]Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker
hum say her shaam mili hay tera chera ban ker
meri jagi howi ratooN ko ussi ki hay talaash
soo raha hay meri ankhooN maiN ju sapna ban ker
raat bhi aye tu bujhtee nahi chehray ki chamak
rooh maiN phail gaya hay woh ujala ban ker
Dhoop maiN koh gaya woh haath chuRa ker Rashid
gher say ju saath chala tha mera saya ban ker
hum say her shaam mili hay tera chera ban ker
Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker