kamil_surfaroosh
Aug 31 2005, 12:42 PM
yahan kuch log tareekh ko muskh kernay kai liye kahtay hain kai Molvi aur deoband Pakistan ki tehreek mai shamil thay yeh un ki ankhain khool dainai kai liye kafi hay .
FarOOqi
Aug 31 2005, 01:17 PM
Assalam-o-alaikum,
there are 2 groups in Ulma of Deoband regarding creation of Pakistan....
Maulana Ashraf Ali Thanwi(ra), Maulana Shabbir Ahmed Usmani(ra), Maulana Zafar Ahmed Usmani(ra) contributed their best in the Pakistan Movement....
inn Ulma kee inhee khidmaat kee waja sey oos waqt kee Muslim League kee nazar maen inn kee bohat qadar thee.... isee liyay East and West Pakistan maen sab sey pehlay Pakistan ka jhanda inhee Ulma kay hathon lehraya gaya....
as far as the life of Muhammad Ali Jinnah is concerned.... unn kay baray maen mukhtalif baataen mashoor haen ya kee gaee haen, jinhaen log books maen bhee likhtey rahay haen....
wo jo bhee thay, ubb nahee haen... Allah kay paas haen....hamaray yahan kuch bhee kehnay sey unhaen kuch asar nahee paRay ga chahay wo jaisee bhee halat maen hon...
hamaen tu ubb dekhna hay kay aaj kal kya ho raha hay,,,,,
waisay kamil_sarfaroosh bhai !! kya yay aaj kay akhbaar maen hay ... ??
wassalaam,
farooqi.
Abu Adnan
Aug 31 2005, 01:49 PM
Quad e Azam aur Islam:
iss topic par pak o hind maiN 2 inteha pasand group haiN ... aur dounouN baligh nazree ka saboot naheeN detay.
yeh sab jaantay haiN k Hazrat Quad e Azam Muhammad Ali jinnah (Rahmatullah Alaih) aik khojah / Agha Khani family say talluq rakhtay thay. bachcha ka mazhab bhi wohi tasawwur kia jata hai jo maaN baap ka ho, ill yeh k woh apnay parents k mazhab say laa.talluqi ka izhaar karday.
Quad e Azam nay ghaleban middle tak ki taleem karachi say hasil ki aur phir onkay khush.haal tajir parents nay onhaiN aalaa taleem k liyeh englanad bhej dia. goya Aap india sayjab rawana howay to poori tarah aaqil o baaligh nah thay.
England maiN bila shubah onhouN nay english life style apnaya. aur apni tawajjah taleem ki taraf dee. during education onhouN nay english culture maiN parwarish payee aur wahaaN k super class angrezouN ki sohbat ekhteyaar ki. iss dauraan aisa koi saboot nahee milta k woh kissi mazhab par amal para rahay. nah apnay parents k deen par nah woh namaaz rozay k paband thay aur nah hi chirch jatay thay. goya yeh period onhouN nay aik secular fard k taur par guzara, jinkay nazdeeq mazhab ki koi ahmiat naheeN hoti.
barastry pass karnay k baad woh bombay maiN practice karnay aaye to pooray k pooray angraizy culture maiN dhul chukay thay. hatta k raat ka khana ghar par dinner suit pahan kar khatay. jab woh bombay pahonchay to onki bachpan mai honay wali shadi (jo englistaan rawangee say qabl karachi maiN hochuki thee) wafat pagayee to bombay jamat khaanaa (agha khaniyouN ki marakzi ebadat gaah, jahaaN namaaz naheeN balkay do'aa hoti hai) nay quad e azam say motaalebah kia k woh apni begum ki maut par jamat khanay maiN moqarrah raqam jama karayaiN... takay marhoomah ki maghfirat aur jannat maiN entry k liyeh do'aa karayee jaye as per their tareeqah e kaar........
Quad e Azam nay iss motalebah ko rudd kardia to jamat khanay nay apni subki k peshay nazar bombay high court maiN case dair kardia jahaaN personal (mazhabi) law k tehat bhi faislay hotay thay. Hazrat Quad e Azam khud adalat maiN pesh howay aur yeh elan kia k woh kissi aisay mazhab ko naheeN maantay. lehaza iss qism ki kissi adayegi ka sawal hi paida nahee hota. wahaaN onhouN nay kaha k woh aik mosalmaan haiN aur woh sirf aur sirf Hazrat Muhammad (PBUH) ki layee hopwee shariyat k paband haiN. agar aisee koi payment quran o sunnat maiN maujood hai to maiN payment k liyeh ready houN warnah naheeN. youN Quad e Azam nay yeh case jeet lia aur koi payment naheeN ki.
kaha jata hai k yeh hazrat Quad e Azam ki zindahgi ka turning point sabit howa. aur aap nay pahli martabah quran o sunnat k (off course english maiN ) pahli martabah strudy kia. aur yeh jannay ki koshish ki k islam kia hai........ iskay baad waqt bahut tezi say agay baRhta raha... aap nay pahlay congress join kia aur hindu muslim ittehaad k dayee rahay lekin jald hi woh hindu zahniat ko bhaaNp gaye aur muslim league join karli. congress maiN bhi Aap iss motalebay k haqq maiN thay k angraiz india ko indians k hawalay karkay yhaaN say chalay jayaiN. aur muslim league maiN aanay k baad to woh hindu aur angrez dounouN say indian muslim k aik alag miulk k liyeh zabardast fight ki.
iss dauraan aap nay english dress tak turk kardia aur TooTi phooTi urdu bhi seekhnay ki koshish ki.........iss dauran indian muslims k aik wakeel ki hasiyat say aap nay muslims qaum ki bahrpoor wakalat ki aur pakistan hasil kar dekhaya.... iss dauran onhoun nay baarha kaha k woh muslims k liyeh aik aisa alag watan hasil karna chaahtay haiN jahaaN muslims islam k motabiq apni zindagi basar karsakaiN.
iss tanazur main baaz ulamaa.ay deen ko quad azam ki deeni baseerat par tahafuzzat thay jinka onhouN nay barmala ezhaar bhi kia. baaz group tahreekay pakistan say laa.talluq rahay. aur baaz nay mokhalfat bhi ki. lekin muslim qaum ki bharee aksariyat nay aap ka saath dia.
ab aisay maiN hazrat quaed azam ki zamanah jahliat wali zindagi k kissi kamzore pahloo par ungli otha kar koi onhaiN ghair muslim qarar deta hai to woh dar haqeeqat apni kam baseerati ka ezhaar karta hai. deoband say motalliq ulema e karam ka haalia bayaan mahaz indian govt ko khush karnay k liyeh hai. aur quad e azam k hawalay say onkay point of view ki nah to zaroorat hai aur nah ahmiat.
Abu Adnan
Aug 31 2005, 01:59 PM
| QUOTE (FarOOqi @ Aug 31 2005, 01:17 PM) |
Assalam-o-alaikum,
there are 2 groups in Ulma of Deoband regarding creation of Pakistan....
Maulana Ashraf Ali Thanwi(ra), Maulana Shabbir Ahmed Usmani(ra), Maulana Zafar Ahmed Usmani(ra) contributed their best in the Pakistan Movement....
inn Ulma kee inhee khidmaat kee waja sey oos waqt kee Muslim League kee nazar maen inn kee bohat qadar thee.... isee liyay East and West Pakistan maen sab sey pehlay Pakistan ka jhanda inhee Ulma kay hathon lehraya gaya....
as far as the life of Muhammad Ali Jinnah is concerned.... unn kay baray maen mukhtalif baataen mashoor haen ya kee gaee haen, jinhaen log books maen bhee likhtey rahay haen....
wo jo bhee thay, ubb nahee haen... Allah kay paas haen....hamaray yahan kuch bhee kehnay sey unhaen kuch asar nahee paRay ga chahay wo jaisee bhee halat maen hon...
hamaen tu ubb dekhna hay kay aaj kal kya ho raha hay,,,,,
waisay kamil_sarfaroosh bhai !! kya yay aaj kay akhbaar maen hay ... ??
wassalaam, farooqi. |
well said bhai ... lekin kissi fard ko oskay zamanah e jaahiliat ka maal ki bunyaad par mal'oon nahee kia jasakta ... dekhna yeh chahiyeh k jab woh fard as a muslim, balkay kaRoRouN muslims k leader k taur par saamnay aayaa to oska amal kia tha. kia tahreekay pakistan k dauraan bhi Quad e Azam zamanah jahliat wali zindagi basar kartay thay ya onhouN nay apnay life style maiN tabdeeli lay aaye thay. aur islam k baray maiN onka point of view kia tha ... kia onhouN nay kabhi apnay mokhalif olemaa k khelaaf bhi kuch kaha. yeh sahee hai k woh koi islamic scholar nah thay... iskay bawajood aap aik islami reyasat k qayam par yaqeen rakhtay thay. aap ka anjaam as a muslim howa. yehi wajah hai k khud aap kay qaadyani wazeray khaarjah nay aap ki namazay janazah maiN shirkat naheeN ki....... wagarnah Aap agar apnay aabaayee deen par qaim rahtay to shayad aisa nah hota.
Salman4u
Aug 31 2005, 03:40 PM
DaveBbandi maslak k kafi ulma Quaid e Azam k baray main ye remarks day chukay hain k wo musalman nahain thay aur jamat e islami nay bhe qaiyama e pakistan k waqt aur aus k badd quaid e azam ko kafir karar diya thaa
FarOOqi
Aug 31 2005, 03:44 PM
Assalam-o-alaikum,
maen ney NET per kaafi search kiya.... mager mujhay yay interview ya khabar nahee mil paaee hay.... maen iss khabar kay ooper dee gaee date per ghor nahee kiya thaa, iss liyay pehlee post maen date ka poocha tha....
iss kee authenticity ko check karnay kee zaroorat hay...kay kya exact yehee alfaaz kahay gaey haen... maen koshish ker raha hoon kay yay news mujhay kaheen aur bhee mil jaen.. phir Darul Uloom kee website kay through unhaen email kar kay poochoon ga..
wassalaam,
farooqi.
Salman4u
Aug 31 2005, 03:58 PM
| QUOTE (FarOOqi @ Aug 31 2005, 10:44 AM) |
Assalam-o-alaikum,
maen ney NET per kaafi search kiya.... mager mujhay yay interview ya khabar nahee mil paaee hay.... maen iss khabar kay ooper dee gaee date per ghor nahee kiya thaa, iss liyay pehlee post maen date ka poocha tha....
iss kee authenticity ko check karnay kee zaroorat hay...kay kya exact yehee alfaaz kahay gaey haen... maen koshish ker raha hoon kay yay news mujhay kaheen aur bhee mil jaen.. phir Darul Uloom kee website kay through unhaen email kar kay poochoon ga..
wassalaam, farooqi. |
farooqi bhai ye fake news nahain hai aur na he fake akhbar hai ye n.n i KEE NEWS HAI JO EK bardi news agency hai aur is main jo words use keay gay hain aus main hairat na karain dear kyun k main khodo pard chuka hoon k quaid e azma k baray main Ullma e daveband k ye he wichar hain.
Aur ABUULLAH MOUDOODI Sahab k bhe main nay hazrat e quaid e azam k baray main khaiyalat pardhay hain jo main abhi y ahan batana munasib nahain samjhta kyun k hum nay aur aap nay aagay ka acha socha hai is leay thordi aehteyat kar ni ho gee main nay ab aur jamat e islami kee raay bhe quaid e azam k baray main bhe ye he thee
kamil_surfaroosh
Aug 31 2005, 08:23 PM
yeh news mai nai daily ummat sai li thi
aur farooki bhai app nai yahan jo ulema kai naam liye hain wo theek hain magar zara batain gai kai Molana Shabbir Usmani kai saath pakistan bunnai kai baad kia hoa tha ???
hapy
Sep 1 2005, 02:20 AM
| QUOTE (Salman4u @ Aug 31 2005, 03:40 PM) |
| DaveBbandi maslak k kafi ulma Quaid e Azam k baray main ye remarks day chukay hain k wo musalman nahain thay aur jamat e islami nay bhe qaiyama e pakistan k waqt aur aus k badd quaid e azam ko kafir karar diya thaa |
Salman
KM
Aap kis masliak sey ta-alluk rakhtey hain?
hapy
Sep 1 2005, 02:21 AM
Ye bhi bata dain key aap key pir Atlaf kis maslak sey hain
Daylight
Sep 1 2005, 03:55 AM
| QUOTE (hapy @ Sep 1 2005, 02:20 AM) |
Salman
KM Aap kis masliak sey ta-alluk rakhtey hain? |
doest it matter???
the thing here is not discussing the maslak of someone special but seeing what a maslak has its views about quaid and pakistan.
jasoos
Sep 1 2005, 06:24 AM
I think that creation of pakistan was a mistake and a conspiracy by the British and their agent muhammad ali jinnah to divide the muslims of the subcontinent in three parts. Look at pakistan, it has always ben the slave of western powers and it always remain so because they are the ones who created it and not to mention bangladesh who is the slave of hindus.
kamil_surfaroosh
Sep 1 2005, 07:05 AM
| QUOTE (hapy @ Sep 1 2005, 02:21 AM) |
| Ye bhi bata dain key aap key pir Atlaf kis maslak sey hain |
FarOOqi
Sep 1 2005, 09:55 AM
| QUOTE (kamil_surfaroosh @ Aug 31 2005, 03:23 PM) |
yeh news mai nai daily ummat sai li thi aur farooki bhai app nai yahan jo ulema kai naam liye hain wo theek hain magar zara batain gai kai Molana Shabbir Usmani kai saath pakistan bunnai kai baad kia hoa tha ??? |
Assalam-o-alaikum,
Kamil_sarfaroosh bhai ! i know kay yay news Daily Ummat sey lee gaee hay.... na hee maira yay yaqeen hay kay 100% yay jhooti khabar hay.... but maen mazeed tehqeeq kee gharz sey aur asal baat, chahay wo yehee ho ya kuch aur, maloom karnay kee gharz sey iss news ko aur jaga bhee talash ker raha hoon...
aur Inshallah aaj Darul Uloom kee website kay through unhaen email bhee karoon ga iss khabar kay tarashay kay sath.....
wassalaam,
farooqi.
Daylight
Sep 1 2005, 04:04 PM
| QUOTE (jasoos @ Sep 1 2005, 06:24 AM) |
| I think that creation of pakistan was a mistake and a conspiracy by the British and their agent muhammad ali jinnah to divide the muslims of the subcontinent in three parts. Look at pakistan, it has always ben the slave of western powers and it always remain so because they are the ones who created it and not to mention bangladesh who is the slave of hindus. |
SubhaanAllah.........
Zara jaa ker hindustan mein musalmaano ki haalat dekhiye aur batain ke agar aik hi mumlikat rehti to kya achha hota???
Shaid aapko hinduon ke saaye talay rehna pasand hai........ya shaaid hinduism ke qawaneen aapkay nazdeek islam se ziada aham hain.......
Pakistan iss liye banaya gaya tha ke aik alag mumlikat musalmaano ki qaim ho ta ke uss mein islami qawaneen naafiz ho sakain....agar ab tak nahin bhi huway to umeed to rakhi jaa sakti hai ke naafiz ho jaain gay iss liye ke sab yahan musalmaan hain aur wo dil se bhi aisa chahtay hain....laikin hindustan mein aisa hona na-mumkin hai ya aapko wahan koi imkaan nazar aa raha hai???
Baat ye hai ke aap islam ko deen yani aik nizam e hayaat nahin balkeh sirf chand rasoom ka mazhab samajhtay hain......
Islam ke nifaaz ke liye pehli shart alag musalmaan mumlikat ka qayaam hai......phir doosri stage hai wahan islami qawaneen ko naafiz kerna......chalo humne aik stage to poori ker li , doosri bhi ker lein gay laikin hindustan mein hinduon ke neechay rehtay to pehli stage tak hi na pouhanch paatay.......
Hazoor(PBUH) ne pehli stage poori ki madina mein islami mumlikat ke qayaam se, aur doosri stage poori ki wahan islami muashray aur qawaneen ke qayaam se......laikin ab wahan baadshahat qaim hai....iska matlab hai ke Rasool(PBUH) ka wo saara kaam , saari tago dao zaaya thi aur aap (PBUH) bilawajah ye sab taraddud kertay rahay jabke aaj koi bhi sahi islami mumlikat nahin hai.....
Agar hum buray hain ya humne kisi cheez ka sahi istemaal nahin kya to iska wabaal hum par hai na ke un par jinhon ne hamein wo cheez laa ker di........
Allah ne hamari taraf Quran bhaija laikin humne uska ghalat istemaal kya ya istemaal kya hi nahin aur aaj buri haalat mein hain to aapko ye bhi kehna chaahiye ke maazallah Allah bhi kisi ke agent hain ke hamein alag se aik kitab di araam se hamein christian rehne detay aur hum bhi taaqat haasil ker letay muslim ban ker divide to na hotay na.
FarOOqi
Sep 1 2005, 06:16 PM
| QUOTE |
| Agar hum buray hain ya humne kisi cheez ka sahi istemaal nahin kya to iska wabaal hum par hai na ke un par jinhon ne hamein wo cheez laa ker di........ |
bilkul sahee.
... jin logon ney mehaz Islami Nizam kay nifaz kay liyay qurbaniyan dee theen... ager roz-e-qayamat unhon ney hum sey pooch liya kay hum ney apnay hissay ka kaam kiya ya nahee....... kya jawab dey sakaen gey hum........wassalaam,
farooqi.
jasoos
Sep 1 2005, 07:49 PM
| QUOTE (Daylight @ Sep 1 2005, 11:04 AM) |
SubhaanAllah......... Zara jaa ker hindustan mein musalmaano ki haalat dekhiye aur batain ke agar aik hi mumlikat rehti to kya achha hota??? Shaid aapko hinduon ke saaye talay rehna pasand hai........ya shaaid hinduism ke qawaneen aapkay nazdeek islam se ziada aham hain.......
Pakistan iss liye banaya gaya tha ke aik alag mumlikat musalmaano ki qaim ho ta ke uss mein islami qawaneen naafiz ho sakain....agar ab tak nahin bhi huway to umeed to rakhi jaa sakti hai ke naafiz ho jaain gay iss liye ke sab yahan musalmaan hain aur wo dil se bhi aisa chahtay hain....laikin hindustan mein aisa hona na-mumkin hai ya aapko wahan koi imkaan nazar aa raha hai???
Baat ye hai ke aap islam ko deen yani aik nizam e hayaat nahin balkeh sirf chand rasoom ka mazhab samajhtay hain......
Islam ke nifaaz ke liye pehli shart alag musalmaan mumlikat ka qayaam hai......phir doosri stage hai wahan islami qawaneen ko naafiz kerna......chalo humne aik stage to poori ker li , doosri bhi ker lein gay laikin hindustan mein hinduon ke neechay rehtay to pehli stage tak hi na pouhanch paatay.......
Hazoor(PBUH) ne pehli stage poori ki madina mein islami mumlikat ke qayaam se, aur doosri stage poori ki wahan islami muashray aur qawaneen ke qayaam se......laikin ab wahan baadshahat qaim hai....iska matlab hai ke Rasool(PBUH) ka wo saara kaam , saari tago dao zaaya thi aur aap (PBUH) bilawajah ye sab taraddud kertay rahay jabke aaj koi bhi sahi islami mumlikat nahin hai.....
Agar hum buray hain ya humne kisi cheez ka sahi istemaal nahin kya to iska wabaal hum par hai na ke un par jinhon ne hamein wo cheez laa ker di........
Allah ne hamari taraf Quran bhaija laikin humne uska ghalat istemaal kya ya istemaal kya hi nahin aur aaj buri haalat mein hain to aapko ye bhi kehna chaahiye ke maazallah Allah bhi kisi ke agent hain ke hamein alag se aik kitab di araam se hamein christian rehne detay aur hum bhi taaqat haasil ker letay muslim ban ker divide to na hotay na. |
bhai sahib, hindustani musalmaanon ki jo haalat hai uss mein partition ka kaafi haath hai. aaj ager pakistan, india, aur bangladesh united hotay to mashallah mila ker 50 karore muslamaan hotay which wold have ben 35-40% of the population of the country aur kisi hindu ki jurrat na hoti ke muslims ki taraf aankh utha ker daikhay. aap hinduon ke saye mein rehnay ki baat kertay hain lekin yeh bhool gaye ke pakistan pichlay 50 saal se kaafir ki ghulaami kerta aa raha hai aur imkaan yehi hai ke hum hamesha ghulam hi rahain gay kyoonkay isis liye yeh mulk banay gaya tha. look at countries like iran, they have their own foreign policy, they do whats in their interest instead of taking orders from super powers , iss ko kehtay hain azaadi. mein pakistan ke khilaaf nahi blakay mein to chahta hoon ke pakistan islaami dunya ka leader banay lekin hum maazi mein bhi ghulaam rahay hain aur chances yeh hain ke future mein bhi rahay gay. aisi azaadi aur aisay mulk ka koi faida nahi jo ghulam rehnay ke liye banaya gaya ho.
hapy
Sep 2 2005, 05:34 AM
Jasoos bhai, Pakistan key musalman agar India main shamil ho bhi jaeen, to India ki HUGE hindu aabaadi key saamney dilute ho jaeen gey
Mulk Allah ki buhut bari ni'mat Aur oppurtunity hai, agar is ka sahi istemal kiya jaye. Jab Israel ka qiyaam amal main aaya tha to us ko aik artificial riyaasat kaha giya jo key wo hai bhi, saari dunya sey yahoodi, mukhtalif rang, nasl aur zubaan key ikhattey ker key laye gaye aur Arab population key dermiyaan rakh diye gaye. Aik sadyoon puraani, merti howi zubaan ko revive ker key national language banaya giya. Is key bawjood un ki commitment hai key Israel ko kaamyaab state banana hai jo unhoon ney bana diya, aur hum Pakistani apney drawing room main baith ker keh daitey hain, ye angraiz ki sazish thi, is ka yahi hona tha, very sad, siyaasi ikhtilaaf key bawjood, Jasoos bhai, main aap ko muhabb-e-watan samajhta hoon, aap sey mujhey is baat ki tawaqqu nahin thi
Daylight
Sep 2 2005, 12:27 PM
| QUOTE (jasoos @ Sep 1 2005, 07:49 PM) |
| bhai sahib, hindustani musalmaanon ki jo haalat hai uss mein partition ka kaafi haath hai. aaj ager pakistan, india, aur bangladesh united hotay to mashallah mila ker 50 karore muslamaan hotay which wold have ben 35-40% of the population of the country aur kisi hindu ki jurrat na hoti ke muslims ki taraf aankh utha ker daikhay. aap hinduon ke saye mein rehnay ki baat kertay hain lekin yeh bhool gaye ke pakistan pichlay 50 saal se kaafir ki ghulaami kerta aa raha hai aur imkaan yehi hai ke hum hamesha ghulam hi rahain gay kyoonkay isis liye yeh mulk banay gaya tha. look at countries like iran, they have their own foreign policy, they do whats in their interest instead of taking orders from super powers , iss ko kehtay hain azaadi. mein pakistan ke khilaaf nahi blakay mein to chahta hoon ke pakistan islaami dunya ka leader banay lekin hum maazi mein bhi ghulaam rahay hain aur chances yeh hain ke future mein bhi rahay gay. aisi azaadi aur aisay mulk ka koi faida nahi jo ghulam rehnay ke liye banaya gaya ho. |
| QUOTE |
| muslamaan hotay which wold have ben 35-40% of the population of the country aur kisi hindu ki jurrat na hoti ke muslims ki taraf aankh utha ker daikhay. |
Indian state Gujrat ke shehar ahmadabad mein musalmaan hinduon se ziada tadaad mein hain......wahan kya hua??? mera khiyaal hai ye batanay ki zaroorat nahin......
Partition se pehlay sab musalmaan ikathay thay hindustan mein tab musalmaano ki haalat kya thi??? kya aap maantay hain ke tab bhi kisi hindu ko jurrat na thi kisi musalmaan ki taraf aankh utha ker dekhne ki??? 1947 se pehlay bhi 40% ka kareeb musalmaan to hai hi thay hindustan mein tab wo kya thay??? tab wo jis pasti mein thay aaj ke hindustani musalmaan ussi pasti mein hain abhi tak.
| QUOTE |
| aap hinduon ke saye mein rehnay ki baat kertay hain lekin yeh bhool gaye ke pakistan pichlay 50 saal se kaafir ki ghulaami kerta aa raha hai aur imkaan yehi hai ke hum hamesha ghulam hi rahain gay kyoonkay isis liye yeh mulk banay gaya tha. |
Jinho ne pakistan banaya ya iskay qayaam ki koshish ki wo koi najoomi to na thay ke andaza laga letay ke hum jis watan ki bunniyaad rakh rahay hain wo baad mein kaisa ho ga........Jisne aik achhi cheez bana ker di aapko aap uss ko kaise bura keh saktay hain jabke uss cheez ki kharabi ke zimmadaar baad ke loag hain........ye to aisay hi hai ke aap kisi ko computer par koi ghalat cd dekhtay huway pakrein aur bajaye uss shakhs ko bura kehne ke aap computer ya uss computer ke bananay waalay ko bura kehne lag jaain......will it be reasonable???
Iss tarha to aapko ye bhi keh dena chaahiye ke tariq bin ziaad ko espain mein islami hakumat qaim nahin kerni chahaiye thi kyunke baad ke hukmarano ne uska jo hashar kya aur phir musalmaano ka jo hashar hua wo sab ko pata hai to kya aap isko tariq bin ziaad ki sazish keh saktay hain ke na wo espain mein islami mumlikat ka qayaam kerta na wahan musalmaan zaleel kiye jaatay......
Yes i agree with u ke aisay mulk ka koi faida nahin jahan ghulam ban ker raha jaaye laikin yahan aik chance to hai ke islami mumlikat qaim ho jaaye...india mein to aisa chance hi nahin tha........jaisay afghansitan ko dekhein 70's and80's mein wahan skirts aam thi , laikin wo musalmaano ka alag watan tha , wahan chance to hai tha aik islami mumlikat ke qayaam ka......aur taliban ne aa ker kuch thora bouhat kya bhi (agarche unhon ne bay-jaa ke sakhti aur kuch ghalat logon ka saath bhi haasil kya) laikin aik chance to hai tha aur ab bhi hai.......jaisay pakistan mein.........
Iqbal ji kya khoob farma gaye hain ke
paiwasta reh shajar se
umeed e bahaar rakh
Salman4u
Sep 2 2005, 04:02 PM
| QUOTE (FarOOqi @ Sep 1 2005, 04:55 AM) |
Assalam-o-alaikum,
Kamil_sarfaroosh bhai ! i know kay yay news Daily Ummat sey lee gaee hay.... na hee maira yay yaqeen hay kay 100% yay jhooti khabar hay.... but maen mazeed tehqeeq kee gharz sey aur asal baat, chahay wo yehee ho ya kuch aur, maloom karnay kee gharz sey iss news ko aur jaga bhee talash ker raha hoon...
aur Inshallah aaj Darul Uloom kee website kay through unhaen email bhee karoon ga iss khabar kay tarashay kay sath.....
wassalaam, farooqi. |
Assalam O Alikum
Farooqi Bhai !!
aqap daily ummat kee khabar ko jhoota bol rahay hain ? is say pehlay daily umamt jo bakta raha aap nay aus ko jhoota kyun nahain kaha ha lankay daily ummat sirf jhhot ka labada hai main janta hoon k wahan kiss kisam k reporters kaam kartay hain ...
Magar ye bhe haqiqat hai k jamae e islami k bani abbu ullah moudoodi nay quaid e azam ko kafir kaha thaa wo aun ko kafir e azam boltay thay ye tareekh bolti hai
Salman4u
Sep 2 2005, 04:04 PM
| QUOTE (hapy @ Aug 31 2005, 09:21 PM) |
| Ye bhi bata dain key aap key pir Atlaf kis maslak sey hain |
mujhay hansi aati hai aap kee soch par dost k baat jiss kee ho rahee ho kahan ke ho rahee ho kuch ho rahee ho aap asal topic say hut k altaf hussain pay aa jatay hain ab main aur kiya keh sakta hoon aap kee iss baat pay
FarOOqi
Sep 3 2005, 02:43 PM
| QUOTE (Salman4u @ Sep 2 2005, 11:02 AM) |
Assalam O Alikum
Farooqi Bhai !!
aqap daily ummat kee khabar ko jhoota bol rahay hain ? is say pehlay daily umamt jo bakta raha aap nay aus ko jhoota kyun nahain kaha ha lankay daily ummat sirf jhhot ka labada hai main janta hoon k wahan kiss kisam k reporters kaam kartay hain ...
Magar ye bhe haqiqat hai k jamae e islami k bani abbu ullah moudoodi nay quaid e azam ko kafir kaha thaa wo aun ko kafir e azam boltay thay ye tareekh bolti hai |
Assalam-o-alaikum,
hazrat !! maen ney kya likkha tha, read once again... shayad aap ko smajhnay maen ghalat fehmi hoee hay..
wassalaam,
farooqi.
FarOOqi
Sep 3 2005, 03:09 PM
Assalam-o-alaikum,
mujhay Naveedbcn bhai ney Email kee hay jis maen link diya hay aik news cutting ka jis sey pata chalta hay kay yay khabar ghalat aur jhooti thee... jis indian akhbaar ney yay khabar lagaee aur phir oos sey yay aagay phailee oos akhbaar ney MAAZRAT bhee ker lee hay kay khabar ko ghalat andaaz maen publish karaya gaya hay....
maen seperate topic maen isay post ker raha hoon,,,
wassalaam,
farooqi.
Salman4u
Sep 4 2005, 02:25 AM
Waisay jo bhe ho Abbu ullah Modoodi hazar baar quaid e azam ko kafir keh chukay hain
aur hindoo akhbar ko hum kyun burra kehan jhoota kehain hum to ummat kee baat karain gay aus nay hindoo akhbar ko kyun copy kiya
FarOOqi
Sep 5 2005, 09:48 AM
| QUOTE (Salman4u @ Sep 3 2005, 09:25 PM) |
Waisay jo bhe ho Abbu ullah Modoodi hazar baar quaid e azam ko kafir keh chukay hain
aur hindoo akhbar ko hum kyun burra kehan jhoota kehain hum to ummat kee baat karain gay aus nay hindoo akhbar ko kyun copy kiya |
Assalam-o-alaikum,
bilkul sahee.... bila tehqeeq khabaraen publish kar kay ghalat fehmion ko promote karna intehai ghalat baat hay..... atleast itnee serious baat ko confirm tu ker laina chahiyay thaa.....
wassalaam,
farooqi.
jasoos
Sep 10 2005, 01:57 AM
| QUOTE (hapy @ Sep 2 2005, 12:34 AM) |
Jasoos bhai, Pakistan key musalman agar India main shamil ho bhi jaeen, to India ki HUGE hindu aabaadi key saamney dilute ho jaeen gey
Mulk Allah ki buhut bari ni'mat Aur oppurtunity hai, agar is ka sahi istemal kiya jaye. Jab Israel ka qiyaam amal main aaya tha to us ko aik artificial riyaasat kaha giya jo key wo hai bhi, saari dunya sey yahoodi, mukhtalif rang, nasl aur zubaan key ikhattey ker key laye gaye aur Arab population key dermiyaan rakh diye gaye. Aik sadyoon puraani, merti howi zubaan ko revive ker key national language banaya giya. Is key bawjood un ki commitment hai key Israel ko kaamyaab state banana hai jo unhoon ney bana diya, aur hum Pakistani apney drawing room main baith ker keh daitey hain, ye angraiz ki sazish thi, is ka yahi hona tha, very sad, siyaasi ikhtilaaf key bawjood, Jasoos bhai, main aap ko muhabb-e-watan samajhta hoon, aap sey mujhey is baat ki tawaqqu nahin thi |
hapy bhai, pakistanis neither have self respect nor any shame. These guys wills sell their religion and their fathers/mothers anytime, anywhere, any place. Yae shru say begherat hain. They know that its these world federalists(Britain/US alliance) who created their country....( believe me the world federalisits had no love for Indian muslims...they created pakistan to keep Socialist ( Non-Aligned parast) gandhian/ nehru India in check....
I still love pakistan as its the country where I was born and raised but blindly rejecting open historical facts is not my cup of tea. Pakistan can still be saved if theres a revolution and feudals/army/mullas are overthrown. Tell me if pakistan is a free country, why there are still fuedals to rule over their subjetcs, why has the army ruled for more than half of its existence.
aap ko yeh baat shayad maloom na ho lekin hamarau buzorgon ne batayee hai ke pakistan ki movement UP(uttar pardesh) ke nawaabon aur upper class ne iss liye shuru ki kyoonkay unhain pata chal gaya tha ke nehru will end feudalism and take al their lands away. isi liye unhon ne muslims ke alag mulk ke liye tehreek shuru ki taakay apna econmic status barqaraar rakh sakain. iss movement ke liye support haasil kernay ke liye unhon ne islam ka naam liya haalankay maqsad sirf apni ujaaradari aur dominance barqaraar rakhna tha. pakistan mein sindh aur punjab ki feudal class bhi movement meiniss shart pe shaamil hoyee ke un ki jageerain un ke paas rahain gi kyoonkae woh bhi yeh dar rahay thay ke angraizon ke jootay chaat ke unhon ne jo zameenain lee hain woh azaadi ke baad nehru ki socialist govt. le ker kisaanon mein taqseem ker day gi. yaani ke pakistan banay hi isi liye gaya tha ke awaaam ko humesha ghulaam bana ke rakhkha jaye. qaud e azam ne yeh khud kaha tha ke meri jaib mein jitnay sikkay hain sub khotay hain(yaani ke other muslim league leaders). unhain bhi pakistna bananay ke baad andaaza ho gaya tha ke unhon ne ghlati ki thi.
kamil_surfaroosh
Sep 10 2005, 07:15 PM
| QUOTE (hapy @ Sep 2 2005, 05:34 AM) |
Jasoos bhai, Pakistan key musalman agar India main shamil ho bhi jaeen, to India ki HUGE hindu aabaadi key saamney dilute ho jaeen gey
Mulk Allah ki buhut bari ni'mat Aur oppurtunity hai, agar is ka sahi istemal kiya jaye. Jab Israel ka qiyaam amal main aaya tha to us ko aik artificial riyaasat kaha giya jo key wo hai bhi, saari dunya sey yahoodi, mukhtalif rang, nasl aur zubaan key ikhattey ker key laye gaye aur Arab population key dermiyaan rakh diye gaye. Aik sadyoon puraani, merti howi zubaan ko revive ker key national language banaya giya. Is key bawjood un ki commitment hai key Israel ko kaamyaab state banana hai jo unhoon ney bana diya, aur hum Pakistani apney drawing room main baith ker keh daitey hain, ye angraiz ki sazish thi, is ka yahi hona tha, very sad, siyaasi ikhtilaaf key bawjood, Jasoos bhai, main aap ko muhabb-e-watan samajhta hoon, aap sey mujhey is baat ki tawaqqu nahin thi |
hapy jee wakaye pakistan bahut bari naimat hai laikin pakistan indo pak kai tamam muselmano kai liye bana tha magar liakut ali khan ko shaheed kernai ka baad hi pakistan kai broders bund ker diye gaye thai kion ???
phir jab muselman minority mai hotay hoye 300 saal hindustan per hakumat ker sakttay hain to hindu kio nahi ker sakttay thay ?
yeh hai muselmano ki munafkat .ham ager minority mai bhi hoon to ham hakumat ker sakttay hain magar jo majority mai ho to ham mulk tornai ki baat kertay hain aur jo khoon baha 1947 mai muselmano ka to wo is liye baha kai ham nai hindustan ko tora ager ajj koi pakistan ko torna chahay to khoon nahi bahta kia ?
kia bungal jab pakistan sai alag hoa to khoon nahi baha tha ?
jasoos
Sep 11 2005, 10:29 AM
kamil sarfarosh bhai behes iss bat par nahi hai ke aaya hindu ki domination qubool ki jay ya nahi. of course as a muslim I wouldnt want hindus to dominate muslims even if muslims are2% .`muslim rule over india was in the best interest of muslims aur meray khayaal mein woh sahih tha. behes yeh ho rahi hai ke whther the partiton of britsih india was in the interest of muslims. mein samjhta hoon ke partition muslims ke nterest mein nahi tha. pakistan bananay ka maqsad subcontinen ke muslims ko tahaffuz farahm kerna tha lekin today we see that there are still 150 million muslims in india. to jab musims ne india hi mein rehna tha to partition hua kyoon. apni jageerain mehfoz rakhnay ke liye aur cold war mein USSR ke khilaaf US/Briatain ke kuttay ka kirdaar adaa kernay ke liye?mujhay to yehi vaajah samjh mein aati hai.
Salman4u
Sep 11 2005, 03:17 PM
| QUOTE (FarOOqi @ Sep 5 2005, 04:48 AM) |
Assalam-o-alaikum,
bilkul sahee.... bila tehqeeq khabaraen publish kar kay ghalat fehmion ko promote karna intehai ghalat baat hay..... atleast itnee serious baat ko confirm tu ker laina chahiyay thaa.....
wassalaam, farooqi. |
Thanks Farooqi Bhai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.