Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Bol K Lub Aazad Hain Teray
HulChul.NET > UrduPoint / HulChul > Mashwaray, Tajaweez, Shikayat
Salman4u
salam.gif

Dear Admins, Mod's

Akhir wo he hoowa jiss ka hamain yaqeen thaa k janab e Abbullah moudoodi sahab k baray main post keay jana wala topci lock kar diya gaiyamaira aap say ek sawal hai k akhir aus topic ko kyun close kia gaiya ? kia aap hamain is kee wajha bata saktay hain sawal karna to shaid koi jurm nahain hai na to is leay main aap say ek sawal pooch raha hoon.

jub yahan mqm aur altaf hussain k khilaf topics ban saktay hain, muslim aqaid Sahab E Barat kee mukhalfat main islami section main ek nahain 5 topics banay gay aur aur wahan chand hazrat nay apni post k zaray hamari dil aazari kee jub aesay topics ban saktay ahin jin ko del ya lock nahain kia gaiya to Moudooi kee tasanif aur aun k aqaid pay ger hum nay lub kushai karee to aus ko close kar diya gaiya why ?

aur ger aus ko lock he kiya hai to kia ye acha nahain ho k shab e barat kee mukhalfat main jo dil azari wali post kee gai hain ya topics banay gay hain aun sub ko bhe lock kia jaay


AUR SATH HE Ek muhtaram Family members kee post ko bhe read kia jaay check kia jaay jiss main wo musalsal zaati hamlay kar rahay hain aur fatway jari kar rahay hain aun ka naam hai Khan Amer.

Ummed karta hoon k hamain bharpoor insaf milay ga

Salman4u
Chnakd Links Deay Ja Rahay Hain Jiss MAIN Hazrat E Khan Amer K Zaati Hamlon Aur Nazeba Kalmat Ko Aap Ba Khoobi Daikh Saktay Hain

http://www.hulchul.net/index.php?act=ST&f=...dpost&p=2084370

http://www.hulchul.net/index.php?act=Searc...sult_type=posts


http://www.hulchul.net/index.php?act=Searc...sult_type=posts
Abu Adnan
aap ki shikayat k jawab maiN ossi post maiN aap ko aur khan amer dounouN say request ki gayee hai k zatiyaat par attack nah karaiN.

woh post iss liyeh lock howee k oss maiN sab nay apna nuqtah nazar bayan kardia hai. mazeed post ko tool denya ka koi faidah naheeN.

ayandah agar closed topic par koi re-posting howee to edit kardi jayegi.

omeed hai k aap ayandah bhi iss bat ka khayal rakhengay.
yeh post aap ki shikayat aur oskay jawab k baad ab closed ki jati hai. plese don't repeat it again.

shukriya. khush rahaiN.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.