*DhanaK*
Dec 2 2005, 06:53 AM
parda utth ta hai!
ek beta pardes jaane ki tayyari mein.
pardes pahonch kar rozi ke janjaal
barson beet gaye
Abba ka phone, beta bahot arsa ho gaya tujhhe, teri maan bahot beemar hai,jaldi aa jaa der na ho jaaye.
"bas abba koshish karke nikalta hoon"
"beta do hafte pehle tujhhe phone kiya tha teri maan se intezaar na ho saka".
"Abba yeh kya khabar sunaayi abba,haaye meri kam naseebi amma chalee gayin,abba aap fikr na kijiye bas jitni jaldi ho sake pahonchoonga,bas aap apna khayal rakhiye ga "
'haan beta rakhoonga abhi tujhhe jo dekhna hai"
phone abba ke haath mein hi the lekin siskiyon ki shiddat mein bol na sake.
beta aata hai waaledah ki qabr par royi sooji aankhon se aur bhaari dil se faateha padta hai,rota jata hai
"main aagaya amma,amma dekhiye main aagaya"
baap ko tanha chhor kar phir pardes ko waapsi,ab baap akela hai tanha hai, jawan beta, hote huwe bhi, naheen hai.
waqt ka pahiya ek lamhe ko ruka
watan se boodhe tanha baap ke rukhsat hone ki khabar aaayee
beta ek baar phir jaanib e watan karb ka safar karta hai
karb ka aakhri safar
Parda girta hai!
Abu Adnan
Dec 2 2005, 08:51 AM
yeh kahani paRh kar apnay abba jaan ki kahani yaad aagayee. aaj alhamdo.lillah woh apnay saray bachchoun k saath araam o sakoon ki zindagi guzaar rahay haiN. shayad iski wajah yeh ho k onhouN nay (moqa milnay k bawajood) apnay ammi abba ko tanha nahee choRa.
pakistan bana to abba jaan bhi chand dostouN k hamraah pakistan aagaye...... abi pak air force join hi kia hi tha k walid sahab ko taar mausool howa. comee soon, father is seriously ill....... walid sahab bhagaum bhaag wapis india pahonchay to walid sahab nay kaha: sorry beTa tumhaiN jhooT bol kar wapis bolwaya. tum nay pak fauj join karli to phir wapis kabhi india nah aasakogay. aur phir dada jaan nay abbu ki shadi kardi. abbu nay apnay abbu k saamnay sar jhuka dia........ dada jaan ka inteqaal howa, dadi jaan ka inteqaal howa to pakistan ki mohabbat aik baar phir jagee aur woh hum sab ko lay kar pakistan aagaye.
jab maiN bar saray rozgaar howa, shadi howee, 2 bachchay hogaye to achanak saudia say job ki offer milli. Allah k ghar ki kashish k baes sab ko choR chaaR kar wahaaN ja pahoncha...... during job chotay bhai nay batlaya k oss nay usa k aik college main daakhla lay lia hai aur agar maiN "sponsor" karouN to woh easily wahaaN settle hosakta hai......... "settle" honay k sunkar maiN khaTka aur samajh gaya k bhai k erdah kia hai......... chunanchah baRee hikmatay amli say ossay refuse kia, halaaNkay sponsor kar sakta tha........ aur khud bhi aik bahut hi achchee job choR kar wapis pak aagay.
bhai nay "majbooran" yaheen taleem mokammal ki.... job ki ... apni company kholi aur masha Allah aaj woh bahut mazay main hai... mujhay bhi 2/3 saal k baad aik multinationals main aik achchee job mil gayee........ youN hamaray parenTs apnay 2 baray betouN ki mustaqil judayee say bach gayee coz onhouN nay bhi apnay parents ka kaha maan kar onhaiN watan maiN tanha nah chora tha.
aaj meray kai cousin dunya k kai mulkouN maiN settled haiN. koi apnay baap k marnay par nah aasaka to koi ......... aur alhamdolillah hum kissi bhi bahar settled cousin say kissi tarah bhi kam naheeN.......... maiN nay bhi koshish ki hai k main apni jawani apnay bachchouN k saath guzarouN takay woh bhi apni jawani hamaray saath guzaar sakaiN. dunya aik makafaatay amal hai. yahaaN aksar o beshtar wohi hota hai jo hum kaaT.tay haiN.
Allah hum sab ko apnay hifz o amaan maiN rakhay aur durust faislah karnay ki taufeeq ata karay aameen.
*DhanaK*
Dec 3 2005, 04:14 AM
maiN nay bhi koshish ki hai k main apni jawani apnay bachchouN k saath guzarouN takay woh bhi apni jawani hamaray saath guzaar sakaiN.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
muttafiq hoon aapki baat se bhai
aur aapki aapbeeti bhi parhee,laga jaise main waheen hoon.
MidniteMoon
Dec 13 2005, 09:03 AM
Shafaq jee aap ny js baat pr hamy mutawajh kia hy woh hamary charon tarf ho rahi hy
Abu Adnan ny kitni durust baat ki`Mukafaate amal`,bhaagti dorti duniya may bund aankhon sy ksi ko is baat ka ahsaas kahan!!!!!!!
Waisy jab Mairry walid marhoon maghfoor ki wafaat hoi to bary bhaijaan usi saal Canada gy thy,woh chaahty huy bhe na aasaky,papers he na thy unky,aaj bhe unko lagta hy ky Woh hayaat hain,kismat aisy bhe mor pr la khara karti hy.
*DhanaK*
Dec 16 2005, 04:45 AM
QUOTE(MidniteMoon @ Dec 13 2005, 04:03 AM) [snapback]2110167[/snapback]
Shafaq jee aap ny js baat pr hamy mutawajh kia hy woh hamary charon tarf ho rahi hy
Abu Adnan ny kitni durust baat ki`Mukafaate amal`,bhaagti dorti duniya may bund aankhon sy ksi ko is baat ka ahsaas kahan!!!!!!!
Waisy jab Mairry walid marhoon maghfoor ki wafaat hoi to bary bhaijaan usi saal Canada gy thy,woh chaahty huy bhe na aasaky,papers he na thy unky,aaj bhe unko lagta hy ky Woh hayaat hain,kismat aisy bhe mor pr la khara karti hy.
Midnitemoon
khush rahein
koi koi bebasi aisi hoti hai jo zindagi bhar sataati hai
Allah paak aapke waalid saheb ko jawar e rehmat mein jagah ata farmaaye Ameen.
shayed apne atraaf mein aisi kahaniyaan dekh dekh kar aur asar le le kar hi is kahani ka janam huwa hai.
seemaf
Dec 16 2005, 04:48 PM
Very nice post Shafaq ji
Watan se, apnon se door rozgaar ke liye janey walon ko aise halaat ka samna aksar ho jata hai...Waise Allah na karey ke kisi ke saath aisa ho but yeh aik fact hai ke kabhi kabhi to yeh moqa bhi nahin milta ke maan baap ke janazon ko kandha bhi de sakain.....Bas buhat bebasi ka time hota hai woh aur is baat ko wohi feel karsakta hai jo in halaat se guzra ho.
seemaf
Dec 16 2005, 04:58 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Dec 2 2005, 08:51 AM) [snapback]2107730[/snapback]
yeh kahani paRh kar apnay abba jaan ki kahani yaad aagayee. aaj alhamdo.lillah woh apnay saray bachchoun k saath araam o sakoon ki zindagi guzaar rahay haiN. shayad iski wajah yeh ho k onhouN nay (moqa milnay k bawajood) apnay ammi abba ko tanha nahee choRa.
pakistan bana to abba jaan bhi chand dostouN k hamraah pakistan aagaye...... abi pak air force join hi kia hi tha k walid sahab ko taar mausool howa. comee soon, father is seriously ill....... walid sahab bhagaum bhaag wapis india pahonchay to walid sahab nay kaha: sorry beTa tumhaiN jhooT bol kar wapis bolwaya. tum nay pak fauj join karli to phir wapis kabhi india nah aasakogay. aur phir dada jaan nay abbu ki shadi kardi. abbu nay apnay abbu k saamnay sar jhuka dia........ dada jaan ka inteqaal howa, dadi jaan ka inteqaal howa to pakistan ki mohabbat aik baar phir jagee aur woh hum sab ko lay kar pakistan aagaye.
jab maiN bar saray rozgaar howa, shadi howee, 2 bachchay hogaye to achanak saudia say job ki offer milli. Allah k ghar ki kashish k baes sab ko choR chaaR kar wahaaN ja pahoncha...... during job chotay bhai nay batlaya k oss nay usa k aik college main daakhla lay lia hai aur agar maiN "sponsor" karouN to woh easily wahaaN settle hosakta hai......... "settle" honay k sunkar maiN khaTka aur samajh gaya k bhai k erdah kia hai......... chunanchah baRee hikmatay amli say ossay refuse kia, halaaNkay sponsor kar sakta tha........ aur khud bhi aik bahut hi achchee job choR kar wapis pak aagay.
bhai nay "majbooran" yaheen taleem mokammal ki.... job ki ... apni company kholi aur masha Allah aaj woh bahut mazay main hai... mujhay bhi 2/3 saal k baad aik multinationals main aik achchee job mil gayee........ youN hamaray parenTs apnay 2 baray betouN ki mustaqil judayee say bach gayee coz onhouN nay bhi apnay parents ka kaha maan kar onhaiN watan maiN tanha nah chora tha.
aaj meray kai cousin dunya k kai mulkouN maiN settled haiN. koi apnay baap k marnay par nah aasaka to koi ......... aur alhamdolillah hum kissi bhi bahar settled cousin say kissi tarah bhi kam naheeN.......... maiN nay bhi koshish ki hai k main apni jawani apnay bachchouN k saath guzarouN takay woh bhi apni jawani hamaray saath guzaar sakaiN. dunya aik makafaatay amal hai. yahaaN aksar o beshtar wohi hota hai jo hum kaaT.tay haiN.
Allah hum sab ko apnay hifz o amaan maiN rakhay aur durust faislah karnay ki taufeeq ata karay aameen.
Very true said
Waaqi duniya makafat-e-amal hai...... bas Allah ap ki dua qubool karey Ameen!!
*DhanaK*
Dec 16 2005, 09:34 PM
QUOTE(seemaf @ Dec 16 2005, 11:48 AM) [snapback]2111043[/snapback]
Very nice post Shafaq ji
Watan se, apnon se door rozgaar ke liye janey walon ko aise halaat ka samna aksar ho jata hai...Waise Allah na karey ke kisi ke saath aisa ho but yeh aik fact hai ke kabhi kabhi to yeh moqa bhi nahin milta ke maan baap ke janazon ko kandha bhi de sakain.....Bas buhat bebasi ka time hota hai woh aur is baat ko wohi feel karsakta hai jo in halaat se guzra ho.
thankyou Seemaf

yeh kahani kab se zehen mein gardish kar rahi thee bas kaaghaz par utaarne ka saleeqa naheen aaraha tha
Allah aapko khush rakhe
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.