QUOTE(tihami @ Nov 22 2005, 06:03 AM) [snapback]2105345[/snapback]
kafi ghoor talab baat hay, aur kafi common bhi,,, abhi kuch arsa pahlay hi aik case mashhor hoaa thaa k paki family na apni larki ko ghairat k naam par qatal kar diya , kiyoon k she became pregnant with her boy friend,,,,,,,
ju wajha main na daikhee hay woh lougoon ki hawas aur paisay ki HIRS say,,,apnaay bachoon ko time dainay ki fursat hi nahen houtee,, esp ju loug TAKE AWAYS par job kartaay haain,, woh raat late night ghar aatay haain,, balkaay early morning, aur jab so akr uthtay hain job par janay k liya tu bachay school yah bahir, aur jab wapis aa rahya houtaay hain tu sab so rahay houtay hain,, tu koi bachoon kii care karnay wala houta hi nahen,,,,
in halaat main aisa tu hu ga hi,,,
warna ju deenee halaat walee families haain un k ghar daikh kar MASHALLAh rashq aata hay,,
1. Aap ki bayan kardah "wajah" to islam k qilay pakistan maiN bhi kissi bachchay k "bigaRnay" k liyeh kafi hai. yahaaN bhi above mentioned environments k sabab muslims / muslima bachchay qaadyani hojatay haiN yaa "secular muslim" say rishtah joR kar apni dunya aur aakhrat tabah kar letay haiN.
2. UK / US etc maiN yeh "prime reason" naheeN. yahaaN bachchouN ko yeh qanooni haq hasil hai k "zabardasti" naik bananay walay parents ko behind the bar bhejwa daiN. hai yaa naheeN........ hamaray aik saathee pakistan say "hijrat" karkay canada ja basay haiN.... wahaaN pahonchtay hi onhouN nay primary maiN zeray taleem apnay aklotay bachchay ko kissi wajah say thapaR maar dia ... bachchay moqah miltay hi police call karli aur baap ko raat hawalaat maiN guzaarna paRee ...
kia wahaaN ka taleemi / working environment pro-islamic hai yaa anti islamic....... jo bachchay waheeN palay baRhay haiN woh "dohri shakhsiyat" ka shikaar hojatay haiN. ghar maiN parents (agar deendaar houN to) kuch aur aqdaar batlatay haiN aur bahar kuch aur.... aur chouNkay aik barhta howa bachcha maaN baap say door aur bahar walouN say qareeb hota chala jata hai lehaza ....
phir teen agaers ko etni aqal kahaaN hoti hai k sahee / ghalat ka faisla karsakay. woh to wohi kuch karega / karegi jo ird gird ki aksariyat karti hai... phir true angrez / amerikan bannay k liye yeh aur bhi zaroori hai k woh wahaaN k culture ko absorb karay........ kia UK maiN muslim laRkiyouN ki gorouN k saath shadi aik common baat naheeN. aur kia mulki qanoon onhaiN aisa karnay rok sakta hai.... aisay main parents kiss khait ki mooli haiN.
bila shubah UK aur even usa / canada maiN aisee bahoot see pakistani / indians muslim families abaad haiN, jinhaiN dekh kar pakistani muslim gharanay bhi sharmayaiN....... woh apnay deen par hum say behtar taur par amal kartay haiN...... lekin aisee families ka ratio ketna hai ..... aur aisee families apni yeh shanakht ayandah ketni nasal tak maintain rakh payegi......... zara iska bhi takhmeenah laga laiN. it's not a impossible task.