Asalamoalaikum,
docter sahibaan say yeh sawal poochna hai kay...........
Ankh kuun pharakti hai???
ankh kay pharaknay kay baaray main kafi baatain suni hain jo kay mahaz tawahhumaat hain aur jin ka haqeeqat say koi taa'lluq nahi hai
jaisay right eye pharkay to koi achi baat hogi aur left eye pharkay to koi buri baat paish aaiyy gi.
khair main iss par bilkul bhi yaqeen nahi rakhti.
poochna sirf yeh hai kay ankh pharaknay ka kiya sabub hota hai??
iss ka koi medical reason to hoga,kissi cheez ki kami ya ziyadti ki wajah say aisa hota hoga.
ankh kay pharaknay say kafi bay chainy hoti hai agar iss ka reason pata chal jaiy to kitna acha ho.
wassalam,