Eyes2good
Sep 13 2005, 12:04 PM
Es duniya main ek gaaoon hai
Es gaaoon ka naam garaoon hai
Es gaaoon ka raja rana hai
Ju toot batoot ka nana hai
Es gaaoon main jitnay rehtay hain
Wo sab k sab kehtay hain
Ye gaaoon bara purana hai
Yahaan toot batoot ka nana hai
Es gaaoon k log niralay hain
Sab 2 , 2 ankhoon walay hain
Bas ek he in main kana hai
Wo toot batoot ka nana hai
Es gaaoon main ju bhee ata hai
Foren ahemaq ban jata hai
Bas in main ek he sayana hai
Wo toot batoot ka nana hai
Yahaan jitnay bhee hamsaay hain
Sab daday chachay taay hain
Yahaan ek akayla nana hai
Wo toot batoot ka nana hai
Eyes2good
Sep 17 2005, 11:03 AM
| QUOTE (princess @ Sep 14 2005, 06:21 AM) |
zaberdast |
aap k pasand kernay ka sukriya