Salman4u
Sep 20 2005, 07:37 PM
Jamat E IslamI
K Bani Founder Aur Aasan See Zaban MaiN Aus Kee BUNYAD Dalnay Walay Abbu Ullah Moudoodi Nay Apni tasanif main itni gustakhain karee hain k jin ko bataya jaay to yahan jagay kum pard jaay gee.
Aun kee mazamat main har ek maktaba e fikar k ulma nay apnay dalail deay ulma e davebandi, aehlay hadees, aehlay sunat har maslak k ulma nay aun kee mazamat he karee hai.
Yahan Hum aap ko hamat e islami k bani k kirdar kee kee ek jhakal dikha rahay hain aur sohain k jamat e islami jiss k bani kee soch jiss ka kirdar ye thaa to aaj jamat e islami kiss haq say islam ka naam layti hai pakistan main siyasat karti hai faisla aap khood karain
Salman4u
Sep 20 2005, 07:38 PM
Salman4u
Sep 20 2005, 07:39 PM
Salman4u
Sep 20 2005, 07:46 PM
Salman4u
Sep 20 2005, 07:48 PM
Salman4u
Sep 20 2005, 07:50 PM
Ab sochnay kee baat ye hai k jamat e islami kiss moun say pakistan ya iskami aqaid ya islam kee baten karti hai aus ka bani jub apna ek alag aqeeda rakhta thaa pakistan he k khilaf nahain balkay islami k baray main bhe aesay baiyanat deay jiss say musalmanon k jazbat majroor hooway
Salman4u
Sep 21 2005, 02:58 AM
Hamaray aksar dost HC pay aesay hain jo hamaray mukhalif hain nazareat main jaisay farooqi bhai magar wo bhe abbu ulla moudoodi ko ek dum sahee nahain samjhtay magar ek member aesi hain Saima56 JO Janab Moudoodi kee bouhat bardi fan hain wo aksar aun kee shan main forum k pages bhar dayti hain main is topic pay muhtarma saima56 say zaroro guzarish karoon ga k wo yahan aa k apnay dalail zaroor dain
Daylight
Sep 21 2005, 08:46 AM
Hmmmmm....Kuch baatein sahi bhi hain aur kuch ghalat bhi......
Mein kuch ghalat baaton ki nishandahi kerta hon, baqi jin par baat nahin karon ga wo sab mere nazdeek sahi hain........
| QUOTE |
| Itteba e Rasool(PBUH) aur Sahaba(RA) ka mafhoom |
Ye mafhoom bilkul sahi tha, iss par aitraaz wali koi baat nahin thi.
Ye bhi bilkul sahi baat thi, iss par bhi aitraaz nahin banta tha.
Ye bhi bilkul sahi kaha ke cinema bazaat e khud jaiz hai , haan iska istemaal jaiz ya najaiz ho sakta hai........Aap aik baat batain ke agar cinema mein koi maloomati dasta-vezi film dikhayi jaa rahi ho to kya ye najaiz kaam ho ga??
| QUOTE |
| Allah ke siva kisi ko nafa nuqsan waala na samjhay |
Iss mein bhi aitraz walai koi baat nahin thi, sahi kaha hai ke madad maangni hai to Allah se maango kisi faut shuda shakhs ya kisi mizar se nahin.
Iss ke ilawa jo Tehreeq e Pakistan aur doosray islami masaail ke baaray mein kaha gaya hai wo kaafi hadh tak sahi hai.........Yhan Maudodi sahib ki kitab ka hawala de ker aagay book ka naam "Tanqehaat" likha hai baar baar jabke book ka asal naam "Tafhemaat" hai.
khan_amer
Sep 21 2005, 12:04 PM
yeh ghalat fehmi hay kay JI ya Modoodi Pakistan Mukhalif thay... JI aur Modoodi un anasir kay khilaaf thay ju Pakistan bana rahay thay... JI ka moqaf tha kay jis Islami Pakistan ki baat ki ja rahi hay woh yeh jageerdar anasir hurgiz nahi bana saktay.. aur waqt nay JI ka yeh moaqaf sahi sabit kiya... hamaray jageerdarooN ko aisa koy bhi qanoon pasand nahi aa sakta jis say un ko apni jageer say mehroon hona paRay...
Abu Adnan
Sep 21 2005, 12:56 PM
Yeh sahee hai k maulana maudoodi (RA) aur JI ka tahreekay pakistan maiN koi hissa naheeN lekin yeh kahna k woh pakistan hi k mokhalif thay, khelafay aqal baat hai. agar aisa hota to:
1. pakistan bannay k baad maulana maudoodi (RA) pakistan ko opt nah kartay aur deger congressy muslim rahnomaouN / ulamaa e karaam ki tarah bharat maiN rahna pasand kartay. aur apni tahreek JI bhi waheeN monazzam kartay.
2. sawaal yeh bhi paida hota hai k kia pakistan bannay k baad maulana maudoodi (RA) aur JI nay pakistan ko qabool kia ya naheeN. wazah rahay iss waqt bhi pakistan ki bahut see qaum parast jamataiN dil say pakistan ko tasleem naheeN karteeN. aur aik bengali qaum parast awami league nay bharat say milkar pakistan k 2 TukRay bhi kardiyeh.
3. kia kabhi JI aur iskay leaders par "pakistan dushmani" ka ilzaam bhi laga. kia JI k raabtay RAW say rahay. RAW pakistan ki bahut see qaum parast parties ko support karti hai.
4. kia 71 ki jang maiN east pakistan maiN pak army k saath kissi aur political party nay baqaidah jangee kaarwaiyyouN maiN hissa lia.... except JI ki albadar aur al-shams k?......... kia pakistan ki mokhalif koi jama'at iss tarah pak army k saath milkar jang laR sakti hai.
5. kashmir k mohaaz ho afghanistan maiN russian qabzay k khelaaf pak army ki kaar.wayee........... kia JI nay inn dounouN mahaaz par pakistan ki baqa k liyeh pak army ka saath naheeN dia aur army ki B-Team k taanay naheeN sahay.
lateefah yeh hai k JI aur Maulana Maudoodi par pakistan-mokhalfat ka ilzaam onn halqouN ki taraf say lagaya jata hai jo pakistan maiN islami nizaam k mokhalif haiN. aur jinki apni zindagiyaaN islami taleemaat say bahoot doooor haiN. jabkay JI pakistan ki sab say baRee aur monazzam deeni / seyasi jama'at hai jo islami nizaam ki alambardaar hai.
JI maiN hazarouN khaamiyaaN hosaktee haiN aur haiN bhi lekin aik aisee kharabi, jo iss maiN maujood hi nah ho, oski baansaree bajana aik ajab tamasha hai. jabkay pakistan k khelaaf khulla khulla bataiN aur amal karnay wali seyasi qaum parast parties par koi ongli naheeN oThata...... pakistan aur pak army k khelaaf khullam khulla bolnay walay har daur maiN black mailing k zariyeh hakoomat maiN shamil hotay rahtay haiN. aur hakoomat say nikal kar haqooq k naam par pakistan k khelaaf hojatay haiN.
Daylight
Sep 21 2005, 01:19 PM
| QUOTE |
| jabkay pakistan k khelaaf khulla khulla bataiN aur amal karnay wali seyasi qaum parast parties par koi ongli naheeN oThata |
Iss liye ke wo qaum parast such boltay hain iss maamlay mein..wo tasleem kertay hain ke wo pakistan ke qayam ke mukhalif thay...........laikin jo tehreek e pakistan ki mukhalfat ker ke baad mein keh rahay hain ke humne mukhalfat nahin ki thi to unkay iss jhoot ki wajah se sab un par ungliyaan utha-tay hain........
| QUOTE |
| lateefah yeh hai k JI aur Maulana Maudoodi par pakistan-mokhalfat ka ilzaam onn halqouN ki taraf say lagaya jata hai jo pakistan maiN islami nizaam k mokhalif haiN. aur jinki apni zindagiyaaN islami taleemaat say bahoot doooor haiN. |
Agar aapkay nazdeek islami zindagiyaan guzarne waalay laog sirf JI ke loag hain to tab to aapki baat theek hai laikin agar aap unkay ilawa bhi kisi ko musalmaan maantay hain to iss article ke shuru mein dekh lein ke ye kin ki taraf se aur kinhon ne shaya kerwaya hai.......
| QUOTE |
5. kashmir k mohaaz ho afghanistan maiN russian qabzay k khelaaf pak army ki kaar.wayee........... kia JI nay inn dounouN mahaaz par pakistan ki baqa k liyeh pak army ka saath naheeN dia aur army ki B-Team k taanay naheeN sahay.
|
Ji ji hamein yaad hai ke pakistan ke qayaam ke saath hi kashmir mein jo jang start hui to maudodi sahib ne uss mein hissa lenay ko haram qarar diya tha......
AB ye kehna ke baad mein humne ye ye kya uss ghalti ka azala nahin ker sakta jo wo maazi mein ker chukay....haan wo agar apni ghalati tasleem ker letay aur kehtay ke haan humse ghalati hui laikin ab hum pakistan ke saath hain to tab bhi baat theek thi......laikin wo kehtay rahay ke hum pehlay bhi sahi thay aur ab bhi 
| QUOTE |
| 1. pakistan bannay k baad maulana maudoodi (RA) pakistan ko opt nah kartay |
Maulana mufti mehmood bhi to pakistan aa gaye thay...aur jin qaum paraston ke baaray mein aap keh rahay hain wo bhi to india mein jaa saktay thay........ya altaf hussain waghaira aur doosray muhajir jinko aap pakistan mukhalif samajhtay hain.....
| QUOTE |
| 2. sawaal yeh bhi paida hota hai k kia pakistan bannay k baad maulana maudoodi (RA) aur JI nay pakistan ko qabool kia ya naheeN. |
Aur jawab ye hai ke unhon ne apni tehreek e pakistan ki ghalti par parda daala ya such bol ker qaum se maafi maangi.......Islam ke naam par jis tehreek ko chalaya gaya uskay bani Quaid e azam ke baaray mein ye kehna ke janab jinnah se le ker sab muslim leagiyun mein se koi bhi islami zehniyyat nahin rakhta kya uss tehreek ki mukhalfat nahin...........aur phir saada dili se keh dena ke nahin humne to sirf unkay khilaaf"mazameen" hi likhay thay koi tehreek to nahin chalayi thi
Daylight
Sep 21 2005, 02:01 PM
Afsoa ke League ke Quaid e Azam se le ker chhotay muqtadyun tak aik bhi aisa nahin jo islami zehniyyat aur islami tarz e fikar rakhta ho aur maamlaat ko islami nuqta e nazar se dekhta ho". By Abul Ala Maudodi(Book: Musalmaan aur majooda siyasi kashmakash volume 3)
Aur mazay ki baat ke Quaid e azam ke ilawa jin logon ko islami zehniyyat se aari kaha jaa raha hai un mein Allama Shabbir Ahmad Usmani,Maulvi Tameez ud din, Maulvi Fazlul Haq, Sayyad Suleman NAdvi, MAulana Abdul Bari, Peer sahib maanki shareef, Peer sahib Sayaal sahreef, aur Peer Jamaat Ali shah etc etc shaamil thay.Ye bhi yaad rahay ke jamat e islami ke apnay alfaaz mein Pakistan "Dushman ka ghar" tha pakistan ke qayaam ke kaafi arsa baad unhon ne faisla kya ke ab ye dushman ka ghar nahin raha.........mulahiza farmain :
Daylight
Sep 21 2005, 02:06 PM
khan_amer
Sep 21 2005, 02:27 PM
| QUOTE (Daylight @ Sep 21 2005, 10:16 AM) |
Ye ghalat fehmi nahin haqeeqat hai Wo Muslim league aur uski tehreek dono ke khilaaf thay...unkay mazameen iss par shahid hain........
Aik misaal doon ga.........saddam hussain ki qayadat iraq ki hakumat kerne ki bilkul bhi ehal nahin thi aur na hi ab waali ya koi aur wahan ki siyasi party sahi maani mein iraq ki hakumat kerne ke laiq hai to iska matlab hai ke iraq ko americans ke hawalay ker dena sahi hai???
nahin na........
To phir maudodi sahib ki koshishein agar kaamyaab ho jaati to yakeenan pakistan na banta aur uss wakt ke haalaat ko dekh ker saaf lag raha tha ke hakumat hinduon ke haath mein jaani thi...yani alag pakistan ki bajaye hinduon ke zair e tasallut rehna aapko manzoor hai 
Jahan tak jageerdaari ki baat hai ke maulana sahib uskay mukhalif thay to mujhe iss par hansi aa gayi Aap maudodi sahib ki kitab Masla e Milkiyyat e zameen parhein to aapko bhi apnai iss baat par hansi aaye gi........Ye kitab unhon ne jageerdaari ke haq mein likhi thi ......kahain to kuch iktabasaat bhi pesh ker doon........aur mazay ki baat ke unkay aik aham saathi JI Sahiwal ke general secretory Prof. Rafi Ullah Shahab jab JI se alag huway to unhon ne aik wajah ye bhi kahi ke maudodi sahib ne jageerdari ki hamayat mein kitab likhi aur iss kitab ko aik mashoor jageerdaar ne hi shaya kerwaya free of cost aur waisay bhi wo na bhi batatay to ye baat sab ko hi maloom thi ke kisne iss kitab ke saaray akhrajaat uthaye hain |
| QUOTE |
Ye ghalat fehmi nahin haqeeqat hai Wo Muslim league aur uski tehreek dono ke khilaaf thay...unkay mazameen iss par shahid hain........
Aik misaal doon ga.........saddam hussain ki qayadat iraq ki hakumat kerne ki bilkul bhi ehal nahin thi aur na hi ab waali ya koi aur wahan ki siyasi party sahi maani mein iraq ki hakumat kerne ke laiq hai to iska matlab hai ke iraq ko americans ke hawalay ker dena sahi hai???
nahin na........ |
Kafi achi misal dee app nay Daylight
Let me Explain
Yeh log uss Pakistan kay khilaaf thay ju bun tu Islam kay naam per raha tha per jis kay bananay walay Islam say kosooN door thay... issi ki misal aisi hi hay kay maiN Murgh ka salan bana'ooN per uss maiN masalay baRay gosht kay Dal dooN ju hashar Murgh ka hoga wohi Pakistan ka ho gaya... Islam kay naam per riyasat banay walooN ko Qayam/Azadi kay baad iss ka aayen aur nizam hi nahi bun saka...

issi crisis ki tableegh JI walay kiya kertay thay...
agr Pakistan kay taswur kay saath hi eak aur fareeq MuslmanooN maiN qayum hogaya tha.. yeh wohi tha ju kay Mukamal azadi kay huq maiN tha.. in ka kehna tha kay HInd hum say liya gaya hay lehaza hamay wapis kiya jaye.. in logooN ki koy khas siyasi representation nazr nahi aati per Tehreek Rashmi Romaal jaisi kawishaiN (apnay awaleen dinooN maiN ) yehi nasb.ul.aain rakhtay thay.. JI eak tarah say pehla plateform tha jahaaaN say syasi tor per iss eshaas ki tarjumani key gayee...
un ki mukhalifut say qita nazr agr yeh dekha jaye kay Qayaam kay fori baad honay walay fasaadaat aur recovery kay silsilay maiN JI kam kiya woh apni misaal aap hay... JI kay naqid bhi uss kirdar ko tehseen ki nigah say daikhtay haiN...
Iraq aur Saddam ki misaal app nay khob dee 1990 ki jung maiN Kuwait maiN hi mojood tha ( khabrdar ju kisi nay kaha kay "itnay puranay haiN app" ) Saddam ghalibun iss liya muslmaan tha kay woh buhat saray logooN ki tarah eak muslim gharanay maiN paida ho gaya tha.. uss ki hakomat communist party, Ba'as Party ( yehi party Syria maiN bhi hukumraan thee aur ab bhi hay) un ka nara bhi yehi tha kay ju subah hotay hi saddam key hamd bayan na karay woh kabil-e-saza hay.. mout ki saza ko awaam maiN kamtreen saza taswur kiya jata tha... Pakistan maiN undinooN issay Sultan Salahuddin kay braber ka darja diya ja raha tha.. app hansi ki baat kertay haiN meray qahqahay nahi ruktay thay...
JahaaN tuk Modoodi ki Jageerdarana nizam ki himayat ki baat hay tu yeh kitab maiN nay nahi paRhi nahi iss kay baray maiN mujhay koy maloomat haiN per eak baat hay kay Jageerdarana nizam jadeed jamhoriyat ki farsoda shakal hay....yani jageerday apnay illaqa ka representative howa kerta tha babshah kay darbar maiN... MNA apnay illaqay ka representative hota hay.. eak ko badshah select kerta tha.. dosray ko bhi badshah bharpor munafiqat ka muzahira kertay howay select kerta hay... dono per hi koy ilzaam kabhi bhi sabit nahi ho sakta... agr jageerdar achi nasal ho ( jaisay kay howa kertay thay) tu apnay illaqay ko jannat maiN tabdeel ker daytay haiN...
( ilta'an arz hay kay mera qalbi ya syasi taluq kisi party ya movement say nahi hay.. her woh shakhs/party/movement jis say Pakistan ko Faida puhancha ho/ya puhanchanay ki ummed ho mera hero aur her woh shakhs/party/movement ju Pakistan kay khilaaf ho mera dushman)
khan_amer
Sep 21 2005, 02:32 PM
| QUOTE (Abu Adnan @ Sep 21 2005, 10:56 AM) |
Yeh sahee hai k maulana maudoodi (RA) aur JI ka tahreekay pakistan maiN koi hissa naheeN lekin yeh kahna k woh pakistan hi k mokhalif thay, khelafay aqal baat hai. agar aisa hota to:
JI maiN hazarouN khaamiyaaN hosaktee haiN aur haiN bhi lekin aik aisee kharabi, jo iss maiN maujood hi nah ho, oski baansaree bajana aik ajab tamasha hai. jabkay pakistan k khelaaf khulla khulla bataiN aur amal karnay wali seyasi qaum parast parties par koi ongli naheeN oThata...... pakistan aur pak army k khelaaf khullam khulla bolnay walay har daur maiN black mailing k zariyeh hakoomat maiN shamil hotay rahtay haiN. aur hakoomat say nikal kar haqooq k naam par pakistan k khelaaf hojatay haiN. |
JI kay general Secretary nay PTV program " Views and News" maiN yehi moaqif ikhtay'ar kiya hay.. aur JI kay behaviour say iss ki ta'eed hoti hay...
per jaisay kay app nay kaha kay Pakistan banaay kay ba'ad JI kabhi bhi, i mean kisi bhi dor maiN Pakistab mukhalif nahi rahi even 1970 ka elections maiN bhi Mashrerqi Pakistan maiN jub anarki apnay arooj per thee JI kay eak karkun khulay aam apni Mutehida Pakistan kay naray kay ba'wajood kamyab howay thay...
yeh baat bhi sahi hay kay JI kay leaders Made in Pakistan hi hotay haiN...
Daylight
Sep 21 2005, 03:05 PM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 02:27 PM) |
Kafi achi misal dee app nay Daylight
Let me Explain
Yeh log uss Pakistan kay khilaaf thay ju bun tu Islam kay naam per raha tha per jis kay bananay walay Islam say kosooN door thay... issi ki misal aisi hi hay kay maiN Murgh ka salan bana'ooN per uss maiN masalay baRay gosht kay Dal dooN ju hashar Murgh ka hoga wohi Pakistan ka ho gaya... Islam kay naam per riyasat banay walooN ko Qayam/Azadi kay baad iss ka aayen aur nizam hi nahi bun saka... issi crisis ki tableegh JI walay kiya kertay thay...
agr Pakistan kay taswur kay saath hi eak aur fareeq MuslmanooN maiN qayum hogaya tha.. yeh wohi tha ju kay Mukamal azadi kay huq maiN tha.. in ka kehna tha kay HInd hum say liya gaya hay lehaza hamay wapis kiya jaye.. in logooN ki koy khas siyasi representation nazr nahi aati per Tehreek Rashmi Romaal jaisi kawishaiN (apnay awaleen dinooN maiN ) yehi nasb.ul.aain rakhtay thay.. JI eak tarah say pehla plateform tha jahaaaN say syasi tor per iss eshaas ki tarjumani key gayee...
un ki mukhalifut say qita nazr agr yeh dekha jaye kay Qayaam kay fori baad honay walay fasaadaat aur recovery kay silsilay maiN JI kam kiya woh apni misaal aap hay... JI kay naqid bhi uss kirdar ko tehseen ki nigah say daikhtay haiN...
Iraq aur Saddam ki misaal app nay khob dee 1990 ki jung maiN Kuwait maiN hi mojood tha ( khabrdar ju kisi nay kaha kay "itnay puranay haiN app" ) Saddam ghalibun iss liya muslmaan tha kay woh buhat saray logooN ki tarah eak muslim gharanay maiN paida ho gaya tha.. uss ki hakomat communist party, Ba'as Party ( yehi party Syria maiN bhi hukumraan thee aur ab bhi hay) un ka nara bhi yehi tha kay ju subah hotay hi saddam key hamd bayan na karay woh kabil-e-saza hay.. mout ki saza ko awaam maiN kamtreen saza taswur kiya jata tha... Pakistan maiN undinooN issay Sultan Salahuddin kay braber ka darja diya ja raha tha.. app hansi ki baat kertay haiN meray qahqahay nahi ruktay thay...
JahaaN tuk Modoodi ki Jageerdarana nizam ki himayat ki baat hay tu yeh kitab maiN nay nahi paRhi nahi iss kay baray maiN mujhay koy maloomat haiN per eak baat hay kay Jageerdarana nizam jadeed jamhoriyat ki farsoda shakal hay....yani jageerday apnay illaqa ka representative howa kerta tha babshah kay darbar maiN... MNA apnay illaqay ka representative hota hay.. eak ko badshah select kerta tha.. dosray ko bhi badshah bharpor munafiqat ka muzahira kertay howay select kerta hay... dono per hi koy ilzaam kabhi bhi sabit nahi ho sakta... agr jageerdar achi nasal ho ( jaisay kay howa kertay thay) tu apnay illaqay ko jannat maiN tabdeel ker daytay haiN...
( ilta'an arz hay kay mera qalbi ya syasi taluq kisi party ya movement say nahi hay.. her woh shakhs/party/movement jis say Pakistan ko Faida puhancha ho/ya puhanchanay ki ummed ho mera hero aur her woh shakhs/party/movement ju Pakistan kay khilaaf ho mera dushman) |
| QUOTE |
| Yeh log uss Pakistan kay khilaaf thay ju bun tu Islam kay naam per raha tha per jis kay bananay walay Islam say kosooN door thay... issi ki misal aisi hi hay kay maiN Murgh ka salan bana'ooN per uss maiN masalay baRay gosht kay Dal dooN ju hashar Murgh ka hoga wohi Pakistan ka ho gaya... |
Meine yahan aik do din pehlay bhi ye baat likhi thi phir kehta hon.....
Agar masjid bananay waalay aam yani hum aap jaisay loag hon to masjid nahin tameer kerni chaahiye???? Balkeh aapkay khiyaal mein pehlay saleh aadmi tayyar kerne chahaiye aur baad mein masjid tayyar kerni chahaiye.......iss lehaza se agar 90 % nahin to 80% masajid ghair islami hain ya wo nahin ban-ni chahaiye thi......Pakistan bhi aik masjid hi tha........Ye kehna ke janab pehlay hindustan ke saaray musalmaano ko naik aur deen-daar banao uskay baad alag watan haasil karo bilkul ghalat tha....aur agar wo samajhtay thay ke hindustan mein musalmano ki hakumat qaim ho sakti hai to ye sareeh ghalati thi wo pissay huway thay aur maudodi sahib ko phir hussain ahmad madni ki tarha hindustan mein hi rehna chahaiye tha na yahan kyun aaye ...wahan reh ker wo hindustan ko musalmaan kertay rehtay........
Aapko bhi maloom hai ke angraiz chalay jaatay to india par hindu ki hakumat qaim hona thi........aap agar kahain ke janab mein aik hindu khandaan ke saath rehta hon aik hi ghar mein jis ke mujh par achhay asraat nahin par rahay lehaza mein hindu khandaan se alag ho ker alag ghar lena chahta hon ya ussi ghar mein partition kerna chahta hon aur jawab milay ke janab pehlay achhay musalmaan ban jaao phir aisi farmaish kerna
to kaisa lagay ga 
Asal baat ye thi ke maudodi sahib ko dard ye tha ke uss tehreek ki qayadat wo khud kyun nahin ker rahay .......kyunke unkay mutabik musalmaan aur naik loag to wo aur unki jamaat ke loag hi thay
Waisay iss tarha to kashmir ki azadi ke liye larne ki bhi zaroorat nahin............agar wo alag ho bhi gaye to ya to pakistan mein shaamil hon gay aur pakistan ki hakumat islami to hai nahin....ya wo alag rayasat banain gay aur un mein aisay naik loag shaamil hi nahin jo usko sahi islami rayasat bana sakain lehaza unki ye tehreek sahi nahin....unko araam se baharat se ilhaaq rakhna chahaiye ....jab wo achhay musalmaan ban jaain ya pakistan mein islami hakumat ban jaaye tab azadi ka naara lagain........
Daylight
Sep 21 2005, 03:12 PM
| QUOTE |
| ( ilta'an arz hay kay mera qalbi ya syasi taluq kisi party ya movement say nahi hay.. her woh shakhs/party/movement jis say Pakistan ko Faida puhancha ho/ya puhanchanay ki ummed ho mera hero aur her woh shakhs/party/movement ju Pakistan kay khilaaf ho mera dushman) |
Laikin pakistan ko faida pouhanchaanay wali kisi jamat ne pakistan ko nuqsaan bhi pouhanchaya hai ya kuch ghalat kya hai to sirf iss liye uss ghalat ko sahi nahin keh dena chahaiye ke usne bouhat kuch achha bhi to kya hai..........
| QUOTE |
un ki mukhalifut say qita nazr agr yeh dekha jaye kay Qayaam kay fori baad honay walay fasaadaat aur recovery kay silsilay maiN JI kam kiya woh apni misaal aap hay... JI kay naqid bhi uss kirdar ko tehseen ki nigah say daikhtay haiN...
|
Sorry khan bhai........Qayaam ke fori baad sab se bara fasaad to JI waalay khud thay............Jehad e Kashmir ko haram qarar diya gaya jabke kashmiriyun ko hamari sakht zaroorat thi..........phir hakumat e pakistan ki sarkaari mulazmat ko haram qarar de diya gaya jabke pakistan shadeed kisam ki intezami mushkilaat ka shikaar tha aur ussay sarkari mulazmeen ki sakht zaroorat thi..........phir adalton mein kaam kerne ko haram qarar de diya gaya........uss pareshaani ke daur mein JI ki aisi harkatein Pakistan ko shadeed nuqsan pouhanchanay ke mutradif thi...........aur aaj ghair nahin Ji ke apnay bhi iss par sharminda hotay hain......
khan_amer
Sep 21 2005, 03:42 PM
| QUOTE (Daylight @ Sep 21 2005, 01:05 PM) |
Meine yahan aik do din pehlay bhi ye baat likhi thi phir kehta hon.....
Agar masjid bananay waalay aam yani hum aap jaisay loag hon to masjid nahin tameer kerni chaahiye???? Balkeh aapkay khiyaal mein pehlay saleh aadmi tayyar kerne chahaiye aur baad mein masjid tayyar kerni chahaiye.......iss lehaza se agar 90 % nahin to 80% masajid ghair islami hain ya wo nahin ban-ni chahaiye thi......Pakistan bhi aik masjid hi tha........Ye kehna ke janab pehlay hindustan ke saaray musalmaano ko naik aur deen-daar banao uskay baad alag watan haasil karo bilkul ghalat tha....aur agar wo samajhtay thay ke hindustan mein musalmano ki hakumat qaim ho sakti hai to ye sareeh ghalati thi wo pissay huway thay aur maudodi sahib ko phir hussain ahmad madni ki tarha hindustan mein hi rehna chahaiye tha na yahan kyun aaye ...wahan reh ker wo hindustan ko musalmaan kertay rehtay........
Aapko bhi maloom hai ke angraiz chalay jaatay to india par hindu ki hakumat qaim hona thi........aap agar kahain ke janab mein aik hindu khandaan ke saath rehta hon aik hi ghar mein jis ke mujh par achhay asraat nahin par rahay lehaza mein hindu khandaan se alag ho ker alag ghar lena chahta hon ya ussi ghar mein partition kerna chahta hon aur jawab milay ke janab pehlay achhay musalmaan ban jaao phir aisi farmaish kerna to kaisa lagay ga 
Asal baat ye thi ke maudodi sahib ko dard ye tha ke uss tehreek ki qayadat wo khud kyun nahin ker rahay .......kyunke unkay mutabik musalmaan aur naik loag to wo aur unki jamaat ke loag hi thay
Waisay iss tarha to kashmir ki azadi ke liye larne ki bhi zaroorat nahin............agar wo alag ho bhi gaye to ya to pakistan mein shaamil hon gay aur pakistan ki hakumat islami to hai nahin....ya wo alag rayasat banain gay aur un mein aisay naik loag shaamil hi nahin jo usko sahi islami rayasat bana sakain lehaza unki ye tehreek sahi nahin....unko araam se baharat se ilhaaq rakhna chahaiye ....jab wo achhay musalmaan ban jaain ya pakistan mein islami hakumat ban jaaye tab azadi ka naara lagain........ |
app point miss ker rahay haiN.. meray khayal say aur ju documents available haiN.. un kay mutabiq naik bananay ka mas'ala nahi tha...
Pakistan aur Hind maiN bhi sirf un jageerdarooN aur nawabooN ko nawaza gaya jin kay islaaf gardn gardn Mujahediin kay Khoon maiN Dobay nazr aatay haiN. azadi ki tehrookooN maiN yeh jageerdar tabqa qurbaniyooN guraiz sirf hakomat kay chakrooN maiN shamil tha.. warna tu yeh log uss waqat bhi utnay hi azaad thay jitnay kay aaj azad haiN...
app daikh.laiN aur uper bhi maiN nay kaha hay kay Islam kay naam per riayasat tu bana-i ja rahee thee per bananay walay ussay wohi thay jinhooN nay "Zaraar" bana-i thee.. (hope ab point clear ho gaya ho ga)
Pakistan waqt ki zaroorat tha, aur aaj bhi Bar-e-Saghir maiN muslims hi panah-gah hay... Mutehida Hindustan jiska kay teesra fareeq kha'ab dekha kerta tha kisi kay liya bhi qabil-e-qabool nahi ho sakta tha.. yeh baat khuli haqeeqat thee aur iss ka sub say pehlay sir Syed nay idraak kiya aur iss per kam bhi kiya... per ussi tehreek kay kar.kunaan nay Pakistan kay liya qurbaniyaaN bhi deeN.. per yahaaN per un leaders ki baat ker raha hooN ju un dinooN Quaid kay saath iss liya thay kay unhaiN lugta tha kay Pakistan bn ker hi rahay ga aur agr unhooN nay iss ki himayat na key tu un kay khilaf lambay dafter khulnay ki umeed hay...
khan_amer
Sep 21 2005, 03:50 PM
| QUOTE (Daylight @ Sep 21 2005, 01:12 PM) |
Laikin pakistan ko faida pouhanchaanay wali kisi jamat ne pakistan ko nuqsaan bhi pouhanchaya hai ya kuch ghalat kya hai to sirf iss liye uss ghalat ko sahi nahin keh dena chahaiye ke usne bouhat kuch achha bhi to kya hai..........
Sorry khan bhai........Qayaam ke fori baad sab se bara fasaad to JI waalay khud thay............Jehad e Kashmir ko haram qarar diya gaya jabke kashmiriyun ko hamari sakht zaroorat thi..........phir hakumat e pakistan ki sarkaari mulazmat ko haram qarar de diya gaya jabke pakistan shadeed kisam ki intezami mushkilaat ka shikaar tha aur ussay sarkari mulazmeen ki sakht zaroorat thi..........phir adalton mein kaam kerne ko haram qarar de diya gaya........uss pareshaani ke daur mein JI ki aisi harkatein Pakistan ko shadeed nuqsan pouhanchanay ke mutradif thi...........aur aaj ghair nahin Ji ke apnay bhi iss par sharminda hotay hain...... |
| QUOTE |
| Laikin pakistan ko faida pouhanchaanay wali kisi jamat ne pakistan ko nuqsaan bhi pouhanchaya hai ya kuch ghalat kya hai to sirf iss liye uss ghalat ko sahi nahin keh dena chahaiye ke usne bouhat kuch achha bhi to kya hai.......... |
ghalat ghalat hay aur sahi sahi... masalan Bhutto maiN lakh khamiyaaN sahi per Pakistan ka Atomic Program ki bunyad rakhna aur ussay RED TAPE say azaad kerna UN ka aisa karnama hay jis key jitni bhi tareef key jaye kum hay...
Mrs Zardari nay, Gen. Naseer-ullah Khan baber kay saath mil ker Karachi maiN watan dushman anasir ki kamar toRi
Nawaz shareef nay Pakistan maiN Motorway projects...
yeh kuch points haiN..
illawa azeeN. Kuch so called syasi jamataiN aisi haiN jin key paidaish hi Pakistan ko khatum kernay ki niyaat say hay.. in maiN MQM aur PONAM qabil-e-zikar haiN.. app in key tareekh uTha ker daikh laiN in ka zyada zor Pakistan aur Nazria-e-Pakistan ko sabotaas kernay maiN hi hota hay... chahay yeh Hakomat maiN hooN ya Hakomat say bahir.. Pakistan kay huq maiN eak bhi karnama yeh log Ghalati say bhi anjaam nahi daytay... iss liya app ko shayad DhoonDay bhina milay... haaN "MODOO" waqayaat kasrut say milaiN gay
Abu Adnan
Sep 21 2005, 04:35 PM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 03:42 PM) |
Pakistan aur Hind maiN bhi sirf un jageerdarooN aur nawabooN ko nawaza gaya jin kay islaaf gardn gardn Mujahediin kay Khoon maiN Dobay nazr aatay haiN. azadi ki tehrookooN maiN yeh jageerdar tabqa qurbaniyooN guraiz sirf hakomat kay chakrooN maiN shamil tha.. warna tu yeh log uss waqat bhi utnay hi azaad thay jitnay kay aaj azad haiN... |
Abu Adnan
Sep 21 2005, 04:54 PM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 03:50 PM) |
ghalat ghalat hay aur sahi sahi... masalan Bhutto maiN lakh khamiyaaN sahi per Pakistan ka Atomic Program ki bunyad rakhna aur ussay RED TAPE say azaad kerna UN ka aisa karnama hay jis key jitni bhi tareef key jaye kum hay...
Mrs Zardari nay, Gen. Naseer-ullah Khan baber kay saath mil ker Karachi maiN watan dushman anasir ki kamar toRi
Nawaz shareef nay Pakistan maiN Motorway projects...
yeh kuch points haiN..
illawa azeeN. Kuch so called syasi jamataiN aisi haiN jin key paidaish hi Pakistan ko khatum kernay ki niyaat say hay.. in maiN MQM aur PONAM qabil-e-zikar haiN.. app in key tareekh uTha ker daikh laiN in ka zyada zor Pakistan aur Nazria-e-Pakistan ko sabotaas kernay maiN hi hota hay... chahay yeh Hakomat maiN hooN ya Hakomat say bahir.. Pakistan kay huq maiN eak bhi karnama yeh log Ghalati say bhi anjaam nahi daytay... iss liya app ko shayad DhoonDay bhina milay... haaN "MODOO" waqayaat kasrut say milaiN gay |
jo sahee hai, woh sahee hai...aur jo ghalat hai woh ghalat hai, khaah kissi nay bhi kia ho.
1. Ayyub khan nay pak maiN marshal law ki bunyaad rakhee jo ghalat tha ... magar skay daur maiN LB k intekhabaat howay jo aik achcha kaam hai, magar osnay issay apnay sadarti election k liyeh use kia jo ghalat tha. onkay daur maiN bahut say taraqqiyati kaam bhi howay jo achchay thay.
2. z a bhutto nay bengaladesh banwanay maiN final aur aham kirdaar ada kia jo bahut ghalat tha. lekin osnay pakistan maiN atomic project ki bunyaad rakhee jo aik aham kaarnaamaa hai. oska aik aur kaarnama muslim sarbarahi conference ka ineqaad tha lekin osnay issay mahaz bengaldesh ko manzoor karwanay ki had tak "use" kia jo ghalat tha.
3. ziaul haq go martial law lay aker aayaa lekin osnay aisa qaum k motalebay par laya aur bhutto say qaum ko nijaat delaya. ziaul haq ka sab say baRa kaarnama afghanistan maiN russia k khelaaf jehaad maiN bharpoor hissa lekar ussr ko toRna hai. warnah aaj pak ka hashar afghanistan aur iraaq jaisa hota ussr k haathouN..... lekin ossnay karachi maiN JI ki quwwat toRnay k liyeh ISI k haathouN aur Ghaus Ali Shah ki zeray nigrani MQM ki tashkeel ki. (ghaus Ali shah iski gawahi day chukay haiN).... Ghaleban yeh dunya ki aik anokhi qaum parast tanzeem ki tashkeel hai jo mohajerouN k haqooq k naam par aik punjabi (zia) nay army k zariyeh aur aik sindhee (Ghaus Ali shah) ki sarparastee maiN qaim howee, jissay aik aur madday moqabil (in sindh) qaum parast tanzeen geay sindh ki aasheer waad bhi shamil thee. MQM ka pahla taseesi ijlaas g m syed k gaouN maiN howa jiski photo published hai. yeh yaqeenan zia ka seyaah kaarnama tha. zia hi nay bhutto k kahoTa project ki takmeel karwayee.
4. nawaz shareef nay motorway banayee, qaum ko sastay damouN yellow can dee. industries ko farogh dia....magar oska sab say baRa kaarnama usa ki mokhalfat ko face kartay howay atomic dhamaka karna tha..... jabkay oski khamiyouN maiN army say panga lena aur apnay qudrati hareef deeni jamatouN say khood ko door karna tha. adaltouN say bhi bila wajah panga lia.
5. benazir k +ve point maiN jehaday afghanistan ko jouN ka touN barqar rakhna yani roll back nah karna, pak maiN internet ko introduce karna jabkay baRee khami mr. zardari ko free hand dena jo inhaiN lay Dooba.
6. musharraf k -ve points maiN afghanistan per u-turn lena, atomic hero ko zero banana, pakistan k islami tashakhus / nisabay taleem ko secular bananan ...... bahut see khamiyaaN haiN. khoobi mujhay taa haal aik bhi nazar nahee aarahi sewa.ay nab ka aghaaz maiNqaumi daulat looTnay walouN k khelaaf kaarwayee jo baad maiN flop hogayee.
jasoos
Sep 21 2005, 09:24 PM
I think maudoodi did the right thing by opposing partition. Muslims would have been better off in a united India and not to mention the United India would have been one of the strongest countires in the world right now. Khan amer, aap pakistan tornay ki baat kertay hain but little do you know that bhutto and army broke pakistan with full madate of punjab.
And so the two-nation theory(which was a joke with sub-continent muslims) was drained down the bay of bengal and jinnah's pakistan had been shattered into pices by the "khotay sikkay" he had sadly referred to after pakistan had been made
.
khan_amer
Sep 21 2005, 09:36 PM
| QUOTE (jasoos @ Sep 21 2005, 07:24 PM) |
I think maudoodi did the right thing by opposing partition. Muslims would have been better off in a united India and not to mention the United India would have been one of the strongest countires in the world right now. Khan amer, aap pakistan tornay ki baat kertay hain but little do you know that bhutto and army broke pakistan with full madate of punjab. And so the two-nation theory(which was a joke with sub-continent muslims) was drained down the bay of bengal and jinnah's pakistan had been shattered into pices by the "khotay sikkay" he had sadly referred to after pakistan had been made . |
Correction Jasoos bhai
Not Punjab, Punjab Sindh aur Sarhed kay Jageerdar aur Khan + Army nay Pakistan toRa... aur baqi kay ju peechay paRay haiN un maiN yehi sub including MQM...
jasoos
Sep 21 2005, 11:43 PM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 04:36 PM) |
Correction Jasoos bhai
Not Punjab, Punjab Sindh aur Sarhed kay Jageerdar aur Khan + Army nay Pakistan toRa... aur baqi kay ju peechay paRay haiN un maiN yehi sub including MQM... |
bhai sahib, chalain jo bhi responsible tha, kisi ko pinishment mili? kisi ke bhi khilaaf muqaddima chala? qaum ke ghaddaron ka ehtisaab hua? nahi na, yeh sub qaum ke saath bhayaanak mazaaq nahi to aur kiya hai? jab baray baray ghaddar aur mulk tornay waalay muhibb e watan ban ke khulay ghoomtay rahay hain to phir chotay motay qaum paratson ko mulk dushamn qaraar de ker kyoon mazaaq kertay ho.
khan_amer
Sep 22 2005, 12:40 AM
| QUOTE (jasoos @ Sep 21 2005, 09:43 PM) |
| bhai sahib, chalain jo bhi responsible tha, kisi ko pinishment mili? kisi ke bhi khilaaf muqaddima chala? qaum ke ghaddaron ka ehtisaab hua? nahi na, yeh sub qaum ke saath bhayaanak mazaaq nahi to aur kiya hai? jab baray baray ghaddar aur mulk tornay waalay muhibb e watan ban ke khulay ghoomtay rahay hain to phir chotay motay qaum paratson ko mulk dushamn qaraar de ker kyoon mazaaq kertay ho. |
Modern World maiN aaj tuk kisi bhi so called baRay ko punishment mili... agr above mentioned nay ghadari key tu kiya in choTay qom parastooN key ghadari jayaiz ho gayee? Pakistan Mukhalif log issi baat ko sahara banatay haiN.. ajeeb logic hay yani 2 ghalat eak sahi bana saktay haiN?
buray ko bura kehnay na DaRa karaiN bhai.. kum us kum itni ikhlaqi jurat tu honi chahiyee !! kiya khayal hay ghalat kaha maiN nay?
Salman4u
Sep 22 2005, 12:49 AM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 07:04 AM) |
| yeh ghalat fehmi hay kay JI ya Modoodi Pakistan Mukhalif thay... ... |
khan_amer
Sep 22 2005, 12:53 AM
| QUOTE (Salman4u @ Sep 21 2005, 10:49 PM) |
|
Salman4u
Sep 22 2005, 12:57 AM

KHAN UNCALE Matta k baray main hazrat E Mouddi k views pay aap kia tabsara farmain gay ?
khan_amer
Sep 22 2005, 01:00 AM
| QUOTE (Salman4u @ Sep 21 2005, 10:57 PM) |

KHAN UNCALE Matta k baray main hazrat E Mouddi k views pay aap kia tabsara farmain gay ? |
bhai kyoN bhaag rahay ho .. ayaiN bayaiN shayaiN kerna band karo aur ju pocha hay uss ka jawab do ya keh doo kay chooNkay maiN sahafi hooN ya sahafut say munsalik hooN aur sonay per suhaga kay MQM say bhi taluq hay tu sach tu bol nahi sakta aur bus non-issues per hi behas kerna janta hoN... waisay phir say pooch raha hooN yah fun paidaishi hay ya training lee hay apnay peer say....???
Salman4u
Sep 22 2005, 01:08 AM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 08:00 PM) |
| bhai kyoN bhaag rahay ho .. ayaiN bayaiN shayaiN kerna band karo aur ju pocha hay uss ka jawab do ya keh doo kay chooNkay maiN sahafi hooN ya sahafut say munsalik hooN aur sonay per suhaga kay MQM say bhi taluq hay tu sach tu bol nahi sakta aur bus non-issues per hi behas kerna janta hoN... waisay phir say pooch raha hooN yah fun paidaishi hay ya training lee hay apnay peer say....??? |
Assalam O Alikum
I Think U R Family Member on This Board I'm Right ? Strange V Strange Sir Ji
Aur Yahan bhe mqm ko lay aay lolz.......... aap to zatiat pay autar aay sir ji.. aur ye topic wo nahain hai is leay mujh say n apoochain wo jo is topic k mutaliq nahain hai hazrat jo poochna hai aus topic pay poochain phir say ek baar quote kardain main jawab dayta hoon yahan main nahain aap bhag rahay hain
main nay poocha moudoodi nay Matta ko jaiz karar diya aap bhe jaiz boltay hain ya moudooi jamat e islami k bani say ikhtelaf kartay hain aur aus kee mazamat kartay hain
aesay to aap bidat bidat bidat milad ko bidat, shab e barat ko bidat kehnay main pages bhar daytay hain aur moudoodi k matta k fitway ka jwab nahain day rahay aap yahan MQM ko lay aay hahaha
khan_amer
Sep 22 2005, 01:18 AM
| QUOTE (Salman4u @ Sep 21 2005, 11:08 PM) |
Assalam O Alikum
I Think U R Family Member on This Board I'm Right ? Strange V Strange Sir Ji
Aur Yahan bhe mqm ko lay aay lolz.......... aap to zatiat pay autar aay sir ji.. aur ye topic wo nahain hai is leay mujh say n apoochain wo jo is topic k mutaliq nahain hai hazrat jo poochna hai aus topic pay poochain phir say ek baar quote kardain main jawab dayta hoon yahan main nahain aap bhag rahay hain
main nay poocha moudoodi nay Matta ko jaiz karar diya aap bhe jaiz boltay hain ya moudooi jamat e islami k bani say ikhtelaf kartay hain aur aus kee mazamat kartay hain
aesay to aap bidat bidat bidat milad ko bidat, shab e barat ko bidat kehnay main pages bhar daytay hain aur moudoodi k matta k fitway ka jwab nahain day rahay aap yahan MQM ko lay aay hahaha |
bahi jee app ka hathyaar app per istaymaal kiya tu app ki cheekh hi nikal gayee!!! kyoN bhai itnay per hi hosla haar gay... app hi nay mujhay her dosray topic maiN ISLAM, CA aur even kay SHIKAYAT maiN bhi kehna shoro ker diya tha kay maiN kay sawalooN kay jawab nahi dayta... aur app kay sawal anay per topic choR dayta hooN.. aur jub maiN nay topic pochay tu app search kernay chalay gay ju kay ghalibun taa haal jari hay... tu bhai maiN nay bhi yehi kaha hay kay Khuda.ra jawab tu daiN...
agr app tehzeeb ka daman na choRtay tu maiN app say bhi izzat say hi paish aata.. per app ko woh zuban samajh hi nahi aa rahi thee tu majboran maiN mujhay bhi ussi zuban maiN baat kerni paRi ju app ko samajh aati hay ( go kay mujhay yeh zuban zyada nahi aati )
ab bhi reply karaiN gay kay abhi bhi idher udher ki bataiN keraiN gay....
ghaliban ab app kahaiN gay maiN nay salam ka jawab nahi diya....
Salman4u
Sep 22 2005, 01:18 AM
Moudoodi K Chahnay walon say abhi aaj ka sawal maira sirf aur sirf ye hai k Moudoodi Jamae E Islami K bani nay
Matta ko jaiz karar diya apa is pay kia kehtay hain ?
Khan bhai nay to is sawal k jawab say raah e farrar ikhtear kar lia hai baqi koi dost jawab day ga ?
khan_amer
Sep 22 2005, 01:30 AM
| QUOTE (Salman4u @ Sep 21 2005, 11:18 PM) |
Moudoodi K Chahnay walon say abhi aaj ka sawal maira sirf aur sirf ye hai k Moudoodi Jamae E Islami K bani nay
Matta ko jaiz karar diya apa is pay kia kehtay hain ?
Khan bhai nay to is sawal k jawab say raah e farrar ikhtear kar lia hai baqi koi dost jawab day ga ? |
| QUOTE |
| Khan bhai nay to is sawal k jawab say raah e farrar ikhtear kar lia hai baqi koi dost jawab day ga ? |
bhai jee app ka ban honay ka irada lugta hay...

Islam section ka sawal yahaaN per ker rahay ho!!! pehlay sawal kerna tu seekh loo!!! Pakistan ki sahafut ka Allah hi hafiz hay.. umeed koy nazr nahi aati
waisay app nay kitnay sawalooN kay jawab diya haiN.. as usual sub say hi bhagay howay haiN mera khayal say ab app ko Dr nay aglay 4/5 din Islam section say perhaiz bataya hay? am i right???
Salman4u
Sep 22 2005, 02:06 AM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 08:30 PM) |
bhai jee app ka ban honay ka irada lugta hay... Islam section ka sawal yahaaN per ker rahay ho!!! pehlay sawal kerna tu seekh loo!!! Pakistan ki sahafut ka Allah hi hafiz hay.. umeed koy nazr nahi aati
waisay app nay kitnay sawalooN kay jawab diya haiN.. as usual sub say hi bhagay howay haiN mera khayal say ab app ko Dr nay aglay 4/5 din Islam section say perhaiz bataya hay? am i right??? |
AAP BAN KARAIN GAY MUJHAY ? Is ko dhamko samjhoon aap kee
aur mr.admin plz point to noted ye sahab har baar zati hamlon pay hamlay kar rahay hain main nay in pay kabhi bhe zati hamla nahain kia sirf in ko ye bola hai K Assalam O Alikum K jawab main jo main in ko har baar karta hoon Aap walikum Salam bol diya karain.
Insaf k takazay ko folow kartay karawai kee jaay ger main gunahgar hoon to mujhay saza dee jaay aur ger ye zatiat pay autar rahay hain to in ko warning dee jaay aur is silislay main aap mairay aun mukhalif doston say raay zaroro lay lejeay ga jin say meri behas aur takrar hot rehti hai k maira rawaiya aun doston k kais rehta hai hamisha.
khan_amer
Sep 22 2005, 02:10 AM
| QUOTE (Salman4u @ Sep 22 2005, 12:06 AM) |
AAP BAN KARAIN GAY MUJHAY ? Is ko dhamko samjhoon aap kee
aur mr.admin plz point to noted ye sahab har baar zati hamlon pay hamlay kar rahay hain main nay in pay kabhi bhe zati hamla nahain kia sirf in ko ye bola hai K Assalam O Alikum K jawab main jo main in ko har baar karta hoon Aap walikum Salam bol diya karain.
Insaf k takazay ko folow kartay karawai kee jaay ger main gunahgar hoon to mujhay saza dee jaay aur ger ye zatiat pay autar rahay hain to in ko warning dee jaay aur is silislay main aap mairay aun mukhalif doston say raay zaroro lay lejeay ga jin say meri behas aur takrar hot rehti hai k maira rawaiya aun doston k kais rehta hai hamisha. |
khan_amer
Sep 22 2005, 02:14 AM
agr uss replis hooN tu un topics maiN aa jana warna yahaaN per ab maiN kum us app ko reply nahi dooN ga.. kyoN kay aakhir app yeh kehna.mashq sahafi haiN.. aur maiN aam aadmi
jasoos
Sep 22 2005, 03:37 AM
| QUOTE (khan_amer @ Sep 21 2005, 07:40 PM) |
Modern World maiN aaj tuk kisi bhi so called baRay ko punishment mili... agr above mentioned nay ghadari key tu kiya in choTay qom parastooN key ghadari jayaiz ho gayee? Pakistan Mukhalif log issi baat ko sahara banatay haiN.. ajeeb logic hay yani 2 ghalat eak sahi bana saktay haiN? buray ko bura kehnay na DaRa karaiN bhai.. kum us kum itni ikhlaqi jurat tu honi chahiyee !! kiya khayal hay ghalat kaha maiN nay? |
That's the attitude of the weak-minded.
maana ke buraai buraai hai lekin farz karain ager koi 1 lakh rupees chori kerta hai aur doosra aadmi 100 rupees chori kerta hai, ki to donon ne buria hi lekin zahir hai 1 lakh ki chori waalay ko bari saza milni chahye. lekin hamaray haaan muaamala ulta hai, choti qaum parast jamaatein jo ke sirf aur sirf provincial autnomy maang rahi hain ko ghaddar qarar de diya gaya aur baray baray polticians aur general jinhon ne mulk tora woh khulay ghoom rahain hain.
waisay qaum parast are not ghaddar. They are only asking for their rights within the federation. They want provincial autnomy, the right to self-rule, and an end to punjabi domination and interference in their affairs. Thats not ghaddari, but thats standing up against injustice, oppression, subjugation, and a corrupt system. Now dont tell me that bengalis were ghaddar for standing up for their rights as well. yeh baat yaad rakhiye ga ke zindaa aur ghairatmand qaumein kabhi ghulaami bardaasht nahi kerteen...aagay aap khud samajh leejiye
Abu Adnan
Sep 22 2005, 08:02 AM
Salman4u 
khan_amer 
Aap dounouN say guzarish hai k zaatiyaat par nah otraiN aur apni bahas ko topic tak mahdood rakhaiN. agar bahas topic say haT kar members par honay lagay to topic ko edit / closed kia jasakta hai.
omeed hai k aap ayandah shikayat ka moqah nahee dengay.
mukhlis
AA
Road_Runner
Sep 22 2005, 11:36 AM
Moulana Mododdi ka aik apna he islam ka falsafa thaa jin say aksar say ziada ulmadin nay khul ket ikhtelaf kia hey
aur rahi bat pakistan ki to unhon ney mr.jinnah ko khul k kafir kaha hey ek bar nahain hazar bar kaha hai aur wo muslim leag k bouhat barday mukhalif thay is bat men koi shaq ke hunjaish hi nain hey
kamil_surfaroosh
Sep 22 2005, 12:53 PM
waisai yahan honi wali batoo aur posts sai yeh sabit ho gaya hay kai JI Pakistan bunnai kai bhi khilaaf thi aur Mododi sahab bhi is kai khilaaf thay ,is kai illawa JI jehad e kashmir kai bhi khilaaf thay aur to aur yeh Pakistan bananai wali leadership kai bhi khilaaf aur mukhalif thay .
jahan tak khan amir ki baat hay to salman bhai app bhi kis kai mou lag rahay hain ?
ban kernai ki dhumkiyan yahan is liye di jati hain kion kai sach ko dabana hai yeh log apnai khilaaf baat berdasht nahi ker sakttay isi liye foran zatyat per oter aatay hain aur logo ko apna zurf dekhatay hain .
Mododi JI pakistan dushman aur Pakistan Mukhaif thai aur hain is mai koi shuk nahi .
Road_Runner
Sep 22 2005, 02:45 PM
| QUOTE (kamil_surfaroosh @ Sep 22 2005, 12:53 PM) |
| JI Pakistan bunnai kai bhi khilaaf thi aur Mododi sahab bhi is kai khilaaf thay ,is kai illawa JI jehad e kashmir kai bhi khilaaf thay |
kamil_surfaroosh, aap ki iss bat say to men agree he karoon gi k jamat e islami pakistan bantay dekhna he nain chahti thee jinnah mukhalif thee. aur jahad e kashmir k khilaf to abbu ullah mododi ney bouhat khul key bolaa hey
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.