Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Forum Ko Open Hona Chahiye
HulChul.NET > UrduPoint / HulChul > Mashwaray, Tajaweez, Shikayat
Jahan Zaib
meri yeh admin se tajweez hai keh Hulchul forum ko baghair login ke open hona chahiye.
becasue login lainay kee zaroorat na rahey ta ke agar koi banda koi cheez dekhna chahe to waisay hi dekh sakey.
yeh iss liye hai keh login bhi to jo marzi chahe lay hi sakta hai,,,, so????

it is just my suggestion.
muskan_kaun
Admin ki marzi wo kuch bhi karain... 0-baby.gif
*DhanaK*
seniors to koi nazar hi naheen aarahe hain hc par
Abu Adnan
QUOTE (shafaq @ Sep 12 2005, 01:05 AM)
seniors to koi nazar hi naheen aarahe hain hc par

maiN houN naa 0-baby.gif ...

Jahan Zaib rose.gif

aap ki tajweez bahut maqool hai aur note kar li gayee hai ... insha Allah anqareeb aap ki tajweez par amal dar amad bhi hohayega.

wassalam
Jahan Zaib
Thanx for thinking about it.
Thanku.gif
*DhanaK*
QUOTE (Abu Adnan @ Sep 12 2005, 05:58 AM)
maiN houN naa 0-baby.gif ...

Jahan Zaib rose.gif

aap ki tajweez bahut maqool hai aur note kar li gayee hai ... insha Allah anqareeb aap ki tajweez par amal dar amad bhi hohayega.

wassalam

salaams Abuadnan bhai
yehi to likhne wali thee ke le de ke ek Abuadnan bhai morcha sambhaale the woh bhi nazar naheen aarahe hain
shukr hai hc mein jaan baaqi hai,,,aap ke dam se 390.gif
~!Fadi!~
QUOTE (shafaq @ Sep 13 2005, 02:35 AM)
salaams Abuadnan bhai
yehi to likhne wali thee ke le de ke ek Abuadnan bhai morcha sambhaale the woh bhi nazar naheen aarahe hain
shukr hai hc mein jaan baaqi hai,,,aap ke dam se 390.gif

mojoood tu hum bhi hain mager TALISMI CAP pehen k 0-baby.gif 0-blush.gif
Khalish
QUOTE (shafaq @ Sep 13 2005, 12:35 AM)
salaams Abuadnan bhai
yehi to likhne wali thee ke le de ke ek Abuadnan bhai morcha sambhaale the woh bhi nazar naheen aarahe hain
shukr hai hc mein jaan baaqi hai,,,aap ke dam se 390.gif

Salaam Behna rose.gif rose.gif

Dou teen din meiN meri chutti khatam hone waali hai .. waise

mar kar bhi qabr.e.Joosh se aati hai yeh sadaa
be.dard maiN ne tujh ko bhulaaya nahi hunooz !

DuaaouN meiN yaad rakhiye

*DhanaK*
QUOTE (~!Fadi!~ @ Sep 13 2005, 08:50 AM)
mojoood tu hum bhi hain mager TALISMI CAP pehen k 0-baby.gif 0-blush.gif

pyaare se chhote bhai
aapko kya pata mujhhe kitni khushi hui aapka reply dekh kar
aajkal to hc par mujhhe aisa hi lag raha tha ke toofaan mein kashti toot gayi hai aur ain ek takhte ke sahare doobne se bachne ki koshish mein hoon.
hope ke hc ke acche din phir bahaar ban ke laut aayein
khush rahein
*DhanaK*
QUOTE (Khalish @ Sep 13 2005, 10:19 PM)
Salaam Behna rose.gif rose.gif

Dou teen din meiN meri chutti khatam hone waali hai .. waise

mar kar bhi qabr.e.Joosh se aati hai yeh sadaa
be.dard maiN ne tujh ko bhulaaya nahi hunooz !

DuaaouN meiN yaad rakhiye

wa alaikum salaam Khalish bhai

aap ki "bahot badi si kami" 390.gif mehsoos kar rahi hoon

sher bahot hi khoob likha hai,waah

khush hoon aapke purkhuloos alfaz parhkar

khush rahein bahot
long live ham sab ke Khalish bhai 390.gif
Abu Adnan
QUOTE (shafaq @ Sep 14 2005, 07:23 AM)
pyaare se chhote bhai
aapko kya pata mujhhe kitni khushi hui aapka reply dekh kar
aajkal to hc par mujhhe aisa hi lag raha tha ke toofaan mein kashti toot gayi hai aur ain ek takhte ke sahare doobne se bachne ki koshish mein hoon.
hope ke hc ke acche din phir bahaar ban ke laut aayein
khush rahein

khazaaN - bahaar to zindagi ka aik naaguzeer cycle hai. yeh aik doosray k taaqub hi maiN rahtay haiN. kia iss khazaaN k baad bahaar naheeN aayegi. 390.gif
khan_amer
QUOTE (Abu Adnan @ Sep 14 2005, 07:16 AM)
khazaaN - bahaar to zindagi ka aik naaguzeer cycle hai. yeh aik doosray k taaqub hi maiN rahtay haiN. kia iss khazaaN k baad bahaar naheeN aayegi. 390.gif

kehtay haiN jub tuk "zindagi" hay "khizaan" aur "bahaar" aatay jatay haiN...

punjabi ka eak muharawa hay uss ka urdu tarjuma kuch youN hay.. "agr woh din nahi rahay tu yeh din bhi nahi rahaiN gay"

Abu Adnan
QUOTE (khan_amer @ Sep 14 2005, 11:49 AM)
kehtay haiN jub tuk "zindagi" hay "khizaan" aur "bahaar" aatay jatay haiN...

punjabi ka eak muharawa hay uss ka urdu tarjuma kuch youN hay.. "agr woh din nahi rahay tu yeh din bhi nahi rahaiN gay"

bilkul theek kaha aap nay bhai 390.gif lekin lagta hai kuch logouN ko HC maiN kahazaaN bahut pasand hai ... aaj aik sahab nay har section maiN bakwaas / gaaliyouN say pur posts sirf 15 mint maiN etni kardeeN k al.amaan o alhafeez. ittefaq say osswaqt sirf maiN aur Big B online thay. sab ko edit kartay kartya halkaan hogaye hum dounouN coz ittefaaq say dounouN ka net bahut slow chal raha tha. 0-16_angry.gif 0-16_angry.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.