QUOTE(princess @ Dec 11 2005, 09:51 AM) [snapback]2109608[/snapback]
hummm Muli waley prathey meray moon ma to paani berah aya ha bara dil ker raha ha ab Insha Allah jaldi hi paka ker khaoongi
ham b ya pakatey hotey hain serdion ma akser hi or alu waley prathey b or ya b bara maza ata ha in dono ka wesay parathey to Adrak waley b bantey or b bohat baney hain adrak wala kabi khaya ha ap nay ma nay b sirf suna ha khaya naheen
ji ham b moli ko kadu kash kernay k baad isko thora boil b ker letay hain
daylight bhai
note kar laiN .... ab to
sanad bhi mil gayee hai.

QUOTE(tihami @ Dec 12 2005, 02:43 AM) [snapback]2109806[/snapback]
aray shafaq aapa ap na pahlaay kabhi khaay nahen moulee k parathaay,,, yah tu bohat common haain apni taraf,,,jaisay allo/qeema/daal/gobhi k parathaay, aisay hi moule k parathaay,.,,
sirf aik problem hay,, khanay k baad mouth freshner use karna paray ga,, kiyoon k smell araam say nahen jaatee moulyoon ki,,,,

smell ki to aap parwaah hi nah karaiN ......... aakhir pata kaisay chalea k shafaq g
nay mooli k paraThay khaye haiN.
(yeh maiN naheeN kahta, shafaq sis hi kahti haiN. )

QUOTE(senorita* @ Dec 12 2005, 08:19 AM) [snapback]2109885[/snapback]
agar simple tareeqay sai mooli ko kadokash ker kai banaya jaey aur masalay dal diay jaein tu
mooli paani bohat chort hai aur bari mushkil hoti hai is ka koi hal hai kia?
mooli ko kadokash kernay kai baad usay haath sai dabba ker achi tarah pani nachoor laitay
hain lakin phir bhi paratha bantey hoay pani chor daiti hai

1. mooli ko kadddo kash karnay k baad, degar masalhay mila kar halki aanch maiN ... mooli say nikalnay walay paani hi maiN ... mooli ko gala lain ta waqtekay saaaraa pani khushk hojaye,.
2. ab iss material ko roTi k saath belnay say pani naheeN niklega. nah hi taway par pakanay k dauraan.QUOTE(khan_amer @ Dec 12 2005, 01:44 PM) [snapback]2109948[/snapback]
theek hay theek hay... agr app nay banwa ker kha liya haiN tu DhanDora kyoN peeT rahay haiN... maiN bhi jab Pak. aa'ooN ga Ammi say keh ker pakwa looN ga
( icon missing....)
Dhandora

iss liyeh peeT raha houN k "aap jaisay" kuch to sabaq seeekh laiN. aur "maujoodah mohtaji" ko jald az lad doooooor karneka intezaam kar laiN.