Assalam-o-alaikum,
kal baroz 10th Zilhaj, first day of Baqra Eid.... karachi maen waisay tu khaalaen cheennay ka mamool koi naya nahee,,,, her saal hee aesay waqiyaat bohat hotey haen..... aur top of the list hamesha hee MQM hotee hay...
iss baar mae ney LIVE dekha sab kuch.... after zohar prayer... mae A.H.Isphahani road, Noman View Apartments kay samnay tha... asusual kuch log thailay per khaalaen liyay khaRay thay unhaen baichnay kay liyay.....
unn kay samnay MQM kay laRkay car and motorcycles per aaey aur baghair kisee reason kay unn kay sath gaalam galoch start kiya... maara peeta bhee... Police kee jo mobile round per thee, wo rukee... oos mae sey Police walay niklay... tu mairey saamnay..balkay wahan maujood sab logon kay samnay... Police waalon kee MUTTHI GARAM ker dee MQM kay gang leader ney...
phir Police walon ney bhee unn ghareeb thailay walon ko gaaliyan dee aur mara... aur unhee sey khaalaen uthwa ker saari kee saari MQM kee gaRi mae dalwa deen.... aur MQM walay unn ghareebon ko dhamkiyan daitey hoey yay ja aur wo ja....
intehai afsos hoa dekh ker.... unn thailay walon kee baichargee kee shakal bar bar samnay aa rahee hay...
aur yay koi 1 waqiya nahee hay... aesay la tadaad waqiyaat her saal hotey haen...
wassalaam,
farooqi.