jee to bihari kabab ki recipe bata rahi hoon main jo sab say different hai aur khanay main bay-had mazedaar!!
yahan main sirf 1 kg ka hisab bata rahi hoon agar ziyada banana ho to issi kay hisaab say ingredients manage kar lain.
Ingredients:
meat =1 kg(piece ko bikul saaf karwaiin aur us kay pasanday banwa lain agar zara bhi ghost main charbi hogi to woh galay ga nahi)
onion =3 big(piyaaz ko bilkul bareek piece kar bilkul bareek chalni like aatay wali chalni main daal kar uss ka saara pani nikal lain)
kacha papaya = 1 tsp full(pissa hua)
adrak = 2inch ka piece (pissa hua)
cooking oil = 6 serving spoon full
salt = hasb-e-zaiqa
laal mirch = hasb-e-zaiqa
kaali mirch = hasb-e-zaiqa
pissa hua garam masalah = 1tsp full
Recipe:
sab say pehlay gosht main salt aur adrak achi tarha say laga kar us ko khoob haath say mix (mul lain) yahan tak kay gosht bilkul chikna ho jaiy
phir us main baqi masalay papeetay kay illawa mila dain yani piyaaz,kaali mirch,garam masalah,laal mirch aur oil(oil agar karwa ho means surson ka ho to ziyada acha waisay aam cooking oil bhi theek hai) ko achi tarha laga lain
papeeta grill karnay say 7 ya 8 hrs pehlay lagain warna gosht bohat ziyada gal jaiy ga
yeh gost tayyar ho gaya gosht main masalah grill karnay say itna pehlay lagain like agar saturday night ko grill karna hai to saara masalah friday night ko laga dain aur papeeta sat morning main lagain
aab next marhalah hai iss ko grill karnay ka koilon par dheemi anch par grill karna hai
iss ko seekh par laganay ka bhi aik tareeqa hai jo main yahan nahi bata sakti laikin yeh bata doon kay isss ko seekh par ghuma ghuma kar lagaty hain aur bilkul tight rakhtay hain
to janab iss ko laal laal saink lain aur garam garam parathay aur shafaq sis ki bataii hoi dhanyay podinay ki chatni ya dahi podinay ki chatni aur salaad kay saath tanawal farmain.