QUOTE(F-A-L-A-K @ Jan 27 2006, 02:49 AM) [snapback]2118397[/snapback]
Asalam-0-Alyekum
kaise hain bhai jee aap ......
Umeed hai zehan k kisi Ba'eed Goshay main meri yaad mehfooz ho gi lehaza pechan laina kuch itna bhi mushkil nahi ho ga aap ke liye ......... theek keh raha houn na bhiya jani ...
Janab aap ki Shayiri kisi kisam ki tareef ki mohtaj na tu pehlay hi thi aur na ab hai ... bohut Acha likha hai aap ne ... Balke main tu kahoun ga k Zor-e-Qalam aur ziada ho gaya hai ... Bohut Khoob
Khush Rahiye Hameshah
Waalikum as Salam FALAK bhaee!
Janab aap hamain bilkul yaad hain. Aur aap ko dobara in action daikh ker bohat acha lagg raha hai. Suniya kaisa raha sab aur abb ruknay k liya ai hain na?
Ghazal kee pasandeedgi ka bohat shukriya. Aap kee muhabbat hai sab k lafzooN se maani kasheed laitay hain.
DuaoON main yaad rakhiya ga.
Khush rahain,
Aatif