hamari badqismati yeh hai k punjab k awam houN ya sindh k ... kalabagh dam jaisay issues maiN apnay leaders k bahkaway main aaker dam ki bil.tarteeb hamayat / mokhalfat par otar aataay hain... kuch sochay samjhay beghair youN polarisation ki sooratay haal paida hojati hai .... chunanchah aaj koi aisa punjabi (mo'asser taadaad maiN) naheen jo kala bagh dam ki aqli bunyadouN par mokhalfat karay yaa vice versa.
maiN yahaaN kuch sawaalaat oThata houN.... kala bagh k hami / mokhalif inkay jawabaat denay ki koshish karaiN:
1. WAPDA k aalaa markazi hukkam sirf kala bagh dam har haal maiN kiyouN bananay par tolay howay haiN...... ki onki nazar on arbouN $$$$$$$ k qarzay par to naheeN jo approved haiN aur project start hotay hi commission ki mad maiN onki jaib / ghair mulki accounts bharnay ki soorat paida hogi. agar aisa naheeN haiN to woh inn sawalouN ka jawaab daiN:
a) kia woh waqe'ee deyanat daar haiN. aur qabl azeeN k aisay projects say maal naheeN kama chukay haiN. onki maujoodah maali haisiyat, onki income aur WAPDA main shamooliat say qabl onki maali hasiyat ka hissab dia jaye.
b) kia woh har haal maiN sirf aur sirf kala bagh dam bananan chahtay haiN yaa asal maqsad pani ki storage hai / kami poora karna hai. agar doosra maqsad hai to woh pahlay say maujood dams jo nisf say zeyadah soil say bhar chuki hai, onki de-silting per tawajjah kiyouN naheeN detay......... agar onhaiN sirf pani darkaar hai to woh deger (proposed) dams par tawajjah kiyouN naheeN detay....... aur jab qadeer khan nay kaha tha k maiN dunya ki sab say baRee glacier (jo pak k pass hai) ko pighlaa kar pani ka intezaam kar sakta houN to onhouN nay iss proposal k badlay qadeer ko hi band kiyouN karwa dia.
2. kaha jata hai k pakistan maiN avg har paanch saal baad sailaab aataa hai ... jiss say dam bhartay hain....... AUR ISSI SAILABI PANI KO STORE KARNAY K LIYEH KALA BAGH DAM bananan hai ........ phir iss kalabagh dam say canal nikaalnay ki baat kiyouN ki gayee. ... pahlay aisa naheeN kaha gayaa tha.
3. kia kalabagh dam ki badaulat punjab k awaam ko bhi khush haali milegi yaa sirf punjabi zameendaaroun k ghar khush haali aayegi aur nateejatan sindhi waDeray ki zameenaiN weeraan houngeeN........ goya yeh jang sirf aur sirf punjabi / sindhi waDeroun aur jaageer daarouN ki zameenaiN (jo onhaiN angrezouN ki ghulami aur muslimanouN ko ghulaam bananay maiN madad denay k nateejay maiN milee theeN) ko sairaab karnay ka jhagRa hai.......... yehi wajah hai k nah punjaab k awaam iss dam ki hamayat maiN saRak par aarahay hain nah iss dam ki mokhalfat maiN sindh k awaam......... kiyouN kay faidah / nuqsaan maiN awam ki shirkat hai hi naheeN.
4. sindh k waderay zameendaar apni bahoot see nahri zameenaiN aaj bhi sirf iss liyeh abaad naheeN kartay (pani honay k bawajood) k iss say yahaaN k haari / kissan / mazdoor tabqah ko monasib rozgaar milega aur woh khush haal hojayengay............... yeh haqeeqat koi bhi sindh k nahri elaqouN maiN abaad zameen k saath saath weeran zameen dekh kar bah khoobi laga sakta hai.
qissah mukhtaser asal jhagRa punjab aur sindh k waderoun aur jaageerdaroun ki zameen ki sairabi k awasail ko baRhanay / ghatanay ka hai nah k punjab / sindh k awaam ko pani faraham karneka.......... pakistan ko pani storage facility ki kami, ko maujoodah dams say mitti nikalnay k kissi project ko start karnay say hosakta hai......... aur pani ki kami glacier ko pighlakar hasil ki jasakti hai......... jo golbal warming k nateejah main bil.aakhir pighlana hi hai. yaa phir asal masla arbouN $$$$$ k qarzay say apna hissa lena hai jaisa k 1.5 arab $$$ k haalya zalzalay aids k silsilay maiN andaroonay khana bander baaNT ka aghaaz hochuka hai.....