~ * ~ KUnwara ~ * ~
Doobtay ko tinkay ka saharah chaheye
Shaadi ke liye bas amaa ka ik isharah chaheye.
Hazaar nuqss nikaaltein hain ladki ke chedray mein
Koi insey poocho kiya sitarah chaheye?
Chaar sotoon say baat nahin banaygi
Saath mein ik kahtarah bhi chahye.
Buhat samjhaya ladki hai yehi behtar
Mujhay bhi to gunnahoon ka kuffar chaheye.
Amma kehetein hai lagaooo kiya mool lagatay ho
Aur le jaooo agar ladka hamara chaheye?
Har reat mein miltay hain,kehein kiya leingi !
Dulha,Shaadi shudah ya kunwara chaheye?
Payment karkay kal ko tum bhi keh sakogay
Abhi hamein damaad hamara saara chaheye.
Tum bhi sun lo ladki walo yeh daastaan
Phir na kehna hamein yeh interview dobarah chaheye.
Ab to rah guzar mein aakay phass gaya hoon
Lechaloo jisko yeh beecharah chaheye.
Kyun dikhayee ladki waloon ko itni sharafat !
Woh kehtehain key hamein ladka thora awaarah chaheye.