inteqaal ko ?
hawwa ki beti
70 saal se zayed ka arsa ho gaya inteqaal ko ? -yes
hawwa ki beti
70 saal se zayed ka arsa ho gaya inteqaal ko ? -yes
[ bas itna keh sakti hoon keh aik naam war shakhsiat hai ]
~Zuni~
Talluq UK se hai ?
hawwa ki beti
Talluq UK se hai ? ......no
~Zuni~
Goya doosri jang e azeem se pehlay ki shakhsiat hai ... talluq bartania se nahin hai ... hmmm..

kisi mulk k sadar ya prime minister rahay ?
hawwa ki beti
kisi mulk k sadar ya prime minister rahay ? ... no
~Zuni~
sawal kitnay ho gaye ?
hawwa ki beti
QUOTE(~Zuni~ @ Oct 12 2008, 12:53 AM) [snapback]3078744[/snapback]
sawal kitnay ho gaye ?

count nahi kiye 10 ya 11 ho gaey hongay

i think

~Zuni~
Kisi royal family se koi talluq ?
hawwa ki beti
Kisi royal family se koi talluq ? .... No [ i think ]
~Zuni~
Aap ne kaha siyasi shakhsiat hain. Right?
hawwa ki beti
QUOTE(~Zuni~ @ Oct 12 2008, 01:06 AM) [snapback]3078749[/snapback]
Aap ne kaha siyasi shakhsiat hain. Right?

hmm

ilm o adb , showbiz ya koi player nahi
hakoomati muamlaat sey related hai
SIASI hi keh saktey hain i think
~Zuni~
1800 se 1900 k darmeyan ki koi shakhsiat ?
hawwa ki beti
1800 se 1900 k darmeyan ki koi shakhsiat ? --no
~Zuni~
Is baar aap k azayem khatarnaak lagtay hain smile.gif

1900 se 2000 k darmeyani arsay ki koi shaksiat ?

Main ne itnay sawal pooch liye hain .. Kashif ne shore macha daina hai subha smile.gif
hawwa ki beti
QUOTE(~Zuni~ @ Oct 12 2008, 01:58 AM) [snapback]3078754[/snapback]
Is baar aap k azayem khatarnaak lagtay hain smile.gif

1900 se 2000 k darmeyani arsay ki koi shaksiat ?

Main ne itnay sawal pooch liye hain .. Kashif ne shore macha daina hai subha smile.gif

Male - died - Non muslim- Non show-biz-Non player
.......................
1- Ta'luq Asia say ? -no
2- European ? -yes
3-Siyasat Daan ? -yes [ related with politics ]
4-Europe se talluq ... siyasat daan ... hmmm ....
inteqal ko 10 saal se zayed arsa ho gaya ? .....................yes
5-20 saal se zayed ? .....yes
6-World war II k daur ki koi shakhsiat ? .....no
7-30 saal se zayed arsa ho gaya inteqal ko ? ...yes
8-40 saal se bhi zayed ka arsa ho gaya ? ...yes
9-70 saal se zayed ka arsa ho gaya inteqaal ko ? -yes
10-Talluq UK se hai ? ......no
11-kisi mulk k sadar ya prime minister rahay ? ... no
12-Kisi royal family se koi talluq ? --- no [ i think ]
13-1800 se 1900 k darmeyan ki koi shakhsiat ? --no
14-1900 se 2000 k darmeyani arsay ki koi shaksiat ? -no
................................................
Is baar socha keh shakhsiat pehlay sey
munfarid hai , is shakhsiat ka khiyaal kion aaya
yeh sawal 20 honey per bata doon gee
aur yeh baat dilchasp bhi hai. gig.gif
yeh baat apni jagah peh final hai
keh shakhsiat famous hai 0-headbang.gif

.............................................
Next plz go.gif
hawwa ki beti
QUOTE(hawwa ki beti @ Oct 12 2008, 02:19 AM) [snapback]3078755[/snapback]

Sawal number >12< kuchh lag raha hai
jaisey ghalat ho gaya.
is ka jawab haan > yes< main ho to ziada munasib hoga.
Kashif
sirf 6 sawal reh gayay run.gif

15. France say ta'luq hay?
hawwa ki beti
15. France say ta'luq hay? ............. No
Kashif
16. qabal-az-maseeh ki koi shakhsiat ?
~Zuni~
Barkhurdaar Kashif Sallamahu!

Duayen!

Umeed hai ma'al khair hon gai ... tumharay jawabat FTM mein parh k dil shaad ho gaya .... Allah tumharay ilm mein izafa farmaye... Aameen

Kasauti mein is martaba HKB poori tayyari k saath aaii hain ... 16 sawal ho chukay hain laikin abhi takk kisi bhi baat ka ta'ayyun nahin ho paya hai.... Sawal kam hain ...or muqabla sakhat.... Taham tumhari zahanat ko madd e nazar rakhtay huay umeed hai k tum shakhsiat takk ponhach jao gai insha'Allah.

Dua ju
Kashif
QUOTE (~Zuni~ @ Oct 13 2008, 12:57 PM) *

aadab Zuni bhai
aap ki pazeerai meray liyay baa'es-e-fakhar hay janab........ALLAH aap ki dua qabool farmayay ... aur aap ko bhi sihat aur khushyuon say sarfraz rakhay (Aamin) duas.gif

HKB ki tayyari to achi hay magar aap kidhar ja rahay hain hazrat
itnay kam sawalon mein "aik lohaar ki" maarnay wala kaam aap ka hi hay gig.gif
iss liyay jayay nahin aur humaray sath shamil rahiyay
hawwa ki beti
QUOTE (Kashif @ Oct 13 2008, 07:48 AM) *
16. qabal-az-maseeh ki koi shakhsiat ?

yes 1-think.gif
~Zuni~
17 - Roman Empire se talluq ?
hawwa ki beti
17 - Roman Empire se talluq ?.....NO
hawwa ki beti
QUOTE (~Zuni~ @ Oct 13 2008, 07:57 AM) *
Barkhurdaar Kashif Sallamahu!

Duayen!

Umeed hai ma'al khair hon gai ... tumharay jawabat FTM mein parh k dil shaad ho gaya .... Allah tumharay ilm mein izafa farmaye... Aameen

Kasauti mein is martaba HKB poori tayyari k saath aaii hain ... 16 sawal ho chukay hain laikin abhi takk kisi bhi baat ka ta'ayyun nahin ho paya hai.... Sawal kam hain ...or muqabla sakhat.... Taham tumhari zahanat ko madd e nazar rakhtay huay umeed hai k tum shakhsiat takk ponhach jao gai insha'Allah.

Dua ju

>>Kasauti mein is martaba HKB poori tayyari k saath aaii hain <<

aisi baat nahi , is baat ka yaqeen 3 sawalon kay
baad dey sakti hoon
filhaal serious hoon 1-think.gif
~Zuni~
18 - In ki death natural thi ?
hawwa ki beti
18 - In ki death natural thi ? .yes
~Zuni~
QUOTE (hawwa ki beti @ Oct 13 2008, 07:53 PM) *
>>Kasauti mein is martaba HKB poori tayyari k saath aaii hain <<

aisi baat nahi , is baat ka yaqeen 3 sawalon kay
baad dey sakti hoon
filhaal serious hoon 1-think.gif

3 sawalon k baad to gunjaiish hi nahin rahay gii 0-sosad.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.