Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Dagh Dagh Ujala
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
*RAJA*
user posted image
user posted image
yeh oss psot ka reply hai..jis main kaha ghiay tah keh deoband pakistan kay mukhilf tha.... duas.gif
Salman4u
Muhtaram Aap post karnay say pehlay thordi waja day lia karain sirf jazbat main aa k post ka reply na kar dia karain aus post main jiss nay bhe kee thee denaband maslak ko nahain kaha thaa k wo sara maslak mukhalif thaa devaeband maslak k chand ulma e ikram thay jin main ek kaa nam day diya gaiya thaa aur ek abbu ulla modoodi thaa jamat e islami ka founder jiss ka naam laytay hooway aaj jamat e islami bhe sharma jati hai Mouddi mukhalif thaa pakistan kee tameer ka aur wo devebandi thaa wahan post karnay walay nay ye nahain kaha thaa k devaebandi maslak mukhlaif tha
Salman4u
Aur i know k aap devebandi maslak k perokar hhain jub he aap doosray maslak k ulmma e ikram kee tohin main remarks daytay hain jaisa k aap nay ek topic pay kiya hai barailvi maslak k baray main aap kee post say mujhay idea ho he gaiya thaa aap devaebandi maslak k hain magar aaj sabit ho he gaiya bay shak apnay maslak pay qaim rehain magar doosray k maslak ko cherdn koi achee baat nahain hai
Salman4u
Aur aap kee ittla k leay arz karoon wo post kamil bhai nay apni marzi ya apnay pass say nahain lagai thee wo khabar ya interview ek davebandi akhbar main he shaya hoowa thaa umeed hai k aap kee taseeh ho gai ho gee 121.gif
*RAJA*
QUOTE (Salman4u @ Sep 13 2005, 07:55 PM)

Mouddi ka koi maslik nehi tah sub oss say khosh thay hahah.gif
or na hi wu kisi madrsay say farigh tha.......................
yeh algh baat keh phir bhi main oss kay liyeh aapny dil main.... achi soch rakhta houn..rakhta houn................. duas.gif duas.gif
*RAJA*
QUOTE (Salman4u @ Sep 13 2005, 08:02 PM)
Aur aap kee ittla k leay arz karoon wo post kamil bhai nay apni marzi ya apnay pass say nahain lagai thee wo khabar ya interview ek davebandi akhbar main he shaya hoowa thaa umeed hai k aap kee taseeh ho gai ho gee 121.gif

umaat or deoband lol hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif
*RAJA*
QUOTE (Salman4u @ Sep 13 2005, 07:58 PM)
Aur i know k aap devebandi maslak k perokar hhain jub he aap doosray maslak k ulmma e ikram kee tohin main remarks daytay hain jaisa k aap nay ek topic pay kiya hai barailvi maslak k baray main aap kee post say mujhay idea ho he gaiya thaa aap devaebandi maslak k hain magar aaj sabit ho he gaiya bay shak apnay maslak pay qaim rehain magar doosray k maslak ko cherdn koi achee baat nahain hai

hello mqm main nay aaj tak berelvi maslik ko nehi chra mera pasandida mashghla hai shia suni baqi maslik say mujeyh koi gharz nehi.............. ju jhan hai sanu ki......................................aap meri oss post ka link tu dain hahah.gif HC main shia kay khiaf Raja hi milay milay gha......................
baqiyoun kay mutalik main taqiya kar leta houn hahah.gif hahah.gif hahah.gif keh sanu ki.......................... dunno.gif [SIZE=14]
or sach yeh hai.................................................
mera koi maslak nehi mera maslak yeh hai izaat karo izaat karwaou duas.gif qiyamaat waly din sub pata chal jyeh gha duas.gif
Salman4u
QUOTE (*RAJA* @ Sep 12 2005, 09:05 PM)
umaat or deoband lol hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif

Kissi say boleay ga nahain ye baat jo itna hans rahay ahin warna wo aap pay hansay ga hazrat ummat devabandi akhbar he hai shaid aap ke emaloomat ka kota bouhat mehdood hai hahah.gif 0-baby.gif
Salman4u
QUOTE (*RAJA* @ Sep 12 2005, 09:03 PM)
Mouddi ka koi maslik nehi tah sub oss say khosh thay hahah.gif
or na hi wu kisi madrsay say farigh tha.......................
yeh algh baat keh phir bhi main oss kay liyeh aapny dil main.... achi soch rakhta houn..rakhta houn................. duas.gif duas.gif

WOW Gerat Nice Jocke K Mouddi deavebandi nahain thaa ab aap say kia kahoon main kia baat karoon aap ko ye he nahain maloom k moudoodi davebandi thaa lolzzzzzzzzz jain ji hum aap say baat nahain kartay aap kissi barday ko lay k aain bhai jiiiiiiiiiii
*RAJA*
QUOTE (Salman4u @ Sep 13 2005, 08:12 PM)
Kissi say boleay ga nahain ye baat jo itna hans rahay ahin warna wo aap pay hansay ga hazrat ummat devabandi akhbar he hai shaid aap ke emaloomat ka kota bouhat mehdood hai hahah.gif 0-baby.gif

aab main aap par hansoun gha..............................
aab suno or ghor say sunoooooooooo
JIS KI SALWAR KAY PANCHAY OPER HOWAY WU WAHBI..................
DEBAND BHI YEHI KARTAY HAIN.....................................JIS KI DHARI BARI WU WAHBHI...YEH DEBAND BHI KARTYA HAIN.......................................
JIMAAT ISLAMI KA DEOBNAD SAY KOI RISHTA NEHI..........
BUT AQAID MAIN WU TUHIDI HAIN.............. AAAP KEH SAKTY HAIN DEOBAND KAY QAREEB HAIN BUT THEY R NOT DEOBNAD breakface1.gif breakface1.gif breakface1.gif

JIMAAT ISLAMI WALY TASVEER OTARTAY PIRTYA HAIN..................
MUJYEH MULANA TAQI USAMINI KI KOI PIC DIKAH DAIN MULNA YUSAF LUDHANIVI KI KI KOI PIC DIKAH DAIN..(PASPORT PIC KAY ILAWA)
OR TALIBAN KA MULA OMER JIS KI PIC KAY LIEYH SARI DUNIYA hahah.gif hahah.gif WU BANDA 5 SAAL HAKOMAAT MAIN RAHA BUT PIC..... hahah.gif hahah.gif KHIYALI BINATY JAOOOOO hahah.gif hahah.gif
AAB MULNA FAZIL REHMAN ETC KI PIC AAP NAY NEHI DIKHANI........................... WU SUB SIYASI LOGH HAIN................. hahah.gif
*RAJA*
QUOTE (Salman4u @ Sep 13 2005, 08:16 PM)
WOW Gerat Nice Jocke K Mouddi deavebandi nahain thaa ab aap say kia kahoon main kia baat karoon aap ko ye he nahain maloom k moudoodi davebandi thaa lolzzzzzzzzz jain ji hum aap say baat nahain kartay aap kissi barday ko lay k aain bhai jiiiiiiiiiii

LOL
OK SABIT KRAIN MULNA DEBAND SAY FARIGH THAY.............. duas.gif
MERAY BARY TU..................... PAK MAIN HAIN MAIN HOUN EUROP ................
MAIN....................
OR OR MERAY WALDEEN TU HAIN HI NEHI ISS DUNIYA MAIN..............
NEXT MONTH MERI OMER 40 SAAL HO JAYHE GHI.............................. KIAY AAP BHI 40 KAY HO JAIN GHIAN./............? krakrani.gif
Salman4u
QUOTE (*RAJA* @ Sep 12 2005, 09:22 PM)
aab main aap par hansoun gha..............................
aab suno or ghor say sunoooooooooo
JIS KI SALWAR KAY PANCHAY OPER HOWAY WU WAHBI..................
DEBAND BHI YEHI KARTAY HAIN.....................................JIS KI DHARI BARI WU WAHBHI...YEH DEBAND BHI KARTYA HAIN.......................................
JIMAAT ISLAMI KA DEOBNAD SAY KOI RISHTA NEHI..........
BUT AQAID MAIN WU TUHIDI HAIN.............. AAAP KEH SAKTY HAIN DEOBAND KAY QAREEB HAIN BUT THEY R NOT DEOBNAD breakface1.gif breakface1.gif breakface1.gif

JIMAAT ISLAMI WALY TASVEER OTARTAY PIRTYA HAIN..................
MUJYEH MULANA TAQI USAMINI KI KOI PIC DIKAH DAIN MULNA YUSAF LUDHANIVI KI KI KOI PIC DIKAH DAIN..(PASPORT PIC KAY ILAWA)
OR TALIBAN KA MULA OMER JIS KI PIC KAY LIEYH SARI DUNIYA hahah.gif hahah.gif WU BANDA 5 SAAL HAKOMAAT MAIN RAHA BUT PIC..... hahah.gif hahah.gif KHIYALI BINATY JAOOOOO hahah.gif hahah.gif
AAB MULNA FAZIL REHMAN ETC KI PIC AAP NAY NEHI DIKHANI........................... WU SUB SIYASI LOGH HAIN................. hahah.gif

hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif hahah.gif Array raja ji itna na hansain peat main dard ho jaay ga hans hans k raja bhai jiiiiiiii kia nishani batai hai aap nay davebandion aur wahabion kee lolz........ shalwar k painchon say ab pata chalay ga k kon davebandi hai kon nahain hahahahahahahaha raja bhiya plz itna na hansain dear aur plz kitabon ka mutala kia karain sirf jazbati baten na kia karain aur jahan tak aap nay tasaweer kee baat kee hai to tasawer aur bhe maslak aesay hain jin k ulma nahain banwatay samjhay aap jin main ahelay hadees aur barilvi bhe aesay hain tasaweer banwanay say ya na banwanay say baralvi ya davebandi kee nishani aaj daikh raha hoon aap thorday jazbat hain bhai aur shaid aap abhi student hai kissi school k i m right ? to bhai plz pehlay apna mushaida aur mutala bardhain shalwar k painchay main bhe namaz k waqt opper rakhta hoon bhai ab maira maslak kia hoowa is say ? hahah.gif
Salman4u
QUOTE (*RAJA* @ Sep 12 2005, 09:29 PM)
LOL
OK SABIT KRAIN MULNA DEBAND SAY FARIGH THAY.............. duas.gif
MERAY BARY TU..................... PAK MAIN HAIN MAIN HOUN EUROP ................
MAIN....................
OR OR MERAY WALDEEN TU HAIN HI NEHI ISS DUNIYA MAIN..............
NEXT MONTH MERI OMER 40 SAAL HO JAYHE GHI.............................. KIAY AAP BHI 40 KAY HO JAIN GHIAN./............? krakrani.gif

Mujhay sabit karnay kee koi zarooat nahain hai bhai aur sorry aap 40 years k hain sorry main aap ko school student samjha thaa bhai mafi chahta hoon

aur main nay is baray main aur behas nahain karni hai dunia janti hai k moudoodi kiss maslak ka thaa aur davebandi mdarsi main aus kee tasanif pardhai jati hain k nahain ab is baat pay main aap say behas nahain karna chahta

take care tata Allah Hafiz
*RAJA*
QUOTE (Salman4u @ Sep 13 2005, 08:35 PM)
Mujhay sabit karnay kee koi zarooat nahain hai bhai aur sorry aap 40 years k hain sorry main aap ko school student samjha thaa bhai mafi chahta hoon

aur main nay is baray main aur behas nahain karni hai dunia janti hai k moudoodi kiss maslak ka thaa aur davebandi mdarsi main aus kee tasanif pardhai jati hain k nahain ab is baat pay main aap say behas nahain karna chahta

take care tata Allah Hafiz

OPER KAY REPLY KO MAIN CHOR RHA HOUN...............................KIYA DEOBNAD MADRIS MAIN MIAN MULNA KI TASNEEF PARHAI JATI HAIN KOI SABOOT...................... duas.gif duas.gif
SABOPOOOT?
FarOOqi
Assalam-o-alaikum,

kis baat per itnee saari posts ho gaee haen... 0-18_crazy.gif ..

waisay salman bhai !! maududi sahab aur Darul Uloom Deoband ka koi talluq nahee hay hay.. na wo wahan teacher thay na hee student thay aur na hee unn kee books Deoband maktaba fiker kay Deeni Madaris maen paRhaee jatee haen...

yaqeen na aaey tu ja ker dekh leejiyay.. "haqqul yaqeen" aur "aenul yaqeen" sey zada aur kya offer ker sakta hoon aap ko. rose.gif

wassalaam,
farooqi.
Salman4u
QUOTE (FarOOqi @ Sep 13 2005, 01:50 PM)

Walikum Salam

Bhai Main nay Darul Uloom Deoband ka naam nahain liya han jamat e islami k zeray intezam jo madaris chaltay hain aun k baray main kehna chah raha hoon aur raji ji to ye mannay ko he taiyar nahain hain k jamat e islami walay davebandi hain ya aus maslak k manay walay hain meri assal behas aun say ye ho rahee thee aur aus baat pay jo bachkana misal aunhonn ay davebandi k baray main dee k davebandi kon hotay hain wo shalwar k painchon say davebnadi kee misal day rahay hain lolz
Daylight
Raja bhai tareekh ko koi badal nahin sakta.......aur ye aik tareekhi haqeeqat hai ke agar chand aik deoband ke ulama ne tehreek e pakistan mein shamooliyat ikhtiyaar ki thi to bouhat saaray balkeh aksarriyati ulama aisay thay jo tehreek e pakistan ke shadeed mukhalif thay aur deoband waalay chand naam le ker bakiyun ki mpakistan mukhalfat par parda nahin daal saktay.....

Maulana hussain ahmad madni kon thay??? jitni shadeed pakistan ki mukhalfat inki taraf se hui utni to himayat kisi deobandi ne nahin ki ho gi, yahi wo sahib hain jinhon ne deoband ke platform se quaid e azam ko kaafir e azam kaha tha.........phir maulana mufti mehmood sahib kon thay??? haqeeqat ye hai ke aap aur ulama e deoband sab jaantay hain phir bhi jamaat e islami ki tarha apni pakistan mukhalif baaton par parda daalna chahtay hain.........
Salman4u
QUOTE (Daylight @ Sep 13 2005, 09:57 PM)

Assalam O Alikum

Ye he main bhe raja sahab say kehna chah raha thaa aur samjhna chah raha thaa magar wo to just bachlana baat karnay lagay jiss pay sirf hansi he aati hai wo to jamat e islami ko davebandi nahain mantay moudoodi ko davebandi nahain mantay wo savebandi kee pehna just shalwar k painchon say bata rahay hain lolz...... jub he main nay raja bhai ko ghalat samjha k wo school student hain magar jub aunhon nay apni age 40 year batai to bardi hairat hoi mujhay
Salman4u
QUOTE (FarOOqi @ Sep 13 2005, 01:50 PM)
Assalam-o-alaikum,

kis baat per itnee saari posts ho gaee haen... 0-18_crazy.gif ..

waisay salman bhai !! maududi sahab aur Darul Uloom Deoband ka koi talluq nahee hay hay.. na wo wahan teacher thay na hee student thay aur na hee unn kee books Deoband maktaba fiker kay Deeni Madaris maen paRhaee jatee haen...

yaqeen na aaey tu ja ker dekh leejiyay.. "haqqul yaqeen" aur "aenul yaqeen" sey zada aur kya offer ker sakta hoon aap ko. rose.gif

wassalaam,
farooqi.

Phir aap nay insaf main dandi maar dee na farooqi bhai meri point note kar lia magar hazrat e raja ka nahain k wo davebandion kee kitni bachkana pehchan batarahay hain k shalwar k painchon say lolz..... aur kia aap raja ji ke ebaat kee taseeh nahain karain gay k wo far ma rahay hain k jamat e islami walay davebandi maslak k manay walay nahain hain ?
FarOOqi
Assalam-o-alaikum,

brother salman, u said..

Walikum Salam

QUOTE
Bhai Main nay Darul Uloom Deoband ka naam nahain liya han jamat e islami k zeray intezam jo madaris chaltay hain aun k baray main kehna chah raha hoon aur raji ji to ye mannay ko he taiyar nahain hain k jamat e islami walay davebandi hain ya aus maslak k manay walay hain meri assal behas aun say ye ho rahee thee aur aus baat pay jo bachkana misal aunhonn ay davebandi k baray main dee k davebandi kon hotay hain wo shalwar k painchon say davebnadi kee misal day rahay hain lolz

jo Deeni Madaris Jamat-e-Islami kay zair-e-intezaam chal rahay haen wahan per maududi sahab kee books ka paRhaya jana koi hairat angez baat nahee hay, wo unhaen apna leader mantey haen... so wo paRhatey bhee haen... aur aap kee information kay liyay arz hay kay jamat-e-islami kay zair-e-intezam chalnay walay madaris ka alag board hay aur Deoband maktaba-e-fiker kay zair-e-intezaam chalnay walay Deeni Madaris ka alag board hay... rose.gif

aur janab-e-waala... raja bhai sahee keh rahay haen...maududi sahab ko aap "deobandi" keh rahay haen, jabkay wo nahee thay..... ubb aap nahee maan rahay yay baat tu maen aur raja bhai zabardasti tu nahee ker saktey... aap na maanaen ... iss sey kya farq paRna hay...
haan ager aap iss sense maen unhaen "deobandi" keh rahay haen kay jamat-e-islami walay bhee "Deen" kay naam per "rasumaat" nahee kartey tu wo "deobandi" haen.... tu aap ka aesa sochna samajh maen aata hay(ager aesa hay tu)....

u said,
QUOTE
Phir aap nay insaf main dandi maar dee na farooqi bhai meri point note kar lia magar hazrat e raja ka nahain k wo davebandion kee kitni bachkana pehchan batarahay hain k shalwar k painchon say lolz..... aur kia aap raja ji ke ebaat kee taseeh nahain karain gay k wo far ma rahay hain k jamat e islami walay davebandi maslak k manay walay nahain hain ?

raja bhai kee "paainchon" waali misaal kee tashreeh unhee sey pooch leejiyay....

aur jamat-e-islami hee kya... aaj kal jo bhee "rasumaat" per amal nahee karta aur Deen kay her amal kay honay aur na honay ka suboot Huzoor(saw) aur Sahaba(rta) kee zindagi maen talash karta hay oos per label laga diya jata hay "yay tu deobandi/wahabi hay."....

shayad isee liyay aap bhee mixup ker rahay haen...

wassalaam,
farooqi.
FarOOqi
QUOTE (Daylight @ Sep 13 2005, 09:57 PM)
Raja bhai tareekh ko koi badal nahin sakta.......aur ye aik tareekhi haqeeqat hai ke agar chand aik deoband ke ulama ne tehreek e pakistan mein shamooliyat ikhtiyaar ki thi to bouhat saaray balkeh aksarriyati ulama aisay thay jo tehreek e pakistan ke shadeed mukhalif thay aur deoband waalay chand naam le ker bakiyun ki mpakistan mukhalfat par parda nahin daal saktay.....

Maulana hussain ahmad madni kon thay??? jitni shadeed pakistan ki mukhalfat inki taraf se hui utni to himayat kisi deobandi ne nahin ki ho gi, yahi wo sahib hain jinhon ne deoband ke platform se quaid e azam ko kaafir e azam kaha tha.........phir maulana mufti mehmood sahib kon thay??? haqeeqat ye hai ke aap aur ulama e deoband sab jaantay hain phir bhi jamaat e islami ki tarha apni pakistan mukhalif baaton par parda daalna chahtay hain.........

QUOTE
yahi wo sahib hain jinhon ne deoband ke platform se quaid e azam ko kaafir e azam kaha tha.......

reference please !

QUOTE
haqeeqat ye hai ke aap aur ulama e deoband sab jaantay hain phir bhi jamaat e islami ki tarha apni pakistan mukhalif baaton par parda daalna chahtay hain......

M.A.Jinnah kay rufaqa yaani muslim leaguee muhibb-e-watan thay..?

wassalaam,
farooqi.
Salman4u
Behas baykar hai is leay aap log manain gay nahain k jamat e silami walay davebandi maslak k man nay walay hain aap nahain manain g ay ye baat is leay fazool main main behas nahain karna chahta

Daylight
QUOTE
M.A.Jinnah kay rufaqa yaani muslim leaguee muhibb-e-watan thay..?

Jo loag masjid banatay hain ya masjid ke liye chanda detay hain kya wo sachay musalmaan hain??? ya kya unko muhib e deen kaha jaa sakta hai??? Aapko bhi pata hai aur mujhe bhi ke masajid ka qeemti samaan aur araaish o zaibaish ka kharcha wo shaikh sahib utha-tay hain jo din ke wakt sootar mandi mein lakhon ka najaaiz maal kamatay hain..........ya wo loag jinki zindagiyun mein dhoondne se bhi aapko islam na milay ga.....

Lehaza masjid bananay waalay aur jinkay paisay se masjid banti hai wo deen se mukhlis nahin, uss par amal paira nahin to iska matlab hai ke unko masjid bananay se roak dena chaahiye???

Pakistan ka tasavvur bhi aik masjid ka hi tha yani hinduon ke darmiyaan se nikal kar aik azad muslim mumlikat ka qayaam.........ab bajaye uss masjid ki tameer ke, aap masjid bananay waalon ko ghair mazhabi, laa-deeni, ghair muhib e watan qarar dena shuru ker dein to ye kahan ki aqalmandi ho gi.........aur issi base par aap masjid ki tameer mein rakawatein daalein to kya ye sensible baat ho gi???

Doosri baat ke muslim league ke aksarriyati loag muhib e watan hi thay..........teesri baat ke Leader aur uskay maqasid ko dekha jaata hai ye nahin ke agar leader ki party mein kuch loag ghalat hain to uss party ko hi bura kehna shuru ker diya jaaye jabke wo party aik naik maqsad ke liye kaam ker rahi ho.......
Munafiqeen to Hazoor(PBUH) ke zamanay mein bhi thay aur Quran mein unse khabardaar rehne ke liye bhi kaha gaya tha , to agar koi kotah-andaish iss base par Rasool(PBUH) ke mission ke khilaaf ho jaata ke janab aapki party mein kuch munafiqeen bhi shaamil hain lehaza mein aapkay aur aapkay maqsad ke khilaaf hon to kya ye theek hota???

QUOTE
reference please !

October 1945 mein Maulana Hussain Ahmad Madni ne Muslim League mein muslims ki shirkat ko haraam aur Quaid e azam ko kaafir e azam qarar detay huway aik fatwa shaaya kya tha. Iss fatway ka mudallal jawab Maulana Shabbir AHmad Usmani ne tehreer kiya jisko Jareeda "Rehbar e Deccan" (Hyderabad-Deccan) ne apni ishaat 29 october 1945 mein shaaya kya.
For reference See "Tehreek e Pakistan aur Nationalist Ulema" Page number 1012.

Hussain ahmad madni kon thay ye bhi sab sun lein........ye Jamiyyat al Ulama e Hind ke president thay aur majooda deobandi ulama ka maulana madni se talluk ustadi shagirdi ka hi nahin balkeh murshid e tareeqat aur mureedon ka bhi hai aur ye talluk aisa hai jo kabhi mutaqa nahin hota.Unho ne pakistan ki mukhalfat siyaasi wajoohat par nahin ki thi balkeh wo iss tehreek e pakistan ko khilaaf e islam aur aur iss mein shirkat ko haram kehtay thay.......
Agar kisi ko iss mein shak ho to deoband ke ulama se internet ke zarriye zara poochiye ke maulana madni sahib ghalti par thay ya nahin , wo unko kabhi ghalti par nahin kahain gay (agar keh diya to ye naqabil e yakeen khushgawaar tabdeeli ho gi).

Note: (Mein iss silsilay mein kuch pages scan ker ke aik do din mein pesh karon ga)
Daylight
QUOTE
Behas baykar hai is leay aap log manain gay nahain k jamat e silami walay davebandi maslak k man nay walay hain aap nahain manain g ay ye baat is leay fazool main main behas nahain karna chahta

Salman bhai kabhi kabhi insaan ghalti ker jaata hai aur uski information ghalat ho jaati hai........Yahan Farooqi sahib ne bilkul sahi kaha hai ke Maulana Maudoodi sahib ka deoband se dooooooooooor dooooooooooor ka bhi waasta nahin aur na hi wo deobandi thay.........Balkeh deoband waalay to unkay shadeed mukhalif thay aur hain jiski aik misaal neechay doon ga.........

Maudodi sahib ka irshaad hai ke "Mein na maslak e ehle hadith ko uski tamam tafseelaat ke saath sahi samajhta hon aur na hanfiyyat ya shafiyyat ka hi paband hon. (Book "Rasail o Masail, Vol. 1, Page 235, Edition 1951).

Waisay Maudodi sahib se jo loag mutaasir hain unki aksarriyat Ehle Hadith se talluk rakhti hai.......

Askimam aik website hai, deobandi ulama ki site hai i think, uss mein aik sahib ne sawaal kya ke kya mein maudodi sahib ki kitab "sunnat ki aini haisiyyat" parh sakta hon.......to jawab mein mufti sahib ka irshad hua ke beshak wo kitab achhi hai laikin aap wo nahin parh saktay kyunke wo kitab aik aisay shakhs ne likhi hai jo sahi aqaaid nahin rakhta aur iss se usko projection milay gi hahah.gif hahah.gif

Khair aapko Maudodi sahib ke deobandi ulama se ikhtalaf ki aik jhalak dikhata hon 390.gif

Mufti Mahmood sahib , aik mashoor deobandi aalim reh chukay hain, aur inko kaafi maana jaata hai...... November 1969 ka zikr hai Mufti sahib ne Hyderabad Press Club mein aik press conference se khitaab kertay huway farmaya:

Maudodi ne Jamiyyat al Ulema ke maulviyun ke khilaaf fatwa diya hai. Maudodi ko fatwa denay ka koi haq haasil nahin. Fatwa denay ka haq mujhe hai. Mein ab tak 15 hazaar fatway de chuka hon aur wo sab mujallad kitabon mein majood hain. Mein aaj iss press club mein fatwa deta hon ke Maudodi gumra,kafir aur kharij az islam hai. Iss ke aur iski jamaat se talluk rakhne waalay kisi maulvi ke peechay namaz parhna najaiz aur haraam hai. Iski jamaat se talluk rakhna kufar aur zalalat hai. Wo America aur sarmaya daaron ka agent hai. Ab wo maut ke aakhri kinaaray par pouhanch chuka hai aur ab ussay koi taaqat nahin bacha sakti. Uska janaza nikal ker rahay ga."
[Haft Roza Zindagi, Lahore 10 November 1969].

Dekh liyaa aapne inka ikhtalaf aur fatwa bhi..........Aur iss saaray maamlay mein sab se mazay ki baat ye hai ke iss fatway ke sirf 8 saal baad inhi Mufti Mahmood sahib ne Maudodi sahib se talluk paida ker ke "nizam e mustafa" ki tehreek mein hissa liya.............Yani aik aisay shakhs se talluk paida kya aur uskay saath mil ker islami mumlikat ke qayaam ki tehreek chalayi jiskay mutallik wo khud fatwa de chukay thay ke unse talluk paida kerna kufr aur zalalat hai eusa_clap.gif , aur ye bhi ke wo kaafir,gumrah,american agent aur najaane kya kya hai..............Yun siyasi maslehatein insaan ko mazhabi qalabaziyaan khaanay par majboor ker deti hain ke wo aik kaafir aur american agent ke saath mil ker "nizam e mustafa" ki tehreek chalata hai.
Daylight
uff ye edit ki sahoolat kisne khatam ki hai HC se 0-18_crazy.gif

Salman ji ooper jis fatway ka zikr hai uss ke mutallik aur aisi hi chand mazay mazay ki khabrein scan ker ke aik do din mein pesh karon ga 390.gif ta ke baat chal nikli hai to maazi ko dastak de ker poocha jaaye ke kisne kya kiya tehreek e pakistan ke saath.
FarOOqi
QUOTE (Daylight @ Sep 14 2005, 09:19 PM)

Jo loag masjid banatay hain ya masjid ke liye chanda detay hain kya wo sachay musalmaan hain??? ya kya unko muhib e deen kaha jaa sakta hai??? Aapko bhi pata hai aur mujhe bhi ke masajid ka qeemti samaan aur araaish o zaibaish ka kharcha wo shaikh sahib utha-tay hain jo din ke wakt sootar mandi mein lakhon ka najaaiz maal kamatay hain..........ya wo loag jinki zindagiyun mein dhoondne se bhi aapko islam na milay ga.....

Lehaza masjid bananay waalay aur jinkay paisay se masjid banti hai wo deen se mukhlis nahin, uss par amal paira nahin to iska matlab hai ke unko masjid bananay se roak dena chaahiye???

Pakistan ka tasavvur bhi aik masjid ka hi tha yani hinduon ke darmiyaan se nikal kar aik azad muslim mumlikat ka qayaam.........ab bajaye uss masjid ki tameer ke, aap masjid bananay waalon ko ghair mazhabi, laa-deeni, ghair muhib e watan qarar dena shuru ker dein to ye kahan ki aqalmandi ho gi.........aur issi base par aap masjid ki tameer mein rakawatein daalein to kya ye sensible baat ho gi???

Doosri baat ke muslim league ke aksarriyati loag muhib e watan hi thay..........teesri baat ke Leader aur uskay maqasid ko dekha jaata hai ye nahin ke agar leader ki party mein kuch loag ghalat hain to uss party ko hi bura kehna shuru ker diya jaaye jabke wo party aik naik maqsad ke liye kaam ker rahi ho.......
Munafiqeen to Hazoor(PBUH) ke zamanay mein bhi thay aur Quran mein unse khabardaar rehne ke liye bhi kaha gaya tha , to agar koi kotah-andaish iss base par Rasool(PBUH) ke mission ke khilaaf ho jaata ke janab aapki party mein kuch munafiqeen bhi shaamil hain lehaza mein aapkay aur aapkay maqsad ke khilaaf hon to kya ye theek hota???

October 1945 mein Maulana Hussain Ahmad Madni ne Muslim League mein muslims ki shirkat ko haraam aur Quaid e azam ko kaafir e azam qarar detay huway aik fatwa shaaya kya tha. Iss fatway ka mudallal jawab Maulana Shabbir AHmad Usmani ne tehreer kiya jisko Jareeda "Rehbar e Deccan" (Hyderabad-Deccan) ne apni ishaat 29 october 1945 mein shaaya kya.
For reference See "Tehreek e Pakistan aur Nationalist Ulema" Page number 1012.

Hussain ahmad madni kon thay ye bhi sab sun lein........ye Jamiyyat al Ulama e Hind ke president thay aur majooda deobandi ulama ka maulana madni se talluk ustadi shagirdi ka hi nahin balkeh murshid e tareeqat aur mureedon ka bhi hai aur ye talluk aisa hai jo kabhi mutaqa nahin hota.Unho ne pakistan ki mukhalfat siyaasi wajoohat par nahin ki thi balkeh wo iss tehreek e pakistan ko khilaaf e islam aur aur iss mein shirkat ko haram kehtay thay.......
Agar kisi ko iss mein shak ho to deoband ke ulama se internet ke zarriye zara poochiye ke maulana madni sahib ghalti par thay ya nahin , wo unko kabhi ghalti par nahin kahain gay (agar keh diya to ye naqabil e yakeen khushgawaar tabdeeli ho gi).

Note: (Mein iss silsilay mein kuch pages scan ker ke aik do din mein pesh karon ga)

aap ney "safai" paish karnay walay andaaz maen itnay saray words likkhay... yay bhee likkha ja sakta tha kay "aksaryat muhibb-e-watan thee"....

waisay aap ney "masjid" kee misaal dee.... aap ko pata hay sab sey pehlay Pakistan kay liyay "Masjid" ka lafz istemala kise ney kiya thaa ..??

QUOTE
October 1945 mein Maulana Hussain Ahmad Madni ne Muslim League mein muslims ki shirkat ko haraam aur Quaid e azam ko kaafir e azam qarar detay huway aik fatwa shaaya kya tha. Iss fatway ka mudallal jawab Maulana Shabbir AHmad Usmani ne tehreer kiya jisko Jareeda "Rehbar e Deccan" (Hyderabad-Deccan) ne apni ishaat 29 october 1945 mein shaaya kya.
For reference See "Tehreek e Pakistan aur Nationalist Ulema" Page number 1012.

iss book kay writer ka naam bhee plz bata deejiyay taakay mujhay dekhnay maen asaani rahay.... bookshop walay writer ka naam bhee poochtey haen...waisay i am searching for the answer of Maulana Shabbir Ahmed Usmani(ra) too....oos sey bhee baat waazey pata chal jaey gee Inshallah.

waisay aap ko yay kaisay yaqeen hoa kay iss book maen likkhay janay walay yay words jo Maulana Hussain Ahmed Madni(ra) sey mansooob haen, wo waqai unhon ney kahay bhee thay..??...iss maen "ajmi saazish" ka imkaan tu nahee ..??

farooqi.

FarOOqi
QUOTE
Khair aapko Maudodi sahib ke deobandi ulama se ikhtalaf ki aik jhalak dikhata hon 390.gif

Mufti Mahmood sahib , aik mashoor deobandi aalim reh chukay hain, aur inko kaafi maana jaata hai...... November 1969 ka zikr hai Mufti sahib ne Hyderabad Press Club mein aik press conference se khitaab kertay huway farmaya:

Maudodi ne Jamiyyat al Ulema ke maulviyun ke khilaaf fatwa diya hai. Maudodi ko fatwa denay ka koi haq haasil nahin. Fatwa denay ka haq mujhe hai. Mein ab tak 15 hazaar fatway de chuka hon aur wo sab mujallad kitabon mein majood hain. Mein aaj iss press club mein fatwa deta hon ke Maudodi gumra,kafir aur kharij az islam hai. Iss ke aur iski jamaat se talluk rakhne waalay kisi maulvi ke peechay namaz parhna najaiz aur haraam hai. Iski jamaat se talluk rakhna kufar aur zalalat hai. Wo America aur sarmaya daaron ka agent hai. Ab wo maut ke aakhri kinaaray par pouhanch chuka hai aur ab ussay koi taaqat nahin bacha sakti. Uska janaza nikal ker rahay ga."
[Haft Roza Zindagi, Lahore 10 November 1969].

yay kis book maen publish hoa hay, plz book ka naam aur writer ka naam bata deejiyay ga.. takay search karnay maen asaani rahay....

aur once again yay poochna chahoon ga kay kya aap ney iss kee tehqeeq kee kay "haft roza zindagi" maen jo khabar publish hoee hay wo waqai sahee thee..?? Mufti Mehmood(ra) kay fatawa maen aap ney usay dekha hay khud ..??
ager dekha hay tu plz mujhay oos ka reference bhee bata deejiyay ga......

akhbaraat kay hawalay sey aik waqiya batata hoon aap ko...

Maulana Qazi Abdur Rahseed sahab jo kay Islamabad maen hotey haen aur Wifaqul Madaris kee shoora kay member bhee haen... wo 1 dafa hamaray area kee masjid maen aaey aur Quran Pak kay mehfooz honay per bayaan ker rahay thay aur aam halaat maen words aur central idea kay bilkul change ho janay ka ziker ker rahay thay... unhon ney bataya kay;

"koi tehreek chal rahee thee..(maen naam bhool gaya oos ka naam, ghaliban khatm-e-nabuwwat[saw] kee thee )... Rawalpindi maen jalsa tha oos silsilay maen.... stage per Maulana sahab jo taqreer ker rahay thay unhon ney kaha kay "yay agency walay kaan kay kachhay hotey haen.".....
aglay din akhbaraat maen khabar publish hoee unn Maulana sahab kay naam kay sath kay Maulana sahab ney kaha hay kay "agency walay kuttey kay bacchey hotey haen."....

aur phir iss kee bunyaad per muqadma bana ker unhaen qaid ker diya gaya... yaani jo baat unhon ney kahee hee nahee thee... oos kee saza unhon ney kaati... aur saari dunya ney tu yehee samjha kay aesa hee hoa hay... jab tak unn kay paas haqeeqat nahee khulee...

aur taaza tareen waqiya yay hay kay aap ney bhee paRha kay kuch din pehlay Darul Uloom Deoband kay mohtamim sey mansoob M.A.Jinnah kay baray maen kya khabar publish hoee thee...?? aur haqeeqat kya niklee thee.... !!

so itnee serious baaton ko, i mean kufr kay fatwon ko kisee kee jaanib mansoob karna baghair sahee tehqeeq kay aur mehaz "haft rozon" per yaqeen ker laina munaasib nahee hay.... haan exact reference ho tu sahee rehta hay...

farooqi.
Daylight
QUOTE
iss book kay writer ka naam bhee plz bata deejiyay taakay mujhay dekhnay maen asaani rahay.... bookshop walay writer ka naam bhee poochtey haen...waisay i am searching for the answer of Maulana Shabbir Ahmed Usmani(ra) too....oos sey bhee baat waazey pata chal jaey gee Inshallah.

waisay aap ko yay kaisay yaqeen hoa kay iss book maen likkhay janay walay yay words jo Maulana Hussain Ahmed Madni(ra) sey mansooob haen, wo waqai unhon ney kahay bhee thay..??...iss maen "ajmi saazish" ka imkaan tu nahee ..??

Ajmi sazish ka imkaan to hai 390.gif laikin bouhat hi kam.......jab kisi par ilzam lagta hai to wo agar uski tardeed na karay to iska matlab yahi hota hai ke baat such hai.........Hussain Ahmad Madni sahib chunke pakistan ke khilaaf thay, Allama Iqbal se aik kisam ka "munazra" bhi ker chukay thay lehaza unka aisi baat kerna kuch ba-eed bhi nahin, ye baat na sirf uss zamanay mein mashoor ho gayi thi ke maulana sahib ne aisa kaha hai balkeh baad mein bhi shuhrat rahi laikin koi tardeed na aayi........Meine Darul Aloom Deoband waalon ko bhi mail ki ke janab aap iss ilzaam ke baaray mein kya kehtay hain to unki taraf se bhi koi tardeedi mail nahin aayi.......issi liye late reply kya hai meine ke shaaid mailaa hi jaaye..........Aur waisay bhi ye baat aik book ya writer tak mehdood nahin sab jaantay hain ke who has coined this term for Quaid e azam.......Balkeh maulana ke daur se hi ye kaha jaata raha hai ke maulana sahib ne pakistan ko na-pakistan kaha tha laikin iski bhi unki taraf se kabhi tardeed nahin hui.

QUOTE
aur once again yay poochna chahoon ga kay kya aap ney iss kee tehqeeq kee kay "haft roza zindagi" maen jo khabar publish hoee hay wo waqai sahee thee..?? Mufti Mehmood(ra) kay fatawa maen aap ney usay dekha hay khud ..??
ager dekha hay tu plz mujhay oos ka reference bhee bata deejiyay ga......

Aaj kal mein aapne ya doosray logon ne issi section mein pervez musharraf ke baaray mein jitnay topics banaye hain ke usne falan biyan diya, usne islami shaiyaar ki bay-hurmati ki, daarhi ko bura bhala kaha , parday ke baaray mein qaabil e aitraaz baat ki...........etc etc to ye sab akhbari khabron par hi aapne kaha na, ab agar mein kahon ke akhbar to jhoot boltay hain lehaza aap kisi book ka hawala dein musharraf sahib ki jis mein unhon ne aisa kaha ho.........to kaisa rahay ga??? ya aap to iski tasdeek bhi ker saktay hain kyunke musharraf sahib abhi zinda hain unse pooch ker tasdeeq ker saktay hain.......
Mere paas tasdeek ke jo zarriye thay wo meine use ker liye, meine iss hawalay se darul aloom deoband ko bhi 3 mails likhi, aik bhi jawab nahin aaya, unki website par post ki laikin iski tardeed nahin aayi.........Haft roza zindagi uss wakt ka lahore ka mashoor akhbar tha..........
Aur press conferences ki tafseel press se hi milti hai koi usko apni kitab mein nahin likhta..........Haan ye hai ke mufti sahib ne kabhi iski tardeed nahin ki , balkeh 1977 mein jab unhon ne maudodi sahib se itthaad kiya to sab se ziada issi baat par logon ko aitraaz tha ke pehlay ye dono parties aik doosray ko american agents kehti rahi hain aur ab dono mil ker nizam e mustafa ki tehreek chala rahi hain.......

Aap bhi mailkarain shaaid deoband waalay aapko hi reply ker dein 390.gif
FarOOqi
QUOTE (Daylight @ Sep 19 2005, 08:45 AM)

Ajmi sazish ka imkaan to hai 390.gif laikin bouhat hi kam.......jab kisi par ilzam lagta hai to wo agar uski tardeed na karay to iska matlab yahi hota hai ke baat such hai.........Hussain Ahmad Madni sahib chunke pakistan ke khilaaf thay, Allama Iqbal se aik kisam ka "munazra" bhi ker chukay thay lehaza unka aisi baat kerna kuch ba-eed bhi nahin, ye baat na sirf uss zamanay mein mashoor ho gayi thi ke maulana sahib ne aisa kaha hai balkeh baad mein bhi shuhrat rahi laikin koi tardeed na aayi........Meine Darul Aloom Deoband waalon ko bhi mail ki ke janab aap iss ilzaam ke baaray mein kya kehtay hain to unki taraf se bhi koi tardeedi mail nahin aayi.......issi liye late reply kya hai meine ke shaaid mailaa hi jaaye..........Aur waisay bhi ye baat aik book ya writer tak mehdood nahin sab jaantay hain ke who has coined this term for Quaid e azam.......Balkeh maulana ke daur se hi ye kaha jaata raha hai ke maulana sahib ne pakistan ko na-pakistan kaha tha laikin iski bhi unki taraf se kabhi tardeed nahin hui.

Aaj kal mein aapne ya doosray logon ne issi section mein pervez musharraf ke baaray mein jitnay topics banaye hain ke usne falan biyan diya, usne islami shaiyaar ki bay-hurmati ki, daarhi ko bura bhala kaha , parday ke baaray mein qaabil e aitraaz baat ki...........etc etc to ye sab akhbari khabron par hi aapne kaha na, ab agar mein kahon ke akhbar to jhoot boltay hain lehaza aap kisi book ka hawala dein musharraf sahib ki jis mein unhon ne aisa kaha ho.........to kaisa rahay ga??? ya aap to iski tasdeek bhi ker saktay hain kyunke musharraf sahib abhi zinda hain unse pooch ker tasdeeq ker saktay hain.......
Mere paas tasdeek ke jo zarriye thay wo meine use ker liye, meine iss hawalay se darul aloom deoband ko bhi 3 mails likhi, aik bhi jawab nahin aaya, unki website par post ki laikin iski tardeed nahin aayi.........Haft roza zindagi uss wakt ka lahore ka mashoor akhbar tha..........
Aur press conferences ki tafseel press se hi milti hai koi usko apni kitab mein nahin likhta..........Haan ye hai ke mufti sahib ne kabhi iski tardeed nahin ki , balkeh 1977 mein jab unhon ne maudodi sahib se itthaad kiya to sab se ziada issi baat par logon ko aitraaz tha ke pehlay ye dono parties aik doosray ko american agents kehti rahi hain aur ab dono mil ker nizam e mustafa ki tehreek chala rahi hain.......

Aap bhi mailkarain shaaid deoband waalay aapko hi reply ker dein 390.gif

Assalam-o-alaikum,

mairey aziz bhai ! akhbaari khabron per mabni hum sab yahan post kartey haen aur zahir hay current affairs ka hamaen print aur electronic media sey hee zada pata chalta hay... mager hum abhee khud bhee tu zinda haen... aaj kal halaat hamaray samnay haen... her cheez kee audio aur video ban rahee hotee hay...

jaisa kay maen ney pehlay bhee ziker kiya kay kuch din pehlay jo Darul Uloom Deoband kay baray maen khabar publish hoee thee wo ghalat niklee... hum ney foran tasdeeq ker lee.... right... ubb jis ney tasdeeq nahee kee aur oos kay zehan maen yehee baat reh gaee... aur wo usee ghalat khabar ko zehan maen rakhta hoa koi book likh dey... aur hawala bhee dey jo kay waqiyatun maujood bhee ho.... tu paRhnay wala oos sey kya asar ley ga.... tehqeeq aur tasdeeq na karnay kee zimmedari kis per hogee... 1-technoloy.gif ...

jaisa aap ney kaha kay ager koi tardeed na karay tu iss ka matlub hay kay baat kuch sach hay... tu ooper jo maen ney likkha hay... oos kee baqaaida tardeed ker dee gaee hay....right... mager jis ney koshish hee na kee jo tasdeeq karnay kee aur wo bhee yehee apnee book maen likh dey kay iss kee koi tardeed nahee kee gaee...aur bunyaad banaey 1940s kay halaat ko......tu phir... !!

sirf isee liyay maen exact references maloom karna chah raha tha... aur koi waja nahee thee.. rose.gif

aap ney jo terms likkhee haen aur unhaen Maulana Hussain Ahmed Madni(ra) sey mansoob kiya hay..... bohat saray log yehee baat aur yehee terms Maududi sahab sey mansoob kartey haen.... dunno.gif

Darul Uloom Deband sey email ka reply mairey paas bhee foran nahee aaya tha.. kuch wait karaen Inshallah aa jaey ga... waisay maen bhee email ker doon ga...

wassalaam,
farooqi.

Daylight
very nice and true reply 114.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.