QUOTE (Sidekick @ Oct 12 2008, 10:18 PM)

AsalamAlaikum
Kiya aap jin aur bhoot per yakeen rakhtay hai ? Kiya ap kay sath ya app kay kisi jannay walay kay sath koi aysa waqiya howa kabhi ?
Wasay to jin per yaqeen rakhna to lazmi hai kiyu kay is ka Quran mai bhi zikr hai..............pher bhi ye sawal is liya pucha kay ap ka yaqeen kis had tak hai ............ ya yu kahay kay ye kis tarah pata chaly kay jinn kis tarah nazar a saktay hai ? , aur un kay kiya asraat ho saktay hai kisi shaks ya waqaye per ?.............. aur un say kis tarah nijjat mil sakti hai ?
sahi kaha Quran main zikr hai to yakeen hai, aur mere saath hua tha aik bar kuch din
pehle aik post main share kia tha maine waqia, share karonga yahan bhi, mere cousins
ke saath bohat bohat bohat bar hua aur hotay rehte hain aksar, per ache jinn hain unke
ghar kabhi koi nuksaan nahin pohanchaya unhon ne, ache aur buray to jinnon main bhi
hotay hain aur buray aksar peechay bhi par jatay hain, maine kuch logon ko dekha hai
is halat main, aur ache jinn maine dekha hai zaida tar ke us waqt nazar atay hain
ya tang karte hain jab unko koi disturb karay, ager koi darwazay ke paas so raha ho
to usko wahan se hata dete hain ya dhakka de dete hain, aur ager koi raat 12 ke baad
jaag raha ho aur woh disturb hon to tang karte hain, mere cousin ke ghar ke waqiat share
karonga jo ke is se hi related hain. maine sab kuch wahin dekha hai aur suna bhi.
nijaat ka mujhe sahi nahin pata wese baba waghera koi utarte hain
aur 2 ko to maine dekha parosi thi meri aik baji unke ooper kaha jata tha ke koi asar hai
mujhe yakeen nai hota tha is baat pe, per woh kafi khofnaak harkatain
karti thin dono larkian, maine dekha aur kafi logon ke saath kia unhon ne
jese ke kisi ko bagher haath lagaye door se hi aesa dhakka dia ke woh log
deewar se takraye aur door se hi cheezain utha ke phainkna :s
unka ilaaj kia tha kisi baba ne phir theek ho gain dono
tareekay-kaar nai maloom mujhe iska ke kese utara gaya un pe se