Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Musharf Ki Aqal
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
Mulla


Mush kehta hai keh loog molviyat ko agay na anay dain , molvon ko hara dain doosri taraf kehta hai keh molvi doctor engineer bhi banain!

is baat mein tazad hai keh naheen.


Doosra kisi ne yeh baat note ki hai keh naheen keh Mush Pakistan mein misle karzai ziyada sair sapata naheen karta...

Mulla!
Daylight
QUOTE
Mush kehta hai keh loog molviyat ko agay na anay dain


Quaid e azam bhi yahi kehtay rahay ke Pakistan mein maulviyun ki hakumat nahin ho gi, phir Iqbal ne bhi maulviyun ko khoob latara.......lehaza unki aqal par bhi sawal uthain.
FarOOqi
QUOTE (Daylight @ Aug 14 2005, 02:12 PM)

Quaid e azam bhi yahi kehtay rahay ke Pakistan mein maulviyun ki hakumat nahin ho gi, phir Iqbal ne bhi maulviyun ko khoob latara.......lehaza unki aqal par bhi sawal uthain.

Assalam-o-alaikum,

M.A.Jinnah aur Allama Iqbal jin Ulma kee sohbat sey mustafeed hoey aur jin kee tareef bhee kee aap ney kabhee bhoolay sey bhee unn ka ziker nahee kiya....

Ulma kee dushmani cheez hee aesee hay.. 122.gif


wassalaam,
farooqi.
Mulla
QUOTE (Daylight @ Aug 14 2005, 10:12 AM)

Quaid e azam bhi yahi kehtay rahay ke Pakistan mein maulviyun ki hakumat nahin ho gi, phir Iqbal ne bhi maulviyun ko khoob latara.......lehaza unki aqal par bhi sawal uthain.




sawaaal uthaoon ke sawal uthanay walay par danda uthaoon...

390.gif

acha chalo dafa karo , yeh batlao keh shah ji ke astanay par kab mulakat ho rahi hai...

mein to ja raha hoon....a rahay ho keh naheen...

Mulla!
Farhan_Murtaza
Zahiri bat hai, ISLAMI Jamhooria Pakistan main Molovio ki naheen balkay Angraizon kay agents ki hakoomat honee chahye ... Molvi choonkay islam say wabista hain is liye un ki mukhalfat hone chahye ... Shukria
Daylight
QUOTE
M.A.Jinnah aur Allama Iqbal jin Ulma kee sohbat sey mustafeed hoey aur jin kee tareef bhee kee aap ney kabhee bhoolay sey bhee unn ka ziker nahee kiya....

Ulma kee dushmani cheez hee aesee hay..


UNhon ne jinki suhbat se istafada kya unka zikr to apni jaga aaye ga....filhaal to unki apni kahi hui baaton ka zikr kay hai meine.

Baki jahan tak ulema ki dushmani ka taluk hai to mein to kabhi bhi ulama ka dushman nahin raha....haan mein makhi par makhi maarne waalon ka dushman zaroor hon.

Baki ULAMA AUR MULLA ya MAULVI mein zameen asmaan ka farq hai.


QUOTE
sawaaal uthaoon ke sawal uthanay walay par danda uthaoon...


Janab aap badhshah loag hain anda dein bacha dein aapko kon rokne waala hai 390.gif


QUOTE
acha chalo dafa karo , yeh batlao keh shah ji ke astanay par kab mulakat ho rahi hai...

mein to ja raha hoon....a rahay ho keh naheen...


Kon shah jee aur kahan aa rahay hain....kuch tafseel batain gay to mulaqaat ke liye haazir hon gay na 390.gif
Mulla
QUOTE (Daylight @ Aug 14 2005, 04:51 PM)

UNhon ne jinki suhbat se istafada kya unka zikr to apni jaga aaye ga....filhaal to unki apni kahi hui baaton ka zikr kay hai meine.

Baki jahan tak ulema ki dushmani ka taluk hai to mein to kabhi bhi ulama ka dushman nahin raha....haan mein makhi par makhi maarne waalon ka dushman zaroor hon.

Baki ULAMA AUR MULLA ya MAULVI mein zameen asmaan ka farq hai.




Janab aap badhshah loag hain anda dein bacha dein aapko kon rokne waala hai 390.gif




Kon shah jee aur kahan aa rahay hain....kuch tafseel batain gay to mulaqaat ke liye haazir hon gay na 390.gif




hahhaha

mera ishara us taraf hai jahan aap ne islam section mein salam pesh kiya howa hai!

samjha karo sarkar!

Mulla!
Daylight
ji ji samajh lag gayi 390.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2009 Invision Power Services, Inc.