1. dry adrak (souN.Th) = 100 gm
2. anaar danah = 100 gm
3. lahsan = 100 gm
4. podeenah patti = 100 gm
in chaarouN ko bareek bareek pees laiN, anaar daanay k beej bhi piss jayaiN.... jetna zeyadah grind / bareek pisengay afadiat otni zeyadah hogi. ab iss chaTni ko din maiN 3/4 baar aik chamchah use karaiN. chaTni maiN koi bamak / mirch add nah karaiN.
fawaid: yeh chatni wazan kam karti hai, cholestrol normal karti hai, blood pressure aur sugar k patient k liyeh faidah mand hai. joroun k dard main afaqah hota hai aur iss k elawah bahot say niswani amraaz maiN faidah mand hai.
nuqsaan: iss chatni ka koi side effect naheeN. charouN cheezaiN rozmarrah k istemaal maiN waisay bhi aati haiN....... issay maheenouN mustaqil khana hai ... balkay agar issay aik mostaqil adat bana laiN ... specially above 35 trs age k log to koi mozaiqah naheeN........ albatta agar kissi ko elergic / ya kissi aur wajah say koi prob ho to kissi doc say mashwarah karaiN.
iss chaTni per aik tafseeli mazmoon aik mag main published howa hai, jahaaN say main issay yahaan quote kar raha houN.