Assalamuelekum
Kuch dino say kafi hangama chal raha hai is hulchul per... aur ek post bhi daikhi FTM per Zaheer bhai ki......us per mai ne bhi kuch comments diye jis ko logo ne galat rang dia......meri tanqeed thi HC administration say na kay kishi khas banday say, kuch saal say daikh raha tha k HC ka Graph neechay ki taraf araha tha...aur khud member hone k naaty chah raha tha k HC pehlay ki tarha top forum banay......meri Shikhayaat sirf itni thi k Members ki sikhayaat ko suna aur samjha jaye...na k dilaasa day ker ignore ker dia jaye......moderatorship haqdaar ko milay.... ( is baat per shayed log samjhaye k mai banna chahta hon mod ) mager esa nahi hai mai tu wesay bhi buhat kam ata hon idher time ki kami ki wajha say.....kuch mod's hain jo waqai mai haqdaar hain mod banne k aur kuch already hain jiasy Asho , Apajee, Jummi, Qalandari Baba, Khal Nayak.....mager kuch aisay hin jo ........... ( Baat niklay ki tu dur talak jaye gi )
Khair aur bhi kafi khabrain mili aur buhat afsoos hoa k Zuni jiasy kuch logo HC ko tabha kerne per tulaye hoye hain.....aur GTG mai jo harkaten ki wo bhi sharam say sir jhukane wali hain........... khair mujhay nahi pata k meri yai post kitni dair tak Alive rehti hain yai is ko bhi delete ker dia jata hai...mager jo such hai wo likh dia....
Tamaam members ko Jashan e azadi mubarak
Allah hafiz