Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Kalabagh Barrage Banaya Jaye
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
Abu Adnan
IPB Image
LEADER
Abu Adnan bhai...aap kiya kahtey haiN K.Bagh Dam bnana chaiye ya nahi...yes or no ??
Rustam
Yar dimadh kharab ker k rakh diya.Ek kehta hey banao,doosra kehta hey na banao.Kal Geo per programme dekha" 50 minute",bus faisla ker liya Kala bagh na khapey,Skurdoo banana chahiye.Abhi uss hi channel per programme dekha "Jawab Deh",WAPDA k sabiq chairman or Kala bagh dam k sabiq GM,Mr Shamsul Hassan yeh sabit ker rahey they ka janab Khala Bagh zaroor banana chahiye.Bus hum ney kaha han yeh sahi keh rahey heiN,banana chahiye.Kya kareiN,kahaN jayeN? breakface1.gif
Abu Adnan
QUOTE(LEADER @ Dec 25 2005, 08:08 AM) [snapback]2112901[/snapback]

Abu Adnan bhai...aap kiya kahtey haiN K.Bagh Dam bnana chaiye ya nahi...yes or no ??

kia piddi (AA) aur kia piddi ka shorbah (roy) biggrin.gif

aap yeh batayo k JI kiya kahti hai K.Bagh Dam bnana chaiye ya nahi...yes or no ?? .... sindh maiN to poori JI ki qayadat, sindhi qaum parastouN k peechay anti kalabagh dam tahreek ki pusht panah hai .... punjab JI kia kahti hai.

kia ab JI bhi PPP ki tarah punjab aur sindh main alag alag mauquf rakhti hai.

QUOTE(Rustam @ Dec 25 2005, 10:10 PM) [snapback]2113030[/snapback]

Yar dimadh kharab ker k rakh diya.Ek kehta hey banao,doosra kehta hey na banao.Kal Geo per programme dekha" 50 minute",bus faisla ker liya Kala bagh na khapey,Skurdoo banana chahiye.Abhi uss hi channel per programme dekha "Jawab Deh",WAPDA k sabiq chairman or Kala bagh dam k sabiq GM,Mr Shamsul Hassan yeh sabit ker rahey they ka janab Khala Bagh zaroor banana chahiye.Bus hum ney kaha han yeh sahi keh rahey heiN,banana chahiye.Kya kareiN,kahaN jayeN? breakface1.gif

"sindhi qaum parast" kaha kartay thay k pano aqil chawni naheeN bannay dee jaegi ... lateefah yeh howa k khud benazir nay iss chawni ka iftetah kia .... breakface1.gif aaj bhi agar kalabagh dam k mokhalefeen ko iqtedaar day dia jaye to woh khud apnay haathouN say yeh dam bana dengay. 0-16_angry.gif
FarOOqi
Assalam-o-alaikum,

waisay mush ko chahiyay iss ka naam badal ker kay "black park dam" ya "safaid bagh dam" rakh dey aur keh dey kay chalo ji "kala bagh" nahee banatey ... yay bana laitey haen... hamaray "aqal mand" siyasatdan/qaum parast shayad maan jaen.. 0-moped.gif look.gif yippie.gif

wassalaam,
farooqi.
Rustam
Assal mein Punjab ney mazi mein iss qadar dhandliyaN ki heiN k uss ka etimad uth gaya.Ub bat hey sirf etimad ki or bharosey ki.Pakistan bunney k doran bhi Punjab ka kirdar ek ghaddar ka tha.Aaj bhi uss ka yehi hal hey.1991 ka water accord ub tak sirf punjab ki wajha sey nafiz na ho saka. unsure.gif
LEADER
[quote name='Abu Adnan' date='Dec 26 2005, 08:49 AM' post='2113250']
kia piddi (AA) aur kia piddi ka shorbah (roy) biggrin.gif

aap yeh batayo k JI kiya kahti hai K.Bagh Dam bnana chaiye ya nahi...yes or no ?? .... sindh maiN to poori JI ki qayadat, sindhi qaum parastouN k peechay anti kalabagh dam tahreek ki pusht panah hai .... punjab JI kia kahti hai.

kia ab JI bhi PPP ki tarah punjab aur sindh main alag alag mauquf rakhti hai.

Sawal to maiN ne aap se pooch tha...aap ulta mujh se pooch rahey haiN

blink.gif

I'm not a spokesman of JI closedeyes.gif

Wasey kiya aap samjhtey haiN keh General sahb K. Bagh dam bananey maiN 'serious' haiN ? marey khiyal maiN to aik dictator ko koi DAM bananey ya na bananey ka failsa kerney ka ikhtyar hi nahi, aap ka khiyal hai !!
LEADER
QUOTE(FarOOqi @ Dec 26 2005, 12:28 PM) [snapback]2113307[/snapback]

Assalam-o-alaikum,

waisay mush ko chahiyay iss ka naam badal ker kay "black park dam" ya "safaid bagh dam" rakh dey aur keh dey kay chalo ji "kala bagh" nahee banatey ... yay bana laitey haen... hamaray "aqal mand" siyasatdan/qaum parast shayad maan jaen.. 0-moped.gif look.gif yippie.gif

wassalaam,
farooqi.

Ager iss ka naam SABZ BAGH dam rakh diya jai to kesa rahey ga ??

Akhir ab tek humain 'sabz bagh' hi to dikhaya ja raha hai na !

QUOTE(Rustam @ Dec 26 2005, 05:27 PM) [snapback]2113364[/snapback]

Assal mein Punjab ney mazi mein iss qadar dhandliyaN ki heiN k uss ka etimad uth gaya.Ub bat hey sirf etimad ki or bharosey ki.Pakistan bunney k doran bhi Punjab ka kirdar ek ghaddar ka tha.Aaj bhi uss ka yehi hal hey.1991 ka water accord ub tak sirf punjab ki wajha sey nafiz na ho saka. unsure.gif

K. Bagh ki wajha se bohat se logooN ko PUNJAB ke khalaf apna 'Bughz' nikalney ka mooqa mil giya hai,,, Rustam bhai naraz na hoo, Punjab ki opposition parties ne K. Bagh dam per apna failsa de diya hai... (read following coloumn plz):

IPB Image
IPB Image

Now what u say ?
Rustam
Kash Pakistan k qatil punjab ko ub bhi aqal aa jaye,warna yeh umr bhr ka safar rayegaN to hey blink.gif
khan_amer
Kala-bagh kay ma'malay maiN Mush sanjeeda hay kay nahi, issay bana chahiyee kay nahi yeh sab bataiN tu aaj kal her TV channel per ho raheeN hain qoum parastooN kay pass koy mazboot dalayel nazr nahi aatay aur govt. bodies waisay hi ghair sanjeeda lag raheeN hain.. in sab batooN say qita nazr eak baat wazah ho gayee woh hay MMA ki syasi baseerat... 2006 Pakistan kay syasi maner.namay maiN khasa ahmiyat ka hamil hoga.. buhat say naye syasi ittehad banaiN aur ToTay gay..MMA jaisay no.khaiz ittehad ko awam maiN apnay app ko manwana hoga... iss silsilay maiN MMA Ki mojooda hikamt-e-amli na.aaqbat andeshana hay, woh illaqa'i jamatooN kay saath ittehad main masroof hay.. wazah rahay Pakistan ki illaqa'i jamataiN mazhabi rujhanaat nahi rakhteeN. Yani MMA apni bunyaad khud hi Dha raha hay.. herat angaiz tor per MQM nay andaaz maiN samnay ayee hay.. uss nay Kala-Bagh samait degar masayel per diplomatic rawayia apnaya howa hay..pata nahi inhay kon sa naya masheer mil gaya hay!!!

Abu Adnan
QUOTE(khan_amer @ Dec 27 2005, 04:14 PM) [snapback]2113585[/snapback]

amer bhai
agarchay maiN aap ki iss baat say muttafiq houN k MMA ka ilaqayee qaum parastouN say koi yaranan naheeN banta ... lekin mrea khayal hai (jo ghalat bhi hosakta hai) k iss anti mush environment say MMA "faidah" oThanay k chakkar maiN hai........ aisa lag raha hai k MMA one-point par tamam seyasi quwwatouN like ppp, pml-N, qaum parastouN (sindh, balochistan, sarhad) ko musharraf k khelaf yakja karkay aik tahreek chalany k mood maiN hai .... yak nokati agenda, sirf aur sirf mush say nijaat ka........... agar yeh tahreek chal paRti hai, aur kaamyaab hojati hai to yeh aik bahoot baRee achivement hogi ... coz mush nay already pakistan ka bahoot nuqsaan karchuka hai aur agar isssay mazeed 5/6 saal milgaye to phir halaat no return point per bhi asakti hai.

iss one point k hasool k liyeh agar MMA apni reputation ki qurbani day bhi deti hai, kala bagh dam jaisay non-issue per qaum parastouN say woh "kaam" karwa lay jo yeh khud nahee karsakti to yeh "sauda" bora naheeN. intekhabi ittehad ho mukhtalif wajooh ki bina par ghair hum-khayal ittehad ka tahreek chalana koi new ya achanbhay ki baat naheeN. 1977 maiN hum anp /tnfj k saath milkar bhutto say nijaat hasil karneka kaarnamaa anjaam day chukay haiN. agar bhutto ko oss waqt manzar naamay say nah hataya jata to "mush ki raushan khayali" pakistan maiN bahut pahlay aa jani thee.

dekhtay haiN kalabagh dam ka ouNT kiss karwaT baiTh.ta hai....... iss waqt zaroorat musharraf ko tanha karneki hai. sindh PML-Q ho ya MQM, yeh already musharraf ki kala bagh dam policy say mokhalif rukh main jarahay hain......... ghaleban yehi soch kar MMA nay karachi maIn anti kalabagh dam rally main shirkat ki hai.

Allah karay pakistan choTi moTi qeemat par mush say nijaat hasil karlay, koi baRee qemmat nah ada karni paray pakistan ko.....

khan_amer
QUOTE(Abu Adnan @ Dec 27 2005, 03:01 PM) [snapback]2113601[/snapback]

Bhaij app ki baaty say maiN mutaafiq nahi hoN...

MMA in jamatooN kay murda jism maiN jaan Dal rahee hay...

aur jahaaN tak mera khayal kay kay Qazi aur Fazlurrehman maiN itni ahliyat hay hi nahi kay wohy hakommat ka karobar chala sakaiN.. jin logooN ko apnay maqasid kay liya mulk dushman anasir ki himayat darkaar hoo woh kitna kay iss mulk ki hifazt ya iss mulk kay liya kam ker sakaiN gay!!! kiya kal ko power maiN aa ker yeh MMA in jamatooN ka zor ToR sakay gee!!! itni mudabir qayadat tu hargiz nahi hay MMA ki!!!

aur agr app issay dosray angel say daikhaiN tu Mush bhi yehi ker raha hay..apnay iqtaydaat ko tol daynay kay liya woh america ki kha'hishaat ka ghulam ban gaya hay... yeh log in jamatooN say gilay mil rahay haiN... agr Mush security risk hay tu yeh securiry risk ki creation maiN ahem kiradr ada ker rahay haiN in jamatooN ko mazboot ker kay....

MMA kay ghoRay say jaan nikal chuki hay.. i don think kay MMA ab Islam ko cash kerwa ker iqtaydar maiN aa sakay gee....
saima56
kal bagh dam bana chaye ya nahi ? ahle nazar aur joo loog "Pakistaniat" per yaqeen rekhta haiin, woo aaj kal keh raha hai abi zakhair kii zaroorat hai pakistan koo.. nasirf kala bagh balka basha , sukardo waghira kii bhi, masla siasaat kaa hai, yeh mana ka chand cheezain waqaiye qabil-e-tawajah hai jaisa naher nikalnaa kalbagh saa joo nahi nikalni chaye.. magar kala bagh aur doosra daam banana chaye.. aab iss mai 3 tarah ka groups haiin...

aik wo joo kehta hai ka kala bagh nahi banana chaye.. un kaa paas techinical saa zaida siasi aitraaz hai aur sab sa bara aitraaz joo hamin nazar aata hai woo yeh ka kalabagh bana ka baad woo siasaat kiss per karaiin ya aik tarah saa unn kii siasii mout hoojaye gii is mai ANP aur jia sindh wala anasir haiin.. is mai woo loog bhi shamil haiin joo interior sindh mai apna asr o rasooqh qaim karna chatha haiin jaisa MQM.. MQM ka kala bagh per mouqaf unn koo next election apna wazir-e-ala banana mai madad daa gaa, waza raha kaa mqm kaa paas karachi aur hyderabad yani 2 bara shar kii hukumataiin haiin aur sindh ka doosra sehr mai bhi yani mir pur khaas waghira mai bhi inhoo na kissi na kissi tarah seats la lii haiin aur yeh loog next election mai sindhioon koo yeh kafi had tak yaqeen dilana chatha hai ka hum tum jaisa haiin jaisa tumhara mauqaf waisa hamara..

doosra group woo hai joo kehta hai kaa Quami mufahimat saa yeh daam banana chaye jis mai tamam majors parties shamil jaisa MMA, PML N . PPPP , sindh kii PML Q waghira shamil haiin waza raha pppp ka sindh ka unit daam kii himayat karna mai shakht mukhlif haiin magar punjab mai inn ka mauqaf juda hai.. MMA ka mauqaf joo hai woo kafi had tak dursut hai yeh dams kii waza mukhlaft nahi karta aur kehta haiin ka quami ittefaq raye saa daam banana chaye laken nadanista ya danista toor per yeh loog goverment koo aur qoum partastoo donoo koo support karta hai yeh jalsoo mai bhi shareek hoota hai mukhlafat ka aur goverment kii janib saa kala bagh per briefing bhi laita haii breakface1.gif

tessraa group sirf mush shab ka hai uss mai sirf mush hai us ka saath na hukmaran jamat khul kar aati hai na sanjidaa hai saath daina mai.. mush aaj kal har jaga sirf yeh kehta nazar ka daam bana gaa chaha kuch bhi hoojaye...quom ka bara tabka reserviours ka bara mai kafi haad tak mush ka saath hai aur agar mush yeh daam banana mai kamyaab hoojata hai too tareekh mai iss ka siyah karnamooon ka saath aik acha karnama bhi darj hoogaa.. aur agar mush yeh daam nahi banata too tareekh isss koo maaf nahi kara gii kyunka mush ka baad abb koi yeh daam nahi bana sakta jis koo bhi apni kursi aziz hoogi
jasoos
kalabagh dam se pakistan ko faida hi faida hoga. sindhi kyun mukhalifat ker rahay hain meri samajh se bahir. eik baat to tai hai ke kalabagh eik foji ruler hi bana sakta hai yeh civilian leader ke bass ki baat nahi.
MQM iss liye mukhaalfat ker rahi hai kyyonkay himayet kernay per sindhi mahajiron ko punajb ka agent kahain gai aur sindhi/mahajir masla phir se khara ho jaye ga.
LEADER
QUOTE(khan_amer @ Dec 30 2005, 07:51 PM) [snapback]2114398[/snapback]

Bhaij app ki baaty say maiN mutaafiq nahi hoN...

MMA in jamatooN kay murda jism maiN jaan Dal rahee hay...

I think keh MUSHARRAF aur us ki poilicies (especially his policy on K.Bagh Dam) qoum prast jamtooN ke 'murda jism' maiN jaan dal rahi haiN, na keh koi aur !!

QUOTE
aur jahaaN tak mera khayal kay kay Qazi aur Fazlurrehman maiN itni ahliyat hay hi nahi kay wohy hakommat ka karobar chala sakaiN..

NWFP main jo hakoomat 'chal' rahi hai,, usey koun chala raha hai...?

QUOTE
jin logooN ko apnay maqasid kay liya mulk dushman anasir ki himayat darkaar hoo woh kitna kay iss mulk ki hifazt ya iss mulk kay liya kam ker sakaiN gay!!! kiya kal ko power maiN aa ker yeh MMA in jamatooN ka zor ToR sakay gee!!! itni mudabir qayadat tu hargiz nahi hay MMA ki!!!

Mash.hoor kahawat hai keh: " Dushman ka dushman...doost hota hai "

Humain yeh faisla kerna hai, keh humara (yeni Pakistan ka ) dushman no. 1 koun hai..

Musharraf ya qoum prast ?? ....ager yeh faisla ho jai keh Musharraf humara dushman#1 hai, to phir dushman#2 (yeni qoum prastooN) ki himayat laney maiN koi harj nahi , for the time being...(just to remove enemy no. 1) Ok !

QUOTE
MMA kay ghoRay say jaan nikal chuki hay.. i don think kay MMA ab Islam ko cash kerwa ker iqtaydar maiN aa sakay gee....

MMA ke 'ghoRey' maiN kitni JAAN hai, is ka andaza un sab logooN ko ho giya hai ..jo Earth Quake effected areas maiN MMA (Jmaat-e-Islami aur degar deeni tanzeemouN ) ki behtreen 'karkerdgi' apni aankhooN se dekh chukey haiN...ager aap ko yaqeen na aaye to khud ja ker dekh lijye...

Jammat e Islami , MMA ka aik ahm component hai...jis ne humesha 'Khidmat ki siyasat' ki hai...Islam ko cash kerwaney ki nahi...please correct your record !! Thanks & take care

kisi ahmaq ka hi qol hoga kay Dushman ka Dushman dost hota hay!!! aur iss per amal kernay walay uss say bhi baRay ahmaq haiN...

Pakistan ko Mush say itna khatra nahi hay jitna in qoum parastooN say hay!!! yeh nasoor haiN jn perwarish kerna riyasat say ghadari hay.. !!! maiN yeh tu man sakta hooN kay Mush MMA ka dushman # 1 hay per yeh nahi kay Mush Qoum parastooN say bhi zyada pakistan ka dushman hay... Mush nay aaj tak khulay aam Pakistan ki mukhalifat nahi key were as yeh log her dosray issue per Pakistan ToRnay ki baat kertay haiN...

MMA iss waqt Pakistan ki nahi Islam ki numainda jamat honay key dawaydar hay... kiya Islam issi cheez ka naam hay kay taqat kay hasool kay liya kisi say bhi haath mila loo...

Pakistan kay wajood kay liya Kalabagh aur degar baRay dams itnay hi zaroori haiN jitnay insaani hayaat kay liya Oxygen... zaroorat Oxygen ki rah maiN hayel awamil ko haTanay ki hay nay kay pollution ko barhanay key...

No doubt kay NWFP ki hakomat behter hay.. per Mulki hakomat aur Soba'i hakomat maiN zameen asmaan ka farq hota hay...

app ko meray ilfaaz pasand nahi aye tu un leaders say shikwa karaiN jis nay JI ki khidmat ki syasat ko moqa.parasti maiN badal diya hay.. mujh say nahi.. mera baap badsha THA... iss not good enough for my record... JI ka record acha tha.. no doubt in that.. per acha rahay ga!!! app yeh sawal pochaiN apnay app say!!!! mujhay abhi bhi Lahore railway station per Qazi ka jaloos yaad hay ju unhooN nay PDF kay plateform say kiya tha...
khan_amer
well abhi tak ki discussion maiN MMA walooN ko maiN nay crticise kiya hay...

ussi criticism ko agay baRhtay howay MMA ki Kalabagh kay hawalay say policy k lay ker chand sawal hain agr koy MMA ka hami/hamdard iss ka jawab day sakay tu...

iss baat per sab ka ittefaaq hay kay Mulk maiN pani ki kami hay aur iss kami maiN anay walay 6/7 salooN maiN mazeed kami hogi. yeh baat bhi ham jantay haiN kay Bhasha Dam abhi tak pre-feasibility stage maiN hay.. balkay abhi tak iss ki jagah bhi final nahi ho saki! bhasha kay liya iss waqt infra-structure bhi mojood nahi hay iss liya iss project ko agr aaj shoroo kiya jaye tu yeh aglay 15 salooN main mukamal hoga! tu MMA walay Kalabagh kya alternative paish kertay haiN?

mazeed iss sawal ka jawab anay per....
plz iss lakeer ko mat piTyee ga kay sabiqa hakomatooN nay Bhasha key feasibility per kam kyoN nahi kiya!!! woh waqt ab wapis nahi aa sakta..mojooda surat-e-haal ko samnay rakhtay howay MMA ki iss policy ko hi bayan kiya jaye.. YahaaN per MQM ko iss liya nahi involve kiya kay wob apay mizaj maiN hi mulk dushman hay... un say kisi taraqiyaati kaam ki himayat ki umeed bhi nahi hay!!!

Note: Naya topic start kernay say behter hay kay issi maiN jawab day diya jaye!!!( agay app ki marzi)
Abu Adnan
QUOTE(khan_amer @ Jan 5 2006, 01:31 AM) [snapback]2115322[/snapback]

maiN MMA ka hami bhi houN hamdard bhi aur voter balkay supporter bhi. biggrin.gif phir bhi maiN MMA ka kissi bhi satah per active part naheeN lehaza MMA ki tarjumani to naheeN karsakta albatta poochay gaye sawaalaat per kuch arz karna chahounga.

1. "pani ki kami" asal masla naheeN hai. aur nah hi "aabi zakhair" ki kami hai ... maujoodah dams bhi har saal naheeN balkay after each five years sailabi pani say bhartay haiN. bila shubah dams ki satah boland honay say water storing capicity taqreeban aadhee rah gayee hai.

lehaza zaroorat iss amar ki hai k existing dams ki de-silting per tawajjah dee jaye jo new dams bananay k moqaablay maiN nisbatan asaan, kam kharch aur kam technical type ka kaam hai...... lekin iss kaam per world bank say paisa to naheeN milega lehaza "dam k maalekaan" ki jaib maiN kuch naheeN aayega. aaj tak iss baat per koi discussion naheeN howee k maujoodah dams ki original capicity ko re-store kia jaye. aik taraf aap qarz lay kaer new dams banantay jayaiN aur doosri taraf say dams mitti say bhertay jayaiN, yeh kaun see aqalmandi hai.

aap kahengay k dams ki safayee k liyeh paisa kahaaN say ayega agar WB loan naheeN dega to. to jab hum new GHQ k liyeh arbouN rupees apnay khazanay say laga saktay haiN to iss project per kiyouN naheeN.

doosri ghalat fahmi "pani ki kami" ka misconception hai. pakistan k pass pani ki koi kami naheeN. pakistan k pass dunya ka sab say baRa glacier hai, jisper baaz aalmi taqatouN ki lalchayee nazar lagi howee hai. woh kashmir aur shomali elaqaa jaat per qabza karkay pani kay iss baRay "reservoir" per qabzah karna chhahtya haiN................ dr. qadeer nay WAPDA k rishwat khor, corrupt, pak dams k kurta dharta ko yeh batlaya tha k pakistan ab aik atomic power hai. hum controlled atomic dhamakay k zariyeh pahaRouN ki baraf ko apni marzee k motabiq pighla kar pani hasil karsaktay haiN. aur maiN aisa karsakta houN......... iss per aalami taqatouN k inn agents nay issay mustarid kardia k iss tarah sailaab aajyega jisssay hum control naheeN karsaktay....... woh to sirf $$$$$$$$$$ k sailaab ko control karnay k liyeh banany haiN.

TEH BAAT AAP AUR DEGER AHBAAB NOTE KARLAIN K "WAPDA" K AALAA AHALKAAR AALMI QUWWAT K AGENTS HAIN JINKA MAQSAD PAKISTAN KO PANI MAIN KHUD KAFEEL KARNA NAHEE HAI BALKAY KALA BAGH DAMS JAISAY MANSOOBOUN K ZARIYEH PAKISTAN KO MAZEED QARZOUN MAIN DABONA HAI. PAKISTAN K SOOBOUN K DARMAYAN MAHAAZ ARAYEE KO HAWA DENA HAI. AUR ISS KHIDMAT K EWAZ MAAL KAMANA HAI......... AGAR PUNJAB K LOG "WAPDA" KI ISS SAZISH KO SAMAJH JAYAIN TO BAHUT ACHCHA HAI WARNA WATER POLITCS BAHOOT KUCH BAHA LAY JAYEGA.
Abu Adnan
musharraf (yahaaN establishment agent) k taur per to kahta hai k kalabagh dam say nahraiN naheeN nikalee jayengi aur iskay liyeh woh aa'iny tahaffuz (ayeen ko toR kar to woh power maiN aya hai) bhi faraham kar saktay hain. lekin WAPDA kahta hai k:

IPB Image
khan_amer
kafi dilchasp jawab diya hay app nay AA Bhai!!! app nay tu muda hi khatam ker diya!!! biggrin.gif

na raha pani ki kami ka masa'la hoga na hi DAMS per baat hogi!!!

acha app mujhya kisi bhi DAM ki "Life" bata saktay haiN.. dom kiya srif slit ki wajah say hi mojooda Dams ki capacity maiN kami waqaya howi hay kiya koy aur awamil nahi haiN...

Kalabagh DAM pani kay reserves kay illawa bijli paida kernay kay liya bhi istayma'al hoga... kiya app itni sasti bijli ka koy dosra mutabadil paish ker saktay haiN..

atomic tawana'i say glaciers ko piglanay abhi tajrubati marahil maiN tha.. aur agr yeh successful bhi hay tu app kay khayal say iss say haisl kerda pani ko kahaaN store kiya jaye ga!!! ya issay samander maiN choR daynay ki tajweez hay!!!!

well yhe tu app nay bataya hi nahi kay MMA kay pass mutabadil kiya hay????
saima56
QUOTE(khan_amer @ Jan 6 2006, 04:01 PM) [snapback]2115651[/snapback]

kafi dilchasp jawab diya hay app nay AA Bhai!!! app nay tu muda hi khatam ker diya!!! biggrin.gif

na raha pani ki kami ka masa'la hoga na hi DAMS per baat hogi!!!

acha app mujhya kisi bhi DAM ki "Life" bata saktay haiN.. dom kiya srif slit ki wajah say hi mojooda Dams ki capacity maiN kami waqaya howi hay kiya koy aur awamil nahi haiN...

Kalabagh DAM pani kay reserves kay illawa bijli paida kernay kay liya bhi istayma'al hoga... kiya app itni sasti bijli ka koy dosra mutabadil paish ker saktay haiN..

atomic tawana'i say glaciers ko piglanay abhi tajrubati marahil maiN tha.. aur agr yeh successful bhi hay tu app kay khayal say iss say haisl kerda pani ko kahaaN store kiya jaye ga!!! ya issay samander maiN choR daynay ki tajweez hay!!!!

khan bhai kal aik program dekh rahi thi ka uss mai aik shab keh raha tha ka goverment ka assesment hai ka kala bagh per 10 arab dollars ka kharcha aayaa gaa, aur unn shab ka yeh bhi kehna tha ka joo kala bagh dam kii life hai woo 40 to 50 years hai.. aur saath saath inhoo na bataya ka international consultants na thatha saa nicha aik khaas mikdaar mai pani throough out the year chorna koo kaha hai.. too inn ka kehna thaa itna paisa govement kharch kar rahi aur dam kii umer bhi kaam hai too is saaa zaida acha yeh hai ka tarbaila aur mangla mai kafi kaam kharch mai silting problem kam kia jasakta hai aur iss ka ilawa cannal kii proper lining kar ka pani ka ziya koo roka ja sakta hai aur is ka ilawa logoon mai yeh shaoor bhi baidar kia jasakta hai kaa pani ka ziya mulk ka mufaad mai nahi.. phir unhoo na kaha ka agar goverment neharaiin nahi nikalaii aur sirf bijli paida karna ka lia yeh mansooba ho too phir kya itna kharcha kar ka govement electricity ka price mai stability la saka gii its immpossible..

waisa too mai kala bagh daam koo mulk koo mufaad mai kissi had tak shamjhti hoo magar pehli baar upper darj karda muqaaf mai mujhe kuch wazan nazar aaya.. aap kuch in point kii wazahat karaiin gaa??
hapy

TV per to jitney mou utni batain.

But, its disgusting to see, MMA going against building Kalabagh, just for sake of political reasons.
khan_amer
QUOTE(saima56 @ Jan 6 2006, 05:40 PM) [snapback]2115690[/snapback]

Dear Sis!

Kalabagh aaj kal ka mansoba nahi hay iss ka idea sab say pehlay Nawab of KalaBagh nay hi 50s maiN diya tha...

dom kalabagh ka ju sab say baRa faida hay woh hay sasti bijli yani bijli ka ju kay iss waqt 5 rupay per unit kay kareeb hay kam ho ker 1 rupay per aa jaye gee! app iss say hamari production cost ki kami ka andaza laga sakteeN haiN.. iss wat ham International market maiN price wise muqabalay say bahir hotay ja rahay haiN...

ju bhi log yeh kehtay haiN kay Mangla aur Terbaila ki slit saaf ker daiN woh iss kay saath saath yeh bayan bhi daytay haiN kay KALABAGH Ki umr kam hay.. agr koy un say yhe pochay kay Kalabagh ki umr ka takhmina uss ki paida;ish say pehlay hay tu terbala aur mangla tu buhat arsay say mojood haiN un ki LIFE kay baray maiN kiya maloomat haiN un kay pass...itu un say jawab nahi ban paRta....

YahaaN per eak baat ju buhat zaroori hay kay Pakistan kay darya barsati haiN yani in maiN sirf chand dinooN kay liya zyada pani aata warna tu yeh khali hi rehtay haiN... iss haqeeqat ko jantay howay ab ju ThaTa say nichay pani key makhsoos miqdaar samander main choRnay ki baat hay iss per sirf hansi hi aa sakti hay.... Samandari pani ka kaTa'o roknay kay liya darya'i pani ki makhsoos mikrdaar pani maiN Dalna sab say asaan hal hay!!! iss kay aur bhi hal .. ghaliban Denmark nay yehi kiya hay ( mulk ka naam iss waqt zehan maiN nahi hay shayad denmark hay ya phir holland hay) beharhaal unhooN nay samandari pani ko samader tak rakhnay kay liya walls aur deagr bandobast kiya haiN ju kay Pakistan maiN bhi possible haiN.. per koy baat tu karay...

yahaaN per yeh baat bhi wazah ker dooN kay sirf kalabagh hi maslay ka hal nahi!!! yeh sirf woh kami puri karay ga ju Mangla aur terbaila ki capacity kam honay say waqaye howi hay.. Bhasha aur sakardoo aur degar dams bhi bananay utnay hi zaroori hain Jitna kay kalabagh dam
khan_amer
QUOTE(hapy @ Jan 7 2006, 12:14 AM) [snapback]2115745[/snapback]

TV per to jitney mou utni batain.

But, its disgusting to see, MMA going against building Kalabagh, just for sake of political reasons.

jee bhai jee dukh tu mujhay bhi howa kay aakhir ko yeh bhi sirf iqtaydaar kay bhookay hi niklay.. woh clean shave haiN aur in ki DaRi hay!!!
LEADER
QUOTE(khan_amer @ Jan 7 2006, 09:38 AM) [snapback]2115850[/snapback]

jee bhai jee dukh tu mujhay bhi howa kay aakhir ko yeh bhi sirf iqtaydaar kay bhookay hi niklay.. woh clean shave haiN aur in ki DaRi hay!!!

MMA (Jamaat-e-Islami) ka mouqaf:

IPB Image

IPB Image

StayAway.gif
khan_amer
QUOTE(LEADER @ Jan 11 2006, 12:55 PM) [snapback]2116491[/snapback]

MMA (Jamaat-e-Islami) ka mouqaf:

IPB Image

IPB Image

StayAway.gif

agree with Qazi.. but jaisay maiN nay pehlay kaha kay bhasha dam mazi ki kotahiyooN ki wajah say aglay 15/20 saal kay arsay maiN tayar hoga.. tab tuk ham kiya karaiN!!!!

just a second though jab say yeh Kala-bagh ja issue start howa hay NATO aur Americaz forces ka A. KAshmir maiN kisi nay zikr hi nahi kiya ( HC PER)!!!!
jasoos
chalo bhai, bhasha dam ban raha hai aur kalabagh multawi ho gaya hai jab tek ittefaaq e raye paida nahi ho jaata. musharraf ne sindh aur NWFP ki raye ka ehteraam ker ke qaumi leader honay ka suboot diya. waisay KBD banana elected leader ke bas ki baat nahi yeh kaam koi fouji gernail hi ker sakta hai.
khan_amer
QUOTE(jasoos @ Jan 18 2006, 11:48 AM) [snapback]2117027[/snapback]

chalo bhai, bhasha dam ban raha hai aur kalabagh multawi ho gaya hai jab tek ittefaaq e raye paida nahi ho jaata. musharraf ne sindh aur NWFP ki raye ka ehteraam ker ke qaumi leader honay ka suboot diya. waisay KBD banana elected leader ke bas ki baat nahi yeh kaam koi fouji gernail hi ker sakta hai.

waisa y MUSH ki syasat ko mana paRay ga uss nay pehlay KBD ka shosha choRa aur apni taqat ka andaza lagaya, opposition ko jancha aur Election say sirf eak saal pehlay Bhasha aur dosray DAm ko shoroo kernay ka illan kiya.... KBD ki mukhalifat say PPP aur MMA ko na sirf khajalut ka samna kerna paRa balkay anay walay elections maiN in ki saakh bhi kamzoor howi hay!!! aur howa kiya.. as usual wohi ju MUSH chahta tha!!!

waisay iss saray mamlay maiN sab say achi baat DAM ki tameer ka illan hay !!!
jasoos
hukoomet aur uss ki parties ne barri shaatir chaalain chaleen aur PPP aur MMA ko chaaron shaanay chit ker diya.

MQM: MQM ne sindh mein KBD ki mukhalifat ker ke aur phir ultimatum de ke interior sindh mein apna qad barhaya jiss ka faida uss ko next elections mein hoga.

PML(Q): PML(Q) ke sindh ke leadron ne bhi KBD ki mukhalifat badastoor jaari rakkhi jiss ki vajah se sindh mein PML(Q) ka vote bank barhay ga. punjab mein PML(Q) ne khul ke KBD ki himayet ki aur apna votebank barhaya.PMl(Q) ke NWFP ke logon ne aur PPP(sherpao) group ne NWFP mein KBD ke khillaf muhim mein ANP ka saath diya aur apna vote bank barhaya.

PPP(patriot): ne punjab mein bahrpoor himayet ker ke apna vote bank soild kiya.

PPP(sherpao):NWFP mein mukhaalifet ker ke votebank banaya.

Leghari's part: punjab mein bharpoor himayet ker ke votebank solid kiya.

PPP parliamentarians(benazir group): chaaron soobon mein koi clear policy nahi thi. sindh, punjab, aur NWFP mein in ka votebank kam hoga, especially punjab jahan khul ker himayet kerni thi lekin nahi ki.

MMA: in ki bhi koi clear policy nahi thi. NWFP mein ANP aur sherpao group in ka votebank torain gay kyoonkay in ke muqaablay mein un do groups ne khul ker KBD ki mukhalifet ki. iss ke ilaawa punjab mein himyet na kernay ki vajah se votebank kam hoga.

musharraf: pehlay to KBD ka shosha chor ker aur uss ka case her level per present ker ke punjab ki support haasil ki phir back out ker ke NWFP aur sindh mein bhi yaqeenen siyaasi faida hua lekin poori tarah se back out bhi nahi kiya balkay multawi kiya taajay punjab ki jo support haasil hui thi woh kahatam na ho... on top of all that, bhasha dam ka credit apnay sar le liya...
Abu Adnan
1. maiN pakistan maiN aabi zakhair ki zaroorat ka munkir naheeN. nah ho koi common sense rakhnay wala fard hosakta hai ... maiN to yeh baat highlight kar raha houN k KBD k purjosh hami houN ya mokhalif, in dounouN ka maqsad mulk aur awaam ko khush.haal karna hargiz naheeN balkay inkay apnay makhsoos maqasad haiN.

2. sindhi qaum parast ... aur ab MQM bhi ... KBD ki mokhalfat iss liyeh kar rahi hai k agar sndhu desh ki azaadi say qabal indus per KBD ya deger dams ban gaye to baad azaaN punjab sindh ko yaa to mushkil sharait per pani dega yaa phir sindh ko sehra bana dega. woh bijlee bhi apnay contrl maiN karega ... lekin agar yehi dams sindhu desh ki azadi k baad baanaa to yeh aik bainulmulki masla hoga aur sindh ki sharait per hi dams ban sakengay......... abhi haal hi maiN altaf hussain nay yeh inkishaaf kia hai k g m syed nay marnay say pahlay tanhayee maiN onn say farmaya tha k mujhay yaqeen hai k tum (altaf hussain) hi meray baad mera mission poora karogay. g m syed ya jiye sindh ka mission kia hai, yeh kissi say posheedah naheeN.

3. doosri taraf KBD samait deger dams k liyeh WB bharee loans zabardasti denay k liyeh tayyar baiTha hai aur WB iss had tak interfere kar raha hai k dams k mokhalefeen ki rudd maiN reports publish kar raha hai, press conferences kar raha hai ... lagta hai k pakistan ka sara dard WB ko hi hai....... ki yeh behaviour kuch sochnay per majboor nahee karta. hum saray dams WB k bharee loans plus onki khofya / elaanya conditions per bana rahay haiN.......... jab pakistan k pass 13 arab $ yani 13 x 60 = 780 arab rupees k zakhair maujood haiN to issay dams k liyeh yaa kissi aur taraqqayati maqsad k liyeh use kiyouN naheeN kia jaraha.

4. WAPDA ahalkaar + maujoodah hakoomati anaser + fauji arbouN kharbouN k iss projects ko jald az jald start karkay apnay commisiion kharay karna chahtay haiN. coz yeh projects to 5 - 15 saal maiN complete hougay... aur hakoomat ka koi pata naheeN hota k aglay saal rahay bhi ya naheeN.... magar yeh signing authorities ban kar WB say agreement karkay major commision jald az jald wasool karna chaahtay haiN.......... punjab k maujoodah wazeer aalaa nay to yahaaN tak kah dia hai k gen musharraf ki ata'at parastish k barabar hai. (nau zo billah) ... coz woh jaanta hai k sharif families / ppp k iqtedaar maiN aanay k baad to onki daal mushkil hi say galegi .... jo kuch looTna hai, musharraf ki hakoomat maiN rahtay howay inn mega projects ko start karkay hasil karlo 0-16_angry.gif

5. har maslay ka aik say zeyadah options / solutions hotay haiN.... magar pani / bijli problems k sirf aik hi hull per (aur woh bhi WB k israar per) kiyouN zor dia jaraha hai......... pani ki kami ko door karnay k liyeh qadeer khan ki proposal kiyouN naheeN maani gayee ... osnay to pakistan ko atomic power banwaker apni ahliat prove kar di thee.........

6. yeh aik haqeeqat hai k sindh maiN iss waqt last 8/9 years say ktri barrage k upstreams per darya iss tarah sookha howa hai jaisay koi sahra ka manzar ho..... yahaaN per saal maiN 2/3 maheenay hi pani hota hai aur woh bhi bahut kam ...... gya new dams bannay say pahlay sindh k ends tak pani bah mushkil pahonchta hai ... to dams bana kar to sindh ko bilkul sookha maar denay ka plan hai....... maiN last 11 years say weekly / forTnightly basis per iss darya ko aboor karta chala aaraha houN......... 10 saal pahlay yahaaN baadbani baRee kashtiyaaN chala karti theeN, yahaaN maheegeeri hoti hai .... aur last 5/6 years say saal k 2 / 3 maah k elawah koi bhi ferd iss darya k paaT ko legs geela kiyeh beghair bhi aboor kar sakta hai ... har taraf rait hi rait uRti nazar aati hai.

7. kia yeh zaroori nah tha k pahlay pani pahlay mazeed generate kia jata (glacier ko pighla kar as qadeer proposed) .... sara saal pani rawaaN dawaaN nazar aataa, phir dams banakar iss rawaaN dawaaN pani ko control kia jata........... kia KBD ya deger dams banakar pakistaniyouN ko sasti bijli faraham ki jayegi .... kia iss say qabal dams bannanay k baad paida honay wali bijli sasti honay k baes pakistan maiN bijli k rate 5 times kam kiye gaye thay jo ayandah houngay.......

inn sawaalaat k step by step jawabaat issi tarah diyeh jayaiN. sirf jazbati hamayat ya jazbati mokhalfat kam az kam yahaaN anay waly paRhay likhay logouN ka shewah naheeN hona chahiyeh.... aur nah hi nasli bunyadouN per sindhi (old / new) honay k sabab dams ki mokhalfat karni chahiyeh yaa punjabi honay k sabab dams ki hamayat karni chahiyeh.
jasoos
abu adnan bhai, jab tek Pakistan People's Party ke naam se eik party maujood hai aur uss ka sindh aur punjab , dono soobon mein votebank hai, sindhu desh kabhi azzad nahi hoga. smile.gif

QUOTE(jasoos @ Jan 19 2006, 12:50 PM) [snapback]2117159[/snapback]

abu adnan bhai, jab tek Pakistan People's Party ke naam se eik party maujood hai aur uss ka sindh aur punjab , dono soobon mein votebank hai, sindhu desh kabhi azzad nahi hoga. smile.gif

jiye sindh movement has been a failure because of people's party.
Abu Adnan
QUOTE(jasoos @ Jan 19 2006, 05:51 PM) [snapback]2117159[/snapback]

abu adnan bhai, jab tek Pakistan People's Party ke naam se eik party maujood hai aur uss ka sindh aur punjab , dono soobon mein votebank hai, sindhu desh kabhi azzad nahi hoga. smile.gif
jiye sindh movement has been a failure because of people's party.

Allah aap ki zoban mobarak karay ... maiN sindhu desh ki azaadi k favour maiN koi baat naheeN kar raha tha ... maiN to sirf zameeni haqaiq pesh kar raha tha kaun kia hai aur kiss mission per gamzan hai.

ppp punjab ki baat maiN naheeN jaanta, lekin shayad aap ko yeh naheeN maloom k ppp sindh aur jiyeh sindh do alag alag wajood naheeN rakhtay. yeh aik hi tasweer k do rukh to haiN, lekin o alag alag tasweeraiN naheeN. andaroonay sindh bahoot say afraad bayak waqt dounouN sister organisations k office bearers haiN. aam entekhabaat houN ya local bodies election, giyeh sindh hamesha full support k saath ppp k liyeh work karti hai. coz they know jiyeh sindh k plate form say woh andaroonay sindh bhi mustaqalan aabaad non-sindhies k vote hasil naheeN karsaktay.... jab ppp barsaray eqtedaar aajati hai to jiyeh sindh k log apnay plate form ki sargarmiyaaN band karkay eqtedaar k mazay looT.tay haiN aur jab ppp eqtedaar say bahar aajati hai to phir say sargarmay amal hojatay haiN ... aur ppp kahnay lagti hai dekha hamaray eqtedaar say bahar aatay hi "alahdagi pasand" active hojatay haiN lehaza ppp ko poer do wernah mulk (khoda nah khaastah) TooT jayega.

g m syed ki sarbarahi maiN jiyeh sindh nay kabhi koi political kaamyabi hasil naheeN ki... iski saree kaamyabi ppp ki maarfat hi howee hai. ab g m syed k mounh bolay beTay altaf hussain last 20 yrs say maidanay amal maiN agaye haiN jinka kahna hai k woh g m syed k mission ko poora karengay.

This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.