chalain jee may bata daita hoon kia dia .
Quota System MQM nay nahi JI nay Nafiz kerwaya tha jis per Prof Ghafoor + Molana Noorani Kai sign hain .
MQM nay to kuch nahi Quota System kay khilaaf to MMA aur JI nay kia kya ?kitni baar awaz othey is kai Khilaaf ???
Kal tak to ap kahtay thay kai MQM nay apnay workers ko kuch dia hi nahi chalo ajj yeh to mana kai Apnay workers ko Nokriyan deen ,aur mazay ki baat yeh hay kai saray kay saray jin ko nokriyan millen karachi kay rahnay walay thay SHAYED ISI SAY TAKLEEF HAI JI KO.
Karachi ki tameer ka sab say pahla step MQM nay lia tha .
Karachi ka pahla Fly Over Nazimabad ka flyover kis nay bunwaya tha ?
Rashid Minhas ka Bridge 2 way kis nay kerwaya tha ?
7 Number ka Bridge 2 Way kis nay kerwaya tha ?
Liaquatabad Fly over kay baray may kia khayal hay ?wo bhi JI aur Naimat Ullah nay start kerwaya ho ga ?
Rashid Minhas Urf e Aam Nipa ka Fly Over yeh bhi yaqenan Naimat Ullah aur JI nay bunwaya tha
Lilly Bridge
Jinnah Bridge
Karachi ka saray parks(90%) MQM kai 88-90 kai buldiyati era may bannay thay jin ko ajj 2 Caroor Rs say renovate kia jaa raha hay ,koi New Park bunwaya Naimat Ullah nay ?
yeh sab MQM nay bunwaye us waqt Naimat Ullah ya JI Gov may nahi thi .
Karachi Pursakoon tha 91 tak us kay baad ajj yeh baat record per hay kay JI nay karachi per operation kerwaya aur halaat kharab kerwaye .
Army nay operation kia aur us ko tit for tat jawab mila ,MQM kai 90% lerkay jo jaali police moqabloo may maray gaye un ki mukhbariyan JI nay ki theen .
aur karachi may 2002 kay baad amn MQM nay dia kio kay Prov Gov MQM ki hay Naimat Ullah to khud rona rotay hain Police un kai under nahi ,jab kay 2002 kay baad karachi ka aman Mazhabi jamatoo nay burbaad kia Suicide Attacks ker ker kay .
Wana may jo log Army ko maar rahay hain un ko JI walay Shaheed aur Hero kahtay kion ??
Munafkat alam yeh hay kay Naik Mohammad ko aik din pahlay Asad ullah bhutto CIa ka agent kahta hay aur jab wo mer jata hay to foran shaheed
Naimat Ullah ko 4 saal may 1 KHARAB 25 ARAB Rs millay kia karachi per itnay paisay lagain hain ??
Abb meray Sawal ka jawab kon day ga ?
Akram Durrani CIA kai head quarter kia kernay gaya tha ???
Koi aur baat poochnay say pahlay meray sawal ka jawab zaroor day dijiye ga plzz us kay baat jo poochna hay poochiye ga may JI waloon ki terhan bhagoo ga nahi