QUOTE
DL bhai k beshter jawabaat onki apni zaati roy per mabni hotya haiN, jinsay olemaa e karaam ka mottafiq hona zaroori nahee hota.
Bilkul sahi kaha aapne 
Waisay mujhe ye baat intehayi ajeeb lagti hai jab loag namaz ko excercise batatay hain, ya kehtay hain ke chalo ibadat ki ibadat aur excercise ki excercise, mere khayaal mein namaz jismani excercise se ziada aik rohani ibadat hai .
Baqi Yoga wakt ka zayaa bilkul bhi nahin hai, Hazoor(PBUH) jab apni azwaaj ke saath race laga saktay hain, jab wrestling ker saktay hain jo ke excercises hain to jab wo wakt ka zaya nahin to yoga bhi wakt ka zaya nahin kehlaya jaa sakta, Sehat mand rehne ke liye kuch kerna yakeenan islam ki nazar mein bura nahin balkeh aik fit aur taqwar muslim aik kamzoar muslim se ziada behtar hai , aur aisa aik hadith mein bhi hai, aur yoga aur martial arts ya judo waghaira insaan ke liye intehayi mufeed hain.........wrestling bhi muslims ne shuru nahin ki thi aur na hi judo ya martial arts , lehaza sirf yoga ko bila wajah nishana bana ker kisi mazhab se jorna sahi nahin. Islam aik sehal deen hai jisko bilawajah ki pabandiyun se aik qadamat pasand mazhab bana ker rakh diya gaya hai.