QUOTE(Daylight @ Dec 16 2005, 04:54 PM) [snapback]2111045[/snapback]
I think aap GEO ke Capital Talk ki baat ker rahay hain, program to achha tha laikin sab se buri cheez ye lagi ke maizbaan sahib intehayi jaldi mein thay, jo mehmaan jawab denay lagta maizbaan sahib baar baar yahi kehtay jaa rahay thay jaldi karain jaldi...........O bhai agar train nikal rahi hai to jaa ker wo pakro aisay sanjeeda mauzoo par program karna hai to jaldi ki kya pari hai........
Faida??? ayub khan ke betay ne fauran keh dena tha ke ye jhoot hai aur ghalat hai.........Maizbaan ne aik aisa sawal kya tha, usne Ayub Khan ke hi aik wazir ki book ka page 92 parh ker sunaya ke usne likha hai ke ayub khan ne 1962 mein east pakistan waalon ko keh diya ke hum se alag jaao, aur east pakistan ka jawab tha ke hum aksarriyat mein hain iss liye tum alag ho jaao hum se :D
Ye bayaan tha ayub khan ke wazir e taleem ka.....
Jawab mein ayub khan ke betay ka kehna tha "ye bilkul jhoot hai aisa kuch nahin hua tha"........
issi liye meine kaha ke kya faida aisay sawalaat ka jinkay jawab mein ye sun-na paray :d
maslan Gohar Ayub sey poocha ja sakta tha k tere bap ney konsa karnama anjam diya tha jo Field Marshal ka title ley liya??