| QUOTE (Daylight @ Sep 26 2005, 07:17 AM) |
| Hmmm.......Nothing new. RP cablenet scandle ke baad hi ye baat wazeh ho chuki thi ke hum kis dagar par jaa rahay hain.........ye to abhi hamari besharmi ka aghaaz hai aagay aagay dekhiye hota hai kya. |
| QUOTE (FarOOqi @ Sep 26 2005, 03:10 PM) |
| "roshan khayal aetedaal pasandi"... naam hee kaafi hay. |
| QUOTE (Daylight @ Sep 27 2005, 06:27 AM) |
| Aapki iss baat ka matlab?? |
| QUOTE (Daylight @ Sep 27 2005, 08:07 AM) |
| Aapki baat sahi hai laikin aapne isko roshan khayal aetedaal pasandi kyun kaha jabke roshan khayal aur aetdaal pasand hona islami nuqta e nazar se bouhat achhi baat hai.......isko tareek khiyali kehna chaahiye na ke achhay words ko buray mafhoom mafhoom mein use kerna chahaiye. |
| QUOTE (tihami @ Sep 28 2005, 07:29 PM) |
| usuf bhai is recordings ka tou mujhaay naheen pata,, haan aaj say 3-4 saal pahlaay jab ham abhi lahore main hi thaay, kalma chouk k qareb moujood aik college main BASANT par aik G2G thee,, jis main sirf couples ko jana allow tha,,(shayad koi dance party thee) n us waqt us k gate k bahir larkyaan wait kar rahee then k koi larka aay jis k sath woh under jaa kar shirkat kar sakain,,,, I think is tarah k mahool mmain aik bara hath hamaray un institutes ka bhi hay, jahan par paisay tou bohaat ziada liya jaatay haain aur studies k naam par free mixing hou rahee hay,,,, un hi dinoon Lahor Medical College k hostel kay bhi kuch ajeeb say halaat thaay,, kiyoon k un ka hostel aik co-hostel thaa,, aik hi floor par sath sath larkoon aur larkiyoon k rooms thaay,, agar koi ksii say milnay jata thaa, tou kah anhen sakta thaa k door nock karnaay par larki niklaay ge yah larka,,, aur phr zimma daree tou hamaray oper, aur parents k oper bhi hay sab say ziada,, k woh is ko nazar mai rakh rahay haain k naheen, k un k bachaay studies k saath sath koon say extra-curicular activities main masroof haain,,,, |
| QUOTE (Abu Adnan @ Sep 29 2005, 08:47 AM) |
| u r rite bhai k parents ki baRee zimmah dari hai ... bilkhasoos jab hakoomat kharafaat ko farogh day rahi ho to aisay maiN onki zimmah daariyaaN do chand ho jati haiN. yeh meray liyeh aik new hai k lahore medical college maiN hostels makhloot haiN .... ghaleban pakistan bhar ka yeh wahid college hoga .... warnah to larkiyoun k hostels separate hi hotay hain. karachi maiN bhai aisay tafreehi moqamaat jahaaN sirf families allowed haiN.... inkay bahar aisee laRkiyaaN ... college / school ki khaRee mil jati hain jo mahaz 100 / 50 rupees main ya mahaz aik coke / burger k "ewaz" single larkouN ko andar lay jati haiN, family ki soorat maiN. |