Abu Adnan
Dec 23 2005, 02:21 PM
*Rania*
Dec 24 2005, 02:21 AM
AOA
Sab qiamat ki nishaniyaan hain..Aik dam say rongtay kharay ho gaye par kar...Allah pak sab ki baytiyoon ki iZZAt makhfoz rakkhain.Ameen
Aflas,gurbat,bay-rahrawi,media ka bura istaymaal(action,crimes aor fahashi say bharpoor plays).laqanoniyat aor sab say barh kar iman ki kamzori..ye sab wajohaat hain..asay kamoon ki.
bay-hasiyat qoum hamara iklaq ka Deewaliya nikal gia hai.Ab asay kaam tu jab na houn tu anhoni lagti hai....
BUra ya galat kaam karnay wala agar aik dafa ,sirf aik dafa ye soch lay k agar us k sath koi asa galat kaam karay jo wo kisi k sath karnay ja raha hai tu,,,us par kia beetay gi..tu .shayed shayed ...laikan asay logon par asa kuch soch kar b asar nahi ho ga..nasour hain ye kisi b muahsray ka............
Allah pak hamain bahtari sochnay aor bahtari karnay ki taufeeq dain..Ameen
Raji
Dec 24 2005, 11:57 AM
moHtaram janab-e-Abu Adnaan SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
yeh ronghTe khaRe kar daine waale mazameen, is dunyaa meN aurat kee abtar vuqhat ka mouN boltaa cuboot heN.
afsoos ke muslim mua'ashre meN yeh sab karne waale bara-e-naam hee sahee, heN tu musalmaan.
aurat ka beyopaar karne waale agar Pakistanii /Hindustaani musalmaan heN tu doosree taraf unko apnee Havis ka nishanaa banaane waale Sheikh bhi musalmaan hee heN.
roz-ba-roz jis tezii se burayii achayii kee jagah letee jaa rahii hai mujhe lagta hai keh voh waqt ab ziyadah door naheeN hai jab in burayioN ko burayii bhi naheeN samjhaa jaaye gaa.
agar daikhaa jaaye tu in burayiioN ko a'am karne meN media ke saath saath hamaare mua'ashrat ka bhi baRaa haath hai.
be-rozgaarii, bhook, aflaas jaisee entities ne pet paalne ke liye mutbadil aasaan raasteh chunne par insaan ko majboor kar diyaa hai.
aur in mutbaadil raastoN ne insaan-o-Hevaan ka farq hee miTaa diyaa hai.
be-shak in buraayioN kee ibtidaa kam-o-besh majboori hotee hai lekin is daldal meN utar kar dhansne waale majboor se jaabir ban jaate heN.
in burayiioN kee lazzat se aashnaa hone waale eHbaab yeh bhool baiTe heN keh Khuda kee laaTee be-aawaaz hai.
Allah(swt) sab bahoo beTiyoN kee izzat-o-Hurmat ko meHfooz rakhe aur in darndooN ko naik raastah dikhaye (Aameen)
*Kainaat*
Dec 24 2005, 07:03 PM
Allah bachaye.......aur aisay loogon ko naik banaye
Abu Adnan
Dec 26 2005, 12:37 PM
1. mujhay iss qism ki post kartay howay bahoot "sharmindagi" horahi thee k kaheen koi issay -vely nah lay lay. Allah ka shukar hai k issay members nay +vely hi lia.
2. akhbaraat maiN iss qism ki khabraiN aati rahti haiN. in published news ko pesh karnay ka mera "maqsad" yeh tha k log yeh samajh laiN k aaj bhi homara mo'aashra females k liyeh kiss qadar ghair mahfooz hai. aisay anasir ki sarkobi chouNkay awamunnas k bus ki baat naheeN lehaza hum awaam to bus "mohtaat" rah kar ki apna bachao karsaktay haiN.
3. Allah aisay samaj dushman anasar ko neest o nabood karay, intezamia ko inka qala qama karneki taufeeq day. aur awaam ko yeh samajh day k woh mohtat rahaiN takay iss qism k chungal say bacahay rahaiN.
*DhanaK*
Jan 1 2006, 03:58 AM
Aflas,gurbat,bay-rahrawi,media ka bura istaymaal(action,crimes aor fahashi say bharpoor plays).laqanoniyat aor sab say barh kar iman ki kamzori
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rania
baat sach hai aapki,eeman hi ki to kamzori hai.
seemaf
Jan 8 2006, 12:52 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Dec 26 2005, 12:37 PM) [snapback]2113229[/snapback]
1. mujhay iss qism ki post kartay howay bahoot "sharmindagi" horahi thee k kaheen koi issay -vely nah lay lay. Allah ka shukar hai k issay members nay +vely hi lia.
2. akhbaraat maiN iss qism ki khabraiN aati rahti haiN. in published news ko pesh karnay ka mera "maqsad" yeh tha k log yeh samajh laiN k aaj bhi homara mo'aashra females k liyeh kiss qadar ghair mahfooz hai. aisay anasir ki sarkobi chouNkay awamunnas k bus ki baat naheeN lehaza hum awaam to bus "mohtaat" rah kar ki apna bachao karsaktay haiN.
3. Allah aisay samaj dushman anasar ko neest o nabood karay, intezamia ko inka qala qama karneki taufeeq day. aur awaam ko yeh samajh day k woh mohtat rahaiN takay iss qism k chungal say bacahay rahaiN.
Assalam-o-ALaikum.
Really yeh hamari society ka buhat bara almiya hai...... Allah aisae logon ko apna amal sudhareny ki tofeeq de. Ham to bas dua hi karsaktey hain ke Allah sab ko apni hifazat main rakhey.
I agree with ur views
khan_amer
Jan 8 2006, 02:00 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Dec 26 2005, 10:37 AM) [snapback]2113229[/snapback]
1. mujhay iss qism ki post kartay howay bahoot "sharmindagi" horahi thee k kaheen koi issay -vely nah lay lay. Allah ka shukar hai k issay members nay +vely hi lia.
2. akhbaraat maiN iss qism ki khabraiN aati rahti haiN. in published news ko pesh karnay ka mera "maqsad" yeh tha k log yeh samajh laiN k aaj bhi homara mo'aashra females k liyeh kiss qadar ghair mahfooz hai. aisay anasir ki sarkobi chouNkay awamunnas k bus ki baat naheeN lehaza hum awaam to bus "mohtaat" rah kar ki apna bachao karsaktay haiN.
3. Allah aisay samaj dushman anasar ko neest o nabood karay, intezamia ko inka qala qama karneki taufeeq day. aur awaam ko yeh samajh day k woh mohtat rahaiN takay iss qism k chungal say bacahay rahaiN.
Akhbarat aur degar media ko chahiyee kay ju log bhi iss kisam kay karobar maiN mola'wis haiN un per ba.tasweer feature shaya karaiN aur khabr lagatay waqt bhi un key aur un kay ayaal ki tasveer lagayaiN ta'kay... in hazrat ko kaheeN bhi koy bhi apnay illaqay maiN rehnay ba day!!!
Mrs.KnOwN_StRaNgEr
Jan 9 2006, 01:41 AM
Allah Taala Reham Farmaaey (ameen)
*DhanaK*
Jan 10 2006, 05:28 AM
Akhbarat aur degar media ko chahiyee kay ju log bhi iss kisam kay karobar maiN mola'wis haiN un per ba.tasweer feature shaya karaiN
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
agreed
Numaan
Jan 11 2006, 08:49 PM
Assalaam o Alaikum
Perh ker dukh hua
k aaj bhi aise log hain
islami mu-aashre main
jo ghaleez ker rehe hain
iss mu-aashre ko
ager inko ibretnaak sezaa mile to shaayed hi koyi phir aisi
behooda herket kere
laikin ager ye chhoot gaye to
kel phir koi shafeeq uthey ga
phir koi gulam muhammad uthey ga
apna pait palne ke liye
aisi herket phir kare ga
Allah bachaye
aur aisay loogon ko
naik banaye
angel_eyez
Jan 14 2006, 01:03 AM
Main bass ye kahoon ga kha..Govt ko chayea kah iss tarhan kay loogon ko Ibrat ka nishn bana dain..yani asay loogon ki sirf ik hi saza honi cheya or wo "saza-e-moaut" hai..or wo bhi city kay darmiyan loogon kay samnay takah loogon kay liya wo ibarat ka nishan ban jayee...
MidniteMoon
Jan 19 2006, 12:37 AM
QUOTE(*Rania* @ Dec 24 2005, 02:21 AM) [snapback]2112655[/snapback]
AOA
Sab qiamat ki nishaniyaan hain..Aik dam say rongtay kharay ho gaye par kar...Allah pak sab ki baytiyoon ki iZZAt makhfoz rakkhain.Ameen
Aflas,gurbat,bay-rahrawi,media ka bura istaymaal(action,crimes aor fahashi say bharpoor plays).laqanoniyat aor sab say barh kar iman ki kamzori..ye sab wajohaat hain..asay kamoon ki.
bay-hasiyat qoum hamara iklaq ka Deewaliya nikal gia hai.Ab asay kaam tu jab na houn tu anhoni lagti hai....
BUra ya galat kaam karnay wala agar aik dafa ,sirf aik dafa ye soch lay k agar us k sath koi asa galat kaam karay jo wo kisi k sath karnay ja raha hai tu,,,us par kia beetay gi..tu .shayed shayed ...laikan asay logon par asa kuch soch kar b asar nahi ho ga..nasour hain ye kisi b muahsray ka............
Allah pak hamain bahtari sochnay aor bahtari karnay ki taufeeq dain..Ameen
Summa Ameen
Aur Tumny aik aik baat so feesad sahi kahi
Laanat to hy he Aisy logon pr ky woh Ashraful makhlookaat hain pr janwar sy badtr.
Abu bhai ny sahi kaha..Hamara muashra he hamary liy Mahfooz nahi.
Abu Adnan
Jan 19 2006, 09:45 AM
QUOTE(khan_amer @ Jan 8 2006, 02:00 PM) [snapback]2116031[/snapback]
Akhbarat aur degar media ko chahiyee kay ju log bhi iss kisam kay karobar maiN mola'wis haiN un per ba.tasweer feature shaya karaiN aur khabr lagatay waqt bhi un key aur un kay ayaal ki tasveer lagayaiN ta'kay... in hazrat ko kaheeN bhi koy bhi apnay illaqay maiN rehnay ba day!!!
Media ho ya police ya intezaamia .... yeh sab log iss qism k mujrimouN ki wazah baatasweer n address tash.heer say guraiz kartay haiN. hatta k agar mujrimouN ko media persons k saamnay laya bhi jata hai to inkay chehray covered karkay.....
aap ki tajweez maqool k inki inki bama family members baatasweer iss qadar tash.heer honi chahiyeh k agar yeh saza say buch bhi jayaiN to society maiN kaheeN mouNh dekhanay k qabil nah houN ... chay jayikay apni harkaat jaari rakhaiN.
magar media, ploce aur intezamia ko iss per razi kaun karayga....... inki daal roTi to inhi mujrimouN k zimmay hai.
KamlaJatt
Jan 21 2006, 02:46 PM
ALLAH Aisaiy Haiwaanat saiy Khalq ko panha mai rakhaiy (Ameen)
Yeh sab Islam saiy doori ... aur Hukmarano ki ghaflat ka nateeja haiy
Aisaiy loogoo'n ko bilkul bhi sazay-e-mout nahi daini chahiyeh ... balkaiy aisiay Nishaan-e-Ibrat banna kar choor daina chahiyeh k jo daikhaiy Ibrat Hassil karaiy ... jo loog Insanu ki zindagi ajeeran kardain aur nasoor jaisaiy zakham dain unhaiy til til marna chahiyeh
Aur Hakoomat ko chahiyeh k Sifarti satah par in mumalik ka ghirao karain jahan in masoom k khareedar bhairiyeh payeh jaataiy hain
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.