Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Sahafi Hamaray Ahed Kay
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
khan_amer
Sahaif aur Sahafut Hamaray ahed kay.

Zyada arsa nahi guzra jub sahafat eak muqadus fareeza tha, iss farz nay qom ko ghaflut say jagaya aur unhaiN naye rahaiN suja'yeeN, phir waqt badl gaya aur yeh muqadus fareeza, muqadus paishay maiN badal gaya, waqifaan-e-haal jantay haiN kay koy bhi paish muqadus nahi hota, kyoN hur paishay ka bunyadi maqsaad apnay app ko support kerna hota hay, yehi kuch sahafut maiN howa... sahafut ko Industry ka darja hasil ho gaya aur sahafi paish.wer bun gay... aur apni khabraiN baichnay kay liya inhooN nay her ja'aiz ( if any) aur na-ja'iz tareeqa ikhtay'ar kiya.

her industry ki tarah sahafut kay bhi departments hotay haiN, jaisay crime, showbiz aur sports, sahafiyooN ko discuss kernay say pehlay behter hoga kay yeh bhi daikh laiN kay sahafiyoN kay fara'iz kiya haiN.
meri nazr maiN eak sahafi zulm kay khilaf awaaz buland kerta hay, sahafi kay ander ghalat ko ghalat aur sahi ko sahi kehnay ki jablut paidaishi hoti hay.

ab mazkora jumlay ki roshni maiN daikhtay haiN kay ajj ka sahafi iss per kitna pura uterta hay.
sahafi banay kay liya app ko ab apni khuda-daad salahiyatooN per inhaysaar kernay ki zaroorat nahi hay, na-hi app ko kisi kisam ki degree ya qualification ki zaroorat hay, iss paishay maiN shamil honay kay liya app ka koy "kin" ( yeh english wala kin hay) iss paishay say wabista ho aur app bazar say "Sahafi banyee" ki kitab khareed la'yaiN, pehla safa paRh ker hi app sahafi ban jayaiN gay.. kitab ki zaroorat nahi rahay gee. baqi kam app kay "kin" anjaam daiN gay.

tu janab ab hamaray jadeed ahed kay sahafi tayar ho gay haiN.. ab aaj ka crime reporter kis tarah key khabrooN ki talaash maiN hota hay:
Crime reporter ki pasandeeda khabr Rape, ya kisi bhi khatoon ki sar-e-aam bay-hurmati hoti hay, app ghalat mat samjhiyee ga, crime reporter iss karnamay ko sar.anjaam daynay walay kay naam ka zikr bhi nahi kerta woh tu bus mazay lay lay ker waqaya bayan kerta hay aur uss ki koshish hoti hay ka mazlooma ko jitna bhi budnaam ker sakta hay ker Dalay, kyoN yeh uss ki paishawaraana zimada-dari hay... hona tu yeh chahiyee kay Sahafi uss zalim ki puri nasl ko rageed kay rakh day, per aisa koy bhi sahafi kerta nahi hay... app ko aisa koy waqaya uTha ker daikh laiN Khawateen ka hi tazkara milta hay.. zalim ko paRDay maiN rakha jata hay.. ghaliabn yehi jadeed sahafiyooN key zimadari hay...

Showbiz kay sahafi Takay Takay maiN apni ada'oN ko farokht kernay waliyooN kay ta'qub maiN rehtay haiN ghaliban yeh log yeh soch ker kay shayad woh apni kama-i say kuch hisa inhaiN bhi day day issi liya unhaiN quote kertay haiN.. .iss kay illawa tu mujhay koy wajah nazr nahi aati... app ko agr aati ho tu kindly meri malomaat maiN azafa karaiN...

sahafiyooN ki above do qismoN ko mila'oo tu eak aur qisam wajood maiN aati hay, yeh log syasi sahafi hotay haiN, in ka qibla aur Khuda koy syasatdan hota hay, in ka kam uss syasatdan ko Farishta bana ker paish kerna hay aur uss kay khilaaf agr kisi nay koy waqaya bayan ker diya hay tu awam ki tawajoo uss per say haTa ker kisi aur issue ki tarf mabzool kerwana hay.. jadeed sahafut maiN yehi shuba sub say zyada munafa bakhs hay issi liya sahafi jald uss jald apna Khuda muntakhb ker laytay haiN... aur yeh Khuda badlnay maiN bhi apna sani nahi rakhtay...

sahafiyooN ki yeh teen iqsaam market maiN wafir miqdaar maiN haiN aur yeh log mazhub ko sirf hawalooN kay istay'maal kertay haiN.. lehaza in ki khabrooN ya tajziyooN say hurgiz mutasir na howa jaye.. bulkay koshish karaiN kay koy aisay source of Info daikhaiN ju kisi say wabistagee na rakhtay hoo!!! sahafi ka role judge ka sa hota hay aur halaat ka tajzia paish kerta hay....agr judge hi kisi say wabistagee ikhtay'aat ker jaye tu phir uss ki aur uss ki judgement ki kiya hasiyat reh jaye gee?

aakhir maiN yeh bhi arz kerta chalooN kay kuch sahafi aisay bhi haiN ju iss gandagee maiN bhi apnay fara'iz anjaam day rahay haiN, khayal rahay kay sahafi honay kay liya app ka kisi akhbaat say wabista hona zaroori nahi hay, yeh atiya-e-Khudawandi hay, app apni field maiN rehtay howay bhi yeh kaam ker saktay haiN.. app ko bus zulm ki nishandahi kerni hay aur zalim ko bay.naqaab

( yahaaN per hur Media kay sahafiyoN ka zikr hay)
Salman4u
salam.gif Friends

Ye Topic Kyun Start Kiya Gaiya Hai Aur Kiss K Leay Wo To Hamain Maloom Hai. But Nice Topic IS PAY BARDA maza aay aga aur hum sub apnay tajarbat k hawalay say baat kar sakain gay.

Sub say pehlay ek akhabari dunia kee zaban dursut farma doon sahafat main jaisa k opper bataya gaiya hai k departments hotay hain lafz department use nahain kia jata. beet kehlati hai jaisay ek Kisi k pass education, sind govt,crime,city govet,court reporting in ko hum departments nahain kehtay sahafati dunia main is ko beet kaha jata har reporter apni beet pay jo aus ko dee jati hai aus pay work karta hai

ab hum nichay apni agli post pay is topic pay apnay dalail dain ga
khan_amer
hummmmmmmmm beet...

pehli post maiN lafz department ye universal lafz hay... aur uss kay beet banay say zaimini haqa-yeq badl nahi jayaiN gay.. so non-issues ki tarf janay kay bajayee agr kam ki baat per tawajoo dee jaye tu zyada behter hoga..
Salman4u
QUOTE (khan_amer @ Sep 24 2005, 07:20 AM)

QUOTE
Zyada arsa nahi guzra jub sahafat eak muqadus fareeza tha, iss farz nay qom ko ghaflut say jagaya aur unhaiN naye rahaiN suja'yeeN, phir waqt badl gaya aur yeh muqadus fareeza, muqadus paishay maiN badal gaya, waqifaan-e-haal jantay haiN kay koy bhi paish muqadus nahi hota, kyoN hur paishay ka bunyadi maqsaad apnay app ko support kerna hota hay, yehi kuch sahafut maiN howa... sahafut ko Industry ka darja hasil ho gaya aur sahafi paish.wer bun gay... aur apni khabraiN baichnay kay liya inhooN nay her ja'aiz ( if any) aur na-ja'iz tareeqa ikhtay'ar kiya.

Bilkul I Agree WITH You Aap kee is baat say main poora poora itefaq karta hoon waqi main sahafat ek bouhat barda aur muziz tabqa thaa aaj say kuch arsay pehlay jihon nay apnay qalam kee hurmat k leay korday khaay sobatain bardahst kareen jailain katin, aaj bhe ager aap tareekh pay nazar dorain ziyada door janay kee zaroorat nahain hai general ziaul haq k dour ko he daikh liya jaay k aus dour main wo itnay mazalim sehnay k baad bhe aunhon nay apni qalam ki hurmat ko nahain chorda. Janab Shukat Siddiqi, Janab Ibrahin Jalees, Janab Habib jalib,Faiz Ahmed Faiz JO na k sirf shair thay balkay jadeed sahafi bhe thay.in k pass aaj k dour kee jadeed taleem nain thee ye ye internet say istefada hasil nahain kartay thay, computer ke etaleem sau aashna nahain thay magar aun k qalam nay jo likha sach likha jiss nay hukumaranon k dilon pay tazyanay baja deay, jin k qalam nay kabhi hukumranon ko sajda nahain kiya.

aap ko ek baat chalon friends is dour k sahafati tolay main say ek is khaak saar k walid bhe thay jo ab is dunia main nahain hai magar jin ka naam aaj bhe zinda hai aunhon nay National Press Trust jo k hukumat k zeray intezam hai aus k akhabrat main he doray amreat kee badtareen harkat ko apnay Qalam ki nouk say auchala. aur wo sobatain bardasht kareen jalain katin magar apnay qalam ki hurmat ko kabhi nahain janay diya. aur aus k leay he aaj bhe aun ka naam sahafati dunia main izzat o aehteram say liya jata hai.

QUOTE
ab mazkora jumlay ki roshni maiN daikhtay haiN kay ajj ka sahafi iss per kitna pura uterta hay.
sahafi banay kay liya app ko ab apni khuda-daad salahiyatooN per inhaysaar kernay ki zaroorat nahi hay, na-hi app ko kisi kisam ki degree ya qualification ki zaroorat hay, iss paishay maiN shamil honay kay liya app ka koy "kin" ( yeh english wala kin hay) iss paishay say wabista ho aur app bazar say "Sahafi banyee" ki kitab khareed la'yaiN, pehla safa paRh ker hi app sahafi ban jayaiN gay.. kitab ki zaroorat nahi rahay gee. baqi kam app kay "kin" anjaam daiN gay.

I know aap yahan apni is post main ye bhe izafa kar daytay k aaj k dour main sahafi banna sub say assan kaam hai kyun wo is leay k jitnay akhabar aur jaraid aaj kal markeet main aagay hain jin kee ashat bhe itni nahain hai jin ka kaam sirf black maling hai wo zard sahfati akhbarat o risial aesay afrad ko apnay pass barday aaram say bharti kar laytay hain jiss ko sahafat kee alif bay bhe nahain maloom hoti jiss ko shaid qalam pacardna bhe nahain aata ho ab aesay risial aur jaraid main bharti ka kia tareeqay kaar hai wo bhe mulahiza farmain.

akhabrat main ishtehar laga dia jata hai k maqami roznamay ko reporters kee zaroorat hai tajarba zaroori nain jub ek matric bacha wahan jata hai kyun k press ka shoba hamaray nojawaon main kafi mutabir samjha jata hai wo wahan hazir hotay hain do kamray ka ek daftar hota hai editor k pass hazir hotay hain editor ko apni file peash kee jati hai jiss ko wo daikhna he pasand nahain karta aur kehta hai k 2250 ruppay jama kara dain aap ko press card ishue kar dia jaay ga jub wo apni salary ka poochta hai to bola jata hai k salary hum nahain daytay aap ko press card dia ja raha hai aap khood bhe is say poosra karain aur hamara hissa bhe hamain la k diya jaay bus ye he aap kee duty hai.

QUOTE
tu janab ab hamaray jadeed ahed kay sahafi tayar ho gay haiN.. ab aaj ka crime reporter kis tarah key khabrooN ki talaash maiN hota hay:
Crime reporter ki pasandeeda khabr Rape, ya kisi bhi khatoon ki sar-e-aam bay-hurmati hoti hay, app ghalat mat samjhiyee ga, crime reporter iss karnamay ko sar.anjaam daynay walay kay naam ka zikr bhi nahi kerta woh tu bus mazay lay lay ker waqaya bayan kerta hay aur uss ki koshish hoti hay ka mazlooma ko jitna bhi budnaam ker sakta hay  ker Dalay, kyoN yeh uss ki paishawaraana zimada-dari hay... hona tu yeh chahiyee kay Sahafi uss zalim ki puri nasl ko rageed kay rakh day, per aisa koy bhi sahafi kerta nahi hay... app ko aisa koy waqaya uTha ker daikh laiN Khawateen ka hi tazkara milta hay.. zalim ko paRDay maiN rakha jata hay.. ghaliabn yehi jadeed sahafiyooN key zimadari hay...

Ji bilkul kyun k is main paisa milta hai aus ko aaj bhe pakistan main aesay akhbarat bharay parday hain jin main sirf garam khabrain he chalti hain jo bason main parday jatay hain jin ko ek shareef aadmi apnay g har main bhe nahain la sakta aur ye kiss kissam k loug hain jo ye likhtay hain wo main aap ko bata chuka hoon k jin ka atreeqa e bharti kaisay hota hai aur kuch barday akhbarat main bhe crime reporters ye he sub kartay hain kyun k is say paisa banana aun k leay barda aasan ho jata hai

QUOTE
Showbiz kay sahafi Takay Takay maiN apni ada'oN ko farokht kernay waliyooN kay ta'qub maiN rehtay haiN ghaliban yeh log yeh soch ker kay shayad woh apni kama-i say kuch hisa inhaiN bhi day day issi liya unhaiN quote kertay haiN.. .iss kay illawa tu mujhay koy wajah nazr nahi aati... app ko agr aati ho tu kindly meri malomaat maiN azafa karaiN..

Showbiz k sahafi sirf aun he akhbarat aur risalil main aesay gihonay articals aur tasaweer chahptay hain jin ka main opper tazkara kar chuka hoon jo bason main 2 ruppay k mil jatay hain, showbiz bhe hamaray yahan ka ek bouhat barda shoba hai aus main sirf ye he nahain hai k filim adakarain, stage pay nachnay wali raqasain, balkay showbiz main Soprts bhe hai aap k qoumis Hero's bhe aatay hain, aap ka addab bhe aata hai, mushairay bhe aatay hain adabi khabrain bh ehoti hain hamaray yahan bouhat say loug showbiz main sirf filmain aur raqs ko he showbiz samjhtay hain.

QUOTE
sahafiyooN ki above do qismoN ko mila'oo tu eak aur qisam wajood maiN aati hay, yeh log syasi sahafi hotay haiN, in ka qibla aur Khuda koy syasatdan hota hay, in ka kam uss syasatdan ko Farishta bana ker paish kerna hay aur uss kay khilaaf agr kisi nay koy waqaya bayan ker diya hay tu awam ki tawajoo uss per say haTa ker kisi aur issue ki tarf mabzool kerwana hay.. jadeed sahafut maiN yehi shuba sub say zyada munafa bakhs hay issi liya sahafi jald uss jald apna Khuda muntakhb ker laytay haiN... aur yeh Khuda badlnay maiN bhi apna sani nahi rakhtay...

I agree with u aesa hota hai ek nahain kai akhabarat aesay hain jo siyasi tanzemon main say kisssi ek k pirrokar hotay hain aur aun ka k har na jaiz ammal pay bhe aun k qalam hamisha sub acha hai sub acha hai likhtay nazar aatay hain example peash karna chahoon ga.. Rozanama Jasarat, jo jamat e islami ka suporter hai, Roznama Aman karachi MQM ka suporter hai, rozanama aman ek zamanay main PPP ka suprter bhe hoowa karta thaa magar roznama jassrat karachi apni ibteda say he mehmmod hussain madni sahab k dour say he jamat e islami ka suprter raha hai aap kia sochtay hain wo is dour main Jamat E Islami k kissi ghalat Imma pay apan qalam authay ga ? Aman aaj MQM k khilaf likhay ga ? nahain na kyun k in akhbarat pay ek chahp laggi hoi hai jo makhsoos tanzeemon k suporter hain aur ye koi sahafati karnama anjam nahain day rahay hain wo dono akhbarat. akhbar wo hota hai jo aazad hota hai jiss main sub ko numayan tour pay jaga milti hai.

AB Aatay hain chand barday akhbarat kee taraf jiss main chand kalam nawees aesay hotay hain jin ka palrda kissi ek kissi ek tanzeem kee taraf hota hai jin ka kaam sirf aus kee khushamad he karna hota hai. roznama jang main ek aewsay kalam nawees hain jo pakistan k mukhtalif wazeer e azam ko taqarir likh k diya kartay thay, aun k mushir ban k rehay hain. jin ko main naam say janta hoon yahan naam layna munaib nahain hai aun ka wo aaj na janay kitany marlon k plot k malik ban chukay hain magar sitam zarfi to daikhain wo aun k wafa dar bhe nahib bantay aun ke ehukumatain khatam hoti hain to wo apan rukh doosri taraf mord laytay hain.

QUOTE
aakhir maiN yeh bhi arz kerta chalooN kay kuch sahafi aisay bhi haiN ju iss gandagee maiN bhi apnay fara'iz anjaam day rahay haiN, khayal rahay kay sahafi honay kay liya app ka kisi akhbaat say wabista hona zaroori nahi hay, yeh atiya-e-Khudawandi hay, app apni field maiN rehtay howay bhi yeh kaam ker saktay haiN.. app ko bus zulm ki nishandahi kerni hay aur zalim ko bay.naqaab
( yahaaN per hur Media kay sahafiyoN ka zikr hay)

Ji han bilkul hain aesay sahafi bhe jo kisee ek tanzeem k akhbarat say wabasta ho kar sirf aus kee han main nahain likh rahay sirf aus kee khushamad nahain kar rahay jub ek sahafat ko samjhnay wala sahafi apnay qalam kee nouk say likhnay baith ta hai to wo sirf ek ghear janibdarna andaz main likhta hai aur aus ko likhna chaheay magar sahafat say alag aus kee ek apni duni abhe hoti hai jub wo apnay qalam ko band kar k rakhta hai to wo apni ek dunia main hota hai aus k apany aqaid aus kee apni soch aus kee pasand bhe hoti hai han wo aus ko chaheay k wo jub apnay shobay main apnay saray jazbat ko daba k rakhay magar jub wo he sahafi ek nijji taqreeb main jata hai loug aus say halat e hazra k baray maina us k tajzeay poochtay hain aus kee raay poochtay hain to wo apnay tour par apni soch k mutabiq baat karnay ka aus ko aus waqt poora haq hota hai.

Aur aap nay last baat kee k shafi honay k leay zaroroi nahaink wo akhabarat say wabasta ho ya is sahafati shobay say wabasta ho aap nay kaha k zulm k khilaf awaz authay is tarha say kia wo sahafi ho gaiya ? is ka matlab HC pay sub k sub shafi hain ? Altaf hussain sahab, bainazeer, zardari, qazi sahab jo kehtay hain hum zulm k khilaf kharday hain sub sahafi ho gay hain kiya is kee zara wazahat farma dain ho sakta hai aap kee baat ka matlab ye na ho magar zara wazahat zaroro farmaay ga
Salman4u
QUOTE (khan_amer @ Sep 24 2005, 07:46 AM)
hummmmmmmmm beet...

pehli post maiN lafz department ye universal lafz hay... aur uss kay beet banay say zaimini haqa-yeq badl nahi jayaiN gay.. so non-issues ki tarf janay kay bajayee agr kam ki baat per tawajoo dee jaye tu zyada behter hoga..

Is lafz pay jo aap hmm kar rahay hain hazrat jiss baat k baray main maloom na ho behas na kia karain jo lafz main nay aap ko bataya hai jiss ko apa departmnts keh rahay hain wo he use kia jata hai sahafati shobay main departments kia hotay hain akhbarat main wo main aap ko batata hoon aur phir bhe yaqeen na ho to kissi akhbar k daftar main mail kar k pocoh lejeay ga.

Jisay Computer Department, Jaisay Printing Department. Compusing Department, Sgoba E Ishteharat. Ye kehlatay hain departments aur jiss main kama karnay wala sahafi nahain hota ye bhe samat farma lain. ager koi aap ke islaha kar raha hai ger aap nay kcuh ghalat bol diya hai to is pay charghpaa na hoowa karain sun lia karain
khan_amer
QUOTE (Salman4u @ Sep 24 2005, 11:49 AM)

Eal term hoti hay jisay kehtay haiN layman term, apni technique zuban maiN koy bhi shakhas guftagoo ker sakta hay per lay-man ko samajh nahi aati... app ko shayad abhi iss baray main kuch pata nahi... iss term ko use kernay ka maqsad ilmiyat jhaRna nahi bulkay apni baat convey kerna hota hay...

amooman yeh cheezaiN log ya tu tajrubaat say hasil kertay haiN ya taleemi idarooN say.. ( university waghera) diploma holders ( jinhooN nay eak doo haftay ka diploma liya hota hay) ya kum paRhay likhay hazraat amooman lay-mans per apni ilmiyat jhaRnay kay liya techinical terms hi use kertay haiN..

umeed hay app ko baat abhi bhi samajh nahi ayee hogi
khan_amer
QUOTE
Aur aap nay last baat kee k shafi honay k leay zaroroi nahaink wo akhabarat say wabasta ho ya is sahafati shobay say wabasta ho aap nay kaha k zulm k khilaf awaz authay is tarha say kia wo sahafi ho gaiya ? is ka matlab HC pay sub k sub shafi hain ? Altaf hussain sahab, bainazeer, zardari, qazi sahab jo kehtay hain hum zulm k khilaf kharday hain sub sahafi ho gay hain kiya is kee zara wazahat farma dain ho sakta hai aap kee baat ka matlab ye na ho magar zara wazahat zaroro farmaay ga

bhai agr tu app professional sahafi haiN aur app yeh nay jawab likha hay tu app kay akhbar ya jahaaN bhi reporting kertay haiN uss idaray ka Allah hi hafiz hay.. per agr app sahafi nahi haiN aur app nay yeh likha hay tu app ka zehni level samnay aata hay.. hur do suratooN maiN app ko jawab samajh nahi aye ga iss liya app issay ju chahay samjhaiN
Salman4u
QUOTE (khan_amer @ Sep 24 2005, 09:18 AM)
Eal term hoti hay jisay kehtay haiN layman term, apni technique zuban maiN koy bhi shakhas guftagoo ker sakta hay per lay-man ko samajh nahi aati... app ko shayad abhi iss baray main kuch pata nahi... iss term ko use kernay ka maqsad ilmiyat jhaRna nahi bulkay apni baat convey kerna hota hay...

amooman yeh cheezaiN log ya tu tajrubaat say hasil kertay haiN ya taleemi idarooN say.. ( university waghera) diploma holders ( jinhooN nay eak doo haftay ka diploma liya hota hay) ya kum paRhay likhay hazraat amooman lay-mans per apni ilmiyat jhaRnay kay liya techinical terms hi use kertay haiN..

umeed hay app ko baat abhi bhi samajh nahi ayee hogi

hahah.gif AAP SAY BAAT KARNA BAY SOOD HAI HAZRAT bilkul bay sood kyun k aap ek cheez main barday khood kafil hai aur wo hai main, main, main is leay baykar hai aap say behas kar k apna keemti waqt barbad karna mairay office ka time ho chuka hai is leay hamain jan aparday ga ab

jasarat mail kar k poochna na bhoolay ga k departmnets kehtay hain ya beet jo reporters ko de jati hain ya main Geo News K Latter ped pay likha k lay aaun lolz.......
Salman4u
QUOTE (khan_amer @ Sep 24 2005, 09:27 AM)

bhai agr tu app professional sahafi haiN aur app yeh nay jawab likha hay tu app kay akhbar ya jahaaN bhi reporting kertay haiN uss idaray ka Allah hi hafiz hay.. per agr app sahafi nahi haiN aur app nay yeh likha hay tu app ka zehni level samnay aata hay.. hur do suratooN maiN app ko jawab samajh nahi aye ga iss liya app issay ju chahay samjhaiN

AGER Shaq HAI to apnay kissi chahnay walay jo k karachi main rehta ho aus ko Karachi Press Club Sarwar Shaeed Road karachi bheaj dain jiss say ek nashisht ho jaay gee hamari hum nay to bouhat doston ko invite kiya hai yahan k wo aain hum say mulaqat karain.

SHAID AAP KEE BINAI Kamzor ho gai hai aap nay mairay jiss reply k baray main kaha hai maira jawab day k to main nay yahan aap ko ye kaha hai zara chashma pehan k mulahiza farmain main nay kaha hai may be k main jo bol raha hon jo matlab aap kee baat ka samjh raha hoon ho sakta hai wo ghalat ho zara khul k baian farma dain jo aap kehna chahrahay hain magar aap ka bus hum kia kehain aap nay sirf jahgarna he aata hai aur koi baat aap kee samjh main aasani say aati he nain hai Arif salman bhai kee ek nasihat yaad aajati hai hamain jo hum nay nahain mani thee maan laytay to aaj ye nahain hota hamaray sath

Aur Hazoor 2nd post ko quote nahain kia haamri baqion ko to kar diya yippie.gif
khan_amer
QUOTE (Salman4u @ Sep 24 2005, 12:28 PM)
hahah.gif AAP SAY BAAT KARNA BAY SOOD HAI HAZRAT bilkul bay sood kyun k aap ek cheez main barday khood kafil hai aur wo hai main, main, main is leay baykar hai aap say behas kar k apna keemti waqt barbad karna mairay office ka time ho chuka hai is leay hamain jan aparday ga ab

jasarat mail kar k poochna na bhoolay ga k departmnets kehtay hain ya beet jo reporters ko de jati hain ya main Geo News K Latter ped pay likha k lay aaun lolz.......

tu bhai bay.sood kam kertay kyoN haiN app!!!

0-18_crazy.gif
khan_amer
QUOTE (Salman4u @ Sep 24 2005, 12:38 PM)
AGER Shaq HAI to apnay kissi chahnay walay jo k karachi main rehta ho aus ko Karachi Press Club Sarwar Shaeed Road karachi bheaj dain jiss say ek nashisht ho jaay gee hamari hum nay to bouhat doston ko invite kiya hai yahan k wo aain hum say mulaqat karain.

SHAID AAP KEE BINAI Kamzor ho gai hai aap nay mairay jiss reply k baray main kaha hai maira jawab day k to main nay yahan aap ko ye kaha hai zara chashma pehan k mulahiza farmain main nay kaha hai may be k main jo bol raha hon jo matlab aap kee baat ka samjh raha hoon ho sakta hai wo ghalat ho zara khul k baian farma dain jo aap kehna chahrahay hain magar aap ka bus hum kia kehain aap nay sirf jahgarna he aata hai aur koi baat aap kee samjh main aasani say aati he nain hai Arif salman bhai kee ek nasihat yaad aajati hai hamain jo hum nay nahain mani thee maan laytay to aaj ye nahain hota hamaray sath

Aur Hazoor 2nd post ko quote nahain kia haamri baqion ko to kar diya yippie.gif

salam.gif
Salman4u
QUOTE (khan_amer @ Sep 24 2005, 09:40 AM)
tu bhai bay.sood kam kertay kyoN haiN app!!!

0-18_crazy.gif

Walikum Assalam

Main nay kaha nay k mujhay ab arif salman bhai ke enaishat mani parday gee aap nay ye topic hamaray leay he shuru kia thaa is leay aap ko aaina dikhna zaroroi thaa ab aaj k baad say hum alag aap alag arif salamn bhai zinda bad lolz.

apna khaiyal rakheay ga

chaltay hain
khan_amer
QUOTE (Salman4u @ Sep 24 2005, 12:48 PM)
Walikum Assalam

Main nay kaha nay k mujhay ab arif salman bhai ke enaishat mani parday gee aap nay ye topic hamaray leay he shuru kia thaa is leay aap ko aaina dikhna zaroroi thaa ab aaj k baad say hum alag aap alag arif salamn bhai zinda bad lolz.

apna khaiyal rakheay ga

chaltay hain

tu app arif bhai ki tarjumani ker rahay haiN.. kiya unhaiN khud baat kertay sharam aati hay..waisay app ka reply paRh ker unhaiN afsoos hi hoga kay unhoN nay kis kandhay ka intaykhaab kiya hahah.gif hahah.gif

arif bhai ab tu app ko pata chal hi gaya ho ga kay nadan ki dosti bhi buri hoti hay hahah.gif hahah.gif ahaan.gif
khan_amer
Hamaray Sahafi taraqi ker kay DanishwarooN ka kirdar ada ker rahay haiN.. taraqi say app ye na samajh lee jiye ga ka woh kaheeN say tarbiyat hasil kertay haiN ya self-devlopment kay chakrooN maiN paRtay haiN, taraqi say murad kay jis din say unhooN nay sahafut ki duniya maiN qadam rakha uss din say aglay 6/7 saal ka arsa bus na kuch zyada na kum...

yehi "Danishwar" qom ki tarjumani ka kaam bhi "qeematun" yeh alug baat hay kay woh qom Pakistani nahi hoti jis ki yeh tarjumani kertay aur badlay maiN qeemat wasool kertay haiN...

Mashoor Danishwr banay kay liya app ko kuch zyada tag.o.doo bhi nahi kerni paRtee bus hakomat-e-waqt kay khilaaf 3/4 column likh maraiN aur agr mazeed value banwani hay tu kisi sarkari ahl.kar ko kuch day dila ker under ho jayaiN aur iss ka khoob charcha karaiN app key dhoom mach jaye gee.. log app ki khidmaat hasil kernay kay liya baychain hona shoroo ho jayaiN gay.. magr iss stage per app ko koy sahi "rate" nahi lagaye ga... app ko Nazriya-e-Pakistan, Islam, Ulema-e-Karaam kay khilaf zehr-afshani kerni hogi// Pakistan kay dushmanooN ko dost bana ker paish kerna hoga Atomic Program ko Pakistani hakomat ki sub say baRi hamaqat qaraar dayna hoga app kay pass behtreen offers aa jayaiN gee... iss marhalay per app eak translator bhi afford ker saktay haiN lehaza english maiN bhi zehar ugl de jiye...ya English say shoroo ho ker Urdu per aa jayaiN... na kabhi bank account khali hoga na hi hakomat app ko kuch kehnay ki jurat karay gee.. puri duniya kay tours app kay liya free hooNgay... bus iman nahi bachay ga... uss ka kerna bhi kiya hay.. aakhir insaan her cheez tu hasil nahi ker sakta na...

This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2009 Invision Power Services, Inc.