Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Kaghaz K Phool
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Human Relationships, Society & Culture
Abu Adnan
user posted image
AI-Irhab
lekin Abu Adnan bhai un logon ka kiya jo yahan BA,MBA kiye howe hain aur cholon k theley liye ghoom rahey hain 0-18_crazy.gif ,, garments may nihayet kam salary per apna guzara kerahey hain unhein dekh ker un k aaas pass k logon k taleem ki taraf sey hosley past hojaatey hain, kitni hi misaaley merey samney hain k falaan shaks ney apni saari jama ponji laga di lekin aaj bhi unemployment hain tidakmungkin.gif

baaat yeh bhi theek hay k abroud may woh kaam bhi kertey hain jo apney country may rehtey howe zalalat samujhte hain.

Lekin is sey kisi ko kiya ferq parhta hay loug wohin jaatey hain jahan unhein paisa ziada miley chahey woh izzat sey miley yah zalalat sey

Abu Adnan
QUOTE (AI-Irhab @ Sep 20 2005, 12:03 PM)

loug wohin jaatey hain jahan unhein paisa ziada miley chahey woh izzat sey miley yah zalalat sey
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

0-18_crazy.gif 0-18_crazy.gif baat to such hai ... ho yehi raha hai lekin izzat faroshi grin.gif chouNkay koi mustahsan kaam naheeN lehaza iski mozammat hi ki jayegi, tareef naheeN.

AI-Irhab
may is ki tareef nahi keraha bas aik nazeriya paish kiya hay jo aaj kal horaha hay baaqi is per jitni mazammat ki jaye kam hay
Abu Adnan
QUOTE (AI-Irhab @ Sep 20 2005, 09:01 PM)
may is ki tareef nahi keraha bas aik nazeriya paish kiya hay jo aaj kal horaha hay baaqi is per jitni mazammat ki jaye kam hay

aap sahee kah rahay ho ... banday ko aisa koi kaam naheeN karna chahiyeh, jissay woh yaa degar log oski izzat k khelaaf samajhtay houN.

jahaaN tak kaam karnay ka talluq hai to choTay kaam karna koi bay-izzati ki baat naheeN. jaisay sabziyaaN / cholay bechna etc. jab bairoonay mulk (mushkilaat maiN ghir kar, apnouN say door rahkar) aisay choTya moTay kaam kiyeh jasaktay haiN to apnay mulk maiN kiyouN naheeN. yahaaN bhi aisee bayshumaar misalaiN majood haiN jo cholay / kabaab bechkar log kaRoR pati ban gaye aur aaj onka aaleeshan business hai.

aik choTay say shahar k bazaar maiN reRhee par cholay laganay walay ko maiN personally jaanta houN jo sirf subah 10 taa teen bajay tak taqreeban das hazar rupees ki daily sell karleta hai. oski reRhee par oskay elawah teen aur afraad bhi kaam kartay haiN jo 3-4 hazaar rupee mahana par haiN. aap iski income ka andazah laga lo ... aaj say 5-10 saal baad yehi shakahs kia koi shaandaar hetel / restaurant naheeN khol lega.

khali haath bahar mulk jakar yehi kaam karnay say behtar hai k apnay mulk maiN apnouN k darmayan kaam kia jaye. mehnat mazdoori bhi ki jaye aur zindagi ko apnouN k saath guzaarkar enjoy bhi kia jaye.
AI-Irhab
Baja fermaya herket may barkeT hay lekin jisS qadeR PAKISTAN may beroZ gaari hay us sey insaan tang hi aaker bahir janey jesey iqdaaM uthate hain abhI haal hi ki news suni jiss may approx 170 Pakistani mascad jaatey howe pakre gaye

aur continusly logon ka rujhaan apney mulk sey bhaag niklney ka barhta ja raha hay k kisi tarhan yahan sey jaan chotey kuch tuo fact hoga na jo itney log duniya k dosre mumalik may jaker qamaney ki khuwahish rakhte hain 0-18_crazy.gif

icon_scratch.gif icon_scratch.gif
Abu Adnan
QUOTE (AI-Irhab @ Sep 21 2005, 09:00 PM)

kuch fact bhi hai ... kuch nadaani bhi ... aur kuch info maloomat ki kami bhi .... aur kuch naapasandeedah afraad ki kaaristani jo apni jaib bharnay k liyeh logouN ko gumraah karkay onsay paisay kamatay haiN.

jab aik non-skilled ghair taleemyaaftah afraad ghair qanooni taur par bahar janay k liyeh laakhouN rupees day sakta hai to woh inhi rupouN say pakistan maiN bhi bahut kuch karsakta hai ... skilled afraad agar job lay kar qanooni tareeqouN say bahar jayaiN to iss maiN koi borayee naheeN .... lekin yeh onkay apnay mafaad maiN hai k woh apna target poora karkay wapis ajayaiN. waheeN settle honay ki koshish nah karaiN.... warnah bhugatna bhi onhaiN hi paRega.
AI-Irhab
Ok i Agree lekin aik dosri situation merey zahen may arahi hay k yeh saara Tamasha wahaN ka Ziada paiSa ,Facilities,luxury hay tuo phir
Abu Adnan
QUOTE (AI-Irhab @ Sep 26 2005, 03:21 PM)
Ok i Agree lekin aik dosri situation merey zahen may arahi hay k yeh saara Tamasha wahaN ka Ziada paiSa ,Facilities,luxury hay tuo phir

yeh bhi aik factor hai meray bhai ... aur kia hahah.gif

pasand, option apnee apnee aur acha ya bora nateejah bhi apna apna apna ......... aqalmand WOH naheeN jo har tajarbah khud karkay dekhay balkay woh hai jo doosrouN k tajarbay say seekhay aur apnay liyeh behtar raah chunay.
AI-Irhab
is per koi lecture nahi mila E21.gif chalo kisi baat sey tuo agree howe E4.gif

aqalmand WOH naheeN jo har tajarbah khud karkay dekhay balkay woh hai jo doosrouN k tajarbay say seekhay aur apnay liyeh behtar raah chunay.

hmmm humarey saath reh reh ker aap bhi aqal mand hotey jaarahey hain eyesss.gif krakrani.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.