QUOTE(farzi @ Dec 12 2005, 06:08 AM) [snapback]2110015[/snapback]
Awaz Dear,Muskaun sis,Shafaq sis,Seemaf sis,Rafay aur Abu Adnan bhai,
aap sub kaa mairry bhanjey k issal-e-sawb k ley duaoun kaa bay hudd shukria,Allah iss k ley aap sub ko jaza dey-ameen.
mairra bhanja coming february may 33 yrs kaa hojatta,
abhi tu ussey Pneumonia howa thaa laikin woh jub sawaa doo saal yaani 2 1/4 yrs kaa thaa tu brain k viral infection yani viral encephlitis may mubtal hagay thaa jis say uss kaa brain damage hogaya thaa jis ki wajah say woh muqamul tour per handicapped thaa,sirf eyes k isharoun say woh sari baattein ker letta thaa.Mentally bilqul thik thaa issi leye uss ko apni halat ka achi tarhan sya andaza thaa,woh hum may say naa ho ker bhi humara hissa thaa.ussey humaiasha aik normal child k tour per treat kya uss k maa baap nay.Allah unn ko ajar dey-ameen.
ab peechley 3-4 mths say woh kafi beemaar rehtta thaa uss k saans ruk jaati thi laikin maa baap nay akhir tak koshish jaari rakhi laikin akhir kaar 29th nov 2005 ko ajal k haathoun shikast khaa gaey.
Allah "Bilal" ki maghfarat fermaay aur uss k derjaat buland fermay-ameen aur uss k maa baap,behan bhai aur hum sub aziz-o-aqarab ko sabar dey-ameen
INNA LILLAH WA INNA ILEHERAJ'OON
Allah Bilal ke maa baap ko saber dey, aur hum sab ki du'ein bilal ke waldeen ke saath hain. ameen.