Chay nay apnay bayaan main kaha:
Janab-e-aallii!! SEEN kay sath mera nibah nahi ho sakta...........
yeh SARRIAL hai~~~~~~~to main CHANGA hoon
yeh SEEDHA hai,SARRA aur SUST hai~~~~~to main CHUST,CHALAAK aur CHAAQ_O_CHOBAND hoon
yeh SIRKA hai~~~~~~to main CHASHNI hoon
yeh aik ma'mooli SIPAHI hai~~~~~~~to main CHIEF OFFICER hoon
yeh kabhi meri barabari nahi kar sakta..........
yeh har baat main mujh say kam tar aur peechay hai.
SEEN nay jo CHAY ki itni saari batain suni to us nay ehtijaaj kartay huay faryaad ki:
janab-e-aallii!!!CHAY ki CHIKNI CHAPRI batoon main na aaiiyay ga...........yeh aakhir hai kiya???
main SIPAHI hoon~~~~~~to yeh CHOR hai
main SEEDHA hoon~~~~~~to yeh CHALBAAZ hai
yeh hota kon hai?? aaya bara mujh say muqabla karnay wala
main SACHAII KA HERO hoon~~~~~~ to yeh CHUGHAL KHOR hai
main SADHO hoon~~~~~~~~~to yeh CHAKKAR BAAZ hai
kiya yeh meri barabri kay laiiq hai???
main iss say har baat main bara hoon..............
yeh CHANDI hai~~~~~~~to main SONA hoon
yeh CHAND hai~~~~~~~to main SOORAJ hoon
meri roshni na ho to yeh kiss kaam ka??
main SUIT hoon~~~~~to yeh CHADAR hai
itna hi nahi.............
main SOCHTA hoon~~~~~~~to yeh CHEEKHTA CHILLATA hai
yeh CHAH(kuunaa/well) hai~~~~~to main SAMANDAR hoon
yeh har tarha neechay rahnay wala hai........kahan tak bataooon janab!!main agar.....
judge sahab ghussay say bolay:khamosh!
dar-asal unhain iss fuzool bahas nay paraishan kar diya tha.....
phir woh faisla sunanay lagay::
CHAY aur SEEEN ka yuun aapas main larna achi baat nahi hai.......donon huroof thanday dimagh say ghor karain to............
jo SAR hai~~~ wohi CHOTI hai
SOORAJ main CHAMAK hai~~~to CHAAND main SUFAIDI hai
tum main say aik SINDH darya hai~~~to doosra CHANAB darya hai
agar donon huroof mil jain to banta hai "SACH"..........
iss liyay adaalat ka faisla hai kay donon huroof mil jul kar rahin
judge sahab ka faisla sunnay kay baad donon bohat sharminda huay aur sulha kar kay phir say dost ban gaiy.
qissa khatam~~~~~paisa hazam