buhat hi dilchasp article hay!!! infact balochooN ko tareekh ki azeeem tareen qom sbit kernay kay liya aRi choTi ka zor lagaya gaya hay per ju balochiston ki geographic location batayee gaye hay! ya illaqa tu qadeem tareekh say lay ker jadeed tareekh tak kabhi bhi azaad sultanate ya mulk nahi raha!!! nahi yahaaN say koy aisa hukumraaN uTha jis nay atraaf main apnay satoot kay percham lehraye hooN... dosri baat angraizooN kay khilaf jis muzahmat ki baat ker rahay haiN uss maiN baloch qom ka kirdar kisi bhi mustand tareekhi dastawaiz maiN iss tarah hargiz darj nahi hay!!! haaN 19th century maiN Khan of Qalaat ki sarkarda'gee maiN BalochooN ka eak lashker AngraizooN say jang kernay ko tayar tu howa tha per jang say pehlay hi teetar beetar ho gaya tha!!!
dosri baat ju kahee gaye hay kay 1947 tak laRai kertay rahay tu iss say baRa jhooT iss article maiN nahi hay!!! bhai Balochistan ka Illaqa ( ma'siwa'e Moojada Illaqa ghair ju Balochistan say mulhiq hay) Angraiz dor ka sab say pur aman illaqa samjha jata tha!!! haaN NWFP kay baray maiN kaha ja sakta hay kay na yeh log chain say baiThay na angraizooN ko chain laynay diya issi liya iss ka naam NWFP paRa..
jahaaN tak ilhaaq ki baat hay tu iss mai Khan of Qalaat ko koy haseeyat hasil na thee aur nahi uss nay Pakistan say ilhaaq kiya!!! yeh faisla degar baloch riyasatooN ka tha!!! jisay Khan of Qalaat ko na chahtay howay bhi qabool kerna paRa...
aakhir maiN yeh kahooN ga kay jab bhi balochooN kay liya taraqiyaat kam shoroo kiya jatay haiN tu baloch sardar khaas tor per Bugti aur Muree qabeeloN kay saradar issi qisam ki koy na koy tehreek shoro ker daytay haiN...
aur iss dafa tu "GHA'YOR" baloch sardar RAW kay paisooN say apni "Aazaadi" ki jung laR rahay haiN.. iss say app in ki ghairat ka andaza laga saktay haiN