Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Beta,beti Aur Waldaiin.......
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Human Relationships, Society & Culture
insharah
Asalamoalaikum,
aik jagah aik kahawat parhi thi kay......

beti hamesha beti rehti hai jabkay beta us waqt tak beta hota hai jab tak us ki shadi nahi ho jati shadi kay baad woh sirf shauhar hota hai

yeh baat kitni sahi hai aur kitni ghalat..................
Aap kiya kehtay hain???
*DhanaK*
sunte to yaheen hain ke beti aakhir tak waaldein ka saath deti hai.
*Kainaat*

ye tu patta nahi........no experience no observation ..... bhai bi abi chota hai

Lekin main hamesha beti rahoon gi Inshallah smile.gif
KamlaJatt
QUOTE(Kainat @ Jan 30 2006, 12:59 PM) [snapback]2118990[/snapback]

ye tu patta nahi........no experience no observation ..... bhai bi abi chota hai

Lekin main hamesha beti rahoon gi Inshallah smile.gif

Paancho ungliyaan aik barabar nahi hoti ... thats it clapping3.gif
insharah
QUOTE(shafaq @ Jan 29 2006, 10:24 AM) [snapback]2118772[/snapback]

sunte to yaheen hain ke beti aakhir tak waaldein ka saath deti hai.

hmmm....
suna to main nay bhi yahi hai bulkay dekha bhi hai 1-think.gif

QUOTE(Kainat @ Jan 30 2006, 01:59 PM) [snapback]2118990[/snapback]

ye tu patta nahi........no experience no observation ..... bhai bi abi chota hai

Lekin main hamesha beti rahoon gi Inshallah smile.gif

Allah karay kay aap hamesha apnay parents kay sukoon ka ba'is rahain aur aap ka bhaiii bhi(ameen) duas.gif
*Kainaat*
QUOTE(KamlaJatt @ Jan 30 2006, 11:26 AM) [snapback]2119025[/snapback]

Paancho ungliyaan aik barabar nahi hoti ... thats it clapping3.gif

Its my favorite quote smile.gif

QUOTE(insharah @ Jan 30 2006, 12:41 PM) [snapback]2119034[/snapback]

Allah karay kay aap hamesha apnay parents kay sukoon ka ba'is rahain aur aap ka bhaiii bhi(ameen) duas.gif

Inshallah... i dont want to spend a single day without knowing about my parents....atleast

Allah karay bhai aisa hoo....i am afraid....Larkay ziada baher rehna pasand kertay hain
Abu Adnan
hum sirf muslim environment ki baat kartay haiN .......

1. paRents azal say beTouN ko 'fauqiat to detay haiN (illah masha allah) lekin beTi say kam mohabbat hargiz naheeN kartay ....... beTay ko chouNkay mostaqbil maiN ... comparatively ... zeyadah zimmah daariyaaN oThani paRti haiN, iss liyeh parents son per zeyadah tawajjah detay haiN

2. laRkouN (sons) ka out door exposure zeyadah hota hai lehaza ghar / parents say oskay rishtay / talluq / mohabbat maiN otni shiddat naheeN hoti jetni beTiyouN ki hoti hai.

3. laRki shadi k baad aik new zindagi aik new environment maiN amooman ajnabi logouN k darmayaan shooroo karti hai. jab 'apnouN' ko choR kar 'ghairouN' maiN mostaqil rahna paRay to bichRay howay apnouN ki yaad / mohabbat maiN ezafah hona aik fitree amar hai... jiska ezhaar married beTiyaan aksar o beshter karti haiN ... laRkouN ko aisa karnay ki 'zaroorat' / naubat nahee aati.

4. larkay shadi k baad aik new ghar basanay ki zimmah daariyaaN oThatay hain... lehaza oski tawajjah apnay parents / parental home say kam hojati hai... biwi bachchouN ki dekh bhaal sirf aur sirf iss wahid fard ki zimmah dari hoti hai lehaza yeh issay awwaliat deta hai ........ jabkay parents / parental home ko khood parents bhi maintain kar rahay hotay hain aur iss k deger bahan bhai bhi kissi nah kissi had tak aur kuch nah kuch yeh bhi dekh bhaal raha hota hai...... youN nazar aataa hai k ........

5. agar koi beTa shadi k baad apnay maan baap ka beTa nahee rahta aur sirf aik shauhar ban jata hai .......... to bhi iski zimmah dari AIK BETI per hi ayad hoti hai....... beTay ki biwi bhi to kissi nah kissi ki beTi hi hoti hai. woh agar shadi k baad bhi apnay parents say pahlay jaisee mohabbat karti hai yaa karneka dawa karti hai to apnay shauher ko apnay maaN-baap say pahlay jaisee mohabbat kiyouN naheeN karne deti ......... aur agar aisa nahee karti to apnay bhai say yeh shikayat kiyoun karti hai k woh ................

7. hum sirf naak ki seedh maiN kiyouN dekhtay haiN... chaaroun taraf kiyouN nahee dekhtay .... kissi per ongli othatay howay yeh kiyouN bhoool jatay hain k baqya chaar ongliyaaN khud oski taraf ...........

PS: aik baat zimnan married beTi k hawalay say .... shadi say qabl laRki ko apnay parents ki baat manni chaiyeh k maaN k qadmouN talay jannat aur baap k saye talay rahmat hi rahmat hai ........... lekin shadi k baad laRki ki jannat shauher ki ita'at aur khidmat main hai naa k parents ki ita'at main....... aik sahab safar per janay lagay to apni biwi say kaha k meray wapis aanay tak tum ghar say nah nikalna... ittefaq say khatoon k walid beemaar hogaye to khatoon nay hazrat Muhammad (PBUH) ko sooratay haal batlaye to AAP (saw) nay faramaya shauher ki ita'at karo .... issi beemari maiN walid ki inteqaal hogaya aur khatoon nay apnay walid ka aakhri deedaar tak nah kar saki ... hazoor (PBUH) nay ranjeedah khatoon say kaha k tum nay apnay shauher ki baat maan kar khud ko ghum diya ... Allah taalaa ko tumhari yeh baat iss qadar pasand aayee k oss nay tumharay walid ki maghferat kardi ... kia tum iss baat per Allah say khush naheeN to woh khatoon khush hogayee.

agar aaj aik muslim khatoon k saath aisee hi sooratay haal pesh aajaye to woh kia karegi ... shauher ki hedayat per amal karegi yaa apnay parents ki taraf bhagegi ... yeh maiN apni bahnouN ki sawaabdeed per choRta houN.
biggrin.gif
*Kainaat*

Thankyou abu adnan bhai............hum aap ke reply se faida uthanay ki koshish karain gay epecially jo aap ne point 5 meen kahi aur P:S meen...

smile.gif
KamlaJatt
Zabdast Abu Adnan sahib ... buhat khoob buhat hi mudalil jawab haiy aapka

Iss dunya mai bazahir Murd hi Hukmaraan haiy ... laikin yeh bhi haqeeqat haiy k Owratoo'n ka iss dunya mai buhat bara aur buhat zimaidaar role haiy .... ALLAH sabko Hidayat saiy sarfaraz kariay (Ameen)
seemaf
Assalam-o-Alaikum

Sab se pehley to thanks Insharah for this post 1-kahani.gif

Also thanks to Abu Adnan...buhat achhey points raise kiye hain unhon ne... aur main un ki baton se ittefaq bhi karti hoon per aik baat main bhi kehna chahoon gi ke sab se pehley maan baap ki TARBIYAT importance rakhti hai....agar unhon ne apney bachhon ki aisi tarbiyat ki hai ke woh har rishtey ko balance rakh sakain to kisi betey se maan baap ko yeh shikayat nahi hogi..aur na hi BIWI ke kehney per BETEY ki maan baap ke liye muhabbat aur tawajja kam hogi ke un ko shikayat ho. So Larki per to jo zimmedari hai so hai per Shadi shuda betey per ziada zimmedari aa jati hai ke woh kis tarah ap se jurey rishton ko balance rakhta hai.

And in the end jo waqiya ap ne qoute kiya hai.....us ki really buhat importance hai...shauhar ki baat manna har biwi ka farz hai jo ke Allah ki taraf se MUST hai i agree 0-headbang.gif
insharah
QUOTE(Abu Adnan @ Jan 31 2006, 09:13 AM) [snapback]2119085[/snapback]

hum sirf muslim environment ki baat kartay haiN .......

1. paRents azal say beTouN ko 'fauqiat to detay haiN (illah masha allah) lekin beTi say kam mohabbat hargiz naheeN kartay ....... beTay ko chouNkay mostaqbil maiN ... comparatively ... zeyadah zimmah daariyaaN oThani paRti haiN, iss liyeh parents son per zeyadah tawajjah detay haiN

2. laRkouN (sons) ka out door exposure zeyadah hota hai lehaza ghar / parents say oskay rishtay / talluq / mohabbat maiN otni shiddat naheeN hoti jetni beTiyouN ki hoti hai.

3. laRki shadi k baad aik new zindagi aik new environment maiN amooman ajnabi logouN k darmayaan shooroo karti hai. jab 'apnouN' ko choR kar 'ghairouN' maiN mostaqil rahna paRay to bichRay howay apnouN ki yaad / mohabbat maiN ezafah hona aik fitree amar hai... jiska ezhaar married beTiyaan aksar o beshter karti haiN ... laRkouN ko aisa karnay ki 'zaroorat' / naubat nahee aati.

4. larkay shadi k baad aik new ghar basanay ki zimmah daariyaaN oThatay hain... lehaza oski tawajjah apnay parents / parental home say kam hojati hai... biwi bachchouN ki dekh bhaal sirf aur sirf iss wahid fard ki zimmah dari hoti hai lehaza yeh issay awwaliat deta hai ........ jabkay parents / parental home ko khood parents bhi maintain kar rahay hotay hain aur iss k deger bahan bhai bhi kissi nah kissi had tak aur kuch nah kuch yeh bhi dekh bhaal raha hota hai...... youN nazar aataa hai k ........

5. agar koi beTa shadi k baad apnay maan baap ka beTa nahee rahta aur sirf aik shauhar ban jata hai .......... to bhi iski zimmah dari AIK BETI per hi ayad hoti hai....... beTay ki biwi bhi to kissi nah kissi ki beTi hi hoti hai. woh agar shadi k baad bhi apnay parents say pahlay jaisee mohabbat karti hai yaa karneka dawa karti hai to apnay shauher ko apnay maaN-baap say pahlay jaisee mohabbat kiyouN naheeN karne deti ......... aur agar aisa nahee karti to apnay bhai say yeh shikayat kiyoun karti hai k woh ................

7. hum sirf naak ki seedh maiN kiyouN dekhtay haiN... chaaroun taraf kiyouN nahee dekhtay .... kissi per ongli othatay howay yeh kiyouN bhoool jatay hain k baqya chaar ongliyaaN khud oski taraf ...........

PS: aik baat zimnan married beTi k hawalay say .... shadi say qabl laRki ko apnay parents ki baat manni chaiyeh k maaN k qadmouN talay jannat aur baap k saye talay rahmat hi rahmat hai ........... lekin shadi k baad laRki ki jannat shauher ki ita'at aur khidmat main hai naa k parents ki ita'at main....... aik sahab safar per janay lagay to apni biwi say kaha k meray wapis aanay tak tum ghar say nah nikalna... ittefaq say khatoon k walid beemaar hogaye to khatoon nay hazrat Muhammad (PBUH) ko sooratay haal batlaye to AAP (saw) nay faramaya shauher ki ita'at karo .... issi beemari maiN walid ki inteqaal hogaya aur khatoon nay apnay walid ka aakhri deedaar tak nah kar saki ... hazoor (PBUH) nay ranjeedah khatoon say kaha k tum nay apnay shauher ki baat maan kar khud ko ghum diya ... Allah taalaa ko tumhari yeh baat iss qadar pasand aayee k oss nay tumharay walid ki maghferat kardi ... kia tum iss baat per Allah say khush naheeN to woh khatoon khush hogayee.

agar aaj aik muslim khatoon k saath aisee hi sooratay haal pesh aajaye to woh kia karegi ... shauher ki hedayat per amal karegi yaa apnay parents ki taraf bhagegi ... yeh maiN apni bahnouN ki sawaabdeed per choRta houN.
biggrin.gif

Abu Adnan sahib aap ki batain kafi khari khari hoti hain aur kafi batoon say main ittefaaq bhi karti hoon but point 5 main kuch garbar hai

baat yeh hai shadi kay baad larkay par double zimaydari parti hai kay ussay apnay parents ko bhi kush rakhna hai aur wife ko bhi yahan par agar larkay samajhdari ka soboot na dain to ma'mlaa bigarr sakta hai
aap ki baat theek hai kay larki agar apnay parents say mohabbat karti hai to shauhar ko kuun nahi karnay deti laikin baat yeh hai kay yahan par larkay ka imtehaan hai uss ko biwi aur parents ki mohabbat main tawazun qaim karna hai
biwi uss say yeh nahi kehti kay tum apnay maan baap say nafrat karo ya un ka khiyaal na rakho ya un ka ehtiraam na karo ya unko yakleef do yeh tamam kaam karnay ya na karnay ki zimaydari totaly betay par aaiid hoti hai kay us nay apnay parents ko kiss maqaam par rakha hua hai aur kiya woh un ko apni biwi par fau'qiyat deta hai ya nahi
yahan par yeh baat bhi qabil-e-zikar hai kay shuahar kay parents ka khiyaal rakhna un ki khidmat karna biwi par wajib nahi hai na shuahar biwi ko iss baat kay liyay majboor kar sakta hai
maan baap ki khidmat aur khiyaal rakhnay ki zaimmaydari totaly betay par aaiid hoti hai

aur jahan tak aap kay sawal ka ta'alluq hai to us main main yeh kahon gi kay beti kay dil main parents ka khiyaal un ki mohabbat hamesha hi rehti hai chahay us ko shauhar ki taraf say kitni hi pabandi ka saamna hi kuun na karna paray jabkay betay(ILLA-MASHALLAH) baaz-auqat maan baap ka saath chor bhi jaatay hain aur betian hamaisha apnay parents ki hamdard rehti hain aur aur jo soorat aapnay apnay sawal main likhi hai to us soorat main zahir hai shauhar ki farman bardari hi zaroori balkay wajib hai kuunkay shauhar ki ita'at kay baray main to aisa hukum hai kay
"Agar Shauhar Yeh Hukum Day Kay Sufaid Pahar Say Pathar Utha Kar Kaalay Pahar Par Rakho Phir Kaalay Say Utha Kar Sufaid Par to Biwi Par iss Par Amal Karna Wajib Hai"
insharah
QUOTE(seemaf @ Feb 1 2006, 03:59 PM) [snapback]2119236[/snapback]

Assalam-o-Alaikum

Sab se pehley to thanks Insharah for this post 1-kahani.gif

Also thanks to Abu Adnan...buhat achhey points raise kiye hain unhon ne... aur main un ki baton se ittefaq bhi karti hoon per aik baat main bhi kehna chahoon gi ke sab se pehley maan baap ki TARBIYAT importance rakhti hai....agar unhon ne apney bachhon ki aisi tarbiyat ki hai ke woh har rishtey ko balance rakh sakain to kisi betey se maan baap ko yeh shikayat nahi hogi..aur na hi BIWI ke kehney per BETEY ki maan baap ke liye muhabbat aur tawajja kam hogi ke un ko shikayat ho. So Larki per to jo zimmedari hai so hai per Shadi shuda betey per ziada zimmedari aa jati hai ke woh kis tarah ap se jurey rishton ko balance rakhta hai.

And in the end jo waqiya ap ne qoute kiya hai.....us ki really buhat importance hai...shauhar ki baat manna har biwi ka farz hai jo ke Allah ki taraf se MUST hai i agree 0-headbang.gif

sab say pehlay to WELCOME seemaf 1-kahani.gif
aap nay jo point likha hai TARBIYAT ka main bhi uss par kuch kehna chahti hoon

baat yeh hai kay hamaray MAZHAB main maan baap ka bohat buland maqaam hai laikin iss maqaam say roo-shanaas karwana waldain ki zimmaydari hai kay woh apnay bachay ko maan baap ka ahtiraam sikhatay hain ya nahi
agar parents apnay bachon ko sahi deeni taleem dain to bohat mumkin hai kay baray ho kar apnay bachon say un ko aisi koi shikaayat na ho kuun kay jis nay maan baap ka maqaam zahan-nasheen kar liya to woh parents ko kabhi shikayat ka muaqa nahi day ga
shadi kay baad ki jo baat hai uss ziman main parents par bhi thori si zimmaydari aaiid hoti hai kay woh apnay beton say wabasta tawaq'uat main thori si narmi kar lain to donon taraf aasaani ho sakti hai
Abu Adnan
QUOTE(insharah @ Feb 1 2006, 04:41 PM) [snapback]2119243[/snapback]

Abu Adnan sahib aap ki batain kafi khari khari hoti hain aur kafi batoon say main ittefaaq bhi karti hoon but point 5 main kuch garbar hai

baat yeh hai shadi kay baad larkay par double zimaydari parti hai kay ussay apnay parents ko bhi kush rakhna hai aur wife ko bhi yahan par agar larkay samajhdari ka soboot na dain to ma'mlaa bigarr sakta hai
aap ki baat theek hai kay larki agar apnay parents say mohabbat karti hai to shauhar ko kuun nahi karnay deti laikin baat yeh hai kay yahan par larkay ka imtehaan hai uss ko biwi aur parents ki mohabbat main tawazun qaim karna hai
biwi uss say yeh nahi kehti kay tum apnay maan baap say nafrat karo ya un ka khiyaal na rakho ya un ka ehtiraam na karo ya unko yakleef do yeh tamam kaam karnay ya na karnay ki zimaydari totaly betay par aaiid hoti hai kay us nay apnay parents ko kiss maqaam par rakha hua hai aur kiya woh un ko apni biwi par fau'qiyat deta hai ya nahi
yahan par yeh baat bhi qabil-e-zikar hai kay shuahar kay parents ka khiyaal rakhna un ki khidmat karna biwi par wajib nahi hai na shuahar biwi ko iss baat kay liyay majboor kar sakta hai
maan baap ki khidmat aur khiyaal rakhnay ki zaimmaydari totaly betay par aaiid hoti hai
aur jahan tak aap kay sawal ka ta'alluq hai to us main main yeh kahon gi kay beti kay dil main parents ka khiyaal un ki mohabbat hamesha hi rehti hai chahay us ko shauhar ki taraf say kitni hi pabandi ka saamna hi kuun na karna paray jabkay betay(ILLA-MASHALLAH) baaz-auqat maan baap ka saath chor bhi jaatay hain aur betian hamaisha apnay parents ki hamdard rehti hain aur aur jo soorat aapnay apnay sawal main likhi hai to us soorat main zahir hai shauhar ki farman bardari hi zaroori balkay wajib hai kuunkay shauhar ki ita'at kay baray main to aisa hukum hai kay
"Agar Shauhar Yeh Hukum Day Kay Sufaid Pahar Say Pathar Utha Kar Kaalay Pahar Par Rakho Phir Kaalay Say Utha Kar Sufaid Par to Biwi Par iss Par Amal Karna Wajib Hai"

Jazak Allah insharah rose.gif

1. i'm really sorry k meree bataiN bil.amoom kharee kharee biggrin.gif hoti haiN. lekin maiN iski talafee look.gif Tanz o Mazaah ki posts / replies say bhi to karnay ki koshish karta houN laugh.gif laugh.gif

2. sanjeedah issues ko sanjeedah aur to the point hi honi chahiyeh takay maamlay k tamam rokh saamanay asakaiN. yeh bhi theek hai aur woh bhi theek biggrin.gif wala nazarya theek naheeN. ghalat ko ghalat aur sahaee ko sahee kahna chahiyeh aur agar discussion say apni koi baat ghalat sabit hojaye to apni ghalati bhi maan leni chahiyeh.

3. meray number paanch walay hissay maiN aap ko jo gaR baR nazar aaye woh juzvi taur per durust hai. aur maiN aap k mauquf ki tayeed karta houN k awwal o aakhir zimmadari laRkay ki hai k woh parents aur biwi k mabanin tawazun qaim rakhay. maiN aap ka shukaar guzaar houN k aap nay dalail ki bunyaad per mujhay apnay khayal per nazr saani ka moa dia... Jazak Allah.
insharah
QUOTE(Abu Adnan @ Feb 2 2006, 08:56 AM) [snapback]2119355[/snapback]

aap nay bilkul theek kaha kay discussion ko hamesha "TO THE POINT' hona chahiyay,baat agar idher udher murr jaiy to woh discussion nahi rehta......THATS RIGHT yes.gif
bahar haal aap nay mairi raaiyy ko DUR KHOR A'ITNA jana jis ki mujhay khushi hai a191.gif
thanxxxxx a lot.
seemaf
QUOTE(insharah @ Feb 1 2006, 04:54 PM) [snapback]2119244[/snapback]

sab say pehlay to WELCOME seemaf 1-kahani.gif
aap nay jo point likha hai TARBIYAT ka main bhi uss par kuch kehna chahti hoon

baat yeh hai kay hamaray MAZHAB main maan baap ka bohat buland maqaam hai laikin iss maqaam say roo-shanaas karwana waldain ki zimmaydari hai kay woh apnay bachay ko maan baap ka ahtiraam sikhatay hain ya nahi
agar parents apnay bachon ko sahi deeni taleem dain to bohat mumkin hai kay baray ho kar apnay bachon say un ko aisi koi shikaayat na ho kuun kay jis nay maan baap ka maqaam zahan-nasheen kar liya to woh parents ko kabhi shikayat ka muaqa nahi day ga
shadi kay baad ki jo baat hai uss ziman main parents par bhi thori si zimmaydari aaiid hoti hai kay woh apnay beton say wabasta tawaq'uat main thori si narmi kar lain to donon taraf aasaani ho sakti hai

Thanks for ur welcome yes.gif

Ji ap ki baat bilkul theek hai...agar parens ne apne bachon ki tarbiyat per tawajja di hai to woh kabhi bhi un ko sis shikayat ka moqa nahi detey.

aur 2nd baat bhi drust hai ke thori si zimmedari parents per bhi hai....kyunke taali aik haath se nahi bajti.... donon janib se koshish honi chaiyye taakey ghar ka mahol kasheeda na ho.

warna choti choti baton ko le kar barey barey jhagrey kharey ho saktey hain.
insharah
QUOTE(seemaf @ Feb 3 2006, 04:55 PM) [snapback]2119499[/snapback]

Thanks for ur welcome yes.gif

Ji ap ki baat bilkul theek hai...agar parens ne apne bachon ki tarbiyat per tawajja di hai to woh kabhi bhi un ko sis shikayat ka moqa nahi detey.

aur 2nd baat bhi drust hai ke thori si zimmedari parents per bhi hai....kyunke taali aik haath se nahi bajti.... donon janib se koshish honi chaiyye taakey ghar ka mahol kasheeda na ho.

warna choti choti baton ko le kar barey barey jhagrey kharey ho saktey hain.

yes.gif yes.gif yes.gif 1-kahani.gif
seemaf
QUOTE(insharah @ Feb 6 2006, 09:01 PM) [snapback]2120065[/snapback]

yes.gif yes.gif yes.gif 1-kahani.gif

a191.gif
*DhanaK*
QUOTE(Kainat @ Jan 31 2006, 10:56 AM) [snapback]2119130[/snapback]

Thankyou abu adnan bhai............hum aap ke reply se faida uthanay ki koshish karain gay epecially jo aap ne point 5 meen kahi aur P:S meen...

smile.gif

very sweet signature Kainat
*Kainaat*
QUOTE(shafaq @ Feb 14 2006, 06:03 PM) [snapback]2121774[/snapback]

very sweet signature Kainat

Thankyou shafaq jee smile.gif

ye 2nd time aap ne mera sig pasand kiya hai blush.gif i m glad smile.gif

Aide
AOA.

yEAH....Its true k beti hamesha beti he rahti ha....but baita b hamesha baita he rahta ha...aur hamesha parents ka sath be deta.. some time baita apnay parents k sath nahi day pata..same usi tarah aksar majobri ki wja se beti b parents ka sath nahi day pati......

Actually hota aisa ha ka ko shadi k pahlay mals kafi hhad taq azad hotay han mager jab shadi ho jati ha to un ki zumadari b barh jati ha aur wo bohat se logoo....friends/family ko time nahi day patay....aur hum loog yai samajtay hain k BIVI K NEECHAY lag gaya ha ...mager dears aisa kuch b nahi hota
angel_eyez
main ik larka hoon or apnay parents say boathhhhhhhh zada pyar karta hoon but manta hoon kah main jitna pyar karta hoon maree sis uss say 1% zada kartee ho gee..so that y i say kha ye baat such hai...
*DhanaK*
QUOTE(angel_eyez @ Feb 17 2006, 07:35 PM) [snapback]2122459[/snapback]

main ik larka hoon or apnay parents say boathhhhhhhh zada pyar karta hoon but manta hoon kah main jitna pyar karta hoon maree sis uss say 1% zada kartee ho gee..so that y i say kha ye baat such hai...

salaams
i think yeh bhi hota hai ke mard emotions ka izhaar khawateen ki tarah naheen kar paate.
it is just how Allah paak made each of us different.
insharah
QUOTE(Aide @ Feb 17 2006, 11:10 PM) [snapback]2122452[/snapback]

AOA.

yEAH....Its true k beti hamesha beti he rahti ha....but baita b hamesha baita he rahta ha...aur hamesha parents ka sath be deta.. some time baita apnay parents k sath nahi day pata..same usi tarah aksar majobri ki wja se beti b parents ka sath nahi day pati......

Actually hota aisa ha ka ko shadi k pahlay mals kafi hhad taq azad hotay han mager jab shadi ho jati ha to un ki zumadari b barh jati ha aur wo bohat se logoo....friends/family ko time nahi day patay....aur hum loog yai samajtay hain k BIVI K NEECHAY lag gaya ha ...mager dears aisa kuch b nahi hota

main aap ki baat say agree nahi karti
larki agar majboor hoti hai to woh to kamzor hoti
jabkay males ko ALLAH nay larki kay muqablay main mazboot banaya hai
beti apnay husband ki taba'y hoti hai aur betay ko aisi koi majboori nahi hoti
woh apni marzi ka malik hota hai
maslah yahi hai kay jab zimmaydaari barh jati hai to betay us ko kaisay
manage karain
aur jo iss imtehaan main poora utarta hai wohi kaamyaab hota hai smile.gif

QUOTE(angel_eyez @ Feb 18 2006, 12:35 AM) [snapback]2122459[/snapback]

main ik larka hoon or apnay parents say boathhhhhhhh zada pyar karta hoon but manta hoon kah main jitna pyar karta hoon maree sis uss say 1% zada kartee ho gee..so that y i say kha ye baat such hai...

good smile.gif
aap nay sachi baat kahi
iss kay peechay aik naturaly baat hai kay
larki main ALLAH nay mohabbat,shafqat ka ma'da ziyada
rakha hai larkay ki nisbat
issi liyay maan ki maamta hoti hai baap ki nahi biggrin.gif
Numaan
Assalaam o Alaikum behno aur bhaiyo
Dua kerta hoon k seb theek hon
insharah ka poochha hua sewal to mukhtasir hai laikin jewab kaafi lengthy hai jaisa k nezer aa reha hai
nahin ye baat seraser ghelet hai
ager beta aur beti apne waaldain se mohobbat kerte hon to kabhi wo mohobbat kem nahin hoti, haan haalaat uss mohobbat ka izhaar mukhtalif zeroor ker dete hain
shadi k baad beti aur beta donon hi pehle jaisi mohobbat kerte hain, aik acha beta to kemezkem aisa hi kere ga aur apni biwi ko bhi aisa hi kehe ga laikin beti nain doosre gher jana hota hai wo bhi mohobbat utni hi kerti hai laikin wo doosre gher ki ho ker kerti hai ideally aik beti bhi utna hi pyar kerti hai aur ye baat practically true bhi hai laikin weqt k saath saath doori us k pyar main kami ker deti hai
aur doosri teref bigre hue bache to chahe wo beta ho ya beti wo kabhi apne waaldein ko wo derja nahin denge jo shadi se pehle dete they because wo sirf apne baare main sochen ge .....

waaldain ka kaam to sirf bachon ko khushi dena hota hai aur bechon ka ferz hai k wo waaldain ki khidmet kerein chahe wo shadi se pehle ho ya bad main ho, haan khidmet ki sooretain bedelti hain laikin pyar kem nahin hota, chahe jo bhi sooret ho
beti k liye pyar ka izhar mushkil hota hai laikin beta pyar kerta hai
kabhi aisa bhi hota hai k zyada kareeb rehna bete k khidmet ka reng bedelta hai laikin pyar kem nahin hota
aur beti ki khidmet ka reng bhi bedelta hai laikin pyar kem nahin hota

QUOTE(insharah @ Feb 20 2006, 05:33 PM) [snapback]2122768[/snapback]

good
aap nay sachi baat kahi
iss kay peechay aik naturaly baat hai kay
larki main ALLAH nay mohabbat,shafqat ka ma'da ziyada
rakha hai larkay ki nisbat
issi liyay maan ki maamta hoti hai baap ki nahi

aisi bhi baat nahin hai
ager man ki memta hai
to baap ki bhi bepta hai
F-A-L-A-K
Asalam-0-Alyekum

kaise hain aap sab dost ....

janab Topic bhi bohut acha hai aur us par bohut acha bola gaya hai ... main tu yeh sooch kar aya tha k kuch main bhi kahoun ga par mare kehne ko kuch bacha hi nahi .....

Very WEll Adnan bhai n Seema

QUOTE(Numaan @ Mar 15 2006, 06:26 PM) [snapback]2128063[/snapback]

[color=#FF0000]
ager beta aur beti apne waaldain se mohobbat kerte hon to kabhi wo mohobbat kem nahin hoti, haan haalaat uss mohobbat ka izhaar mukhtalif zeroor ker dete hain.
baare main sochen ge .....

waaldain ka kaam to sirf bachon ko khushi dena hota hai aur bechon ka ferz hai k wo waaldain ki khidmet kerein chahe wo shadi se pehle ho ya bad main ho, haan khidmet ki sooretain bedelti hain laikin pyar kem nahin hota, chahe jo bhi sooret ho.

[/b]

Bohut achi baat kahi hai aap ne dost GOODI GOOD .... I am agree wid u janab
miss^cute
aa yahan kya ho raha hai

jump.gif larkiyaan tou pyaar hee hotti hain koi bhi rishta ho chahey
aaireykhushi
jee baat ek dum thek hai

par is baat pe main agree nahe karti jee 0-baby.gif

baat darasal itni si hai ke har insan dosre se different hota hai

ab chahey woh beti ho ya beta

par yeh baat sahi hai ke larke shadi ke baad biwi ki zyada side lene lag jaate hain clapping3.gif

jo bhi ho par yeh hum kisi ek ke baare mein nahe keh sakte 0-bouncer.gif

ke ladkiya zyada pyar karti hain ya larke

dono jaise honge woh waisa hi behave kareinge nah

asal toh nature nature ki baat hoti 0-headbang.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.