Aur HC K Pyearay Pyeray Doston
Main aap sub say islami section say mutaliq chand baten karna chahta hoon aap is ko meri tajweez bhe samjh saktay hain.
Bhai hum sub Al Humduallah Ek Din k mannay walay hain ek Allah k mannay walay hain han ye sahee hai k hum main say koi kisee maslak ka manay wala hai koi kissi maslak ka mannay wala hai aur koi kisee.
Aur i know bouhat t akleef hoti hai jub kisee k aqeeday k baray main koi ya aus k naffi koi post karta hai koi topic banata hai jo aus k aqeeday k khilaf ho to bouhat takleef hoti hai to kia ye nahain ho sakta hum main say jo jiss aqeeday say talooq rakhta hai jo jiss maslak say talooq rakhta hai wo apnay topics apni post banay magar kissi doosray k aqeeday ya aus k maslak k khilaf apany lub na kholay aus ko ger wo baat wo aqeeda wo topic pasand nahain to wo aus pay reply he na day magar aus k maslak ko chaird k aus kee naffi kar k aus kee shan main gustakhi kar k kissi k mazhabi jazbat majroo karna say kia ye yeh behtar nahain k aap ko jo baat jo cheez pasand he nain hai aap wahan jain he na wahan reply he na dain is say kissi doosray k jazbat majroor nahain hongay
magar jub is pay ammal nahain kia jaay ga to phir doosray ko majbooran apnay dalail bhe daynay pardain gay jiss say phir wo he jazbat majroro karnay wali baat ka samna karna parday ga.
Aur kiya islami section main sirf hum ek doosray k khilaf he post karain hum kiya islami section main sirf ye he hona chaheay aur bhe hazaron masail hain namaz kee baten karain, deeni masail pay baat karain, qadyani group jo apni tableekh say hamaray masoom bhaion ko dil gumrah kartay hain aun kee nishandahi karain islam k arkan k baray main baat karain.
han apnay maslak apnay aqeeday pay bhe bolain bilkul bolain magar aus aqeeday ko ger main nahain manta to main chup rahoon wahan pay main aaun he nahain aus topci pay, magar naffi kar k gustahi kar k bay ja dalail day k hum sirf ek doosray k jazbat he majroo kar saktay hain aur kuch nahain.
ab aap daikhain Shabrat Sahaban kee naffi main ek sath kitnay topic bana deay gay hain in topics main kissi k aqeeday kee naffi kee ja rahee hai kissi k jazbat say khela ja raha hai jiss ko daikh k pardh k aap ka doosra bhai jo aus aqeeday ko manay wala hai wo bhe dukhi ho sakta hai aus k jawab main jub wo bolay ga to aap k jazbat bhe majroo hongay.
is leay ye silsila khudara band kar dain aap hum sub mil k hum apnay aqeeday k mutabiq post zaroro karain magar khudara doosron ko na charain kyun k aap k aur meray behas karnay say ye mamlat khatam nahain hongay
ye behas to sadion say chal rahee hai hazaron manzray ho chukay hain ulma e ikram k darmain magar aun say kcuh hasil nahain hoowa
plz hum ko apnay raston pay chalnay dain aap apnay rastay pay chalain kiya aesa ho sakta hai ger aesa ho sakta hai to plz is pay aaj he say ammal kar dain
aap ka shukar guzar rahoon ga main