kaysay hain aap sab logh umeed hai k sab khariat say hoon gay ! jaysa k aap sab ko pata hai k ramzan anay walay hain ! ramzan ka maheena barkatoon ka maheena hai ! or aap sab dostoon ko yeh bhi pata ho ga k humharay mazahab main TV , FILMS , or songs mana hain
lakin hum sab logh yeh sab dekhty or sunty hain ! is kaam main main bhi shamil hoon ! dostoon wase to hum yeh nahi chorty per ramzan k maheenay main aghar hum songs or movies per baat na karain to kaysa hai
wase shayd meri yeh baat kisi ko buri lagay ! aghar buri lagay to sorry ! to aap batain k kon kon sath hai meray
wase MOD bhai or MOD behan aap say sirf request karoon ga yeh post aap na move karain na delete plz plz plz ! sirf aik maheena plz plz plz