Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Gentlemen! Our Soul Are Not For Sale !
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
saima56
user posted image

to be continued
Salman4u
Ager aap nay isreal kee baat karni hai mazamat karni hai pak hukumat k halia ammal par to aap apnay lafzon main karain apni baat karain bich main jamati akhbar aur aus k naam nehad reporters ko na lay k aain

Kyun ye mazhabi jamatin sirf siyasat kar rahee hain is maslay pay aun kee siyasi gardi is say he chal rahee hai

Hamain bhe nafrat hai yahoodion k napak aazaim say aunhon nay jo kuch wahan kiya hai aur jo kar rahay hain aus pay hamri rooh kaamp jati hai saima ji

Magar ye siyasi tanzeemain jo bhe hain sirf is say apni siyasi gardi chalati hai siyasi dukan chamkati hain

apnay lafzon main k hul k mukhalfat karain mujhay beh hukumat ka ye ammal pasand nain aaya bilkul nain aaya magar aap k artical k jawab main main bhe aap ko ek artical peash kar raha hoon jo shahnawaz farooqi jaisay chaar aanay k reporter ka nain hai Roznama jang k ek bouhat barday sahfi ka hai jiss ka naam poori dunia janti hai

mulahiza farmain
Salman4u
Ye naam nehad mazhabi jamaton k kahareeday hooway char aanay k nama nehad sahfi jo sirf naam k shahnawaz hain in jaisay loug ger muklalfat kartay hain to sirf apni jeab k leay kyun k is say he in kee daal roti chalti hai

hamisha in naam nehad mazhabi jamaton nay sirf hum ko baywaqoof bana k hassas mamlat ko use kar k apni dukan chamkai hai

aur ab bhe qazi group ye he kar raha hai siyasi dukan chalanay k leay

Salman4u
QUOTE (saima56 @ Sep 4 2005, 10:11 AM)
user posted image

to be continued

user posted image
Salman4u
user posted image
saima56
user posted image
Salman4u
Ab bhe jasarat ab main kia bol sakta hoon aap ko leader bahi ka to main nay naam rakh diya hai Mr. Jasarat LOLZ.......
FarOOqi
Assalam-o-alaikum,

nice article by shahnawaz farooqi.... waisay same yehee atmosphere kuch arsey pehlay bhee tha jab Pakistan aur israel kay "achay" talluqaat ka shosha choRa gaya tha.... iss kee himayat aur mukhalfat maen likhnay walon ney khoob likkha thaa... mager phir iss issue ko background maen lay jaya gaya aur phir awaam ko doosrey issues maen uljha diya gaya.......

iss baat maen koi shak aur shubay kee gunjaaish hee nahee hay kay israael ko tasleem karnay ka maqsad ya oos kay sath "khushgawaar talluqaat" ka maqsad aur matlub yehee hay kay israel kee na-jaaiz qabzay ko sarzameen-e-Falasteen per "jaaiz" qarar dey diya gaya hay aur jo zulm-o-sitam Musalmaano per dhaaey haen israel ney, unhaen bhee "aaeni haisiyat" haasil ho gaee hay....

jo log yay kehtay haen kay arab mumalik ney bhee israel ko tasleem kiya hay tu hum bhe ker laen... tu wo yay hee bata daen kay arab mumalik ney jab sey israel ko tasleem kiya hay wahankya behtree aa gaee hay.... kya ubb bhee wahan sey israeli agents pakRay nahee jatey haen,,,, aur unn kay hukumrano kay baray maen wahan kay awam kya jazbaat rakhtey haen,,,,

maen ney pehlay bhee kaha tha kay pakistani govt. israel ko tasleem ker chukee hay..... kuch "ground realities" aesee haen jin kee waja sey filhaal aanounce nahee kiya ja raha hay...awaami radd-e-amal ka shayad khof hay.... aur iss sey zada shayad "fauji radd-e-amal" ka khof.... yay maira zati khayal hay... may be aesa na ho...

aur iss waqt PPP, PML, MQM, ANP etc. israel ko tasleem karnay kay favour maen haen balkay chahtey haen kay yay kaam jald az jald ho jaey... aur yaqeenan inn parties ko inn kay "tasks" dey diyay gaey hongay apnay apnay halqon maen logon kay zehan ko iss per amaada karnay kay liyay....

wassalaam,
farooqi.
saima56
user posted image
saima56
QUOTE (FarOOqi @ Sep 6 2005, 10:11 AM)

Walikum us salam,

farooqi bhai aik question joo aik forum per kissi na kia ka Akhir kya waja hai ka Israel pakistan jaisa Ghareeb aur maushi toor per kamzoor mulk ka saath talukaat karna mai itna interest dikha raha. akhir uss ka kya intrest hai ka woo apni koosishoo sa chatha hai ka koi tasleem kara na kara pakistan tasleem kar la aur iss zamn mai israel kii taraf sa koosishoo ka aap koo yaqeenan ilm hooga..
FarOOqi
QUOTE (saima56 @ Sep 6 2005, 05:56 PM)
Walikum us salam,

farooqi bhai aik question joo aik forum per kissi na kia ka Akhir kya waja hai ka Israel pakistan jaisa Ghareeb aur maushi toor per kamzoor mulk ka saath talukaat karna mai itna interest dikha raha. akhir uss ka kya intrest hai ka woo apni koosishoo sa chatha hai ka koi tasleem kara na kara pakistan tasleem kar la aur iss zamn mai israel kii taraf sa koosishoo ka aap koo yaqeenan ilm hooga..

Assalam-o-alaikum,

hummm.. kaafi saaray reasons ho saktey haen... kuch wo jo hum log bhee samajh skatay haen aur bohat saaray wo jin kee taraf hamara khayal nahee jaata...

ager aap current situation per ghor karaen tu israel iss waqt apnee iss koshish maen kamyaab ho chuka hay kay Pakistan kay baray maen deegar islami mulkon maen badgumaani phaila sakay...

Palestine maen pakistani iqdaam kay khilaf muzahira hoa, baaqi islami mulkon ko bhee hamaray hukumraan yay yaqeen dila rahay haen kay hum "kuch nahee ker rahay"... yay yaqeen dehanion kee zaroorat kyon mehsoos hoee...??

sirf aik iss mulaqaat sey islami dunya kay hukumraan jo pehlay hee apas maen 1 nahee haen... mazeed divide ho rahay haen... aur hukumrano sey zada khatarnaak baat hay kay muslim mumalik kay awaam bhee ubb pakistan kay baray maen badgumaani ka shikaar ho rahay haen...

aagay aagay dekhiyay hota hay kya....

wassalaam,
farooqi.
ahmar50pk
This is a thoughtful article by shahnawaz.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.