Help - Search - Members - Calendar
Full Version: New GHQ
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
Abu Adnan
2.4 billion dollars yani koi sawa kharab rupees say yeh new GHQ islamabad maiN tameer kia jayega. iss raqam maiN zameen ki qeemat shamil naheeN hai. CDA ki provided sector D-11 aur E-10 maiN waqe 2450 acres zameen ki qeemat open market maiN kai kharab rupees batayee jati hai......... aur iss new GHQ k liyeh raqam fauji budget say bhi naheeN lee jayegi.

IPB Image
khan_amer
puranay walay GHQ ka kiya bana?
Abu Adnan
QUOTE(khan_amer @ Dec 13 2005, 04:58 PM) [snapback]2110295[/snapback]

puranay walay GHQ ka kiya bana?

mush nay poranay GHQ maiN "jacob abaad waalouN" ko denay ka progm banay hai. 1-movies.gif
Daylight
QUOTE(Abu Adnan @ Dec 14 2005, 08:36 AM) [snapback]2110450[/snapback]

mush nay poranay GHQ maiN "jacob abaad waalouN" ko denay ka progm banay hai. 1-movies.gif

matlab???
khan_amer
QUOTE(Daylight @ Dec 14 2005, 07:49 AM) [snapback]2110459[/snapback]

matlab???

Daylight bhai-jan jis tarah app nay yeh eak lafz maiN pura jumal bayan kiya hay ... agr app kaheeN mush kay ham'no'aooN maiN hotay tu yaqeen karaiN yehi lagta jaisay yeh GHQ app ko milna tha... per laugh.gif laugh.gif

AA bhai jee... zara khul ker bayan daiN.. agr abhi Daylight ko kuch ho jata tu!!!! jump.gif
Abu Adnan
bhai mush & co say koi baeed nahEEn k woh maujoodah GHQ paTTay per NATO / us afwaaj ko day kar f-16 hasil kar lay. aakhir ko onhouN nay jacob abaad air base day kar bhi to onhouN nay bahut kuch "hasil" kai hai naa. breakface1.gif
saima56
naya GHQ sa chand intresting bataiin joo mai pichla dinoo TV ka muzakroo mai note kii wo yeh hai..

1- arboon dollar sa tyaar hoona wala GHQ ka bara mai jab Goverment mai sawal kia jata ka aap ka paas itna paisa hai too woo kehta ka haan fauj ka paas paisa hai reply mai jab questioner yeh question kar daita ka zalzala zadgaan kii bihali ka lia too aap kahkool laa kar khara hoogaya wahan yeh arboon dollar kaam nahi asakta tha too joo mehmaan hoota uss saa jawab nahi ban pata tha..

2- iss naya GHQ koo islamabad mai tameer kia jaa raha hai zalzala ana ka baad islamabad aik aisee jaga taswur kia jata hai joo musasal khatra kii zard mai hai aur porana GHQ jo pindi mai woo iss lehaz sa safe hai.

3- wajah joo batayee jati hai GHQ koo tameer karna woo yeh hai ka pindi secure jagah nahi hai wahan ussi GHQ ka kareeb mush per 2 hamlaa hoochuka haiin, ahmakoon koo koi yeh bataya ka ka kudhkush hamlaa too secure jagah bhi hoosakta hai.

4- aik aur intesting wajah joo batayee gaye ka working envoirement naya GHQ ka banana saa behtar hooga jump.gif 4 arab dollar sirf tameer ka lia aur arboon dollar kii zameen sirf working envoirement ka lia jump.gif
khan_amer
QUOTE(saima56 @ Dec 14 2005, 02:28 PM) [snapback]2110573[/snapback]

aur na banay doo Kalabagh Dam.... ab koy GHQ kyo kay manazaray karay/sunnay ya KALABAGH maiN uljhay.. bhai aaj kal ham kalabagh maiN masroof haiN sanuurdu.gif
Daylight
QUOTE
ahmakoon koo koi yeh bataya ka ka kudhkush hamlaa too secure jagah bhi hoosakta hai.

"bhi ho sakta hai" nahin balkeh hota hi secure jaghon par hai warna bhala koi apni jaan kyun de biggrin.gif biggrin.gif
Jahan Zaib
hmm isi liye kaha jata hai keh saara paisa to awam ka army kha jaatee hai.
ab bhala earthquake victims kay liye ham doosray countries se paisa maang rahay hain aur ham itna paisa laga rahay hain ek aesay fazool kaam per jis kee koi zaroorat bhi nahin hai....
jab pehla GHQ hai to dubara ka kia tuqq banta hai??
ewain paisay lagane ka bahana chahiye hota hai....
wajahat
Agar! saray Army kay baray baray aur soldiers ek hi jaga rehnay lag jainn,
banglows mein aur apartments mein, to kia dushmaan kay lia yeah faida mand nahi kay ek hi missile sey sub khatam ?

kia sub ko family samait ek hi jaga rakhna munasib hay ?

kia saaray commisioned or noncomisioned staff ko ek hi jaga rahish dena sahi hay ?

Abu Adnan
QUOTE(wajahat @ Dec 16 2005, 09:30 AM) [snapback]2110962[/snapback]

Agar! saray Army kay baray baray aur soldiers ek hi jaga rehnay lag jainn,
banglows mein aur apartments mein, to kia dushmaan kay lia yeah faida mand nahi kay ek hi missile sey sub khatam ?

kia sub ko family samait ek hi jaga rakhna munasib hay ?

kia saaray commisioned or noncomisioned staff ko ek hi jaga rahish dena sahi hay ?

point to aap ka valid hai lekin:
naqqar khanay maiN tooti ki kun sonta hai.

breakface1.gif
LEADER
IPB Image
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.